2010-2019
Uddhaarkarta Chama Karna Chahata Hai
April 2013


Uddhaarkarta Chama Karna Chahata hai

Prabhu hum se pyaar karta hai aur chahata hai ki hum Uske chama karne ke ichcha ko samjhe.

Humare Uddhaarkarta ke maranshil dekhrekh ke dauran kai Unke piche chale, saath mein lekhakh aur ghamandi bhi, “Galilee, … Judaea, aur Jerusalem ke sabhi shaharon se.”1 Ek khaat par leta hua, lakuwe ka shikaar aadmi ko ek badi si sabha mein laaya gaya jo achcha hona chahata tha, magar wah Uddhaarkarta ke kareeb nahi ja saka, uske mitron ne use ghar ke chat par le gaye jaha Uddhaarkata tha aur use neeche utara. Ayse vishwaas ko dekhtey hue, ek mahaan lakshye ke saath jo abhi Uske sunnewaalon ko bhi pata nahi tha, Uddhaarkarta ne batlaya, “Manushye, tere paap chama hue.”2

Is baat se who aadmi achambhit hua hoga, aur bhale hi susamachaar mein is rawaiye par kuch likha nahi hai, shaayad wah soch raha tha ki kya Uddhaarkarta sach mein jaanta tha ki wah kyun aaya tha.

Uddhaarkarta jaanta tha ki kai logon ne Uska picha kiya tha kyunki Weh mahaan chamatkaari the. Pehle hi Usne paani ko angoor ka sharaab banaya tha,3 ashudha aatma ko nikaala,4 karamchaari ke putra ko achcha kiya5 ek kodhi ko, 6, Peter ki saasoo-maa,7 aur kai anye chamatkaar kiye.8

Magar is lakuwe ke shikaar aadmi ke saath, Prabhu ne chuna ki dono ko chelon aur ninda karne waale ko saboot de ki Wah duniya ke Uddhaarkarta hai Apne anmol bhumika mein. Uddhaarkarta ki vaani ko suntey hue, lekhakh aur ghamandi apne aap mein mat-bhed karne lage, ninda kartey hue ki Parmeshwar hi sirf paap se chama kar sakta hai. Unke soch ko dekhtey hue, Uddhaarkarta ne, unse kaha ki:

“Tum apne mano mein kya vivaadh kar rahe ho?

“Kya sahaj hai, kya yah kahana, ki Tere paap chama hue; ya yah kehna, Utho aur chalo?”9

Unke jawaab ka intazaar kare bina, Uddhaarkarta aage badhe: “Parantu isliye tum jaano ki manushye ke putra koprithivi par paap chama karne ka bhi adhikaar hai, [Wah phir lakuwe ke rogi ki or muda] Main tumse kahata hoon ki, Utho, aur apni khaat utha kar apne ghar chala ja.”10 Aur usne waisa hi kiya!

Is chamatkaarik shaaririk changaai ke kaaran, Uddhaarkarta ne hum sabhi ko swikriti di ki yeh hamesha ka shaktishaali dhaarmik sach: Manushye ka Putra paap chama karta hai!

Jabki yah sachchaai sabhi vishwaasiyon ko swikaar hai, itni asaani se woh dusre sachchaai ko nahin apnaate: Uddhaarkarta paap ko chama karta hai “prithivi par” aur na sirf Antim Nyaye ke samay. Wah hume humare paapon mein mukt nahi karta. 11 Wah humare pichle paapon mein lautna ko maaf nahin karta.12 Magar jab hum pashchataap kartey hai aur Uske susamachaar ka paalan karte hai, Woh hume chama karta hai.13

Is pashchataap mein hum Praeschit ke yogye banane waale aur mukti dilaane waale shakti ko khushi se aur kripa se prayog kiya jaata hai. Agar hum Prabhu Ishu Masih mein vishwaas ko karte ha, Uski Praeschitki shakti hume zaroori samay par shakti degi,14 aur Uski mukti ki shakti humepavitra karega jab hum “swabhaawik aadmi ko [nikaal] detein hai.”15 Yah sabhi ko asha deta hai, khaaskar unko jo mahesoos kartey hai ki manushye ki kamzooriyon se baahar nikalna Uddhaarkarta ke madad aur suraksha se baahar hai.

