2010-2019
Vyaktigat Shaanti: Sachchaai ka Inaam Hai
April 2013


Vyaktigat Shaanti: Sachchaai ka Inaam hai

Jiwan ke musibaton se bhi, kyunki Uddhaarkarta ke Praeshchit se aur Uske sundarta, sachchaai se jeene se vyaktigat shaanti ka uphaar praapt hoga.

Abhi jald ke anubhao se mainne shaanti ki siddhaant ke baare mein socha aur khaas kar Ishu Masih ke bhumika ke baare mein hamein anant vyaktigat shaanti ko paane ki madad karne mein.

Pichle kuch mahinon mein do kaarye ne mujh par bahot bhaukta se asar kiya hai. Pahala, mainne Emilie Parker ke antim sanskaar par baatein kiya, ek anmol che-saal ki bachchi jisne apna jiwan 25 logon ke saath kho diya, jismein 19 jawaan bachche the, Connecticut, Newtown ke ek dukhad golibaari mein. Mainne uske parivaar ke saath shokh prakat kiya aur yah jaana ki kai shaanti se marhoom hai. Mainne jaana ki uske maata-pita, Robert and Alissa Parker mazboot aur vishwaasi the.

Dosra, Maine Girjaghar ke hazaaron vishwaasi sadasyon ko Abidjan ke Ivory Coast shahar mein mulakaat kiya.1 French-baatein kartey hue, Pakshim-African desh ne adhik sankat ko jhela hai, sena ne sarkaar ko adhikaar mein le liye tha, aur do haal hi ke raajnitik ladaai 2011 ko lekar. Phirbhi maine khaas shaanti ko unke saath mehsoos kiya.

Kuch kaarye ayse hote hai jo hume shaanti se dur kartein hai aur hume kamzoor mahesoos karatein hai.

Koi bhi September 11, 2001 mein hue haanikaarak hamle ko bhul nahi sakta hai, U.S. ke kai jagahon par? Is tarah ke kaarye hamein turant hi yah ehsaas karatein hai ki hum shaanti aur suraksha ko kho saktein hai.

Humare sab se bade beta aur uski patni, jo apne pahale bachche ke intazaar mein the, New York City ke World Trade Center se teen hi block ki duri par rahatey the jab pahala plane ne North Tower mein dhakka mara. Weh apne kamre ke imaarat ke chat par gaye aur yah dekh kar dar gaye jo unhone socha ki ek tarah ka bhayankar durghatna tha. Phir unhone dosre plane ko North Tower mein dhakka ko maartey dekha. Turant hi unhone yah jaana ki wah koi bhi durghatna nahi tha aur vishwaaas kiya ki Manhattan ka dakshin bhaag khatre mein tha. Jab South Tower gir gayi, unke kamre ke imaarat garde se bhar gaya tha jisne Manhattan ke nichli dakchin bhaag ko bhar diya.

Woh ashcharye mein the yah dekh kar jo hua tha aur anewaale khatron se chintith the, weh surakhchit sthaan par chale gaye aur phir Manhattan stake Girjaghar imaarat Lincoln Center mein ja puhunche. Jab woh waha pahuche, unhonne dekha ki darjanon aur bhi sadasye nichle Manhattan mein the ne bhi wahi nirnay liya tha stake Kendra mein ikattha hone mein. Unhonne kol kiya hume yah batlaane ke liye ki woh kahan the. Main santust hua ki weh surakhchit the magar unke rehne ke sthaan par achambhit nahi hua. Haal ka pratikaran sikhlaata hai ki Zion ki stakes bachaaokaari aur “toofaan se sharan, aur naraazgi se jab puri dharti par krodh ke pure prakop se giraya jayega.”2

Weh apne imaarat mein laut na sakey ek safta se ziyada tak aur bechaaron ke jiwan ko khotey dekh ujad gaye the, magar unhone koi bhi lambie samay ka nuksaan nahi jhela tha.

