2010-2019
“Jis Upwaas se Mai Prasann Hota Hoon, Kya Woh Yeh Nahin?”
April 2015


“Jis Upwaas se Mai Prasann Hota Hoon, Kya Woh Yeh Nahin?”

Tumhara upwaas bhent khilaane aur kapde pehnaane se zyaada karega. Woh changaai dega aur hridayon ko badlega.

Mere priye bhaaiyon aur bahanon, yeh mere like khushi ki baat hai ki mai aaj Ishu Maseeh ke Girjaghar Antim-Dinon ke Santon ka ke maha sammelan mein apna prem vyakt karun. Yeh khushi Aatma ke gawaahi se aati hai ki Uddhaarkarta ka prem tum sab tak pahunchta hai aur Swarg ke Pita ke sabhi bachchon tak. Hamare Swarg ke Pita chahate hai ki woh Apne bachcho ko dhaarmik aur sansaaraik ashirvaad dein. Woh hamare sabhi zarooraton, peedaaon, aur aashaaon ko jaante hai.

Jab hum kisi ko sahayta dete hai, Uddhaarkarta mehsoos karta hai ki hum Unki sahayta kiye hai.

Usne hamein kaha ki woh sach hai jab Usne hamein bhavishye ke ek pal ke baare mein bata jab hum Unhe jiwan ke ant mein dekhenge. Upwaas aur prarthna karke aaj ke bhaashan ke baare mein puchne ke baad mere mann mein ek chitra aur saaf dikhne laga hai. Us bhavishye ke intarviu ke baare mein Unke chelon ko diya gaya tha, aur usmein sach batlata hai ki hum apne hriday ki gehraai mein kya chahate hai:

“Tab raja apni daahini or waalon se kahega, ‘He mere Pita ke dhanye logon, aao, us raajye ke adhikaari ho jaao, jo jagat ke shuruaat se tumhare liye tayyaar kiya gaya hai:

“Kyunki mai bhukha tha, aur tumne mujhe khaane ko diya: Mai pyaasa tha, aur tumne mujhe paani pilaya, Mai pardesi tha, aur tumne mujhe apne ghar mein tehraaya:

“Mai nanga tha, aur tumne mujhe kapde pehnaaye: Mai beemaar tha, aur tumne mujhse bhent kiya: Mai jel mein tha, aur tum mujhse milne aaye.

“Tab dharma usko uttar denge, ‘He Prabhu, hum ne kab tujhe bhukha dekha aur khilaaya? Ya pyaasa dekha aur paani pilaaya?

“Humne kab tujhe pardesi dekha aur apne ghar mein tehraaya? Ya nanga dekha aur kapde pehnaae?

“Humn kab tujhe beemaar, ya jel mein dekha, aur tujhse milne aaye?

“Tab raja unhe uttar dega, ‘Mai tumse sach kehta hoon ki tumne jo mere in chote se chote bhaaiyon mein se kisi ek ke bhi saath kiya, woh mere hi saath kiya.”1

Tum aur hum Uddhaarkarta se waisa swaagat chahate hai. Magar hamein yeh kaise mil sakta hai? Kitne saare nange, beghar, yateem bachche hai Swarg ke Pita ke ki yeh sambhav nahin hum untak pahunch nahin sakte. Aur sankhya hamare pakad se zyaada hoti rehti hai.

Isliye Prabhu ne hum sab ke karne laayak cheez di hai. Yeh niyam itna saral hai ki ek bachcha ise samajh sakta hai. Yeh niyam ke saath ek badhiya vaada diya jaata hai zarooratmandon aur hamare liye.

Yeh hai upwaas ka niyam. Isaiah ke pustak ke shabd Prabhu ka vivran hai is niyam ka aur hum jo Unke Girjaghar ke hai ke liye ashirvaadon ka.

“Jis upwaas se mai prasann hota hoon kya woh yeh nahin hai? Ki anyaaye se banaye hue daaso, aur andhere sehne waalo ka jwata ko tukde tukde kar dena?

