2010-2019
Dekhrekh karne ki Tumhari Pavitra Zimmedaari
April 2013


Dekhrekh karne ki Tumhari Pavitra Zimmedaari

Tumne shakti, adhikaar, aur pavitra kartavvye paaya hai dekhrekh karne ka jab tum purohiti mein niyukt kiye gaye the.

Dekhrekh Karne Ka Anand

Aaronic Purohiti ke jawaan purush, tum Parmeshwar ke priye putra ho, aur Uske paas tumhein dene ke liye badhiya kaam hai. Is kaam ko pura karne ke liye, tumhe apna pavitra kartavvye nibhana hoga auron ki dekhrekh karne ka.1

Kya tum dekhrekh ka matlab jaante ho? Is sawaal ke baare mein socho jabtak main tumhe Chy Johnson naamak ladki ke baare mein batata hoon.

Jab Chy ne pichle saal skool shuru ki, woh kathor aur murkh badmaashi ka shikaar hui. Usse achcha vayvahaar nahin kiya gaya jab woh kaksha mein gayi—kuch students ne uspar maela pheka. Tumne shaayad apne skool mein logon ko is tarah ka vayvahaar karte dekha hoga.

Kai logon ke liye, yuvapan ka umra akelepan aur dar ke saal hota hai. Aysa nahin hona chahiye. Achcha hua Chy ke saath, uske skool mein jawaan purush the jo jaante the dekhrekh ka matlab.

Chy ki maa ne skool ki shikshakon se madad maangi thi is atyachaar ko band karne ke liye, magar woh hota raha. Phir usne Carson Jones ko sampark kiya, jo ek Aaronic Purohiti rakhnewaale the aur football team ke mukhye khiladi the khel ko shuru karne ka. Usne usse kaha pata lagane ke liye ki kaun aysa badmaashi kar raha hai.

Carson madad karne ke liye tayyaar tha, magar uske dil mein usne mehsoos kiya ki woh badmaasho ko pehchanne se zyaada kar sakta hai. Aatma ne usse kaha Chy ko pyaar ki zaroorat thi.

Carson ne apne team ke kuch ladkon se madad li Chy ki dekhrekh ke liye. Unhonne use dopahar ke bhojan ke liye saath bulaya. Woh uske saath kaksha gaye taaki woh surakshit rahe. Aysa hua, ki jab football ke khiladi uske dost bane, kisi ne Chy se badmaashi nahin ki.

Yeh football team ke liye ek achcha mausam tha. Magar is mausam ke bhaagdaud mein bhi, in jawaan purshon ne Chy ke baare mein nahin bhula. Unhonne use maedaan mein amantrit kiya khelon ke baad. Chy ne pyaar aur apnapan mehsoos kiya. Usne surakshit mehsoos kiya. Woh khush thi.

Football team dwara state ka mukaabla bhi jeeta gaya. Magar football mukaable se kuch aur achcha hua unke skool mein. In jawaan purshon ke achche uddharan ne anye students ko zyaada apnapan, dosti dikhane ke liye protsaahit kiya. Ab woh ek dusre se zyaada daya aur sammaan se pesh aate hai.

Desh ka samachaar media ne paaya yeh jawaan purushon ne kya kiya aur unki kahani desh bhar mein batlaai gayi. Jo ek ki dekhrekh se shuru hua ab saekdo ko prerit kar raha hai waisa hi karne mein.