Is kaarye ko sochte hue, mujhe siddhaaton ke antar ke beech aur vishwa ya duniya ke shaanti aur vyaktigat shaanti ne bahot hi gehra prabhaao diya hai.3

Uddhaarkata ke janam par, swarg duton ka dal ne Parmeshwar ki prashansa aur goshna kiya, “Akaash mein Parmeshwar ki mahima aur prithivi par un manushyon mein jinse Wah prasann hai, shaanti ho.” 4

Phirbhi, yah dukhit rup se dekha gaya hai ki Parmeshwar ke Putra ke paydaish ke anant mahatva ke samay par bhi, raaja Herod ne masoom shishuon ko mara tha Bethlehem mein.5

Khushiyaali ki yojna mein chunna zaroori hai. Yah hume pyaar, balidaan, vyaktigat badhanti, aur zaroori anubhav deta hai hamare anant pragati ke liye. Yeh maranshilta ke anubhao mein peeda aur jhelna ke chunaao ko bhi deta hai, un cheezon se bhi jo hum samajh nahi paate aur dosron ke bure dukhit chunaao se. Swarg mein ladaai mein khud ko bachaana tha humare maranshil chunaao aur khaaskar Uddhaarkarta ko dharti ki dekhrekh ko samjhne mein.

Matthew ke 10we adhyaye mein kaha gaya hai ki, Uddhaarkarta ne Barah ko adesh diya aur batlaya ki Uski mission ko is maranshil jiwan ki vishwa shaanti nahi prapt hogi. Devduton ko batlaya gaya ki shaanti ke aashirwaad ko gharon ke niwaasiyon ko do jinhe tum bhent kartey ho magar chunaoti diya gaya ki unhe “bhediyon ke beech mein … [aur] mere naam ke kaaran sab log tumse baer karenge, par jo ant tak dhiraj dhare rahega usi ka uddhaar hoga.”6 Ek mahatvapurn baat batlaya gaya hai verse 34 mein: “Yah mat samajhna ki main prithvi par milaap karaane aaya hoon.”7 Yah saaf hai ki vishwa shanti dharti par Masih ke maranshil dekhrekh ke daoraan, aur abhi bhi nahi hai.

Prabhu ke prastaaona Doctrine aur Covenants mein, bahot hi zaroori siddhaanton ko sikhlaya gaya hai. Un logon ke liye jo pashchataap nahi kartey, unke Aatma (Masih ke Aatma), jo sabhi insaan ko praapt hota hai jo duniya mein aate hai,8“sabhi samay insaan ke saath jhagadna nahi chahiye.”9Saath, “dharti se shaanti ko le liye jayega.’10 Bhavishyevakta ne batlaya hai ki shaanti ko dharti par se le liya gaya hai.11 Lucifer ko roka nahi gaya hai aur is duniya mein woh apni shakti ko aazmaata hai.”12

Sachchaai ki ichcha hai sabhi ache log jo sabhi sthaan par rahi hai aur humesha rahegi duniya mein shaanti ke liye. Hume is laksh ko paane ke liye kabhi bhi haar nahi manna chahiye. Magar, Pradhaan Joseph F. Smith ne sikhlaya, “duniya mein shaanti aur pyaar ka aatma kabhi bhi nahi ho sakta hai … jabtak insaan Parmeshwar ke sachchaai aur Parmeshwar ki sandesh ko nahi praapt karenge …, aur uske shakti aur adhikaar ko swikaar karenge jo divye hai.”13

Hum gambheerta purwak vishwa shaanti ke liye asha aur prarthna kartey hai, magar yah hai apne kaarye mein vyaktigat aur parivaaron ki tarah ki hum us tarah ki shaanti ko paatey hai inaam jo sachchaai ke vaade ke liye praapt hota hai. Yah shaanti vaada kiya hua uphaar hai Uddharkarta ke mission aur praeschit ke balidaan se.

