Bada Din ke Sandesh
Uske Baad Kya Hua?


Uske Baad Kya Hua?

Bada Din Shubh Ho!

Yah Bada Din ka samay hai, aur bachchein hamare dilon mein Bade Din ka jaadu ko badha dete hai. Hum kuch bhool sakte hai agar hum Bada Din ko lagaatar se bachche ki aankho se nahi dekhte, kyunki bachchein prakash ko dekhtein hai, weh sangeet ko suntein, aur weh Bade Din ke pedh ke sugandh ko letein hai aur mithaaiyo ki bhi pratiksha karte hai. Hum unke laal gaalon ko aur chote naakon ko dukaan ke shishon par chipke hue dekhtein hai jab weh Bade Din ki subha ki kalpana karte hai, aur unke chote ungliyaan Decembar 25 tak geente hai. Maata-pitaaen bhi December 25 tak geente hai. Weh Bade Din ke subha ki taeyaari ka sapna dekhtein hai jaha weh apne bachchon ke liye ashcharye paeda karne ki yojna banate hai.

Jab main bachchi thi, meri maa hum donon judwa bahanon ke liye Bada Din ke aschariye ke liye silaai karti. Wah apne kamre mein silaai waali machine ko rakhti aur ek mahine pehle hi yah kaarye shuruwaat kar deti, saaodhaani se darwaaze ko bandh rakhti jab wah silaai karti. Jab Bada Din nazdeek aata wah raat der tak siti. Jab wah silaai lagh-bhag khatam kar leti—sirf humein naapne ko bachta aur lambaai ko naapna hota —wah apne ashchriye ko bachaye rakhne ke liye ek upaaye nikaalti. Yahi par aankh baandhna hota. Wah ek ke baad ek ke aankhon ko baandhti, hamein apne kamre mein le jaati, aur us kapde ko hamare sir se pehnati, hamesha yaad rakhti ki aankhein bandhi ho. Yah kaarye achchi tarah se hota raha… jabtak ki dusre kamre mein phone na bajta.

Uske jaane waale shabd hote, “Main turant hi aati hoon, aur tum aakhein mat kholna.” Tum puchoge ki, “Uske baad kya hua?”

Main tumhe batlaati hoon ki: wah ek laal komal kapde ka sila jampar tha.

Aao main batlaaun kaise yeh sawaal, “Uske baad kya hua?” ka sahi Bada Din ka matlab kya hai.

Yah ek December ke din mein hua jab Amy Johnson, ek Cub Scout den neta Gilbert, Arizona ki, ne ek sangathan ke shaktishaali aath-saal-umar ke ladkon ko Ishu ke jaman ko sikhlaane ka mauka liya. Usne Scout gatividhi ko jo tay kiya gaya tha ko badalne ko socha aur apne Cub Scouts ke saath pratham Bada Din par baatein kiya. Usne ladkon ko apne parivaar ke kamre mein farsh par apne ird-gird kiya aur dharamshaastra se kai bhaagon ko padha chitron ki madad se Mary aur Joseph, charwaha, taaron, aur Bethlehem ke astabal mein shishu Ishu ke paedaaish ki pavitra kahani ko batlaya.

Usne padha:

“Aur Joseph bhi Galilee ke Nazareth nagar se Judea mein David ke nagar Bethlehem ko gaya; …

“Ki apni mangetar Mary ke saath jo garbhwati thi naam likhwaae. …

“Aur wah apna pahilauta putra jani, aur use kapde mein lapet kar charni mein rakha; kyunki unke liye saraaye mein jagah na thi.

“Aur us desh mein kitne gadadriye the, jo raat ko mayedaan mein raha kar apne jhundh ka pahara dete the.

“Aur Prabhu ka ek dut unke paas aa khada hua, aur Prabhu ka tej unke chaaron or chamka, aur weh bahut dar gaye.

“Tab swargdut ne unse kaha, “mat daro; kyunki dekho, main tumhe bade anand ka susamachaar sunata hoon jo sab logon ke liye hoga.

“Ki aaj David ke nagar mein tumhare liye ek Udhaarkarta janma hai, aur yahi Masih Prabhu hai.” 1

Jab wah Ishu Masih ke janam par baatein kar rahi thi, usne dekha ki sabhi ladkein kuch samay tak sun rahe the, magar ek ladka, John, badi hi man laga kar sunn raha tha. John ek gunda ladka tha jo kabhi shaant nahi baetha karta tha, magar jab wah kahani batla rahi thi, usne dilchaspi se suna aur phir pucha, “Achcha, uske baad kya hua?”

To usne ladke ko Ishu ke ladke hone ke samay ke baare mein batlati rahi. Usne kaha, “Ishu ek ladka tha, tumhari tarah. Wah daudna aur khelna pasand karta tha. Magar samajh se paripurn hota gaya.’” 2 Usne unhe batlaya ki Ishu jab sirf 12 saal ka tha, wah apne parivaar ke saath Jerusalem chala gaya. Mary aur Joseph waapis ghar ja rahe the jab unhonne dekha ki unke putra unke saath nahi tha. Weh turant hi Jerusalem laut gaye aur Ishu ko mandir mein pandith aur shikshaon se batein kartey hue paaya jo Usse apne sawaalon ko puch rahe the, aur dharamshaastra batlati hai ki jitne uski sunn rahe the, weh sab uski samajh aur uske uttaron se chakit the.” 3

