Dagmagana Nahi!

Elaine S. Dalton dwara

Jawaan Mahilaoun ki Maha Adhyakshta


 
Wah kehta hai ki: Atal raho. Achal raho. “Sachchaai aur dhaarmikta ke liye khade raho.” Gawaah bano. Duniya ke liye star bano. Pavitra sthaanon par raho.

Aaj raat main is manch par is pavitra sthaan mein khadi hoon bhavishyevaktaon, devduton, aur prakat karne waalon aur Parmeshwar ki raaj vanshi putriyon ki upastithi mein. Yah ek shaandaar samay hai dharti par hone ka aur ek jawaan mahila hone ka. Tum Swarg ke Pita ke chune hue putriyaan ho. Main aasha karti hoon ki tum apne pehchaan ko jaante ho aur tum kitne priye ho hamare Swarg ke Pita ke. Wah tum sab se pyaar karta hai aur main bhi karti hoon.

Mere daftar ke mez par, mere paas ek pital ka murti hai jo ek jawaan mahila jiska naam Kristina hai ka pratirup hai. Kristina ke barabar aakar ki murti, Denmark, Copenhagen ke khambe par khadi hui hai taaki samundar se baahar Zion ko dekh sakey. Uska Girjaghar mein judne ka faisla aur apne ghar ko chodne ka ek asaan faisla nahi tha, aur tum dekh saktey ho ki uske virodhi uske virodh kaam kar rahe the. Wah dagmagaai nahi thi, bahot hi mushkil ka kaarye kiya magar jo wah jaanti thi ki sachcha hai. Uske vanshaj ne is murti ko yaha par us khambe par Kristina ko uphaar dene ke liye rakha hai, uski us din ka faesla vanshon ke liye anant mahatva ka hai.

Mere liye is Kristina ki murti tum sab ki tarah hai. Kristina ki tarah, tum bhi bahot zaroori faesle ka saamna karti ho aur har din chunaao karti ho, unmein se kuch mushkil hai, jo ki sirf tumhare aanewaale kal ke liye hi nahi hoga magar aane waale vansh ka kismat bhi hoga. Tum bhi virodh, durbhaagye, hum umar ke doston ka prabhaao, aur naetik apavitrata ka saamna karte ho. Aur phir bhi tum dagmagaate nahi ho aur susamachaar mein jeete ho humare samaaj ki musibaton ko jhelte hue. Kristina ki tarah, tumhe bhi Pavitra Aatma maargdarshan deti hai. Tum sahi faesle banati ho. Tum wafadaar, aur raaj vanshi ho.

Main pyaare Swarg ke Pita ke zaroori salah mein se ziyada zaroori Uskeis chetaouni ko deti hoon ki “pavitra sthaanon … par khade raho aur dagmagaao nahi.” 1 Wah kehta hai ki: Atal raho. Achal raho. 2 “Sachchaai aur dhaarmikta ke liye khade raho.” 3 Gawaah bano. 4 Duniya ke liye star bano. Pavitra sthaanon par raho. Aur is tarah tum sab ke liye mera sadhaaran sa sandesh hai: Dagmagaao nahi.

Sahi chunne mein dagmagaao nahi. In antim dinon mein, yaha par koi chote faesle nahi hai. Jo chunaao tum abhi kar rahe ho weh adhik zaroori hai. Ajenci, ya chunne ki chamta, Parmeshwar ki ek mahaan uphaar hai Unke bachchon ke liye. Yah khushiyaali ki yojna ka bhaag hai jise tum aur main ne chune the aur bachaae the humare maransheel jeev se purva mein. Us tarah se apni jiwan ko bitaao ki Pavitra Aatma ko sun sako aur Wah tumhe sahi chunaao karne mein madad karega. Aysa hai ki, Wah tumhe batlayegi “ki tumhe kya karna chahiye.” 5

Kai safta pahale main apne puraane paathshaala gayi saalon mein pahali baar. Main ek stake sammelan mein bhaag le rahi thi jo paathshaala ke rangbhavan mein ho raha tha. Jab main apni spaathshala ke rangbhavan se niche aa rahi thi, mere mann mein kai yaadein taza ho gayi. Mainne usi tarah mahesoos kiya jases maine jawaan mahila hone par kiya tha—asurakhshit, apne se anjaan, aatma-satarkh, aur aage, us mein jaane ke liye abhilaasha thi. Main rangbhavan mein gayi. Phir mere mann mein yaadein ubhar aayi. Main us rangbhavan ko badi achchi tarah se jaanti thi. Sirf ek cheez ne—mujhe badal diya tha.