Yah siddhant Doctrine aur Covenants mein sanchep mein likha hua hai, jo batlaata hai ki hume yah sikhna hai ki jo achche kaarye kartey hai weh is duniya mein shaanti ka uphaar praapt karenge aur anant jiwan aanewali duniya mein.”14

Pradhaan John Taylor ne sikhlaya hai ki shaanti ki sirf ichcha nahi karni chahiye, balki “yah Parmeshwar ka uphaar hai.”15

Shaanti jise main batla raha hoon yah sirf asthaai shaanti nahi hai. Yah ant tak ka khushiyaali aur dhaarmik santosh hai.16

Pradhaan Heber J. Grant ne Uddhaarkarta ke shaanti ko is tarah se batlaya hai; “Uski shaanti humare jhelne ko kam karega, unhe daya aur dilassa deta hai jo bhaukta se aur sachchaai se jheltein hai, na pasand ke ehsaas ko nikaalta hai, humare hriday mein insaan ke liye pyaar ko bharta hai jo humare aatma ko shaanti aur khushiyon se bhar dega.’17 Mere Emilie Parker ke maata-pita ke saath sabha mein, mainne dekha ki Uddhaarkarta ki shaanti ne unke jhelne ko kam kiya aur madad karta hai unke tute hue hriday ko jodhne mein. Yah mahatvapurn hai ki turant hi daagne ke baad, Bhaai Parker ne bhulkarta se chama maanga. Jis tarah Pradhaan Grant kahatey hai, Uddhaarkarta ki shaanti “humare pasand ko badal sakta hai.”Prabhu ka faesla hoga.

Ivory ke Coast Sant, unke desh mein saenik ladaai ke dauraan, shaanti ko paaya Ishu Masih, ke susamachaar ko jeene se saath mein khaas dhyaan apne purwajon ke liye parivaar itihaas aur mandir kaarye mein.18

Hum sab shaanti chahatein hai. Shaanti sirf suraksha ya ladaai se kam, niraadar, jhagda, aur vivaad nahi. Shaanti aati hai yah jaan kar ki Uddhaarkarta jaanta hai ki hum kaun hai aur jaanta hai ki hume Us mein vishwaas hai, Use pyaar kartein hai, aur Uske vaadon ko nibhaatein hai, jaese hi aur khaaskar jiwan ke dukhit musibaton ke dauraan aur durbhaagye ghatnaon mein. Prabhu ke jawaab ne Pradhaan Joseph Smith ko Liberty Jail mein sahanbhuti diya:

“Parmeshwar ne Joseph ko batlaaya ki, Mere Putra, apne aatma mein shaanti dharo; uske durbhaagye aur kasht thodi hi der rahega;

“Phir, agar wah (Joseph) ant tak jhel sakega, Parmeshwar use anant jiwan dega.”19

Yaad rakho, “Parmeshwar musibaton, ko banane waala nahi hai balki shaanti ka [banane waala].”20 Jo Parmeshwar ko nahi maantey, yaha koi shaanti nahi milegi. Hum sabhi ne swarg ke salaha mein bhaag liya tha jo maramshil chunaao pradaan karta hai, yah jaantey hue ki maranshil peeda hoga aur usi tarah gambheer dukhant kyunki log is apne chunaao ka galat istemaal karenge. Hum yah jaantey hai ki yah hume gusse ko dila sakta hai, ghabraya hua, rakshaheen, kamzoor. Magar hum yah bhi jaantey the ki Uddhaakarta ki Praeschit hum sab ke liye maranshil jiwan ko haraega aur pratifal dega aur hume shaanti dega. Elder Marion D. Hanks ke paas diwaar par latakta hua ek frem hai jismein varnan hai Ugo Betti ka: “Parmeshwar mein vishwaas karna yah jaanna hai ki sabhi niyam nyaye se hoga, aur waha par ayse kaarye (jiwan mein) hoge jo kabhi socha na tha.”21

Shaanti ka mul kya hai? Shaanti ke kai mul ko dhoondhne mein duniyadari ke tarikein hai, jo kabhi bhi nahi aur kabhi bhi safal nahi hoga. Shaanti badi daulat, shakti, ya uchaai ko paane se nahi milti.22 Shaanti sukh, ya khel-kud,ya dobara banane ki khoj se nahi milti. In mein se koi nahi, chaahe jitni bhi matra mein ho, khushiyon aur shaanti nahi bana sakti.

