2010-2019
Ghar par Shaanti ke liye
April 2013


Ghar par Shaanti ke liye

Ek mahan aashirwaad jo hum duniya ko de saktey hai woh hai Masih-kendriye ghar jahan susamachaar ki shakti sikhlaya jaata hai, vaada nibhaya jaata hai, aur bahot pyaar hai.

Duniya ke kai awaaz jaha hum aaj rahatey hai yah batlata hai ki hume utsukta se rehna chahiye. Yaha par hamesha kuch hai karne ke liye aur zyaada haasil karne ke liye. Phir bhi, hum sab ke andar zaroori hai ki ek bachaane ka sthaan ho jaha sukh aur shaanti ho, jaha hum araam kar sake aur khud ko aanewaali musibaton ke liye taeyaar kar saktey hai.

Sabse achcha sthaan shaanti ke liye humare gharon ke chaar diwaari mein hota hai, jaha humne sab kuch kiya hai Prabhu Ishu Masih ko mukhye sthaan dene mein.

Kuch gharon mein pita hai jo ghar par rehta hai aur jo laayak purohiti ko rakhnewaala hai aur vishwaashi, samarpit maa bhi hai jo sachchaai se aguaai karte hai. Yaha par kai tarah ke gharelu stithiyaan hai. Tumhare praristithiyon ko chodh kar, tum apne ghar aur apne jiwan ko Prabhu Ishu Masih par kendra karo, ki Wah hi is jiwan mein shaanti dene waala hai.

Tumhe janna chahiye ki jo nirnay tum banate ho, chaahe sansaarik yah dhaarmik, wah us par nirdharit hai jo Udhaarkarta hume chahata hai ki hum karein. Jab Wah humare ghar ka mukhya hoga, wahan par sukh aur shaanti hoga. Yahan par aatma ka ehsaas hona chahiye jo ghar ko bhar deta hai, aur woh sabhi jo yaha rehte hai mahesoos kar sakein.

Sirf maata-pitaon dwara yah salaah ko nibhana nahi hai, bhale hi yah unka kaarye hai karne ko. Bachchein gharon ki Masih- kendra ki koshishon mein zimmedaar ho saktey hai. Yah zaroori hai ki maata-pitaaen apne bachchon ko sikhlaaye ki kaise unke kaarye se ghar mein rehne waala har ek vyakti par prabhaao padta hai. Bachchein jinhe unke kaarye ko karne ka ehsaas karaya jaata hai, chahe weh achche kaarye ho yah nahi, Parmeshwar ke raajye mein bharosemand naagrik bantey hai

Mai jaanta hoon ki tum kuch mul siddhaanton ko dekh saktey ho jo Uddhaarkarta ko tumhare ghar ka mukhye sthaan deta hai. Bhavishyevakta ka salaah ki daenik vyaktigat aur parivaar prarthna, daenik vyaktigat aur parivaar dharamshaastra adhyan ho, aur saaptahik parivaar gharelu sham sabha bahot zaroori hai, mukhye mul hai Masih-ko mujhye sthaan dekar ghar banana. Hamesha ke is kaarye ke bina mushkil hoga is duniya se wah shaanti aur suraksha paana.

Un bhavishyevaktaon ke shikshanon ka paalan karna chahiye jo Masih chahate hai ki hum kare. Apne aanewaale khushiyon ko mat kam karo asaan maarg lekar bajae bharosemand susamachaar siddhant ko apna kar. Yaad rakho: chote kaarye badhe cheezon ki or le jaata hai. Usi tarah maamuli laaparwahi se ya doori bade musibat mein daal sakti hai. Zyaada zaroori hai ki, saadhaaran, laaagu rehne waale, sahi aadatein jiwan mein bahot khushiyaan bhar sakein.

Tum Praathmik ke bachchon, tum yuva kaaryekaram ke jawaan purush aur mahila, aur tum abhi ke sewa mein ke vishwaasi pracharakon kai ayse kaarye ko kar rahe ho jo main apne umar mein nahi kar sakta tha. Maransheel jeev ke purv ke jiwan mein tum vishwassi, sachche, aur saaf the. Yaha tum mehnat kartey the gun aur chamta ko paane ke liye taaki apne aap ko taeyaaar karo neatikta ka saamna himmat, aatma-nirbharta, sammaan, aur safalta se karne ke liye.