Us din mujhe aosar praapt hui ki main us manch par khadi ho saki usi tarah jaese main paathshala mein kai baar ek vidhyaarthi afsar ki tarah khadi hui thi. Maine apne kuch puraane saathiyon ko sabha mein bhi dekha tha—kuch ko maine date kiye the! Magar is samay, sabha ko sanchaalan karne ke bina, mujhe mauka praapt hui ki main— apne paathshaala ke rangbhavan mein— “saakshi ke rup mein khada hona chahti thi” 6 aur humare Uddhaarkarta, Ishu Masih ke gawahi ko bayaan karna chahati thi.

Jawaan mahilaon, yeh yaad rakho ki tumhare dosron ke saath rishtedaari aesi ho ki tum abhi se 40 saalon baad, sharminda nahi hoge. Kisi tarah ka hum-umra dosto ka dabaao, koi swikaarna, koi bhi prasidhta, samjhota ke laayak nahi hai. Tumhara prabhaao jawaan purush ko madad karenge unhein purohiti ke shakti ke yogye rehne mein, mandir ke vaadon aur parchaarakh ki sewa ke laayak rahane mein. Aur kaun jaata hai? Chaalis salon baad, unmein se koi tumhare paas chal kar aa bhi sakta hai, yaha tumhare paathshaala ke rangbhavan mein, aur tumhe dhanyewaad dega use khud ke purohiti ke kaarye se laayak mission ki sewa ko pura karne ke laayak rahane mein madad karne ke liye. Aur kaun jaanta hai? Tum shaayad un se patra haasil karo jo unmein se kisi ki patni se, tumhe dhanyewaad de apne pati aur apne aanewaale parivaar par prabhao ke liye tumhare paathshala ke dinon se lekar. Tumhare chunaao zaroori hai. Tumhare abhi ke chunaao sirf tum par nahi prabhaao kartey hai, magar weh dosron par bhi prabhaao kartein hai. Unke anant mahatva hai. Dagmagaao nahi!

Apne ichcha aur vachan par suddh aur yaon sambandh mein saaf rahane se dagmagaana nahi. Shudh raho. Tumhari vyaktigat safaai tumhare shakti ka mahaan zariya hai. Jab tum dharti par aaye tumhe anmol sharir ka uphaar mila. Tumhara sharir tumhare mann ka sanchaalan karta hai aur ek divye uphaar jisse tum apni ajensi ko amal mein laa saktey ho. Yah ek uphaar hai jo Shaetaan ko nahi praapt hua, aur is prakaar wah apne saare aakraman ko tumhare shaarir par karta hai. Wah chahata hai ki tum apne sharir ko nafrat, durupyog, durvayvahaar karo. Ashleel kapde, ashleel chitra, anaetikta, godna godana aur kai ched chedana, nashile pradaarth ka duropyog, aur sabhi tarah ke latein Mahaan uphaar par kabza karne waale hai aur tumhe tumhare shaakha ko istamaal nahi karne dene waale. Paul ne pucha, “Kya tum nahi jaantey ki tum Parmeshwar kemandir ho, aur Parmeshwar ki Aatma tum mein niwaas karti hai?” 7

Tumhara sharir ek mandir hai. Kyun? Kyunki uske paas sirf tumhe anant aatma ko rakhne ki shakti nahi balki un dosron ki jo is dharti par tumhare anant parivaar ki tarah ayege ka bhi. Elder Dallin H.Oaks ne sikhlaya ki, maranshil jiwan ko banane ki shakti [ek] anant jiwan ki shakti hai.”8 Tumhara bhumika ek anant bhumika hai. Parmeshwar ne tumhe pavitra bharosa diya hai! Tum aanewaale peediyon ki maa banne ki taeyaari kar rahi ho. Apne aap ko saaf aur laayak rakho taaki jo “sabse priye aur anmol hai” —tumhare sudgun aur shudhta ko surakshit rakh sako.9 Swarg ke Pita ka achcha salaah sirf tumhare liye hai ki, Uske chuni hui putriyon, ko “sadgun ke raaste par… chalna hoga.”10

