2010-2019
Vishwaas Karna Chuno
April 2015


Vishwaas Karna Chuno

Uddhaarkarta Apna susamachaar ek jyoti ki tarah pradaan karta hai unhein nirdesh karne ke liye jo unpar vishwaas karna aur Unke piche ho lena chunte hai.

Pichle January, saat-saal-ki Sailor Gutzler aur uska parivaar Florida se Illinois ek praevat hawaaijahaj mein jaa rahe the. Sailor ka pita chala raha tha. Jaise raat hui, hawaijahaj mein mashini samasya utpann hui aur woh bahut andhere mein durghatna grahst hue Kentucky ke pahadon mein, ulta bahut pathrile ilaake mein. Sailor ko chode anye log durghatna mein maare gaye. Uski kalaai tut gayi thi durghatna mein. Use chot aur kharosh aaye aur uske jute kho gaye. Taapmaan 38 degrees Fahrenheit (ya 3 degrees Celsius) tha—bahut thand tha, baarish ki thand waali Kentucky raat—aur Sailor sirf chote pant, ek T-shirt, aur ek moza pehni thi.

Woh apne maata aur pita ke liye ro rahi thi, par kisi ne jawaab nahin diya. Bahut himmat juta kar, woh nange paaon chalne lagi graameen ilaake mein madad ke liye, choti nadi ko paar karte, naala paar karte, aur bahaduri se blackberry ke jhadiyon se. Ek choti pahadi ke upar se, Sailor ko dur ek jyoti dikhi, lagbhag ek meel dur. Andhere aur jhaadiyon mein thokar khaate hue woh us jyoti ki or chal padi, aur ant mein woh ek anjaan dayalu aadmi ke ghar pahunchi jo turant uski madad ke liye chal pada. Sailor surakshit thi. Use jald aspataal le jaaya jaaega aur theek hone mein madad milega. 1

Sailor bach paayi thi kyunki use dur kahi ek jyoti dikha tha aur woh parishram se waha pahunchi—us graameen ilaake ki, ya uspar kya sankat aa gaya hai, aur use kaisa chot laga hai ki parwaah na karte huwe. Kathin hai kalpana karna ki kaise Sailor ne us raat ko itna sab kiya. Magar hum itna jaante hai ki usne us dur ke ghar ki jyoti mein bachaao ka sahara pehchaana. Wahan aasha thi. Use is baat se himmat mila ki chaahe kitni mushkil bhi ho, uska bachaao usi jyoti mein milega.

Hum mein se bahut kam log Sailor ke jaisi mushkil ko anubhav karenge. Magar hum sab ko, kisi na kisi samay, apne aatmik jangal se guzarna padega aur apne kathin bhaaona ke safar ko jhelenge. Un chanon mein, kitna bhi andhera ya kitna aashaheen lage, agar hum dhoondhenge, wahanhamesha ek aatmik jyoti dikhegi jo hamein pukaarega, hamein aasha dega bachaao aur sahayta ke liye. Woh jyoti sabhi maanav jaati ke Uddhaarkarta se chamkega, jo Jagat ki Jyoti hai.

Aatmik jyoti ko mehsoos karne aur vaastavik jyoti dekhne mein antar hai. Uddhaarkarta ke aatmik jyoti ko mehsoos karna hamare vishwaas karne ki ichcha se shuru hota hai. Parmeshwar chahata hai ki shuruaat mein hamein vishwaas ki ichcha laani zaroori hai. Bhavishyevakta Alma ne sikhlaya, “Agar tum jaago aur apne antarik shaktiyon ko jaagrut karke … aur vishwaas ka ek particle bhi kaam mein laaye, aur vishwaas karne ki desire bhi ki, tab is ichcha ko apne andar tab tak kaam karne do jab tak ki tum [Uddhaarkata] ke baato ke ek ansh par bhi vishwaas na kar lo.”2

Alma ka kehna ki hum ichcha kare vishwaas ki aur apne hridayon mein Uddhaarkarta ke shabdon ke liye “jagah dein” hamein yaad dilaata hai ki yakeen aur vishwaas ke liye hamara niji chunaao aur kriya zaroori hai. Hamein “jaag kar [hamare] antarikt shaktiyon ko jaagrut karna hai.” Paane se pehle hum maangte hai; milne se pehle hum dhoondhte hai; khulne se pehle hum khatkhataate hai. Hamein tak yeh vaada milta hai: “Kyunki jo ko maangta hai, woh paata hai; aur jo koi dhoondhta hai, use milta hai; aur jo khatkhataata hai, uske liye dwaar khola jaata hai.” 3

Koi aur joshila daleel hamein vishwaas karne ke liye nahin aaya par sirf Khud Uddhaarkarta se Unke dharti par prachaar ke daoraan, jab Usne daleel pesh ki Apne avishwaasi sunne waalo ko:

“Yadi Mai apne Pita ke kaam nahin karta, to mera vishwaas na karo.

