2010-2019
Prachaar kaarye ke Lahar ko Pakadna
April 2013


Prachaar kaarye ke Lahar ko Pakadna

Main Parmeshwar aur Uske Putra, Ishu Masih ko dhanyewaad deta hoon, Punahsthaapna aur uski shakti ke liye jo duniya bhar mein sachchaai aur dhaarmikta ko tezi se badha rahi hai.

Pyaare bhaaiyon aur bahanon, Maine Pradhaan Thomas S. Monson aur dusron ke saath prashansa kiya jinhone bhavishyevakta ke laayak prachaarakon ko aur zyaada maatra mein hone ke prastaao ka jawaab diya tha. Ab ek anmol lahar utsukta ka prachaar kaarye ke liye duniya bhar mein fael rahi hai. Pichle October ko Pradhaan Monson ki itihaasic prakashan se, hazaaron elders, bahane, aur shaadi-shuda (jo buzurg prachaarakon ki tarah sewa karte hai) niyukt hue hai, aur kai aur tayyaari kar rahe hai. 1 Ab log humse (Maha Adhikaariyon) is tarah ke sawaal puch rahe hai ki “Tum in saare prachaarakon ke saath kya karenge?” Jawaab saral hai. Woh karenge jo prachaarakon ne hamesha kiya hai. Weh susamachaar ka prachaar karenge! Weh Sarvashaktimaan Parmeshwar ke bachchon ko ashirwaad denge!

Tum mein se zyaada jawaan purush aur mahilaen is lahar ko pakdenge jab tum mission ke niyukti ke laayak rehne ki koshish karoge. Tum is ko sachchaai aur dhaarmikta ke lahar ki tarah dekhoge. Tum apne aosar ko puri tarah se sachchaai aur dhaarmikta mein shaamil hokar faelate hue dekhoge.

Tum yuvajan, apne naye adhyan suchi ko puri tarah se grahan karna aur ek dusre ko Ishu Masih ke siddhaanton ko sikhlaao. Ab tumhare liye samay hai tayyaar hokar Parmeshwar ki achchaai ke baare mein dusron ko sikhlaane ke liye.

Jawaan purush aur mahilaen, tumhare shiksha hamesha zaroori hai—hamare liye, tumhare liye, aur Parmeshwar ke liye. Jab yah ho sakta hai, agar tum apne mission ke baad college ya university jaana chaho, hum tumhe prerit karte hai ki mission par jaane se pehle arzi kijiye apne institution ko jo tumhare pasand ka hai. Kai institutions aage ki padhaai (colleges aur universities) ke liye 18 se 30 mahinon ki der ko izzaat deti hai (us skool par chaatra ke niyukti ke baad) ek sambhaavi prachaarak ko skool ki shuruwaat karne se pehle. Yah tum elders aur bahanon ko nischit karega sewa ko chinta bina karne mein ki kaha apna aage ki padhaai ko karoge. Hum padhaai waale sansthaaon ke netaaon ke liye bahut abhaari hai jo is tarah ke kaarye ko sambhav karte hai!

Tum maata-pitaon, shishakon, aur anye log, lahar ko pakdo jab tum ubharti hui peediyon ko yogye banao prachaar sewa ke liye. Tab tak, tumhare jiwan ka uddharan tumhare doston aur padosiyon ke chaahat ko is ki or karega. Tayyaar raho unko jawaab dene ke liye jo tumse puche ki tum kyun jiwit ho. Tayyaar raho asha aur khushi ke kaaran ke liye jo woh tumpar dekhte hai. 2 Jab aese sandeh aaye, tum shaayad yah kehte hue jawaab doge, “Prachaarakon se Puchein! Weh Tumhari Madad Karenge!” Aur agar tumhari ichcha ho, tumhare saath honge jab prachaarakein tumhare sawaal ke jawaab denge aur tumhe padhaaenge.

Tum baaligon, lahar ko pakdo dhaarmik, shaaririk, aur aane waale prachaarakon ke aarthik tayyaari ki madad se. Yah tumhare liye sadhaaran hota hai paese ko bachaana (mission par jaane) ke liye. Tum shaadi-shuda dampatiyon jo buzurg ho, tum us din ka yojna banao jab tum apne mission par ja sakoge. Hum tumhare sewa ke liye bahut abhaari rahenge. Us samay tak, shaayad tum mein se kuch apne paese ko prachaar kaarye ko madad karne mein laga sakte ho General Missionary Fund mein de kar, jaese Pradhaan Monson ne aaj subha batlaya hai.3

Chune hue badhte sankhya ke purush aur unki pyari patniyon lahar ko pakdo jab tumhe Girjaghar ke missions par jaane ka aosar mile. Us sewa mein weh prabhaao dalenge peediyon ke logon ko jo abhi jeetein hai aur jo log aanewaale jiwan mein jeeyenge. Mission adhyakshtaein kalyaan ke zimmedaariyon ke chaabiyon ko rakhenge, suraksha, aur apne parchaarakon ke safalta ke liye. Is mission ke stake aur jila ke adhyakshtaon se salaah ke baad, har mission ke adhyakshta prachaarakon ki niyukti karte hai khaas stakes, wards, aur shaakhon mein sewa karne ke liye.