Uddhaarkata ko aosar pradaan karna humari samjhdaari ko badhaane mein,16 Peter ne ek baar pata lagaya ki wah apne bhaai ko kitni baar chama kare aur phir usne pucha, “Kya saat baar tak?” Yah zaroor kaafi hai. Magar Uddhaarkarta ka jawaab tha ki Uske daya bhare mann ko jaanne ke liye apne hriday ka darwaaza kholo: “Main tujh se yahnahi kahata ki saat baar tak: varan, saat baar ke sattar gune tak.”17

Prabhu hum se pyaar karta hai aur chahata hai ki hum Uske chama karne ki ichcha ko samjhe. Doctrine and Covenants ke 20 se bhi ziyaada bhaagon par, Prabhu un sab ko batla raha tha jin se Wah baatein kar raha tha ki unke paapon ko chama kar diya gaya hai,” ya usi tarah ke shabd.18 Un mein se aadhe stithiyon par, Prabhu ki vaani sidhe Bhavishyevakta Joseph Smith ko hi praapt hua tha, kuch baar usi ko batlaya, aur kuch baar dosron ko.19 Sab se pehle 1830 mein likha gaya tha, ant 1843 mein. Is prakaar, kai saalon se, Prabhu ne Joseph ko baar baar batlaya ki uske paapon ko chama kar diya gaya hai.

Jabki Joseph ne koi bhi bada ya kapti paap nahi kiya tha,”20 hume ya jaana achcha hoga ki sirf kuch aosaron par, Prabhu ka “saat baar ke sattar gune” chama ki ahemiyat sirf paap ke gambheerata ko dekh kar hi kiya jaata hai.

Kirtland mein ikattha hue elders se baatein kartey hue, Prabhu ne kaha ki isliye Woh chahata hai ki aap duniya par vijay praapt karein;isliye Wah tum par daya karega.”21 Prabhu humare kamzoriyon ko jaanta hai aur duniya ke bheetari mahatva ko bhi adhure aadmi aur aurat par.22 Is verse mein isliye Uska manzoori hai ki yah sirf Uske daya ke sadgun se hai ki hum duniya par vijay praapt kar saktey hai.”Yah sadgun kis tarah pura hota hai? Inhi elders se Kirtland, mein Usne kaha tha ki Usne unke paapon ke liye unhe chama kar diya hai.”23 Uddhaarkata chama karna chahata hai.

Kisi ko bhi aysa nahin sochna chahiye ki yeh pashchataap bina chama ke aaya. Sahi mein, Prabhu ne yah batlaya hai ki, “Main, Prabhu, unko maaf karta hoon jo Uske aage paap swikaar karta hai aur chama maangta hai,” aur phir Wah unhe aagah karta hai zyaada zarooraton ke baare mein “agar unhonne kisi ko aatmik mrityu tak nahin pahunchaya.”24 Is prakaar Prabhu paap ko andekha nahi kar sakta hai,”25 phirbhi Wah kuch paapon ko gambheerta se dekhta hai. Usne kaha hai ki Pavitra Aatma ke khilaaf vaada karne waale ko chama nahi kiya jaayega.”26Usne hatya ke mahatva ko batlaya27 aur (yaon sambandhi)sexual paap jaise pargaman ke mahatva ko batlaya hai.28 Dobara doharaye hue gambheer yaon sambandhi paap ko lekar Wah yah batlata hai ki Uske liye chama karna mushkil ho jaata hai.29 Aur Usne kaha hai ki “jo log zyaada paap kartein hai zyaada bhugatte hai.”30 Phirbhi, Uske daya se, Wah samay deta hai sudharne ke liye naki turant hi karne ko kehta hai. Chahe kai paapi ho jo maransheel jiwan ka parinaam hai, hum jitna baar pashchataap karke Unke maafi ko maangenge, Woh baar baar maaf karega.31

Is ke kaaran, hum sab, un sab ke saath jo chaalchalan ki lat ko chodne ki koshish kar rahein hai jaese padaarth durupyog ya ashleel chitra aur jo unke kareeb hai, jaan saktey hai ki Prabhu humare sachche koshishon ko jaanta hai aur pyaar se chama karega jab pashchataap puri tarah se hoti hai, “jab tak saat baar ke sattar guna na ho.” Is ka matlab yah nahi hai ki koi khushi khushi paap ko dobara karne lage bina koi saza paaye. 32

Prabhu hamesha humare hriday mein dilchaspi dikhata hai,33 ek tarfa jhuta vishwaas paap ko sahi nahin kehta.34 Is yug mein Prabhu ne Apne ek chele ko ayse ek tarfa vishwaas ke khilaaf chetaoni dete hue goshna ki, “[Use] Nicolaitane dal se sharminda hona chahiye aur unke saare napasand raaz se.”35 Nicolaitans purane dhaarmik dal the jin ke paas aagya thi yaon sambhandhi paap ko karne ke liye Prabhu ke sadgun upkaar ke saath.36 Yah Prabhu ko pasand nahi hai.37 Uska daya aur mahima hamein mukt nahin karta jab “[humare] hriday santusht nahin hai …[aur hum] sachchaai ka paalan nahin karte, magar adharm karne mein aaraam paate hai.”38 Balki, hum jo kuch bhi kar saktey hai ko karke,39 Uska daya aur upkaar raasta hai jaha “ant mein”40 hum duniya par vijay paate hai Praeshchit ke mazboot shakti se. Jab hum vinamrata se is anmol uphaar ko dhoondhenge, “nirbal batein saral ho jaate hai [hamare liye],”41 aur Uske shakti se, hum wah kar saktey hai jo hum akele nahi kar paate the.

