2010-2019
“Mere Paas Aao”
April 2013


“Mere Paas Aao”

Unke shabd aur Unke uddharan se, Masih ne dikhaya kaise hum Unke kareeb jaa sakte hai.

Main abhaari hoon aapke saath Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke is sammelan mein hone ke liye. Yeh Unka Girjaghar hai. Hum Unka naam apne upar lete hai jab hum Unke raajye mein aate hai. Woh Parmeshwar hai, Banane waala, aur sampurn. Hum maranshil jeev hai mrityu aur paap se sambandhit. Unke prem ke kaaran hamare aur hamare parivaaron ke liye, Woh hamein amantrit karta hai Unke kareeb rehne ke liye. Yeh hai Unke shabd: “Mere kareeb aao aur main tumhare kareeb aaunga; mujhe achchi tarah dhoondho aur tum mujhe paaoge; maango, aur tumhe diya jaaega; khatkhataao, aur tumhare liye khola jaaega.”1

Is Easter ke daoraan hamein yaad dilaya gaya hai hum Unhe kyun prem karte hai aur woh vaada jo Woh Apne vishwaasi chelon se karta hai taaki woh Unke priye mitra ban jaaye. Uddhaarkarta ne yeh kiya aur hamein batlaya kaise, jab hum Unki sewa karte hai, Woh hamare paas aata hai. Ek uddharan hai ek praktikaran mein jo Oliver Cowdery ko mila jab woh Prabhu ki sewa kar rahe the Bhavishyevakta Joseph Smith ke saath Mormon Dharamshaastra ko anuwaad kar ke. “Prabhu ne Oliver ko bataya ki Usne usse baat ki hai Oliver ki ichchaaon ke kaaran. Oliver ko Prabhu ki salah ko apne dil mein sambhaal kar rakhna chahiye. Oliver ko vishwaasi aur parishrami rehna chahiye Parmeshwar ke aagyaaon ka paalan karne mein, aur tab Prabhu use apne prem ke baahon mein le lega.”2

Mainne Uddhaarkarta ke kareeb aane ka anand mehsoos kiya aur Woh jab mere kareeb aaya tha aksar apne saadharan aagyakarita ke kaaryon ke zariye.

Tumhe ayse anubhav huwe hai. Woh shaayad tab hua hoga jab tumne prabhubojh sabha mein bhaag lene ka chunao kiya tha. Mujhe aysa anubhav ek Sabbath ke din hua jab main bahut chota tha. Un dinon mein shaam ko prabhubhoj sabha hoti thi. Us ek din yaad 65 saalon se zyaada din pehle, jab mainne apne parivaar aur Santon ke saath ikattha hone ki aagya ko maana tha, ab bhi mujhe Uddhaarkarta ke kareeb le jaata hai.

Andar andhera aur thand tha. Mujhe yaad hai raushni aur halki garmi mehsoos karna chapel mein us shaam apne maata-pita ke saath. Humne prabhubhoj liya, Aaronic Purohiti ko rakhnewaalon dwara diya gaya, hamare Swarg ke Pita se vaada karte huwe ki hamesha Unke Putra ko yaad rakhenge aur Unki aagyaa ka paalan karenge.

Sabha ki samapti par humne yeh geet; “Abide with Me; ’Tis Eventide” gaya, jismein yeh shabd hai “He Uddhaarkarta, aaj raat mere saath tehro.”3

Mainne Uddhaarkarta ke prem aur kareebi ko mehsoos kiya us shaam. Aur mainne Pavitra Aatma ke sahanubhuti ko mehsoos kiya.

Mainne chaaha ki main ek baar phir apne yuva ke daoraan us ehsaas ko jagaaun jo mainne Uddhaarkarta ke baare mein mehsoos kiya tha us prabhubhoj sabha mein. Isliye abhi haal mein mainne ek aur aagya ka paalan kiya. Mainne dharamshaastra mein dhoondha. Padhne se, main jaanta tha ki ek baar phir Pavitra Aatma ko mehsoos kar sakta tha jaisa Prabhu ke do chelon ne mehsoos kiya jab Unhonne unke nimantran ko swikaar kiya unke ghar mein aane aur unke saath rehne ke baare mein.