Stake adhyakshta aur bishops lahar ko pakadte hai jab weh aur zyaada samay ko bitakar anewaale prachaarakon se baate karte hai. Yeh purohiti ke netaen zimmedariyon ke chaabiyon ko rakhte hai apne dalon ke prachaarakon ke kaarye ke liye aur weh sadasyon ko prerit karte hai shaamil hone ke liye.

Bhaaiyon aur bahanon har ek ward parishad lahar ko pakdne ki shuruwaat kar rahein hai. Parishad mein ward mission neta hota hai.4 Main khaaskar tum har ek ward mission netaon se baatein karna chahata hoon. Tum apne bishop se apne ward mein prachaar kaarye ko aage badhaane ke liye niyukt hue ho. Aur tum mein se kuch itne safal ho ki tumhare paas madad karne ke liye madadgaar hai. Dusron ke saath ward parishad mein, tum kam-sakriye sadasyon ko jaan sakte ho, parivaar jiske kuch hi sadasye Girjaghar ke sadasye hai, aur padosiyon jo susamachar mein dilchaspi ko dikhlaate ho. Tum pure-samay ke prachaarakon se hamesha milte ho. Tum prachaarakon ko salaah dete aur madad karte ho. Kripya unke daily planners ko bharne mein unki madad karo unke shikshan dene ke mauko par gaur karke aur matlabi bana kar. Yah tumhari zimmedari hai. Tumhara bhumika bahut avashyak hai is kaarye ko safal karne mein. Agar tum vishwaas aur utsaah se is lahar ko pakadte ho, dusre bhi karenge. Tum, ward mission neta ki tarah, sadasyon aur prachaarakon ke beech ke saath jodhne waale kadi ho Prameshwar ke bachchon ko is pavitra kaarye se bachane mein. 5

Hamare chaan been karne waale doston aur padosiyon jo Girjaghar ke sadasye nahi hai woh bhi lahar ko pakad sakte hai. Hum unhein prerit karte hai ki jo sabhi kuch unke jiwan mein achcha aur sahi hai ko rakhein. Aur hum unhe amantrit karte hai ki aur zyaada swikaar kare, khaaskar woh mahaan sachchaai ko jo Parmeshwar ke anant yojna se, parivaar hamesha ke liye saath raha sakte hai. 6

Sacchaai aur dhaarmikta ka lahar ashchariye hai! Yah insaan ne nahin banaya hai! Yah Prabhu se aati hai, jisne kaha Wah Apne kaarye ko uske samay mein karega.”7 Yah lahar diviye suchna se prerit hota hai 193 saalon pehle bana hua. Yah Parmeshwar tha jo Apne Pyaare Putra ka parichay kara raha tha aur Joseph Smith ko batla raha tha ki Use suno!” 8 Sarvashaktimaan Parmeshwar ne kaha, us suchna ne jawaan Joseph Smith ko Prabhu Ishu Masih se parichay karaya. In shabdon ne Uske susamachaar ko Punaharsthapit batlaya. Kyo? Kyunki hamare jiwit Parmeshwar pyaar karne waale Parmeshwar hai! Wah chahata hai ki Uske bachchon Use aur Ishu Masih ko jaane, jinhe Usne bheja tha! 9 Aur Wah apne bachchon ko amaranshil aur anant jiwan ko dena chahata hai! 10

Is mahaan kaarye ke liye, hamare prachaaraken Punaharsthapna ko sikhlate hai. Weh jaante hai lagbhag 2,000 saloon pehle, Prabhu ne Apne Girjaghar ko banaya. Uske krus par chadhne ke aur Uske Devton ke maut ke baad, insaan ne Girjaghar aur siddhaant ko badal diya, Phir, dhaarmikta ke andhkaar ke peediyon ke baad, aur usi tarah pahale ke bhavishyevaktaon ne batlaya tha. 11 Swarg ke Pita aur Ishu Masih ne Girjaghar, uske siddhaanton, aur uske purohiti ke adhikaar ko punaharsthapit kiya. Punaharsthapna, gyaan aur mukti aur unnat ke khaas siddhaanton aur ke karan sabhi insaan ko dobara praapt hua hai. 12 Ant mein, wah annat humko swikaar karta hai ki hum apne parivaaron ke saath Parmeshwar aur Ishu Masih ke saath hamesha ke liye rahe sakte hai!

Main Punaharsthapna par bina koi khushi se nahi baat kar sakta hoon. Is itihaas ki sachchaai bahut hi asadhaaran hai! Yah ashchariye hai! Yah asaadhaaran hai! Yah kitna ashchariye hai ki swarg ke dut is kaarye ko adhikaar aur shakti dene aaye?