Chy ki maa in jawaan purshon ko “nakaab mein farishte” kehti hai. Carson aur uske dost yeh kehte hai ki Chy ne unke jiwan ko ashirvaad diya hai unhonne jitna kiya usse zyaada. Wahi hota hai jab tum dusro ki sewa mein khud ko kho deti ho—tum khud ko paa leti ho.2 Tum ayse tariko se badalti aur badhti ho jo waise to mushkil hota. In jawaan purshon ne dekhrekh aur auron ko ashish dene ke maukon ko dhoondhne ke anand ko paaya hai. Aane waale mahino mein woh utsuk hai pure samay ke pracharak ke rup mein dekhrekh karne ke liye.3

Ek Zaroorat aur ek Kartavvye

Saekdo Chy Johnson hai duniya bhar mein—woh log jo Swarg ke Pita ka prem mehsoos karna chahate hai. Woh tumhare skool mein, parishad mein, aur tumhare parivaar mein bhi hai. Kuch jaldi yaad aate hai. Anye ke kam prasidh zarooratein hai. Asal mein jinhe tum jaante ho kisi tarah se ashish paa sakte hai tumhare dekhrekh se. Prabhu chahata hai ki tum untak pahuncho.

Tumhe badhiya khiladi nahin hona hai dusre ki dekhrekh karne ke liye. Tumne shakti, adhikaar, aur pavitra kartavvye paaya hai dekhrekh karne ka jab tum purohiti mein niyukt kiye gaye the. Pradhaan James E. Faust ne sikhlaya. “Purohiti purush ko diya gaya adhikaar hai Parmeshwar ke naam se dekhrekhkarne ka.”4 Aaronic Purohiti farishte jaisa dekhrekh ki chaabiyaan rakhta hai.5

Jab tum Unke bachchon ko pyaar karoge, Swarg ke Pita tumhe maargdarshan denge, aur farishte madad karenge.6 Tumhe jiwanon ko ashirvaad dene aur aatmaon ko bachane ki shakti di jaaegi.

Ishu Masih hamare Uddharkarta hai. Woh “sewa karwane nahin aaya, parantu isliye ki woh sewa karein kisi ki.”7Sewa karne ka matlab hai auron se prem aur unki dekhrekh karna. Iska matlab hai unke sharirik aur aatmik zarooraton ko pura karna. Saralta se liya jaaye, to uska matlab hai woh karo jo Uddhaarkarta karta agar Woh yahan hota.

Tumhara Parivaar

Apne ghar mein shuruaat kijiye. Yahi woh jagah hai jahan sabse mahatvapurn dekhrekh hoga.8

Kya tum ek dilchasp parikshan karna chahoge? Agli baar tumhari maa tumhari madad maange ghar mein, kuch aysa kehna, “Dhanyevaad, Maa. Main madad karna pasand karta hoon.” Tab uska pratikriya dekhna. Aap mein se kuch log apne first aid ke gun ko seekhna chahoge yeh karne se pehle. Tum use jhatka de sakte ho. Use hosh mein laane ke baad, tum badlaao dekhoge apne rishte mein uske saath aur ghar mein Aatma ki upasthiti paaoge.

Yeh sirf ek tarika hai apne parivaar ki dekhrekh karne ka; kayi aur tarike bhi hai. Tum dekhrekh karoge jab tum apne parivaar sadasyon se dayalu shabd bologe. Tum dekhrekh karoge jab tum apne bhaai bahanon se chahite mitron ki tarah pesh aaoge.

Shaayad sabse avashyak, tum dekhrekh karoge jab tum apne pita ka haath-bataoge ghar ke unke aatmik kartavvyon mein. Apna pura samarthan aur protsaahan dein parivaarik shaam sabha, parivaar prarthna, aur parivaar dharamshaastra adhyan mein. Apni bhumika nibhaae taaki Aatma tumhare ghar mein maujood ho. Isse tumhare pita ka bhumika mazboot hoga aur tum kisi din pita banne ke liye tayyaar hoge. Agar tumhare ghar mein pita nahin hai, tumhari dekhrekh karne ki zimmedaari parivaar mein aur avashyak ho jaati hai.

Tumhara Parishad

Tumhare paas kartavvye hai apne parishad ki dekhrekh ka.

Purohiti vishwa bhar mein fael raha hai. Aap mein se kai log Pradhaan Monson ke bachaao ke pukaar ko sunn rahe ho. Aaj Girjaghar ke itihaas mein sabse zyaada sakriye Aaronic Purohiti ke rakhnewaale hai pehle ke milaan mein. Phir bhi kuch hai jo kam sakriye hai aur unhe tumhari zaroorat hai.