Mainne teesre din ke baare mein padha Unke Krus par chadne aur dafnaane ke baad. Vishwaasi auratein aur anye log ne patthar ko paaya kabra se hatha hua aur dekha ki Uska shareer wahan nahin tha. Woh aaye the apna pyaar dikhane Unke liye Unke shareer ko abhishek karne ke liye.

Do farishte aa khade huwe aur pucha woh kyun dari hui hai, aur kaha:

“Tum jiwiton ko mare huwon mein kyun dhoondhti ho?

“Woh yahan nahin, parantu ji utha hai: yaad karo ki usne Galilee mein rehte huwe tum se kaha tha,

“Avashya hai, ki manushye ka Putra paapiyon ke haath mein pakadwaaya jaaye, aur krus par chadaya jaae, aur teesre din ji uthe.”4

Mark ke Pustak mein woh ek farishte ka maargdarshan kehta hai: “Parantu tum jaao, aur uske chelon aur Peter se kaho ki woh tum se pehle Galilee ko jaaega: jaisa usne tumse kaha tha, tum wahin use dekhoge.”5

Devdut aur chelein Jerusalem mein ikattha hue the. Jaisa humne kiya hoga, woh dare hue aur ashcharye mein the jab woh ek dusre se baat kar rahe the Uski mrityu aur punarjiwit hone ka matlab kya hai.

Do chelein us shaam ko Jerusalem se chale the Emmaus ke raaste par. Punaharjiwit Masih unhe raastey par dikhaai diya aur unke saath chala. Prabhu unke paas aaya tha.

Luke ka pustak hamein unke saath chalne ka mauka deta hai:

“Aur jab woh aapas mein baatcheet aur puchtaach kar rahe the, tab Ishu khud paas aakar, unke saath ho liya.

“Parantu unki aankhein aysi band kar di gayi thi ki use pehchaan na sake.

“Aur usne unse pucha, “Yeh kya baate hai, jo tum chalte chalte aapas mein karte ho, aur udaas ho?

“Aur yeh sunkar, unmein se Cleopas naamak ek vyakti ne kaha, “Kya tu Jerusalem mein akela pardesi ho, jo nahin jaanta ki in dinon mein usmein kya kya hua hai?”6

Unhonne apne dukh Use batlaya ki Ishu mar gaya hai jabki unhonne vishwaas kiya ki Woh Israel ke Muktidaata honge.

Punaharjiwit Prabhu ne daya se baatein ki hogi jab Usne un do dukhit aur shok manaane waale chelon se baat ki hogi:

“Tab Usne unse kaha, He nirbudhiyon, aur bhavishyevaktaaon ki sab baaton par vishwaas karne mein kam ichcha waalon:

“Kya aysa hona tha ki Masih yeh dukh utha kar, apni mahima mein prawesh kare?

“Aur tab usne Moses se aur sabhi bhavishyevaktaaon se aarambh karke saare dharamshaastra mein se apne vishay mein likhi baaton ka arth, unhe samjha diya.”7

Tab aaya woh chan jisse mera hirday khush hua jabse main chota ladka tha:

“Aur itne mein woh us gaaon ke paas pahunche, jahan woh jaa rahe the: aur uske dhang se aysa jaan pada ki woh aage badhna chahata hai.

“Parantu unhonne use yeh kehkar roka, Hamare saath reh: kyunki shaam ho chali hai, aur din ab bahut dhal gaya hai. Tab woh unke saath rehne ke liye bhitar gaya.”8

Uddhaarkarta ne us raat Apne chelon ke saath Emmaus gaaon ke paas ke ghar mein rehne ka nimantran swikaar kiya.

