Bada Din ke Sandesh
Ishu Masih Hai—Hamare Shaanti ka Raajkumaar


Ishu Masih Hai—Hamare Shaanti ka Raajkumaar

Pyaare bhaaiyon aur bahanon, yah bahut hi shaandaar anubhao hai. Sangeet prerna se bhara hua hai aur sandeshon se hamein shaanti praapt hui hai. Bada Din ka aatma hamare aatma mein ghul raha hai!

Bada Din ki yaadein hamare mann mein parivaar, uphaaron, aur dusron ke prati sewa ko yaad dilata hai. Yah Bada Din ke sachche vajah ka parinaam hai, jo hamare Swargye Pita se atiuttam uphaar praapt hua hai. “Kyunki Parmeshwar ne jagat se ayesa prem rakha ki usne apna eklauta putra de diya, taaki jo koi us par vishwaas kare nasht na ho, parantu anant jiwan paaye.” 1

Prabhu par aur anant jiwan par dhyaan dene se hamein sirf Bada Din par nahin, magar maranshil jiwan ke sabhi musibaton se bach saktein hai. Doshmukt log is sitaara par dusre dosh mukt logon ke saath baattein hai. Hamari duniya niraash ki duniya ho gayi hai bahut hi karze, ladaaiyon, prakritik vipattiyon, bimaariyon, aur maut ke kaaran.

Humsab vyaktigat chunaotiyon ko jheltein hai. Ek pita apne kaam ko kho sakta hai. Ek jawaan maa ko bahut hi khatarnaak bimaari ho sakti hai. Ek putra ya putra sahi raasta ko bhool chukein honge. Chaahe kuch bhi chinta deta ho, hum sab mann ki shaanti chahatein hai.

Aaj raat mera sandesh sirf sahi aur antim shaanti ke srotl, Ishu Masih par adhaarit hai—hamare Shaanti ka Raajkumaar.2 Yeh shishak Uska tha anye shishakon ke saath jiske liye use pehle se tayyaar kiya gaya tha.

Wah Apne Pita dwara chuna gaya tha Duniya ka Uddhaarkarta banne ke liye. Yeh do shishak—Masiha aur Masih—se Uska zimmedaari ka pata lagta chune hue ki tarah. 3

Uske Pita ke nirdeshan mein, Ishu is duniya aur dusre duniya ka Rachnakarta hai. 4 Ishu humare Pita ke paas ek sahayak hai. 5 Ishu ko Immanuel hone ka vaada praapt hua tha, 6 Mahaan ‘I Am’ aur Purane Niyam ke samay ka Swarshaktimaan. 7

Wah Apne Pita dwara bheja gaya tha Balidaan ko pura karne ke liye, sabhi insaanka mukhye itihaas ko karne ke liye. Uske balidaan ke kaaran, sabhi logon ko amaranshilta ki sachchaai praapt hui, aur unke liye anant jiwan praapt hua jo Uske piche chalne ko chunne. 8 Yeh Sarvashaktimaan Parmeshwar ke kaarye aur mahima hai. 9

Hamare mahaan Uddharan ki tarah, Ishu ne hamein jeena, pyaar karna, aur sikhna ko sikhlaya hai. Usne hamein prarthna karna, chama karna, aur anant tak jhelna ko sikhlaya hai. 10

Usne hume apne aap se zyaada dusron ki chinta karna sikhlaya hai. Usne hume chama aur daya karna sikhlaya hai—hamare jiwan mein sahi badlaao ko Apne shakti dwara laya hai. Usne hume hamare dilon aur mann mein shaanti praapt karna sikhlaya hai. Ek din, hum Uske saamne khade honge jaha Wah hamare Nyayedhish aur dayabhare Swami honge. 11

Prabhu ki yeh pavitra zimmedariyaan hume Uski bhakti karati hai vyaktigat aur anant Shaanti ka Raajkumaar ki tarah. Hum Uski bhakti kartein hai maata-pitaon, nana-naaniyon, aur bachchon ke shikshak ke laayak hone ke liye.

Bada Din ka samay parivaar ke liye mahaan samay hai. Parivaar ka samay pavitra samay hai. Hum apne bachchon ko madad kar saktein hai Uddhaarkarta ki or mudne mein. Sangeet hume madad kar sakta hai. Hamare bachchein geet gaana pasand kartein hai “I’m Trying to Be like Jesus.” 12

Ishu ne kaha, “Baalakon ko mere paas aane do, aur unhein mana na karo, kyunki swarg ka raajye ayese hi ka hai.” 13

Wah unke jiwan mein shaanti deta hai jinko ladaai se bahut hi nuksaan hua hai. Parivaarein jinko saenik kaarye ke kaaran ladaai ki yaadon se jhatka laga hai, jo mere mann mein Korean Laadaai ke samay se samaae hai.

Hamare abhi ke kaal ke ladaaiya bahut hi jatil hai magar abhi bhi parivaar ko kasht pahunchati hai. Jo itna jheltein hai weh Prabhu ki or mudh saktein hai. Uska daya bhara sandesh hai ki prithivi par un manushyon mein jinse wah pasand hai ko shaanti mile. 14

Shaanti unko praapt ho sakti hai jo achcha nahi mehsoos kar rahein ho. Kuch sharir ko chot pahunchta hai. Dusre dhaarmik peeda ko seh rahein ho kyunki apne pyaar karne waalon ko yaad kar rahein ho ya dusrein bhaaoshil chot ko. Bhaaiyon aur bahanon, shaanti tumhare aatma ko praapt ho sakta hai jab tum Shaanti ke Raajkumaar mein apne vishwaas ko badhaaoge.

