2010-2019
Girjaghar Auditing Vibhaag Suchna, 2012
April 2013


Girjaghar Auditing Vibhaag Suchna, 2012

Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke Pratham Adhyakshta ke liye

Priye Bhaaiyon: Doctrine aur Covenants ke bhaag 120 mein praktikaran dwara nirdhaarit kiya gaya hai, Daswa Hissa ke Batwara ka Parishad Girjaghar ke dhan ke kharch ka adhikaar deta hai. Yeh parishad mein shaamil hai Pahale Adhyakshta, Sattar ka Parishad, aur Bishopric ki Adhyakshta.

Yeh parishad girjaghar vibhaagon aur prachaalanon ki anumati deta hai. Girjaghar vibhaag dhan ka kharch swikiriti di hui bajaten aur Girjaghar nitiyon aur kaaryevidhiyon ke anusaar hota hai.

Girjaghar Auditing Vibhaag ko anumati di gai uske paas sabhi abhilekh aur pranaaliyon tak ki pahunch hai jo avashyak hai taaki dhan praapti, kharch, aur Girjaghar ki sampattiyon ki suraksha ke niyantaran ko paryaapt rup se mulyaankan kiya jae. Girjaghar Auditing Vibhaag anye Girjaghar vibhaagon aur kaarwahi se swatantra hai aur karamchaariyon mein sammlit hai certified public accountants, certified internal auditors, certified information systems auditors, aur anye sifaarish praapt peshevar.

Jo audit hua uspar adhaarit, Girjaghar Auditing Vibhaag ka yeh vichaar hai ki 2012 varsh ke sabhi saamanon, yogdaan jo praapt hue, jo kharch hue, aur Girjaghar ki sampattiyon ko abhilikhit kiya gaya hai aur unki dekhbhaal uchit abhyaas, swikriti praapt bajat, aur Girjaghar nitiyon aur kaaryevidhiyon ke anusaar ki gai hai.

Shriddha purwak pesh kiya gaya,

Girjaghar Auditing Vibhaag

Robert W. Cantwell

Prabandh Nirdeshak