Sadgun mandir ke liye sabse zaroori cheez hai. Pavitra vaadon ko banane aur nibhane mein mat dagmagaao par laayak bane raho. Jo vaada tumne baptisma par liya hai sadgun aur khushiyon ke maarg par tumhe surakhchit rakhega jab tum use har safta prabhubhoj lekar us vaade ko dohraaoge. Jab tum apne baptisma ke vaadon ko nibhaate ho, tum alag dikhoge, alag kapde pahanoge, aur duniya se alag tarah ke kaarye karoge. Is vaade ko nibhaane se Pavitra Aatma tumhe maargdarshan dega. Pavitra sthanon par khade raho aur un sthaanon ya geet, madhyam, ya sangatonon mein mat jaao jaha tum Pavitra Aatma ke saath ko na pa sako. 11 Aur jab tum apne vaadon ko nibhaaoge, tum laayak banne rahoge aur taeyaar rahoge Prabhu ke pavitra mandir mein jaane ke liye.

Ant mein, Uddhaarkarta ke Praeschit ko swikaarne mein dagmagaao nahin. Praeschit tumhare aur mere liye hai. Yah ek laayak banane aur mukti dilaane waali shakti hai. Agar tum pavitra sthaan par khade rahane ke laayak nahi mahesoos kartey ho, is paap ke bojh ko ek din aur nahi uthaao. Maranshilta mein, hum sab galtiyaan ko karenge. Yah jaano ki Uddhaarkarta tumse itna pyaar karta hai ki Usne tumhe badalne ka mauka diya hai aur pashchataap karne ka agar koi galti ho jaaye Shaetaan yah nahi chahata ki tum badalne ki socho. 12 Wah tumhe prabhaawit karega ki kuch bhi aasha nahi hai. Yah ek jhoot hai. Tum waapis ja saktey ho. Tum pashchataap kar sakte ho. Tum saaf aur pavitra ho saktey ho kyunki Uddhaarkarta ke kabhi na khatam honewaali Praeshchit ki hai.

Ab main ek mahaan prem kahani jo kabhi batlai gai thi ko batla kar khatam karungi. Tum shaayad puchoge, “Prem ki kahani ka pavitra sthaan par khade rehne se kya matlab hai?” Sab kuch pavitra sthaan par khade rehne se hai. Yah kahani us jawaan mahila ka hai jis ka naam Rebekah tha.13

Jab yah kahani batlaai jaati hai, Abraham apne sewakon ko apne putra Isaac ki laayak patni ko dhoondhne ke liye aagya deta hai. Wah shaadi ke vaade ke laayak hona chahiye—shuddh aur saaf aur laayak. Aur wah apne sewak ko lambe aur khatarnaak safar ko bhejta hai Haran naamak sthaan par. Yah kaaran jis ke liye use jaana tha saaf hai—pavitra purush ko pavitra mahila ki zaroorat hai uski sahayta dene aur madad ke liye. Jab sewak Nahor naam ke jagah mein pahuncha, wah ek kuwein par ruka apne unth ko paani pilane ke liye aur usne prarthna kiya ki wah sahi jawaan mahila tak pahunche aur wah uske liye aur uske 10 unthon ko paani dene se use pehchaan sakey. Ab,Main unth par baeth chuka hoon, aur yah main jaanta hoon ki—unth bahot ziyaadapaani pitein hai!

Genesis mein hum padhte hai ki Rebekah ne sirf kuwein mein ja kar paani nahi nikala tha, balki wah “furtili thi” 14 ya is kaarye ko karne ke liye, daudi. Phir sewak ne Rebekah ko chudiyaan aur gahana diya aur pucha ki kya uske pita ke ghar mein koi kamra hai uske rehne ke liye. Main jaanta hoon ki gehne se madad milega! Dharamsiddhaant mein batlaya gaya hai ki, “Aur wah daudi aur apne maa ke ghar par ja kar sab kuch batlaya.”15 Rebekah ek daudnewaali rahi hogi!

Sewak ne Rebekah ke parivaar ko uske aane ka kaaran batlaya aur Rebekah Isaac ki patni banne ko taeyaar hui. Sewak ne dosre din hi Rebekah ke saath jaane ko socha, magar uske parivaar ne use unke saath 10 dinon tak rehne ko kaha. Phir unhone Rebekah se pucha ki wah kya karna chahati thi, aur sadhaaran se uska jawaab tha ki “Main jaungi.”16 Kya yah jawaab sunna hua laga hazaaron ki tarah jinhonne turant hi jawaab diya tha, “Mai jaaunga; Main karunga” 17 jab humare bhavishyevakta, Thomas S. Monson ne batlaya tha, ki jawaan purush aur jawam mahilaaon ko mission sewa karne ka aosar aur kam umar mein milega?