“Tum mein koi ayesa bhi hai jo bimaar hai? Use yaha laao. Tumhare paas koi langda, andha, ya apang jo nirbal ho chuka ho, … ya kisi bhi prakaar se kasht mein hai? Unhein yaha laao aur main unhein theek karunga.” 15

“Main dekhta hoon ki tumko changa karne ke liye tumhare paas pariyaapt vishwaas hai.” 16

Shaanti unko praapt ho sakta hai jo dukh mein ho. Chaahe dukh galti ya paap ke parinaam se ho, sabhi jo Prabhu chahata hai wah hai pashchataap. Dharamshaastra humein batlata hai ki “jawani ki abhilaashaon se bhaag; …[aur] shudh mann se Prabhu ka naam lo.” 17 Phir Uska aaraamdeh “Gilead ka malham” paap-se-beemaar aatma ko bhi changa karta hai. 18

Main John Newton, jo London 1725 mein paeda hua tha ke badlaao ko yaad karta hoon. Usne apne paap ke jiwan se paschataap kiya tha England ke Girjaghar mein paadri ki tarah gulaami karne ke liye. Us hriday ke mahaan badlaao se, John ne bhajan ke shabdh likhein “Amazing Grace.” (Gajab Kripa)

Yeh gajab kripa (Ishu Masih ka)! Bahut hi sundar hai awaaz

Jisne mere tarah bekaar ke insaan ko bachaya.

Main ek baar (dhaarmikta) se kho chuka tha, magar ab main (Ishu ke) kaaran bach gaya hoon,

Andha ho chuka tha, magar ab main dekh sakta hoon. 19

“Ek pashchataap karnewaale paapi ke kaaran bhi Swarg mein itna hi anand hoga.” 20

Shaanti unko praapt ho sakta hai jinke bahut hi musibatein ho:

“He sabhi parishram karne waalon aur bojh se dabe hue logon, mere paas aao; main tumhe vishraam dunga.

“Mera juata apne upar utha lo, aur mujh se sikho; kyunki main namra aur mann mein deen hoon: aur tum apne mann mein vishraam paaoge.

“Kyunki mera juata sahaj aur mera bojh halka hai. 21

Shaanti unko praapt ho sakta hai jo shokh prakat kartein hai. Prabhu ne kaha, “Dhan hai weh jo shokh kartein hai: kyunki weh shaanti paayenge.” 22 Jab hum kisi pyaar karne waale ke ant ko dekhtein hai, hum Prabhu ke shaanti se bhar saktein hai Aatma ke prabhaao se.

“Jo mere liye marenge weh mauth ko nahi jhelenge, yah unke liye meetha hoga.” 23

“Main tumhe shaanti diye jaata hoon, apni shaanti tumhe deta hoon; jaese sansaar deta hai, main tumhe nahi deta:Tumhara mann vyaakul na ho aur na dare.” 24

“Punaharjiwan, aur jiwan main hi hoon; jo koi mujh par vishwaas karta hai wah yadi mar bhi jaaye to bhi jiyega:

“Aur jo koi jiwit hai aur mujh par vishwaas karta hai, wah antkaal tak na marega.” 25

Shaanti un sab ko praapt ho sakti hai jo sahi dhang se Shaanti ke Raajkumaar ko dhoondhenge. Uska sandesh priye aur bachaanewaala sandesh hai jo humare prachaarakh pure duniya bhar mein pahunchaatein hai. Weh Ishu Masih ke susamachaar ko parchaar kartein hai jo Usne punaharsthaapit kiya tha Bhavishyevakta Joseph Smith ke dwara. 26 Prachaarakein Prabhu ke jiwan- ke badlaao ke in shabdon ko sikhlaatein hai: “Yadi tum mujh se prem rakhtey ho, to meri aagyaon ko manoge.” 27

Shaanti un sab ko praapt ho sakta hai jo Swami ke aagyaon par chalenge. Uska nimantran teen pyaare shabdon mein batlaya gaya hai: “Aakar, mere piche ho lo.” 28

Hum Shaanti ke Raajkumaar ke liye sangeet gayenge, 29 kyunki Wah waapis aayega. Phir “Prabhu ka tez prakat hoga aur sabhi prani Usko ek sang dekhenge.” 30 Sahastradibh Masiha ki tarah, Wah Raajaon ka raaja aur Prabhuwon ke prabhu ki tarah prachaar karega. 31

Jab hum Ishu Masih ke piche chaltein hai, Wah hume Apne saath aur humare Swarg ke Pita, humare parivaaron ke saath aage jiwan mein netritav karega. Humare maranshil jiwan ke kai musibaton se, agar hum apne banaye hue vaadon par vishwaas rakhenge, agar hum ant tak jhelenge, hum Parmeshwar ke sabhi adhik mulyewaan upharon ko praapt kar sakenge, anant jiwan. 32 Uske pavitra maujoodgi mein, humare parivaar humesha saath reh saktein hai.

Parmeshwar tumko ashirwaad de, mere pyaare bhaaiyon aur bahanon. Main asha karta hoon ki tum sab ko Bada din ki shub kaamnaaye praapt ho! Aur main asha karta hoon ki tum aur tumhare priyejan hamare Prabhu ke ashirwaad se anant khushi ko praapt karoge—humare Shaanti ke Raajkumaar—Main prarthna karta hoon Ishu Masih ke naam se, amen.