Bahot din nahi hue tum maransheel jiwan mein aaye the un sabhi anmol chamtaaon aur kabhi na khatam hone waali sambhaavna ke saath. Abhi bhi yaha par gambheer khatra hai tumhare ird-gird ke sthaanon mein. Tumhara mahaan sambhaavna aur chamta kam ya naash ho sakta hai agar tum shaetaan dwara prerit bure kaaryon par gaor karoge. Phirbhi, Shaetaan Uddhaarkarta ko hara nahi sakta hai. Shaetaan ka naseeb tay ho chuka hai. Wah jaanta hai ki wah haar chuka hai, magar wah jitna bhi ho sake ko barbaad karna chahata hai. Wah tumhare sachchaai aur chamta ko nasht karega tumhare kamzoriyon ko badhakar. Prabhu ki or raho, aur tum sabhi samay vijay hoge.

Tum us duniya mein ho jahan vigyaan sambandhi badlaao tezi se ho raha hai. Mere peedi ke kai log is sambhavna se milkar chalne mein kathinaai mehsoos karte hai. Kis tarah se vigyaan par nirbhar hote hai, yeh safalta ashirwaaad yah rukawat bhi ho sakti hai. Vigyaan, jab samjha gaya aur sahi kaarye ke liye istemaal kiya gaya, khatra nahi ho sakta hai balki dhaarmik waartalaabh ki badhanti hai.

Uddhaaran ke taur par, hum mein se kai ke paas apne khud ki electrical cheezein hai jo humare jeb mein at sakta hai. Hum us ke bina bahot kam rehtein hai; hum use din mein kai baar istemaal kartein hai. Asaobhaagye se, yeh cheezein bure ho sakte hai aur samay ko barbaad karti hai. Magar, sahi tarike ke istemaal se, yeh vigyaan samaaj ke bure cheezon se bacha sakti hai.

Bahot saalon pehle yeh kis ne socha hoga ki pure saal ke kaarye aur saalon ke maha sammelan ke sandeshon ko jeb mein rakha ja sakta hai? Sirf use jeb mein rakhne se tum surakhchit nahi ho, magar sikhne, samajhne, aur har din ke khaali samay par sunne se Aatma dwara waartalaabh hoga.

Samajhdaari se chuno ki tum kis tarah vigyaan ka istemaal karoge. Apne electronic aozaar par zaroori susamachaaar ko likho aur us par hamesha amal karo. Agar tum jawaan log susamachaar ke ek bhaag ko hamesha dekhoge jis tarah tum text sandesh ko bhejte ho, tum hazaaron ki susamachaar ke bhaagon ko sikh saktey ho. Yeh bhaag prerna ka ek mukhye bhaag ho sakta hai aur Pavitra Aatma dwara maargdarshan praapt ho sakti hai zaroorat padhne par.

Yeh zaroori hai ki hum apne jiwan mein puri koshish karein Pavitra Aatma ke vinamra, maardarshane waale prabhaao ko amantrit karne ke liye taaki Uddhaarkarta hamare ghar ka mukhye bhaag ho. Jald se us prerna par chalne se hum aur zyaada mazboot hote hai.

Aur zyaada shaanti tumhe praapt hogi jab tum dosron ki sewa karte samay aagyakaari rahoge. Kai log jinke paas kuch hi gun hai vinamrata aur daan ke saath unhe detein hai jo unke ird-gird mein hai. Swaarthpaart buraai ka jadh hai. Buraai ka sujhaao Uddhaarkarta ke jiwan mein dikhta hai. Usne hume dikhlaaya ki kis tarah se hum apni jiwan se dosron ke liye sewa niswaarthi ho kar karenge.

Maine ek sachchaai ko sikha hai jo mere jiwan mein hamesha doharaya gaya hai jise maine ek khaas niyam ki tarah jaana hai. Yah Parmeshwar ke shakti ko agyaa aur sewa ke tarike se batlata hai. Jab hum Prabhu ke aagyaaon ka paalan kartein hai aur Uske bachchon ki sewa bematlab se karte hai, Parmeshwar se prakritik shakti milti hai—aur zyaada shakti praapt hota hai jo humare paas nahi hai. Humare dekhrekh, humare gun, humare chamtaein badhti hai kyunki hum Prabhu se mazbooti aur shakti praapt kartein hai. Uski shakti ek mul bhaag hai ghar mein shaanti ko banane ke liye.

Jab tum apne ghar ko Uddhaarkarta par kendra kartey ho, yah prakritik taur se sirf tumhare parivaar ko nahi bachata balki un mitron ko bhi jo aur bhi zyaada mushkil ke samay mein rehte hai. Woh yah ehsaas karein ki woh apne ghar par hi hai. Apne gharon mein is tarah ke mitron ko amantrit karo. Woh Masih-ko mukhye sthaan mein aage badhenge. Tumhare bachchon ke mitron ke saath mitra bano. Unke liye ek laayak uddhaaran bano.

Ek mahan aashirwaad jo hum duniya ko de saktey hai woh hai Masih-kendriye ghar jahan susamachaar ki shakti sikhlaya jaata hai, vaada nibhaya jaata hai, aur bahot pyaar hai.