Woh unke saath khaane ke liye baetha. Usne roti lekar, dhanyevaad diya, aur use todkar, unko dene laga. Tab unki aankhe khul gayi aur unhonne Use pehchaan liya. Aur Woh unki aankhon se chip gaya. Luke ne hamare liye un ashish se bhare chelon ka ehsaas likha: “Unhonne aapas mein kaha, “Jab Woh maarg mein humse baate kar raha tha aur dharamshaastra ka arth hamein samjhata tha, to kya hamare mann mein uttejna na utpann hui?”9

Do chelein usi samay, uthkar Jerusalem laut gaye un gyaarah Devduton ko batane ki kya hua tha. Us samay Uddhaarkarta phir dikhaai diye.

Usne Apne mission ki bhavishyevaaniyon ko dohraaya ki Apne Pita ke bachchon ke paapon ke liye praeshchit karega aur mrityu ke zanjeer ko todega.

“Aur unse kaha, Yeh likha hai, ki Masih dukh uthaaega, aur teesre din mare huwon mein se ji uthega:

“Aur Jerusalem se lekar sab jaatiyon mein pashchataap aur paapon ke chama ka prachaar, usi ke naam se kiya jaaega.

“Aur tum sab in baaton ke gawaah ho.”10

Uddhaarkarta ke shabd hamare liye bhi sachche hai jaise woh Unke chelon ke liye tab the. Hum in baaton ke gawaah hai. Aur jo badhiya zimmedaari humne uthaayi thi jab hum Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka mein baptisma liye the hamein bhavishyevakta Alma dwara sadiyon pehle samjhaya gaya tha Mormon ke jal par:

“Aur aysa hua ki usne unse kaha: Dekho, yahan, Mormon ka jal hai (us jal ko aysa hi kaha jaata tha) aur jabki tum Parmeshwar ke dal mein aana chahate ho, aur tum ek dusre ke bojh ko dhone mein sahayta dena chahate ho ki jisse woh halka ho jaaye;

“Aur jo dukh se rote hai unke dukh se dukhi hone ko tayaar ho; aur jinko sahanubhuti ki awashyakta hai unhe aashwaasan dena chahate ho, aur sada sabhi baato mein, chaahe jahan bhi tum ho, mrityu tak Parmeshwar ki saakshi ke rup mein khade hona chahate ho, jisse ki Parmeshwar dwara tumhara uddhaar ho sake, aur tumhari ginti pratham punaharjiwan paane waalon mein ho, jisse ki tumhe anant jiwan praapt ho sake—

“Aur ab main tumse kehta hoon ki agar tumhare hridayon ki yahi ichcha hai, tab ek gawaah ke rup mein tumne uske saath vaada kiya hai, ki tum uski sewa karoge aur uski aagyaaon ka paalan karoge, jisse ki woh tumhare upar apni Aatma ko aur adhik undel sake, tab Prabhu ke naam par baptisma lene ke virudh tumhare paas kya kaaran hai?

“Aur jab logon ne in shabdon ko suna, tab taaliyaan bajaate huwe apni prasannta prakat ki aur kaha: Hamare hridayon ki yahi ichcha hai.”11

Hum vaade mein hai unhe sahayta dene ke liye jo zarooratmand hai aur Uddhaarkarta ke gawaah bane rahe jab tak jiwit hai.

Hum aysa achchi tarah tab kar sakenge sirf jab hum Uddhaarkarta ke prem ko apne liye mehsoos karenge aur hamare liye Unke prem ko. Jab hum wafadaar rahenge apne banaye gaye vaadon ke prati, hum Unke liye apne prem ko mehsoos karenge. Yah badhega kyunki hum Unki shakti mehsoos karenge aur Unka kareeb aana mehsoos karenge Unki sewa mein.