“Parantu yadi Mai karta hoon, to chaahe mera vishwaas na bhi karo, parantu un kaamo ka to vishwaas karo: taaki tum jaano, aur samjho, ki Pita mujh mein hai, aur Mai Pita mein hoon.” 4

Har din hum ek pariksha ka saamna karte hai. Woh hamare jiwan ka pariksha hai: kya hum Unpar vishwaas karne ki chunenge aur Unke susamachaar ke jyoti ko apne andar badhne denge, ya kya hum vishwaas karne se inkaar karenge aur andhere mein akele safar karne ka zidh karenge? Uddhaarkarta Apna susamachaar ek jyoti ki tarah pradaan karta hai unhein nirdesh karne ke liye jo unpar vishwaas karna aur Unke piche ho lena chunte hai.

Durghatna ke baad, Sailor ke paas ek chunaao tha. Woh hawaaijahaj ke paas andhere mein, akeli aur dari hui reh sakti thi. Magar raat bahut baaki thi, aur thand badhne waali thi. Usne dusra chunaao kiya. Sailor ek pahaad par chadi, aur wahan use dur ek jyoti dikhaai padi.

Ahiste ahiste, jab raat mein woh jyoti ki or maarg dhoondh rahi thi, woh ujwal hota gaya. Phirbhi, kuch samay ayse huwe honge jab woh jyoti nahin nazar aati thi. Shaayad jab woh ek ghaati, ya pedo ya jhadiyon ke piche hoti thi, par woh chalti gayi. Jab bhi woh jyoti dekh sakti thi, Soilor ke paas saboot tha ki woh sahi maarg par hai. Woh yeh nahin jaanti thi ki woh kis cheez ki jyoti hai, magar woh uski or chalti rahi apne gyaan ke mutaabik, bharosa aur aasha karte huwe ki woh use phir dekhegi agar woh sahi disha mein gayi. Aysa karte huwe, shaayad usne apni jaan bachaai thi.

Hamari jiwan bhi isi tarah ho sakti hai. Ayse kuch samay honge jab hamein chot laga hoga, hum thake the, aur jab hamara jiwan andhkaar aur thanda mehsoos kar raha hoga. Kabhi kabhi hamein dur tak koi bhi jyoti nahin dikhta, aur shaayad hum haar manne ki sochne lage. Agar hamare andar vishwaas karne ki chahat hai, agar vishwaas ki ichcha hai, agar hum vishwaas karne ki chunte hai, tab Uddhaarkarta ke shikshan aur uddharan hamein aage ka raasta dikhaaega.

Vishwaas Karna Chuno

Jis tarah Sailor ko vishwaas karna tha ki use us dur ki jyoti mein suraksha milegi, usi tarah hamein Uddhaarkarta ke divye sachchaai—Unke anant jyoti aur Unke changaai ki daya ke liye apne hriday ko kholne ka chunaao karna hai. Sadiyon se bhavishyevaktaaon ne hamein protsaahit kiya hai aur hamein Maseeh mein vishwaas karne ke liye niwedan kiya hai. Unke updeshon mein ek thos sachchaai hai: Parmeshwar hamein vishwaas karne ke liye jabardasti nahin karta. Balki woh hamein vishwaas karne ka nimantran jiwit bhavishyevaktaaon aur devduton ke shikshan, dharamshaastra dwara, Apni Aatma ke ishaare ke dwara deta hai. Hamein chunaao karna padega ki hum us nimantran ko apnaaenge ya nahin, yeh chunaao karein ki hum apne aatmik ehsaas se pehchaane us aatmik jyoti ko jisse Woh hamein pukaarta hai. Vishwaas karne ka chunaao hamara sabse avashyak chunaao hoga. Uspar hamare anye sab nirnay tike hai.

Parmeshwar hamein vishwaas karwata nahin na to Woh hamein aagyaaon ka paalan karwata hai, bhale hi Woh hamesha ichcha karta hai ashirvaad dene ka. To bhi Uska pukaar ki hum Unpar vishwaas karein—us vishwaas ke ansh ko aazmaaye aur Unke shabdon ko jagah dein—aaj bhi laagu hai. Jaise Uddhaarkarta ne kaha, “Mai saakshi hoon ki Pita sabhi manushye ko sabhi jagah aagya deta hai ki woh pashchataap karein aur mujh mein vishwaas rakhein.” 5

Yakeen aur gawahi aur vishwaas shaant siddhaant nahin hai. Woh sirf ayse hi hamare saath nahin ghatta. Yakeen ko hum chunte hai—hum uski aasha karte, uske liye sangharsh karte, aur hum uske liye balidaan dete hai. Hum achanak Uddhaarkarta aur Unke susamachaar mein vishwaas nahin kar lenge jaise ki hum prarthna ya daswa hissa achanak nahin bharte. Hum khud chunte hai vishwaas karne ko, jaise hum anye niyamon ka paalan karna chunte hai.