Hamare Anant Pita aur Ishu Masih Bhavishyevekta Joseph Smith ke pass kai baar aaye. 13 Unke maargdarshan par, dusre dut bhi aaye, har ek khaas maksad se aaya. Uddhaaran par:

  • Devdut Moroni ne Mormon ki Dharamshaastra ko dikhlaya. 14

  • John the Baptist ne Aaronic Purohiti ko punaharsthapit kiya. 15

  • Peter, James, aur John ne Melchizedek Purohiti ko punaharsthapit kiya. 16

  • Moses ne Israel ko saath ikattha karne ke chaabiyon ko diya. 17

  • Elias ne Abraham ke gyaan ke chaabiyon ko pradaan kiya.18

  • Elijah bandhane ke adhikaar ke chabiyon ko punaharsthapit kiya. 19

Aage, Punaharsthapna ne gyaan ko joda jo Santon ke paas pehle se tha. Prabhu ne naye dharamshaastra ko pradaan kiya. Holy Bible ke saath Mormon ki Dharamshaastra ko joda: Ishu Masih ki dusri Gawahi. Yah bhavishyevaani aur America ke purane logon ke liye punaharjiwit Prabhu ki dekhrekh hai. Yah Parmeshwar ki mahaan yojna ki khushi ko batlaata hai20 –mukti ki yojna. 21 Mormon ki Dharamshaastra Bile se saath puri tarah se raazi hai. Donon pavitra lekha Ishu Masih ki susmachaar aur Uske praeschit ke zaroorat ki sachchaai ko batlata hai. 22

Punaharsthapna kai biblical bhavishyevaani ko pura karte hai. Uddhaaran mein, Isaiah ne bhavishvaani kiya ki Prabhu ka bhavan ka nirmaan uncha pahaadon par kiya jayega. 23 Mormon purwajon ko pakchim America ke pahaadon par jaane se balidaan ka ek mahatva kaarye hai aur vishwaas jismein bhavishvaani puri hui thi. Isaiah ne yah bhi batlaya tha ki Parmeshwar “aashcharye janak aur achambhe ka kaam” karega. 24 Jo abhi puri ho rahi hai hamare prachaarakon ke badhati hui dal se.

Purana Niyam ke shikshan daswa hisse ko lekar punaharsthapit ho chukka hai. 25 Parinaam mein, zyaada daswa hisse ko bharne waalon ko ashirwaad milta hai kyunki weh aagyakaari hai. Melchizedek sthaanon ko Punaharsthpit ke siddhanton mein samjhaya gaya hai. 26 Bhavishyevaani jo Joseph ki lakdi (Mormon ki Dharamshaastra) aur Judah ki lakdi (Bible) Parmeshwar ke haath mein ek samaan ho ab puri ho chuki hai. 27

Punaharsthapit Naye Niyam ke siddhaanton ko bhi samjhatein hai. Yah mare huoin logon ke baptisma ko achchi tarah se batlata hai. 28 Hamare mare purwajon ke siddhaanton ko duniya bhar ke 141mandiron mein achchi tarah se kiya jata hai! Yaha par aur koi dosra raasta nahi hai humare purwajon ke uddhaar ke liye jo susamachaar ke gyaan ke bina hi mar chuke hai! 29 John jo drishti ko prakat karne waala hai “dusri devdut [udhati hui] swarg ke beech ka, anth tak ka susamachaar unko dete hai jo dharti par rahate hai,” devdut Moroni aur Mormon ki Dharamshaastra ke mission ko batlaya. 30

Mormon ki Dharamshaastra Punaharsthapna ka mukhye bhaag hai. Yah likha hua, bachaya, aur sanchaarit hua Prabhu ki maargdarshan se. Yah anuwaad Parmeshwar ki “shakti aur uphaar se hua tha.” 31 Doctrine aur Covenants ke dharamshaastra mein kai aur prakat hone ki kriya hai jo Bhavishyevakta Joseph Smith ko mila tha. Uske dwara hume siddhaanton ke aur panne milen jo hume kisi aur bhi bhavishyevakta se mila tha. Kis samay mein yah hua hoga ki usne socha hoga usne IIinios, Nauvoo mein Santon se kaha, “Maine kabhi tumhe yah nahi batlaya ki main sahi hoon; magar yaha par koi bhi galti nahi hai prakat hone ki kriya mein jo maine sikhlaya hai.” 32

Saath mein, sadasyen aur prachaarakhen sabhi logon ko amantrith karte hai Parmeshwar, Ishu Masih, aur Uske susamachaar ke baare mein sikhein. Har ek ko gambheerata se jaankari ko vyaktigat rup se dhoondhana chahiye aur vaada ke liye hamesha prarthna karna chahiye ki yeh cheezen sahi hai. Sachchaai Pavitra Aatma ki shakti dwara pura hoga. 33

Main Parmeshwar aur Uske Putra, Ishu Masih ko dhanyewaad deta hoon, Punaharsthaapna aur uski shakti ke liye jo duniya bhar mein sachchaai aur dhaarmikta ko tezi se badha rahi hai. Hum lahar ko pakde aur Prabhu ke agyaa ko pura karen susamachaar ko le jane mein “vishwa ke sabhi raashtra, jaati, vibhin bhaasha bholne waale, aur logon tak,”34 Main Ishu Masih ke naam se prarthna karta hoon, amen.