Emma Lou Thayne ke pyre prabhubhajan sahi sawaalon ko puchtey hai; “Kaha main shaanti ke liye mud sakta hoon? Mera chaen kaha hai jab dosre maadhyam mujhe sampurn nahin karte?”23 Jawaab Uddhaarkarta hai, jo maadhyam hai aur shaanti ka Parmeshwar hai. Wah “Shaanti ka Raajkumaar hai.” 24

Hum kis tarah Uddhaarkarta ke kareeb rah saktey hai? Apne aap ko Parmeshwar ke aage vinamra banao, humesha prarthna karo, paap se pashchaataap karo, baptisma ko lo baptisma ke paani mein ja kar tute hriday aur pashchataapi aatma se, aur Ishu Masih ka sachcha chela banna bahot hi achcha uddhaaran hai neki ka jisse kabhi na khatam hone waali shaanti inaam ke rup mein praapt hota hai.25 Raja Benjamin ke apne prerit sandesh Masih ke Praeschit ke baare mein ke baad, sabhi log dharti par gir pade. “Prabhu ki Aatma unke upar aayi, aur weh anand se bhar uthe, apne paapon se mukt hokar, aur shaanti ke sachchaai aur burai ka gyaan ko paane se, kyunki unke paas Masih par bhaari vishwaas tha.”26 Pashchaataap aur neki se jine se shaanti ke sachchaaiaur burai ke gyaan ko pa saktey hai, jo khushaaly ke liye zaroori hai.27 Jab waha baat nahi maani jaati hai, shaanti ko paane ke liye swikaar karo.28 Shaayad yaha par kuch bhi nahi hai shaanti ke barabar jab ek insaan jhelta hai kyunki uske paap apne (dhaarmik aur gambheer) Prabhu par daal deta hai aur chahata hai saobhaagye se Praeschit ka aashirwaad. Girjaghar ka ek aur jaana maana ishbhajan mein batlaaya gaya hai, “Main apne musibaton ko uske paeron par daal dunga aur phir gaate hue jaaunga (khushi se).”29

Mere hriday mein khushi hoti hai jab sochta hoon ki humare samay mein das hazaaron jawaan purush, jawaan mahilaein, aur buzurg prachaarakon ne Ishu Masih hamare Uddhaarkarta ke devduton ki niyukti ko swikaar kiya tha. Woh shaanti se punaharsthapit susamachaar ko duniya tak pahuncha rahe the, ek vyati aur ek parivaar ko ek samay par- nek ka kaarye Swarg ke Pita ke bachchon tak shaanti laane ke liye.

Girjaghar bachaane waala hai jaha Masih ke chele shaanti paatey hai. Kuch duniya ke jawaan log kahatein hai ki weh dhaarmik hai magar pavitra nahi. Dhaarmik mahesoos karna pahala achcha kadam hai. Phir bhi, yah Girjaghar mein hum sangat mein hokar, sikhtey, aur Parmeshwar ki shresht vaani ke dwara poshan hota hai. Zyaada zaroori hai, Girjaghar ke purohiti adhikaari ko jo pavitra siddhanton aur vaadon ko pradaan kartey hai jisse parivaar saath bandhate hai aur hum sab ko Parmeshwar ke Pita aur Ishu Masih ke paas waapis divye raajye mein le ja saktein hai. Yeh dharam vidhi shaanti laati hai kyunki weh vaadon se bandhe hue hai Prabhu ke saath.

Mandirein waha hai jaha kai pavitra dharamvidhi ko kartey hai aur duniya se shaanti bhare bachaao ka ek mul bhi. Jo mandir ke dharti par jaatein hai ya mandir ke khulne par jab janta bhent karti hai samarpan se pahale shaanti ko bhi mahesoos kartein hai. Mujhe ek anubhao jo bahot achchie tarah se yaad hai Suva Fiji mandir ka khulne aur samarpan sanchaalan par hua tha. Yaha par raajniti musibatein thi parinaam mein virodhiyon ne Suva dountown ko jalaya aur chori ko kiya, sarkaar ke imaarat par gaer kaanooni taur se kabza kiye aur netaon ko bandhi banaye. Desh dwara dekhrekh ho raha tha. Fiji sena ne kuch hi logon ko Girjaghar ke khulne par ikatha hone ki aagya diya tha aur bahot hi chote dal ko samarpan ke liye. Sabhi Girjaghar ke sadasyon ko amantrit nahi kiya gaya tha unke surakcha ke nimit. Yah sirf ek mandir ka samarpan tha naye Nauvoo Mandir ke baad jo bahot hi musibat ke stithiyon par hua tha.

