2010-2019
Sammelan mein Swaagat
April 2013


Sammelan Mein Swaagat

Main aapse niwedan karta hoon ki aap dhyaan dein aur apnaaye in sandeshon ko jo aaj aap sunenge. Taaki hum aysa karein hai mera prarthna.

Mere priye bhaaiyon aur bahanon, main kitna prasann hoon aap ka swaagat karne ke liye Girjaghar ke is 183rd Vaarshik Maha Sammelan mein.

Hamare pichli mulakaat che mahine pehle se lekar ab tak, mujhe mauka mila hai thodi yaatra karne ka aur tum mein se kuch logon ko tumhare ilaako mein milne ka. October maha sammelan ke baad, main Germany gaya tha, jahan mera saobhaagye tha hamare sadasyon se milne ka kai alag alag jagahon par us desh mein is ke saath Austria ke kuch bhaagon mein bhi.

October ke ant mein, mainne Calgary Alberta Mandir jo Canada mein hai ka samarpan kiya, Elder aur Bahan M. Russell Ballard, Elder aur Bahan Craig C. Christensen, aur Elder aur Bahan William R. Walker ke saath. November, mein mainne Boise Idaho Mandir ka phir-se samarpan kiya. Is baar mere saath Elder aur Bahan David A. Bednar, Elder aur Bahan Craig C. Christensen, aur Elder aur Bahan William R. Walker safar kar rahe the aur samarpan mein bhaag liya unhonne.

In donon samarpanon se sambandhit sanskritik samaroh badhiya the. Main Calgary ke sanskritik samaroh mein nahin shaamil tha khud, kyunki woh Bahan Monson ka janam-din tha aur mainne socha ki mujhe uske saath rehna chahiye. Haalanki, uska aur mera saobhaagye tha samaroh ko apne ghar mein dekhne ka durdarshan ke zariye, aur phir agli subha mainne Calgary ke liye udaan bhara samarpan ke liye. Boise mein 9,000 yuva se zyaada ne sanskritik samaroh mein bhaag liya. Itne saare yuva shaamil the ki wahan parivaar sadasyon ke liye arina mein jagah nahin tha shaamil hone ke liye.

Abhi pichle hi mahine Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Bahan Uchtdorf, Elder aur Bahan Jeffrey R. Holland, aur Elder aur Bahan Gregory A. Schwitzer ke saath, Tegucigalpa, Honduras gaye, wahan par hamare naye banaye gaye mandir ka samarpan karne. Unke saath gaye the Chetra Adhyakshta ke sadasye aur unke patniyaan. Samarpan se pehle yuvakon ne badhiya samaroh kiye samarpan se pehle waali shaam ko.

Kayi aur mandiron ke banne ki suchna di jaa chuki hai aur jo shuruaat ke kaarye ke alag alag stej par hai ya nirmaan ho rahe hai.

Yeh mera saobhaagye hai aaj subha do aur mandiron ki suchna dene ka, jo aane waale mahino aur saalon mein in jagahon par banenege: Cedar Shahar, Utah aur Rio de Janeiro, Brazil. Bhaaiyon aur bahanon, mandir banane ka kaam bina rukawat ke aage badh raha hai.

Jaisa ki tum jaante ho, October maha sammelan mein mainne pure-samay ke prachaar mein jaane waale jawaan purush aur jawaan mahilaaon ki yogye umra mein badlaao kiye the, jiske anusaar jawaan purush 18 varsh ke umra mein aur jawaan mahilaaen 19 varsh ke umra mein sewa pradaan kar sakenge.

Hamare jawaan logon ka pratikriya dekhne yogye aur prerna bhara raha hai. April 4h tak—do din pehle—hamare paas 65,634 pure-samay ke sewa pradaan karne waale prachaarak hai, jabki 20,000 anye yuvakon ne kolls praapt kar liye hai magar jo abhi prachaarak prashikshan kendra nahin gaye hai aur 6,000 anye yuvak apne bishops aur stake adhyakshon ke saath bhentvaarta kar rahe hai. Hamein zaroori pada 58 naye mission ko shuru karna taaki hum itne saare prachaarakon ki dekhrekh kar sakein.

In prachaarakon ki sankhya barkaraar rakhne ke liye, aur kyunki hamare kayi prachaarak saade paristhitiyon se aate hai, hum aapko amantrit karte hai, jaise tumhari subidha ho, ki Girjaghar ke Maha Prachaarak Punji mein uddaarta se daan dein.

Ab, bhaaiyon aur bahanon, hum aaj aur kal prerit sandeshon ko sunenge. Jo hamein bhaashan denge ne prarthna dwara janna chaaha kya Prabhu chahate hai ki hum is samay sunein

Main aapse niwedan karta hoon ki aap dhyaan dein aur apnaaye in sandeshon ko jo aaj aap sunenge. Taaki hum aysa karein hai mera prarthna Prabhu, Ishu Masih ke naam se, amen.