Yakeen ko Kriya mein Badlo

Sailor nahin jaan sakti thi ki agar woh jhadiyon ko bagal karegi kya use aage nikalne ka mauka milega. Woh gum ho gayi thi aur use chot lagi thi; andhera aur thand tha. Magar woh ghatnasthal ko chod kar chalti gayi bachaao ke aasha se, ghutne ke bal gayi aur kharosh aaye use jab tak woh dur ke jyoti tak na pahunchi. Ek baar jab use dikh gaya, usne bahut sangharsh kiya ustak pahunchne ke liye, yaad rakhkar ki kya usne dekha hai.

Usi tarah hamein bhi aasha ko mauka dena chahiye ki hum aatmik jyoti paaenge vishwaas karke na ki sandeh chunkar. Hamare kriya hamare yakeen ka saboot hai aur hamare vishwaas ka padaarth hai. Prarthna karne aur dharamshaastra padhne se hum vishwaas karna chunte hai. Upwaas, Raviwaar ko pavitra din maante hai, aur mandir mein bhakti karne se, aur dharamshaastra padhne se hum vishwaas karna chunte hai. Hum baptisma lekar aur prabhubhoj lekar vishwaas karne ka chunaao karte hai. Hum vishwaas karna chunte hai jab hum pashchataap karte aur divye maafi aur changaai waala prem dhoondhte hai.

Kabhi Haar Mat Manna

Kabhi kabhi aatmik cheezon mein pragati dhimi lagti ya rukne lagti hai. Kabhi kabhi hum sochenge ki raasta choot gaya, ki humse galti ho gayi hai, ya Uddhaarkarta ko dhoondhne ki hamare sabse behtar koshishein naakaam rahi hai. Agar tum aysa mehsoos kar rahe ho, kripya haar mat maane—kabhi nahin. Unpar vishwaas karte rahiye aur Unke susamachaar par aur Unke Girjaghar par. Apne kriyaaon ko apne us yakeen ke saath milaao. Un chano mein jab tumhare vishwaas ki jyoti dhimi hone lage, Uddhaarkarta ke prem aur mahima ki aasha ko, jo Unke susamachaar aur Unke Girjaghar mein paaya jaata hai, tumhare sandeh ko dur kare. Mai vaada karta hoon ki Woh tumhe paane ke liye tayyaar hai. Samay aane par tum dekhoge ki tumhara yeh chunaao sabse behtar tha. Tumhara Unpar vishwaas karne ka saahasi nirnay tumhe bahutaais se aur hamesha ashirvaad dega.

Vishwaas ke Ashirvaad

Maine apne jiwan mein Uddhaarkarta ka dayalu prem anubhav kiya hai. Maine Unhe apne andhere ke chanon mein dhoondha hai, aur Woh meri or badha hai Apne changaai ki jyoti ke saath. Mere jiwan ka mahaan khushiyaali raha hai meri patni, Kathy, ke saaf safar karna duniyabhar ke Girjaghar sadasyon se milne ke liye. Yeh anokhe aosaron se maine hamare liye Parmeshwar ke prem ko seekha hai. Usse maine khushiyaali ke anginit sambhavna ko jaana hai jo unka ashirvaad banta hai jo Prabhu Ishu Maseeh ke shikshan par chalet hai. Maine seekha hai ki Unpar aur Unke mukti denewaale shakti par vishwaas karna sachcha raasta hai “is duniya mein shaanti, aur aane waale duniya mein anant jiwan” 6paane ka.

Mai gawahi deta hoon ki Ishu Maseeh hum sab ke liye jyoti aur aasha ka srot hai. Mai prarthna karta hoon ki hum sab Unpar vishwaas rakhne ki chune. Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Dekhiye Lindsey Bever, “How 7-Year-Old Sailor Gutzler Survived a Plane Crash,” Washington Post, Jan. 5, 2015, washingtonpost.com; “Girl Who Survived Plane Crash Hoped Family ‘Was Just Sleeping,’” Jan. 4, 2015, myfox8.com; “Kentucky Plane Crash: Four Killed, Little Girl Survives,” Jan. 4, 2015, news.com.au; Associated Press, “Young Girl, Sole Survivor of Kentucky Plane Crash,” Jan. 3, 2015, jems.com.

  2. Alma 32:27; zor diya gaya

  3. 3 Nephi 14:8; verse 7bhi dekhiye.

  4. John 10:37–38.

  5. 3 Nephi 11:32.

  6. Doctrine and Covenants 59:23.