Ek insaan jo mandir khulne par amantrith ki gayi thi ek pyari Hindu mahila thi Hindustaani jaat ki, Sarkaar ki ek Sadesye jise bandhi bana kar rakha gaya tha magar use chod diya gaya tha kyunki wah aurat thi.

Divye kamre mein, duniya ke khalbali se azaad, usne roya jab shaanti ke ahesaas ko batlaya jisse woh baat nahi kar saki. Usne Pavitra Aatma ko dilassa detey mahesoos kiya tha aur mandir ke pavitra charitra ke gawahi ko bayaaan kiya tha.

Uddhaarkarta sahi shaanti ka mul hai. Jiwan ke musibaton se bhi, kyunki Uddhaarkarta ke Praeshchit se aur Uske sundarta, sachchaai se jeene se vyaktigat shaanti ka uphaar praapt hoga. Vyaktigat tarah se rakhe jaha se weh aage guzarte the, Uddhaarkarta ne Apne sabhi Devduton ko vaada kiya ki weh ashirwaad praapt karenge “saantaona dene waala, ke saath jo Pavitra Aatma hai” aur phir yeh zaroori shabdon ko kaha: “Shaanti tumhe deta hoon, mera shaanti main tumhe deta hoon: us tarah nahi jayse duniya deta hai, main tumhe deta hoon.” 30 Phir Uske Antim Prarthna se pahale: “In cheezon par maine tumse batein kiya hai, ki mujh mein tumhe shaanti mile. Duniya mein tumhe musibat ho sakta hai: magar achche aatma ke bano; Main duniya se baahar aaya hoon.”31

Eliza R. Snow ne is vichaar ke baare mein sundarta se likha:

Apne hriday ko Parmeshwar ke gungaan ke liye upar uthaao;

Apne anand ka anth nahi hone dena.

Chahe peeda ka prakop bhari ho,

Masih ne kaha, “Mujh mein tumhe shaanti praapt hogi.”32

Main Ishu Masih ke naam se bayaan deta hoon, amen.

Vivran

  1. Abidjan mein do sammelan hue the Raviwaar ko, February 10, 2013; 9,693 log upasthit the—us mein se 619 abhi Girjaghar ke sadasye nahin the. Kul milakar Ivory Coast ki sadasyata lagbhag 19,000 hai.

  2. Dekhiye Doctrine and Covenants 115:6.

  3. Woh shabd shaantike kayi alag alag matlab hai. Puraane Greek mein use thamna, aage na badhna, ya dushmanon ke beech jhagda khatam hona ko kehte hai. Hebrew mein is shabd ka kuch bada matlab hai aur kabhi kabhi woh ek tarah ka bhentne ka shabd hai. Shaanti “woh stithi hai jo manushye ko tabhi milti hai jab Parmeshwar sharte aur haalaat tay karta hai” (Howard W. Hunter, Conference Report mein, Oct. 1996, 14–17).

  4. Luke 2:14; zor diya gaya.

  5. Dekhiye Matthew 2:16; Ross Douthat, “The Loss of the Innocents,” New York Times, Dec. 16, 2012, 12 bhi dekhiye.

  6. Matthew 10:16, 22.

  7. Matthew 10:34.

  8. DekhiyeDoctrine and Covenants 84:46.

  9. Dekhiye Doctrine and Covenants 1:33.

  10. Dekhiye Doctrine and Covenants 1:35.

  11. Pradhaan Woodruff ne goshna kiya 1894 mein aur phir se 1896 mein. DekhiyeThe Discourses of Wilford Woodruff, G. Homer Durham ne badlaao kiye (1946), 251–52; Marion G. Romney, Conference Report, Apr. 1967, 79–82 mein bhi dekhiye.

  12. Dekhiye Joseph Fielding Smith, The Predicted Judgments, Brigham Young University Speeches of the Year (Mar. 21, 1967), 5–6. Haalaanki, jaise Elder Neal A. Maxwell ne kaha, “Hum andar ki shaanti mehsoos kar sakte hai bhale hi shaanti ko dharti se le liya gaya hai … [aur] ‘sabhi cheezein uthal puthal ho gayi [hai]” (“Behold, the Enemy Is Combined,” Ensign, May 1993, 79).

