2010-2019
“Yeh Mera Kaarye aur Mahima hai”
April 2013


“Yeh Mera Kaarye aur Mahima hai”

Parmeshwar ne Apni shakti khule aam diya hai unhe jo Unke purohiti ko swikaar aur aadar karte hai, jisse vaada kiye gaye ashirvaad milte hai amaranshilta aur anant jiwan ke.

Pradhaan Packer, hum sab aapke sundar shaaeri ke 98 bhaag ka intazaar karenge. Kitna ashcharyejanak jaankaari usne hamein diya hai.

Kuch saptaah pehle, ek thande, andhere barfile raat ko, meri patni, Barbara, aur mai achambhe se upar baadlo ko dekh rahe the. Bahut badi sankhya mein sitare jhilmila rahe the aur sundar the. Iske baad mainne Pearl of Great Price ko uthaya aur phir se ashcharye se padha jo Prabhu Parmeshwar ne Moses se kaha tha ki Usne unginit duniyaaen banaye hai aur Usne yeh sab Apne khud ke liye banaye hai; aur Uska Putra, Uska Eklauta Putra ke dwara, Usne inhe banaye the (dekhiye Moses 1:33).

Hamare samay mein Hubble gehri-antariksh ka durdarshan yantra (telescope) ne swikriti ki hai woh jo Moses ne dekha tha. Hubble vaygyanik kehte hai, woh Milky Way galaxy, jiski hamara dharti aur suraj sirf ek chota sa bhaag hai, anumaan lagaya jaata hai ki woh 200 bilyan se zyaada usi tarah ke galaxiyon mein se hai. Mere liye yeh kathin hai jaanna, ya naapna, kitna bada aur faela hua Parmeshwar ki rachna hai.

Bhaaiyon aur bahanon, jis shakti se swarg aur dharti banaya gaya tha woh hai purohiti ki shakti. Hum mein se jo log Girjaghar ke sadasye hai is purohiti shakti ke srot ko jo ki Sarvashaktimaan Parmeshwar hai aur Unke Putra, Ishu Masih hai ko jaante hai. Purohiti sirf woh shakti nahin jisse us swarg aur is dharti ko banaya gaya, magar yeh woh shakti bhi hai jo Uddhaarkarta ne Apne maranshil prachaar mein istemaal kiya chamatkaar karne ke liye, ashirvaad dene aur beemaar ko changaai dene, mrit ko jiwan dene, aur, hamare Pita ke Eklaute Putra hone ke naate, Gethsemane aur Calvary mein asehniye dard saha—is tarah se nyaye ke niyamon ko daya se pura kiya aur anant Praeshchit pradaan kiya aur Punarjiwan dwara shaaririk maut par vijay paaya.

Isi purohiti adhikaar ki chaabiyaan aur usse milne waali shakti hai jo Usne Peter, James, aur John aur Apne anye Devduton ko diya logon ko ashirvaad dene aur swarg mein jo batlaya jaaye ko dharti par karne ke liye.

Purohiti ki shakti ek pavitra aur zaroori uphaar hai Parmeshwar ka. Yeh purohiti adhikaar se alag hai, jo ki Parmeshwar ke naam se kaarye karne ka adhikaar hai. Yeh adhikaar ya niyukti sir par haath rakhne se diya jaata hai. Purohiti ki shakti tabhi aati hai jab woh jo use istemaal karte hai yogye hote hai aur Parmeshwar ki ichcha anusaar use karte hai. Jaise Pradhaan Spencer W. Kimball ne ghoshna ki, “Prabhu ne hum sab ko, purohiti rakhne waalon ko, apne adhikaar ka thoda bhaag diya hai, magar hum swarg ke shaktiyon ka istemaal tabhi kar sakte jab hum niji rup se sachche ho” (“Boys Need Heroes Close By,” Ensign, May 1976, 45).

Punahsthaapna ke ashcharyejanak dinon mein aur Ishu Masih ke Girjaghar ka phir se sthaapit hona abhi ke duniya mein, John Baptisma dene waala; Peter, James, aur John; Moses; Elias; aur Elijah dharti par aaye aur Bhavishyevakta Joseph Smith ke dwara purohiti ki sabhi chaabiyaan aur adhikaar ko punahsthaapit kiya Parmeshwar ke kaarye ke liye in antim dinon mein.