“Kya woh nahin hai ki apni roti bhokhon ko baat dena, anaath aur maare maare firte huwon ko apne ghar le aana, kisi ko nanga dekh kar vastra pehnaana, aur apne jaatibhaaiyon se apne ko na chipaana?

“Tab tera prakaash subha ki tarah chamkega, aur tu sheegra changa ho jaaega: tera dharm tere aage aage chalega; Prabhu ki mahima tere piche raksha karte hue chalega.

“Tab tu pukaarega aur Prabhu uttar dega; tu duhaai dega aur woh kahega, ‘Mai yaha hoon.’ Yadi tu andher karna aur ungli uthana, aur dusht baate bolna chod de;

“Aur Udaarta se bhukhe ki sahayta kare, aur deen dukhiyon ko santusht karein, tab andhiyaare mein tera prakaash chamkega, aur tera ghor andhkaar dopahar ka sa ujiyaala ho jaaega.

“Aur Prabhu tujhe lagataar liye chalega, aur aakaal ke samay tujhe santusht aur teri haddiyon ko hari bhari karega; aur tu seenchi hui bag, aur ayse sot eke samaan hoga, jiska jal kabhi nahin sukhta.” 2

Isliye Prabhu ne hamein ek saral niyam diya hai ek badhiya vaade ke saath. Aaj Girjaghar mein hamein mauke milte hai mahine mein ek baar upwaas rakhne ka aur ek achcha daan dene ka apne bishop ya shaakha adhyaksh ke zariye gareeb aur zarooratmand ki madad ke liye. Aap ke daan mein se kuch aapke aas paas ke logon ki madad mein istemaal hoga, shaayad tumhare apne parivaar mein. Prabhu ke sewak prarthna aur upwaas karenge taaki unhe praktikaran mile kise madad karna aur kya dena hai. Jo tumhare sthaaniye Girjaghar ke ilaake mein nahin zaroori hai duniya bhar mein anye zarooratmand Girjaghar sadasyon ko diya jaaega.

Gareeb aur zarooratmand ke liye upwaas karne ke niyam ke saath kayi ashirvaad hai. Pradhaan Spencer  W.Kimball ne is niyam ko na paalan karne ko bhul ka niyam kaha jispar bahut bada jurmana hai. Usne likha: “Prabhu ne achche vaade kiye hai unse jo upwaas karte aur zarooratmand ki madad karte hai. … Prerna aur dhaarmik nirdeshan milega saath mein Swarg ke Pita ki sachchaai aur kareebi. Agar hum is upwaas ke sachche kaam ko bhul jaaye to hamein yeh ashirwaad nahin milenge.” 3

Kuch hafton pehle hi mujhe ek aysa ashirvaad mila. Kyunki maha sammelan ek aysa saptaah-ant mein hai jab upwaas aur gawahi ka sabha hoga, maine upwaas aur prarthna kiya ki kaise mujhe is niyam ka paalan karna chahiye taaki zarooratmand ki madad kar sakun.

Ek Shaniwaar ko, upwaas ke samay, mai 6 baje utha aur phirse prarthna kiya. Mujhe laga ki mujhe vishwa samachaar dekhna chahiye. Wahan maine yeh rapat padhi:

Samudri Toofaan Pam ne kayi ghar ujaade jab usne Port Vila par akraman kiya, jo ki Vanuatu ka mukhye shahar. Vanuatu mein isne 6 jaane li, yeh pehla rapat tha ek bahut shaktishaali toofaan ka jo zameen par pada.

“Ek ped bhi nahin seedha khada reh saka [jab toofaan]” is Prashaant ke duip par chala. 4

World Vision ke aapaatkaal nirikshan vibhaag ne toofaan ke jaane ke baad jaanch karne ki sochi. 

Unhonne uip waasiyon ko kaha ki woh mazboot imaaraton mein sharan lein jaise vishwavidhyalay aur paathshaalein.