Ab is prem kahani ka niti aur ant: Rebekah taeyaar aur laayak thi is pavitra vaade ko banane aur nibhaane ke liye aur Isaac ki vaade ki patni banne ke liye. Use intazaar karke apne aap ko taeyaar nahi karna pada tha. Apne parivaar se bichadte samay, use aashirwaad mila, aur woh shabdein mere liye naazuk hai, use vaada diya gaya tha ki wah “hazaaron milliyanon ki maa banegi.”18 Magar is prem kahani ka sab se achcha bhaag hai jab Rebekah ne pehli baar Isaac ko dekha tha aur usne use pehli baar. Yah Bible mein nahi batlaya gaya hai, magar mujhe lagta hai ki yah pehli nazar ka pyaar tha! Isliye “kyunki sadgun ko sadgun se prem hai; [aur] roshni roshni ko dhoondhti hai."19 Jab Isaac baahar dal ko milne gaya, Rebekah “[apne] unth se utar gayi”20 Aur phir usne kaha, “Aur usne usse pyaar kiya.”19Yah woh sthaan hai jaha main gehri saans leti hoon!

Dono Rebekah aur Kristina ke liye, pavitra sthaanon par khada rehna asaan nahi tha. Dagmagane se rukna asaan nahi tha. Hawa tezi se chalne lagi, kuwe ka paani wazandar tha, aur unke pehle ke gharon aur pehle ke jiwan ko chodna asaan nahi tha. Magar unhonne sahi chunaao ko banaya tha. Unhe Pavitra Aatma se maargdarshan praapt hui thi. Weh sadguni the, aur unhonne apne aap ko pavitra vaadon ko banane aur nibhaane ke liye taeyaar kiya tha. Uddhaarkarta Rebekah ka ek vansh hai. Kya Rebekah us samay yah jaanti thi ki yah hoga? Nahi! Kya ab tumhare chunaao maaine rakhtey hai? Ha!

Jawaan mahilaaen, yah tumhara aosar hai. Tumhare saamne kismet hai. Peediyaan tumhare pavitrata, tumhare aagyaakarita, tumhare yogye jiwan par nirbhar hai. Dagmagaao nahi. Tumhare paas mahaan kismet hai tumse pahale. Yah tumhara samay hai! Main sach mein vishwaas karti hoon ki ek shuddh jawaan mahila, Aatma ke batlaae raah par chalke, duniya badal sakti hai!

Main gawahi deta hoon ki Uddharkarta jiwit hai! Wah tumhare saath hoga. Wah tumhe madad karega.Aur musibaton ke samay, Uske “devdut tumhare ird-gird [rahenge], tumhe madad karne ke liye.”22 Ishu Masih ke naam se, amen.

Sandharb Dikhlaae

    Vivran

  1.  

    1. Doctrine and Covenants 87:8.

  2.  

    2. Dekhiye Mosiah 5:15.

  3.  

    3. Young Women motto, Young Women Personal Progress (booklet, 2009), 2 mein.

  4.  

    4. Dekhiye Mosiah 18:9.

  5.  

    5. 2 Nephi 32:5.

  6.  

    6. Dekhiye Mosiah 18:9.

  7.  

    7. 1 Corinthians 3:16.

  8.  

    8. Dallin H. Oaks, “The Great Plan of Happiness,” Ensign, Nov. 1993, 74.

  9.  

    9. Moroni 9:9.

  10.  

    10. Doctrine and Covenants 25:2.

  11.  

    11. Dekhiye 1 Corinthians 6:9; 1 Thessalonians 5:22; 2 Timothy 2:22; Doctrine and Covenants 9:13.

  12.  

    12. Dekhiye For the Strength of Youth (booklet, 2011), 28–29.

  13.  

    13. Dekhiye Genesis 24.

  14.  

    14. Genesis 24:20.

  15.  

    15. Genesis 24:28.

  16.  

    16. Genesis 24:58.

  17.  

    17. Dekhiye 1 Nephi 3:7.

  18.  

    18. Genesis 24:60.

  19.  

    19. Doctrine and Covenants 88:40.

  20.  

    20. Genesis 24:64.

  21.  

    21. Genesis 24:67.

  22.  

    22. Doctrine and Covenants 84:88.