Yeh chaabiyaan, adhikaar, aur yeh shakti jo aaj Ishu Masih ke Girjaghar ko aayojit karta hai, jiska mukhya Masih Apne jiwit bhavishyevakta, Thomas S. Monson, aur niyukt kiye gaye Devduton ko netritav karta.

Hamare Swarg ke Pita ke yojna anusaar jo purshon ko purohiti shakti deti hai, purshon ke paas woh vichitra zimmedaari hai purohiti ko istemaal karne ka, magar woh purohiti nahin hai. Purush aur mahila ke paas alag magar ek hi mulye ke bhumikaaen hai. Jaise ek mahila bina ek purush ke bachcha nahin utpann kar paati, isi tarah ek purush ek anant parivaar banane ke liye apne purohiti ke shakti ko purn rup se istemaal nahin kar paaega bina ek mahila ke. Dusre shabdon mein, anantta mein, donon bachcha paeda karne ki shakti aur purohiti ki shakti pati aur patni ke beech baata jaata hai. Aur pati patni hone ke kaaran, ek purush aur ek mahila ko hamare Swarg ke Pita ka aagya maanne ki koshish karni chahiye. Isaai sadgun prem, vinamrata, aur dhaerye par unka dhyaan kendrit hona chahiye jab woh apne jiwan aur apne parivaar ke liye purohiti ke ashirvaadon ko dhoondhte hai.

Yeh hamare liye zaroori hai samajhna ki Swarg ke Pita ne ek raasta tayyaar kiya hai Apne putron aur Apne putriyon ke liye taaki unhe purohiti ke ashirvaad aur shakti dwara mazboot kiya jaaye. Parmeshwar ke yojna mein Unke aatmik bachchon ke liye Unka apna goshna hai: “Yeh hai mera kaarye aur mera mahima—manushye ko amaranshilta aur anant jiwan dilaane ke liye” (Moses 1:39).

Bhavishyevakta Joseph Smith ko mile praktikaran mein jo Doctrine and Covenants bhaag 81, mein diya gaya tha, “Prabhu batlata hai ki purohiti ki shakti kamzor logon ko madad karne, dhile haathon ko shakti dene, aur kamzor ghutnon ko mazboot karne ke liye istemaal karna chahiye” (verse 5).

“Aur [ayse] cheezon ko karne se tum sabse badi achchaai karoge apne bhaai bandhuwon ke liye, aur unki mahima ko prachaar karoge jo tumhara Prabhu hai” (dekhiye D&C 81:4).

Jab hum kamzor logon ko madad karne ki, dhile haathon ko shakti dene ki, aur kamzor ghutnon ko mazboot karne ki sochte hai, mujhe yaad aata hai ek pyaari saat-varshiye ladki jo apne aaja ko ek chota tamatar ka paodha dikhati hai jo uske dusre-kaksha mein saupa tha.

Usne batlaya ki ek chote beej se ek paodha aayega. Aur agar paodha ki dekhbhaal ki jaaye, woh bahut saare tamatar dega aur har ek mein kai beej honge.

Usne kaha, “Aur agar sabhi beej ko bo diya jaaye aur unse aur tamatar huwe, aur tum un beejon ko bo kar aur beej ugaaoge, kuch hi fasalon mein tumhare paas milyaan tamatar ho jaaenge.”

Yeh sabsirf ek chote beej se ho sakta hai,” usne achambhe mein kaha.

Magar phir usne kaha, “Main is paodhe ko maarne waali thi. Main ise ek andhere kamre mein rakhkar bhool gayi thi. Jab mujhe yaad aaya, paodha murjha gaya tha aur mara dikh raha tha. Main royi kyunki mainne socha woh milyan tamatar kabhi nahin badhenge.”

Phir woh apne aaja se us “chamatkaar” ke baare mein batane ke liye utsaahit thi.

Usne kaha, “Maa ne kaha ki shaayad paodha mara nahin. Shaayad use sirf thode paani aur thodi raushni ki zaroorat hai zinda karne ke liye.