Kai saalon pehle, ek mission bhent ke baad, meri patni, Jeanene, ne mujhe ek bade bahan ke baare mein batlaya jisse wah mili thi. Jeanene ne use uske parivaar ke baare mein pucha tha. Wah chakit reh gayi jab usne kaha ki uske paas koi parivaar nahi hai. Usne baad mein batlaya ki uski maa ne uske janam ke baad, use sarkaari vibhaag ko paalne ko de diya tha. Usne apne bachpan ko ek se dosre paalnewaale ke ghar mein bitaaya tha. Usne yuvapan mein susamachaar ko praapt karne ka aashirwaad praapt kiya tha. Ward ke ek pyare parivaar ne uski madad kiya tha mission ke sewa ke aosar ko pura karne mein.

Baad mein Jeanene ne mission pradhaan ke patni se is achche elder ke baare mein pucha. Usne jaana ki kuch mahine pehle wah elder ek mission ghar par tha kuch dinon ke liye uske bimaari ke kaaran. Us samay ke dauraan woh ek parivaar gharelu shaam sabha mein unke saath tha. Uske waapas mission par jaane se pehle, usne mission pradhaan se pucha ki kya wah apne mission ke ant ke baad do ya teen din mission ghar par dobara bita sakta tha. Wah dekhna chahata tha ki kis tarah Masih–kendra parivaar sanchalan kartein hain. Wah chahata tha ki wah apne parivaar ko usi tarah banaye.

Sabhi kuch karo is tarah ke parivaar ko paane ke liye. Un tak pahuncho jo musibaton ke stithiyon mein hai. Sache mitra bano. Is tarah ke ant tak ka mitrata dosron ko ant tak ke musibaton ke samay par madad karta hai aur jiwan ko aur bhi zyaada khushaali deta hai. Yah ek saadhan nahi hona chahiye vyaktigat madad ko paane ke liye balki ek khazaana jo pasand aur baant sako. Unko apne ghar mein amantrit karo jinhe shakti ki zaroorat hai Masih- kendra ghar mein rehte hue.

Main kuch antim baat batlata hoon unke baare mein jo us parivaar ke sadasyo ko pyaar kartey hai jo sahi chunaao ko nahi banata hai. Yah humare dhaerye aur ant tak jhelne ko chunaoti deta hai. Hume Prabhu mein vishwaas karna chahiye Usi ke samay anusaar taaki humare prarthna puri ho aur bachaao praapt ho sakey. Hum sewa, ashirwaad dene, aur sabhi kaarye mein Parmeshwar ke aagya ka paalan karne ke liye sab kuch kartey hai. Hum vishwaas se kaarye ko kartey hai aur yaad rakhtey hai ki kuch cheezein hai jo Parmeshwar par chodha jaata hai. Wah hume amantrit karta hai ki hum Uske charno mein apne pareshaaniyon ko rakhein. Vishwaas se hum jaan saktey hai ki yah aagyakaari nahi hai ko pyaar karna chodhna nahi chahiye balki pyare Uddhaarkarta ki nigraani mein hai.

Dusron mein achchaai ko dekho, unke buraai ko nahi. Kuch samay par daag ko saaf karne ke liye samay lagta hai, magar humesha uske sadgun ko badhaao.

Jab tum ayesa mahesoos karo ki wahan par ek chota sa hi aasha hai, yaha aasha chota nahi hai balki badi jodhi hui asha hai, tumhe mazboot aur upar uthaane ke liye ek surakhsha ka aozaar hai. Yah tumhe madad karega dar bhagane mein. Sachche tarah se jiwan ko bitaane ke liye aage badho aur Prabhu mein vishwaas karo.

Hume uski chinta nahi karni chahiye jo kuch hum nahi kar paate jo karne ko Prabhu ne salaah diya tha. Usne sabhi cheezon ke liye samay aur mausam ko batlaya hai. Maargdarshan ko paane ke liye hume sachcha prarthna karna chahiye, Wah hume usi or le jaaega jis or hume apne jiwan ke samay par chalna chahiye. Hum Uski tarah sikh, badh, aur bann saktey hai ek ke baad ek karne se.

Main yah gawahi deta hoon ki sahi tarike se jiwan ko bitaane se, Ishu Masih ke susamachaar par chalne se, humare gharon mein shaanti aur bachne ka mahaan vaada milta hai. Yahi par phirbhi musibatein ya sir ka peeda aayega, magar musibaton ke samay par bhi, hum andar ki shaanti ka anand le saktey hai aur khushi mana saktey hai. Main gawaahi deta hoon ki Ishu Masih ka Balidaan bahot shaanti deta hai, Ishu Masih ke naam se, amen.