Prabhu wah roshni ko dekhta hai jo humne paaya hai,42 humare hriday ki ichcha,43aur humare kaarye,44 aur jab tum pashchataap kartey aur Usse chama maangtey hai, Wah chama karta hai. Jis tarah hum apne aap ko aur apne pyriye janon aur mitron ke jiwan ko dekhtey hai, hume usi tarah apne aap aur dosron ko chama karna chahiye.45

Preach My Gospel lat pade chaalchalan ko chodhne ke musibaton ko batlata hai aur purohiti netaon aur sadasyon ko “ashcharye ya niraash nahi hona chahiye” protsaahit karta hai agar jaanch karta ya naye sadasye us tarah ke musibaton ko jheltey rahatey hai. Balki, hume salaah praapt hui hai ki “us vyagti ko himmat dein aur uski tulna na karein …use saansarik aur samajhne laayak rukawat [maane].”46 Kya hum apne bachchon ya parivaar ke sadasyon ke saath kam kar saktein hai jo isi tarah ke musibaton se guzar rahein hai, jo kuch der ke liye sachchaai ke maarg se bhatak gaye the? Unhe bhi humare madad, vinamrata, aur pyaar ki zaroorat hai—aur haa, humare chama ki.

Pichle October ke maha sammelan mein, Pradhaan Monson ne salaah diya:

“Hume yah yaad rakhna chahiye ki log badal saktey hai. Woh bure kaarye ko chodh saktey hai. Woh paapon se chama pa saktey hai….

“… Hum unki madad kar saktey hai galtiyon se baaz aane mein. Hume sikhna chahiye ki hum insaan ko us tarah na dekhein jaise woh abhi hai balki kis tarah woh ban sakte hai.”47

Abhi jald ke ek Girjaghar ke sabha mein, isi sammelan ki tarah, Prabhu ne sadasyon ko batlaya ki:

“Main tumse kehta hoon ki, tum saaf ho, magar sabhi nahi; …

“Ki sabhi manushye uske aage paapi hai. …

“…Sahi mein Uske aage tumme se kuch apraadhi ho, magar Main tumhare kamzoriyon ko chama karunga.48

Uska sandesh aaj bhi wahi hai.

Humare Swarg ke Pita ko pata hai jo hum jhel rahe hai, ki hum sabhi paapi hai aur baar baar “Parmeshwar 49 ki mahima nahin paate hai.” Usne Apne Putra ko bheja, jo “maanav ke kamzoriyon ko jaanta hai aur kis tarah unko madad karein jo laalach mein hai.”50 Uska Putra hume prarthna karna sikhlata hai “humesha prarthna karo ki [hum] laalach mein na pade.”51 Hume batlaya gaya hai ki “daya ke liye [Parmeshwar] ko pukaro; kyunki wah mahaan bachaanewaala hai.”52 Uddhaarkarta hume aagya deta hai ki hum pashchataap karein53 aur chama karein.54 Aur pashchataap saral nahi hai, jab hum apne pure hriday se Uski susamachaar par chaltey hai, Wah vaada deta hai ki: “Vaastav mein Main tumse kahata hoon ki, tab bhi [tumhare] paapon ko na dekhte hue, mere andar [tumhare] liye daya hai. Main [tumhe] bilkul nahi dur karunga; aur krodh ke din daya karunga.55 Uddhaarkaarta chama karna chahata hai.

Har safta Mormon Tabernacle Choir apne prerit prasaaran ko William W. Phelps ke jaane maane ishbhajan “Gently Raise the Sacred Strain” ke uddhaar karne waale vaani se shuruwaat kartey hai. Chauthe verse ke vaani utne jaana maana nahi hai:

Prabhu Pavitra hai.

Uska vaani anmol hai: …

Pashchataap karo aur jeeo;

Chahe tumhara paap laal hi kiyo na ho,

Oh, pashchataap karo, aur wah tumhe chama karega.56

Main tumhe Prabhu ke vaani ko yaad aur vishwaas karne ke liye amantrit karta hoon aur Us par vishwaas karke pashchataap karo.57 Wah tumse pyaar karta hai. Wah chama karna chahata hai. Main yah gawahi Ishu Masih ke pavitra naam se kehta hoon, amen.