“Aur woh sach thi. Mainne paodhe ko thoda paani diya, aur mainne use khidki ke paas raushni mein rakha. Aur anumaan lagao kya hua?” usne pucha. “Woh zinda ho gaya, aur ab us mein se milyan tamatar milenge!”

Uska chota tamatar ka paodha, itni sambhaona se bhara tha magar anchahe laparwaahi se kamzor ho gaya aur mar sa gaya tha, magar phir thoda paani ke madad se mazboot hua aur us ladki ke premi aur dekhbhaal karne waale haathon ki raushni se zinda hua.

Bhaaiyon aur bahanon, hamare pyaare Swarg ke Pita ke aatmik bachche hone ke naate, hamare andar aseemit, divye sambhavna hai. Magar agar hum saodhaan nahin rahenge, hum us murjhaaye hue tamatar ke paodhe ki tarah honge. Hum sahi dharamsiddhaant aur Masih ke susamachaar se dur ja sakte hai aur aatmik rup se kamzor ho sakte hai aur mar sakte hai, apne aap ko divye raushni aur Uddhaarkarta ke jiwan ka paani aur purohiti shakti se dur karke.

Jo purohiti ko rakhte hai aur uska aadar nahin kar paate hamesha hamara parivaaron aur auron ki sewa karke woh unki tarah honge jo un ashirvaadon ko nahin haasil karte jo purohiti ke shakti se milta hai aur nischay hi aatmik rup se kamzor ho jaaenge, apne aap ko zaroori aatmik tatvon, raushni, aur Parmeshwar ki shakti unke jiwan se dur karke—ekdam tamatar ke paodhe ki tarah itni sambhavna rakhta hua magar thukraya gaya aur kamzor.

Wahi purohiti ki shakti jisse duniyaaen, galaxiyaan, aur bhramaand bana hamare jiwan ka bhaag ho sakta hai aur hona chahiye hamare parivaaron, doston, aur padosiyon ko sahayta dene, mazboot karne, aur ashish dene ke liye—anye shabdon mein, un cheezon ko karne ke liye jo Uddhaarkarta karta agar Woh aaj hamare beech hota.

Aur purohiti shakti ka mukhye lakshye hai hamein ashirvaad dena, pavitra karna, aur shudh karna taaki hum parivaaron ki tarah hamare swarg ke maata-pita ki upasthiti mein saath rahein, purohiti ke bandhanon se bandhkar, Parmeshwar aur Ishu Masih ke mahaan kaarye mein bhaag lete huwe Unkeraushni aur mahima ko badhakar.

Is vajah se, kuch mahine pehle mujhe mauka mila vishwabhar ke netaaon ko prashikshit karne ke liye ek video banane ka ke liye jiska shirshak tha Strengthening the Family and the Church through the Priesthood.

Yeh naya aur shikshaprad DVD 66 bhaashaaon mein anuwaad kiya gaya hai. Yeh sikhlata hai kaise purohiti ki shakti hamare jiwan, hamare parivaar ke jiwan, aur Girjaghar ke un sabhi sadasyon ko ashirvaad denge, protsaahan denge, aur phir se zinda karenge.

Woh hum sab ko—purush, mahila, bachche; vivaahit, vidhwa, ya avivaahit; chaahe jo bhi parishthitiyaan ho—dikhata hai kaise hum purohiti ke ashirvaadon ko haasil kar sakte hai. Wahan kayi 8-se lekar-12-minat ke bhaagon hai jo purohiti ke chaabiyon, adhikaar, aur shakti ko samjhate hai aur kaise woh vyaktiyon, parivaaron, aur Girjaghar ko mazboot karta hai.

Ek khaas drishye ek bahut chote purvaj ghar mein utaara gaya tha jo mere maa ki par-aaji Mary Fielding Smith ka tha. Woh Hyrum, Bhavishyevakta Joseph ka bada bhaai ki vidhwa thi. Ek akeli maata hone ke kaaran, usne purohiti mein apne vishwaas se, usi shakti ka istemaal kiya uske bachchon ko paalne aur ashirvaad dene ke liye susamachaar ke prem aur raushni mein. Aaj use badi sankhya mein uske bhaawi peedhi ke vishwaasi sadasyon aur Girjaghar ke sadasyon se dhanyevaad milta hai uske vishwaas, himmat, aur uddharan ke liye.