Aur phir unhonne kaha: “‘Unka sabse mazboot imaarat hai siment ki girjagharein,’ kaha Inga Mepham ne jo CARE International [ka hai]. … ‘Kuch jagahon par yeh nahin hai. Kathin hai aysi imaarat dhoondhna jo Category 5 ke taaqat ke toofaan ko rok sake.’” 5

Yeh padhne ke baad, maine yaad kiya Vanuatu mein chote gharon par ghumne jaana. Mainne unke baare mein socha jo un gharon mein the jise toofaan ne barbaad kiya tha. Aur phir maine Vanuatu ke logon ka haardik swaagat yaad kiya. Mai soch raha tha kaise woh aur unke padosi hamare siment ki chapel mein suraksha paaye honge.

Phir maine socha kaise bishop aur Sahayak Sanstha adhyaksh unke beech chale inge, unhe sahanubhuti dete, kambal, bhojan, aur paani diye honge. Mai un dare huwe bachchon ke baare mein soch raha tha.

Woh kitne dur hai us ghar se jahan maine woh khabar padha tha, aur phirbhi mai jaanta tha Prabhu kya kar rahe honge Apne sewakon ke zariye. Mai jaanta tha ki wahi upwaas bhenton ne Swarg ke Pita ke un bachchon ki sahayta ki thi jo Prabhu ke chelon dwara diya gaya tha jo bhale humse dur hai par Prabhu ke kareeb.

Isliye maine Raviwaar tak intazaar nahin kiya. Mai apne bishop ke paas usi din subha apna upwaas bhent le gaya. Mai jaanta tha ki yeh daan bishop aur Sahayak Sanstha adhyaksh dwara istemaal kiya jaaega kisi padosi ki madad ke liye. Mera chota daan shaayad mere parivaar aur mere nazdeeki kisi ko nahin madad karega, magar uska bacha hua sthaaniye daan shaayad Vanuatu tak pahunch jaaye.

Magar anye toofaan aur durbhaagye ghatenge un logon par jinhe Prabhu prem karta aur jinke dukh Woh mehsoos karta hai. Tumhara aur mera upwaas bhent ka kuch bhaag is mahine uske liye hoga, jo kahipar, jiska sahayta Prabhu mehsoos karega jaise Unka apna ho.

Tumhara upwaas bhent khilaane aur kapde pehnaane se zyaada karega. Woh changaai dega aur hridayon ko badlega. Dilse diya gaya daan ka fal shaayad paane waale ki dil ki ichcha hogi ki zarooratmandon ki madad karein. Aysa duniya bhar mein hota hai.

Aysa Bahan Abie Turay ke jiwan mein hua, jo Sierra Leone mein rehti hai. 1991 mein ek asainik yudh shuru hua. Usse kayi saalon tak desh naash hua. Sierra Leone to duniya ka gareeb desh tha hi. “Yudh ke daoraan, aysa spasht nahin tha ki kaun desh ka [shaashan kar raha tha]— benk bandh the … , sarkaari daftar nasht kar diye gaye the, daroga [koi kaam ke nahin the vidrohi dalon ke khilaaf], …  aur bahut uthal puthal, maar peet aur dukh tha. Kayi hazaar logon ne apne jaan khoe aur do milyan se zyaada logon ko marne se bachne ke liye apna ghar tyaagna pada.”6

Ayse samay mein bhi, Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-Dinon ke Santon ka badhta gaya.

Ek sabse pehla shaakha aayojit kiya gaya tha Bahan Turay ke shahar mein. Uska pati pehle shaakha adhyaksh tha. Asainik yudh ke daoraan woh jila adhyaksh the.

“Jab koi Bahan Turay ke ghar jaata hai[ab], woh unhein yudh ke samay ke do [khazane] dikhana pasand karti hai: ek nila-aur-safed dharidaar shirt jo [Girjaghar sadasyon ke kapdon ke bhent] mein [use mila] tha aur ek kambal, jo ab puraana aur chedon se bhar gaya hai.”7

Woh kehti hai, “Yeh shirt pehla …  kapda tha jo mujhe [mila]. … Mai use kaam par jaane ke liye pehna karti thi—yeh kitna achcha tha. [Use pahanne se mai sundar mehsoos karti thi.] Mere paas anye kapde nahin the.