  13. Teachings of Presidents of the Church: Joseph F. Smith (1998), 400.

  14. Dekhiye Doctrine and Covenants 59:23.

  15. Teachings of Presidents of the Church: John Taylor (2001), 151.

  16. Puraane Greek logon se lekar, yeh shabd—khushiyaali aur shaanti—ko algaya, nirikshan, aur adhyan kiya gaya hai sirf uske matlab ke liye nahin magar jo maargdarshan woh hamare jiwan ko deta hai ke liye bhi. Dekhiye David Malouf, The Happy Life: The Search for Contentment in the Modern World (2011). Shreemaan Malouf’s ke kitaab ke ek jhaanch ko bi dekhiye, R. Jay Magill Jr., “How to Live Well,” Wall Street Journal, Jan. 26–27, 2013, C6 mein.

  17. Teachings of Presidents of the Church: Heber J. Grant (2002), 226.

  18. “Ivory Coast ke paanch mein se teen stakes behtar 25 mein hai Girjaghar mein baaligon ke pratishat mein jo parivaar ke naam mandir dharamvidhiyon ke liye dete [hai],” aur Cocody Cote d’Ivoire Stake sabse behtar hai pehle numbar par (C. Terry Warner and Susan Warner, “Apostle Visits Ivory Coast, Is ‘Impressed with Exceptional Spirit,’” Church News, Mar. 3, 2013, 4, 14). Jabki raajnaetik yudh ke baaowajood aur jabki sabse nazdeeki mandir 12 ghante dur hai bus ki yaatra se Accra, Ghana mein, yeh ek badhiya saboot hai vishwaas ka aur isse vyaktigat aur parivaarik shaanti praapt hui hai.

  19. Dekhiye Doctrine and Covenants 121:7–8. Pradhaan Harold B. Lee ne sikhlaaya, “Isliye, hamein behtar banna hai; hamein prashikshit hona hai taaki hum apne bal ka saboot pesh kar sakein aur us shakti ko jo hamare andar hai” (Teachings of Presidents of the Church: Harold B. Lee [2000], 208).

  20. 1 Corinthians 14:33.

  21. Marion D. Hanks, “A Loving, Communicating God,” Ensign, Nov. 1992, 63 mein.

  22. Dekhiye Jeffrey R. Holland, For Times of Trouble (2012), 79. Elder Holland sikhlaata hai ki “sachchi gareebi insaan ke aatma ko zyaada niraash karti hai khud paap ke milaan mein.” Magar sahi tarike se dhan ka istemaal karne se shaanti badhti hai.

  23. “Where Can I Turn for Peace?” Hymns, no. 129.

  24. Isaiah 9:6.

  25. John Greenleaf Whittier ne ise saralta se batlaya: “Dhyaan do kis tarah tum jeete ho. Din mein aysa swabhaao na karo jisse tumhari raat ki shaanti chali jaaye” (“Conduct [From the Mahabharata],” The Complete Poetical Works of John Greenleaf Whittier [1802], 484 mein).

  26. Mosiah 4:3; zor diya gaya; Marion G. Romney bhi dekhiye, Conference Report, Apr. 1967, 79–82 mein.

  27. Sachchaai ek naetik compass hai jo shaanti ki or ishaara karta hai. Use jaagrut kiya jaata hai do sroton se: Masih ki Raushni, ek mahimamay janam sidh adhikaar hamare Swarg ke Pita se (dekhiye Doctrine and Covenants 88:6–13; 93:2), aur Pavitra Aatma ka uphaar (dekhiye Doctrine and Covenants 39:6).

  28. “Do tarah ki maafi ki zaroorat hai paapi ko shaanti dilaane ke liye—ek hai Prabhu ke Girjaghar ke sahi adhikaaron se, aur ek khud Prabhu se. [Dekhiye Mosiah 26:29.]” (Teachings of Presidents of the Church: Spencer W. Kimball [2006], 41).

  29. “How Gentle God’s Commands,” Hymns, no. 125.

  30. John 14:26–27.

  31. John 16:33.

  32. “Though Deepening Trials,” Hymns, no. 122.