“Achcha, uske baad kya hua?” John ne pucha. Amy ne Ishu Masih ke dekhrekh ke baare mein batlaya, wah kis tarah Prabhu ke Aatma se bhara hua tha. Humne dharamshaastra mein padha ki Usne gareeb ko susamachaar sikhlaya, Usne chamatkaar kiya, Usne andhon aur bimaaron ko theek kiya, aur Usne mare hue ko bhi zinda kiya. Usne sikhlaya, “apne shatruwon se prem rakho, jo tumse baer karein unka bhala karo.” 4

John us ko sunn kar prabhaawit hua aur zyaada jaanna chahata tha. Dobara usne kaha, “Achcha, uske baad kya hua?” Usne ladkon ko batlaya ki kuch logon ne Ishu ko swikaar nahi kiya tha aur use pasand nahi karte the. Weh Usko khatam karna chahate the. Unhone Usko maarne ke liye yojna banaya. Usne chote Cub Scouts ko unke Aakhri Bhojan ke vishye mein batlaya, Gethsemane ke khet, aur kis tarah Ishu ko suli par chadhaya gaya aur phir punaharjiwit hua. Wah batla sakti thi ki yah sab kahani John ke liye naya tha, jo aur zyaada sikhne ke liye utsuk tha.

Use laga use rukna chahiye, usne har ek bachche ko uske naam se pukara, aur kaha, “ Ishu Masih tumhare liye mara hai.” John gambheerta se sunn raha tha jab wah har ek bachche se vyaktigat rup se baatein kar rahi thi. Phir usne usko dekha aur kaha, “John, Ishu Masih tumhare liye mare hai.” Usne phir uski or dekha aur ashchariye se kaha, “Usne yeh mere liye kiya?”

Amy ne kaha, “Aatma hamare parivaar ke kamre mein us din bahut tha ki ek jawaan ladke ne shaayad pehli baar Pavitra Aatma ke prerna ko mehsoos kiya tha.” Usne kaha, “Mujhe pata nahi hai ki John ke bhavishye mein kya hai, jiske parivaar dur chale gaye hai. Magar main prarthna karti hoon ki jo beej Cub Scout den sabha mein Bada Din se do safta pehle boya gaya tha badhega aur usko susamachaar ki jyoti puri tarah se kisi din praapt hogi.”

Jab yah samay beet jaaega, Bada Din ki jyoti nikaal di jaati hai, ‘pine’ ki sugandh hawa mein udh jaati hai, aur Bada Din ke geet radio par nahi bajaye jaatey, hum, John ki tarah, puch saktein hai, “Uske baad kya hua?”

Bada Din ka ashchariye aur aadar abh shuru ho rahi hai. Bada Din humein yah yaad dilata hai ki Bethlehem mein paeda hue bachche ne hume jine ka maksad diya hai, aur jo uske baad humare saath hoga wah us par nirbhar karta hai ki hum kis tarah humare Uddhaarkarta, Ishu Masih, ko swikaar karte aur Uske piche chaltein hai. Har din hum Uske Aatma ko apne jiwan mein amantrit karte hai. Hum dusron mein jyoti ko dekhtein hai; hum bachchon ke awaaz ko sunntein hai jo hume asha aur pratiksha deta hai humare anewaale jiwan ke liye. Hum aosaron ko dhoondhte hai dusron ke saath hone ke liye, dusron ko shaamil karne ke liye, sewa ke liye, aatma ko uksane ke liye, jabki hum sahi mein humare Uddharkarta, Ishu Masih ke baare mein sikhtein hai. Hum apne aap ko dinon ki geenti karte paatein hai jabtak humare jiwan ke kaarye mein Uske prabhaao ko aur zyaada nahi mehsoos kar letein hai- uddhaaran ke taur par, shishu ke janam par, ek bachche ke baptisma par, ek pracharak ke jaane par, ek shaadi jo mandir mein hoti hai, aur har safta prabhubhoj ko lene se. Masih aur bachche ki vishwaas ki tarah hum Usko dhoondhtein hai aur hum Uske prabhaao ko mehsoos kartein hai.

“Jab tak … baalakon ke samaan na bano, tum swarg ke raajye mein parwesh karne nahi paaoge.” 5

Yah ek bahut hi sundar yojna hai, yah yojna humare Pita ne banaya hai Apne Putra, humare Uddharkarta Ishu Masih ke yojna ke dwara, hum waapis ja kar Uske saath raha saktein hai aur sabhi khushiyaan jo Pita ke paas hai mein shaamil ho saktein hai, ki yah hi is sawaal ka sahi jawaab hai “Uske baad kya hua?” Uddhaakarta ne kaha, “Jise main swikaar karta hoon wah mere Pita ko bhi swikaar hota hai; Aur jise mere Pita swikaar kartein hai Pita ke raajye ko praapt kartein hai; isliye jo kuch bhi mere Pita ke paas hai wah unhe praapt hoga.” 6

Use praapt karne ko taeyaar rehna Decembar 25 ke liye sabhi naye matlab mein taeyaar rehna hai.

John, jaha kahi bhi tum ho, jiwit Devduton ne kaha hai: “Hum hardikta purwak gawahi detein hai ki [hamare Uddharkarta ke ] jiwan, jo sabhi insaan ke itihaas ka mukhye hai, naa to Bethlehem mein shuru hua ya Calvary par samaapt hua tha. Wah Pita ka Pehla-paeda hua, Ek Lauta Putra jo shareer paaya tha, duniya ka Muktidata tha.” 7

John, Uska uphaar hamare liye hai uske baad me kya hoga.

Yah sahi hai, aur Usne tumhare liye kiya hai. Us vishaal sachchaai ki main gawahi deta hoon Uske naam se, jo ki Ishu Masih hai, amen.