“Yudh ke daoraan, yeh kambal hamein garmi deta tha, mujhe aur mere bachchon ko. Jab atankwaadi hamein maarne aate [the], yahi [mai] utha sakti [thi] [jab hum jangal ki or bhaagte the chupne ke liye]. Isliye hum apne saath kambal le jaate [the]. Yeh hamein gharmi deta aur macharo ko bhagata tha.” 8

“Bahan Turay ek mission adhyaksh ke baare mein apna abhaar batlaati hai jo aata tha is yudh waale desh mein [paeso] se bhare jeb lekar.” Woh paese, aap jaise logon ke upwaas bhent ke paese hote the, jo Santon ko bhojan kharidne ke liye milta tha kyunki zyaada Sierra Leone ke logon ke liye yeh mehnga tha. 9

Bahan Turay, unke baare mein kehte hue jinhonne daan diya taaki woh jiwit reh sake, kehti hai, “Jab mai aysa karne waale logon [ke baare] mein sochti hoon … mujhe ehsaas hota hai ki [unhein] Parmeshwar ne bheja tha, kyunki aam insaanon ne aysa dayalu kaarye kiya [hamare] liye.” 10

Kuch din huwe United States se aaya ek mehmaan Abie ke saath baetha tha. Uske saath is samay ke daoraan, “uske aankh sirf dharamshaastra ke kitaabon par jaate rahe jo ek mez par tha.” Woh batla sakta tha ki woh ek khazana tha, “achchi tarah se maak kiya gaya aur not banaye gaye the kolam mein. Panne [puraane] lag rahe the; kuch phat bhi gaye the. Upar ka cover bhi nikal raha tha.”

Usne dharamshaastra apne “haathon mein liye aur dhire se panne palatne laga. Aysa [karne par, use mila] daswa hissa ka peela tukda uske andar rakha hua. [Usne] dekha ki ek desh mein jahan [ek amriki dollar kam tha] aur bahut anmol, Abie Turay ne apne daswa hissa mein ek dollar diya, prachaarak punji mein ek dollar, aur upwaas bhent mein ek dollar diya unke liye, jisse woh kehte the, ‘sach mein gareeb.’”

Mehmaan ne Bahan Turay ke dharamshaastra band kiye aur socha, is vishwaasi African maata ke saath khade huwe, ki woh pavitra bhumi par hai.11

Jis tarah se apne aur mere upwaas bhent ke ashirwaad hriday badal sakte hai, usi tarah kisi aur ke faede ke liye upwaas karna bhi kar sakta hai. Ek bachcha bhi mehsoos kar sakta hai.

Kayi bachche, aur kuch baalig log, shaayad niji kaaranon se ek 24-ghante ke upwaas ko kathin paayenge. Isaiah ke shabdon mein, aysa mehsoos ho sakta hai ki upwaas ne “[unke] hriday ko chuh liya.” Budhimaan maata-pita is sambhavna ko pehchaante hai aur isliye saodhaani se Pradhaan Joseph F. Smith ke salaah ko maante hai: “Behtar hai unhein siddhaant sikhaana, aur unhein mauk dena uska paalan karne mein jab woh utne bade ho jaaye jab woh khud budhimaani se chun sake.” 12

Maine haal hi mein us salaah mein ashirvaad dekha. Mera ek pota ne mehsoos kiya tha ki 24-ghanton ka upwaas use sehne ke liye namumkin hai. Magar uske budhimaan maata-pita ne tab bhi woh siddhant uske hriday mein daala. Uske ek paathshaala ka dost ne haal hi mein apna chota chachera bhaai achanak mrityu mein kho diya. Mere pote ne apni maa se upwaas din par kaha, us samay par jab use upwaas bahut kathin lagta tha jaari rakhna, kya mera shokh manata hua dost achcha mehsoos karega agar mai upwaas karta rahun.