Pradhaan Thomas S. Monson ne hamein aksar Prabhu ka woh vaada yaad dilaya hai jo Unke vishwaasi chelon ko diya gaya tha: “Jo tumhe grahan karta hai, wahan Main bhi rahunga, kyunki Main tumhara maarg tayaar karunga. Main tumhare daai or aur baai or rahunga, aur mera Aatma tumhare hriday mein hoga, aur mere farishte tumhare ird-gird, tumhe sambhaalne ke liye honge.”12

Ek aur tarika se humne Unhe apne kareeb aate mehsoos kiya hai. Jab hum Unki dilse sewa karein, Woh unke kareeb aata hai jise hum apne parivaaron mein karte hai. Har baar jab mujhe Prabhu ki sewa mein kahin aur rehne ya parivaar ko chodne ka aadesh mila hai, mainne dekha hai ki Prabhu mere patni aur bachchon ko ashirvaad de raha hai. Usne Apne pyaar se bhare sewakon ko tayaar kiye aur mauke ko jisse mere parivaar Unke kareeb aa sake.

Tumne yahi ashirvaad apne jiwan mein mehsoos kiya hai. Aap mein se kaion ke paas priyejan hai jo anant jiwan ke maarg se bhatak rahe hai. Tum sochte hoge aur kya kar sakte ho tum unhe waapas us maarg mein laane ke liye. Tum Prabhu par nirbhar ho sakte ho unke kareeb jaane ke liye apne vishwaasi sewa se Unke liye.

Tumhe Joseph Smith aur Sidney Rigdon ko di gayi Prabhu ka vaada yaad hoga jab woh apne parivaaron se dur the Unke kaarye karte hue: “Prabhu ne Sidney aur Joseph ko batlaya, ki unke parivaar theek hai; woh Unke dekhrekh mein hai, aur woh Unke saath wahi karega jo woh sochta hai achcha hai; kyunki Woh bahut shaktishaali hai.”13

Alma aur Raaja Mosiah ki tarah, tum mein se kuch vishwaasi maata-pitaon ne Prabhu ki sewa lambe samay se ki hai aur achchi tarah ki hai ke paas bachche hai jo tab bhi apne maata-pita’ ke, Prabhu ke liye, balidaan ke bawajood bhatak gaye the. Unhonne sab kuch kiya hai jo unse hua parantu koi faeda nahi hua, bhale hi premi aur vishwaasi doston ne sahayta kiya tha.

Alma aur uske din ke Santon ne Alma ke aur Raaja Mosiah ke putron ke liye prarthna ki. Ek farishta aaya. Tumhare prarthnaaen aur unke prarthnaaen jo apna vishwaas aazmaate hai Prabhu ke sewakon ko laaega tumhare parivaar ke sadasyon ko madad karne ke liye. Woh unhe madad karenge Parmeshwar tak ka maarg chunne mein, chaahe unhe Shaetaan aur uske chelein kyun na tang kare, jinka lakshye hai is jiwan aur anantta mein parivaaron ko nasht karna.

Tumhe woh shabd yaad hai jo farishte ne Chote Alma aur Mosiah ke putron se kaha tha jab woh virodh kar rahe the: “Aur phir se, farishte ne kaha: Dekho, Prabhu ne in logon ki aur apne us sewak, Alma, ki prarthnaaon ko suna, jo ki tumhara pita hai; kyunki usne bhaari vishwaas ke saath tumhe satya ka gyaan karane ke liye prarthna ki hai; isliye Parmeshwar ki shakti aur adhikaar ka tumhe vishwaas dilaane ke uddeshye se main aaya hoon, aur logon ke vishwaas ke anusaar unki prarthnaaon ka uttar bhi diya jaata hai.”14