Yeh naya netaaon ka prashikshan ab intanet mein uplabdh hai LDS.org par sabhi ko dekhne aur anubhav karne ke liye. Tum use live dekh sakte ho LDS.org par, ya tum use apne compiutar, smartphone, ya teblet compiuter mein download kar sakte ho.

Pratham Adhyakshta chahate hai ki “stake adhyakshtaaen aur bishopric ek ya zyaada stake ya ward council sabhaaen istemaal karein is [pure] DVD ko dekhne ke liye. Stake aur ward councilon ko vichaar karna chahiye ki kaise pesh kiye gaye shikshan ko laagu karein” (First Presidency letter, Feb. 1, 2013).

Is DVD mein shaamil cheezein purohiti ke parishad, Sahayak Sanstha, Raviwaar Paathshaala, Jawaan Mahilaaon, Jawaan Purshon ke sadasyon ko prerit aur protsaahit karega (khaaskar woh jo mission ki tayyaari kar rahe hai), aur Praathmik ki sabhaaon mein ya paanchwe-Raviwaar ke samlit kakshaon mein. Council sadasye tab logon aur maata-pitaon ko protsaahit kar sakenge is prasaran ko apne parivaar ke saath baatne mein. Bhaaiyon aur bahanon, yeh netaaon ki prashikshan Girjaghar ke har ek sadasye ke liye hai. Maata-pita, apne bachchon ke saath dekho, baanto, aur baatcheet karo ki kya tum sikhte aur mehsoos karte ho, aur unhe dekhne do aur tumhare saath bhi waisa karne do, taaki tumhara parivaar purohiti dwara mazboot ho sakein.

Ishu ne kaha:

“Yadi koi pyaasa ho, to mere paas aaye, aur piye” (John 7:37).

“Parantu jo koi us paani mein se piyega jo main use dunga; woh phir anantkaal tak pyaasa na hoga” (John 4:14).

“Jagat ki raushni mai hoon: jo mere piche ho lega … jiwan ki raushni paaega” (John 8:12).

Agar tum mein se koi mehsoos karta hai ki tumhara vishwaas ya tumhare gawahi Swarg ke Pita ki yojna ki utni nahin jitna hona chahiye, tumhe aur zyaada Uddhaarkarta par gaur karna hoga. Uske raushni aur Uske jeene ki paani ko apne, apne parivaar ke liye woh karne do jo choda sa paani aur raushni ne kiya kamzor tamatar ke paodhe ko zinda karne mein.

Are ha, mainne shuruwaat ki thi Parmeshwar ke rachnao ke ashcharye ko dekhkar jo purohiti ke shakti dwara milta hai. Main yahan soch raha hoon, jaisa shaayad tum bhi soch rahe ho, agar Parmeshwar ki shakti hamein shikhlane aur ashirvaad dene waale ko kabhi hum samajh paayenge. Yeh kitna mahaan, kitna vishaal, kitna shaktishaali hai.

Joseph Smith ne kaha, “Purohiti ek anant siddhant hai, aur Parmeshwar ke saath anantta se tha, aur anantta tak rahega, bina din ke shuruaat ke ya varshon ke ant ke” (Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith[2007], 104).

Parmeshwar ne Apni shakti khule aam diya hai unhe jo Unke purohiti ko swikaar aur aadar karte hai, jisse vaada kiye gaye ashirvaad milte hai amaranshilta aur anant jiwan ke.

Main gawahi deta hoon ki Ishu Masih ka kaarye purohiti ke zariye sampurn hota hai. Woh wahi shakti hai jisse Swarg ke Pita aur Unke Priye Putra ne dharti ke rachna ki aur mahaan khushiyaali ki yojna ko hamare liye jaari kiya. Hum budhimaan bane aur apne, apne parivaar, aur Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ko mazboot karne ki soche Parmeshwar ki purohiti ki shakti dwara, hai mera vinamra prarthna, Ishu Masih ke naam se, amen.