Uska sawaal Pradhaan Joseph F. Smith ke salaah ka pushti tha. Mera pota ab sirf upwaas ke siddhaant ko nahin samajh saka, magar isne uske hriday mein jagah paa liya tha. Use ab mehsoos hone laga tha ki uska upwaas aur prarthna se kisi zarooratmand ko Parmeshwar ka ashirwaad mil sakta hai. Agar woh is siddhaant ko paalan karta rahega, woh uske bhi jiwan mein achche prabhaao laaega, jaisa Prabhu dwara vaada kiya tha. Use aatmik ashirvaad milegi behkaawe se bachne ke liye prerna paane aur zyaada sambhaavna ki shakti.

Hum sabhi kaaranon ko nahin jaante kyun Ishu Maseeh Banjar bhumi mein gaye the upwaas aur prarthna ke liye. Magar hum jaante hai: Uddhaarkarta ne achchi tarah se Shaetaan ke behkaawon se bachcha aur Apna divye shakti nahin istemaal kiya.

Jis chote samay ke liye hum har mahine upwaas karte hai aur jo chota bhent hum gareeb ko dete hai shaayad sirf ek chota sa badlaao laaye ab dushkaram karne ki unki ichcha nahin hai. Magar ek badhiya vaada diya gaya hai, jab hum sab karein zarooratmand ke liye prarthna, upwaas, aur daan karne mein:

“Tab tera prakaash subha ki tarah chamkega, aur tu sheegra change ho jaaega: tera dharm tere aage aage chalega; Prabhu ki mahima tere piche raksha karte hue chalega.

“Tab tu pukaarega aur Prabhu uttar dega; tu duhaai dega aur woh kahega, ‘Mai yaha hoon.’ Yadi tu andher karna aur ungli uthana, aur dusht baate bolna chod de.” 13

Mai prarthna karta hoon ki hum woh ashirvaadein apne aur apne parivaaron ke liye chaahe.

Mai gawahi deta hoon ki Ishu hi Maseeh hai, ki Unke Girjaghar mein hamein amantrit kiya jaata hai Unko madad karne mein jab woh Apne tarike se gareeb ki madad karte hai, aur ki Woh anant ashirvaadein vaada karta hai jab hum Unhe madad karenge. Ishu Maseeh ke pavitra naam se, amen.

Vivran

  1. Matthew 25:34–40.

  2. Isaiah 58:6–11.

  3. Spencer W. Kimball, The Miracle of Forgiveness (1969), 98.

  4. Dekhiye Steve Almasy, Ben Brumfield, aur Laura Smith-Spark, “Cleanup Begins in Vanuatu after Cyclone Batters Islands,” Mar. 14, 2015, edition.cnn.com.

  5. Dekhiye Sean Morris, Steve Almasy, aur Laura Smith-Spark, “‘Unbelievable Destruction’ Reported in Tropical Cyclone Pam’s Wake,” Mar. 14, 2015, edition.cnn.com.

  6. Peter F. Evans, “Sister Abie Turay’s Story,” aprakaashit hastlekh

  7. Peter F. Evans, “Sister Abie Turay’s Story.”

  8. Abie Turay, Peter F. Evans se nikala gaya, “Sister Abie Turay’s Story.”

  9. Peter F. Evans, “Sister Abie Turay’s Story.”

  10. Abie Turay, Peter F. Evans se nikala gaya, “Sister Abie Turay’s Story.”

  11. Peter F. Evans, “Sister Abie Turay’s Story”; Sister Turay ke baare mein ek vidio, “We Did Not Stand Alone,” lds.org/media-librarypar uplabdh hai.

  12. Joseph F. Smith, “Editor’s Table,” Improvement Era, Dec. 1903, 149.

  13. Isaiah 58:8–9.