Mera vaada tumhare liye jo prarthna karte aur Prabhu ki sewa karte hai yeh nahin ho sakta tumhe har ashirvaad milega jiski tum ichcha karoge apne aur apne parivaar ke liye. Magar main vaada kar sakta hoon ki Uddhaarkarta tumhare kareeb aayega aur tumhare parivaar ko woh ashish dega jo sahi hai. Tumhe Unke prem ka sahanubhuti milega aur Uske kareeb aane ke jawaab ko mehsoos karoge jab tum auron ki sewa karoge. Jab tum zarooratmand ki madad karoge aur Unke Praeshchit ki changaai unhe dilaaoge jo apne paap ke liye dukhit hai, Prabhu ki shakti tumhe sambhalega. Unke baahe tumhare liye faeli hui hai hamare Swarg ke Pita ke bachchon ko madad karne aur ashirvaad dene ke liye, tumhare parivaar ke liye bhi.

Hamare liye ek vishaal swaagat tayaar kiya gaya hai. Tab hum Prabhu ke us vaade ko pura hote dekhenge, jise humne prem kiya hai. Wahi hai jo hamein anant jiwan mein swaagat karta hai Apne aur Swarg ke Pita ke saath. Ishu Masih ne is tarah batlaya:

“Uske Zion ko laane aur banane ki socho. Sabhi samay Uske aagyaaon ka paalan karo.

“Aur, agar hum aagyaaon ka paalan karenge aur ant tak jhelenge hamein anant jiwan milega, jo Parmeshwar ke sabhi uphaaron mein se mahaan hai.”15

“Kyunki jiwit rahenge dharti ko paaenge, aur jo marte hai apne saare parishram se vishraam paaenge, aur unke kaarye unke saath ho lenge; aur woh mere Pita ke ghar mein woh mukut paaega jise Mainne unke liye tayaar kiya hai.”16

Main gawahi deta hoon ki hum Aatma dwara Swarg ke Pita ke nimantran ko swikaar karenge: “Yeh Mera Priye Putra hai. Iski Suno! ”17

Unke shabd aur Unke uddharan se, Masih ne dikhaya kaise hum Unke kareeb jaa sakte hai. Swarg ke Pita ka har ek bachcha jisne baptisma dwara Uske Girjaghar mein pravesh karne ko chunna hai ko is jiwan mein mauka milega Uski susamchaar ko seekhne ka aur Unke niyukt kiye sewakon dwara Unke nimantran “mere paas aao” ko sunne ka.18

Unke sabhi sewak jinhonne Unke saath vaada kiya hai is dharti par Unke raajye mein aur aatmik duniya mein ko Unke Aatma dwara maargdarshan milega jab woh Unke liye auron ko ashirvaad denge aur sewa karenge. Tab weh Uske prem ko mehsoos karenge, aur anand paana Uske kareeb hone mein.

Main Prabhu ke Punaharjiwan ka gawaah hoon is sachchaai ke saath jaise ki main wahan us shaam un do chelon ke saath us ghar par jo Emmaus ke raaste par tha. Main jaanta hoon uthi hi vaastavikta se jaise Joseph Smith jaanta tha jab usne Pita aur Putra ko us raushni se bhare subha ko Palmyra ke jangalon mein dekha tha.

Yeh Ishu Masih ka sachcha Girjaghar hai. Sirf Pradhaan Thomas S. Monson dwara rakhe gaye purohiti ke chaabiyon mein woh shakti hai jisse parivaar sada ke liye bandh sakte hai hamare Swarg ke Pita aur Prabhu Ishu Masih ke saath. Hum Nyaye ke Din par Uddhaarkarta ke saamne khade honge, aamne saamne. Woh anand ka samay hoga unke liye jo Unki sewa se Unke kareeb aaye hai is jiwan mein. Anand praapt hoga in shabdon ko sunn kar: “Dhanye, he achche aur vishwaasyogye daas.”19 Main yeh gawahi deta hoon punaharjiwit Uddhaarkarta aur hamare Muktidaata ke gawaah ke rup mein. Ishu Masih ke naam se, amen.