Pichle June, jab Bangalore, India mein ek naya shaakha aayojit hua tha, purohiti sabha mein sirf ek jawaan purush tha, Gladwin naam ka, jo haal hi mein deacon bana tha.

Gladwin, Jawaan Purush ke pradhaan aur shaakha adhyaksh ne, kam-sakriye jawaan purshon ko sampark kiya aur unke gharon mein bhent kiya. Jald ek dusra jawaan purush, Samuel, girjaghar aane laga.

Har saptaah Gladwin aur Samuel unhe sampark karte jo parishad ke sabha mein nahin aate aur unhe woh batlate jo unhonne sikha tha. Woh unke janam dinon par bhi unhe sampark karte ya bhent karte. Ek ek karke, kam-sakriye jawaan purush unke dost bane aur parishad ke gatividhiyon, sabhaaon, aur dekhrekh karne ke liye aane ka nimantran swikaar kiye. Aaj, us shaaka ke sabhi jawaan purush Girjaghar mein sakriye hai.

Dharamshaastra sikhlaate hai ki Aaronic Purohiti parishadein salaah karne ko baethe aur aatmik vikaas karein—ya banaye aur mazboot karein—ek dusre ko.9 Tum vikaas karoge jab tum susamachaar ki sachchaaiyon ko sikhlaaoge, dhaarmik anubhavein baantoge, aur gawahi doge. Yuva ka adhyan suchi ayse vaartalaap parishad ke sabhaaon mein protsaahit karta hai, magar yeh tabhi ho sakta hai jab parishad ka har sadasye pyaar aur aadar mehsoos karein. Dhamkana aur chidhaana parishad ke sabha ke liye nahin—khaaskar jab ehsaas khule aam kahe jaate hai. Parishad adhyakshtaaon ko yeh dekhna hai ki parishad sabhaaen surakshit sthaan hai sabhi ko bhaag lene ke liye.

Devdut Paul ne chetaoni di, “Koi gandi baat tumhare muh se na nikle, par avashyakta ke anusaar wahi nikle jo unnati ke liye uttam ho, taaki use sunne waalon par anugrah ho.”10

Purohiti rakhnewaale kabhi ashlil ya gande bhaasha nahin istemaal karte. Woh kabhi kisiko nicha nahin dikhate ya chot pahunchate hai. Woh hamesha viksit karte aur mazboot karte. Yeh ek saral magar shaktishaali tarika hai dekhrekh ka.

Sabhi Samay Par

Dekhrekh karne ka kaam sirf dharamvidhiyon ya gharelu shikshan bhenton ya kabhi kabhaar ki sewa ke kaarye hi nahin. Hum sabhi samay purohiti purush rehte hai—sirf Raviwaar aur jab hum safed shirt aur tae pahente hai nahin. Humara dekhrekh karne ka kartavvye hai jahan bhi hum hai. Dekhrekh sirf karne waali cheez nahin—woh hamara pehchaan tay karta hai.

Har din dekhrekh karo. Mauke tumhare sabhi or hai. Unhe dhoondho. Prabhu se kaho ki tumhari madad kare unhein pehchaanne mein. Tum paaoge ki kai sirf chote, dilse kiye kaam hai jo auron ki madad karta Ishu Masih ki tarah banne mein.11

Jab tum Aatma ke laayak banne ki koshish karoge, tum un soch aur ehsaas ko pehchaanoge jo dekhrekh karne ke liye prerna deta hai. Jab tum in prerna par kaarye karoge, tumhe aur milenge aur tumhare dekhrekh karne ke mauke aur chamta badhenge aur faelenge.

Mere yuva bhaaiyon, main gawahi deta hoon ki tumhe vishaal Aaronic Purohiti ka adhikaar aur shakti mila hai Parmeshwar ke naam mein dekhrekh karne ke liye.

Main gawahi deta hoon aysa karne se, tum Parmeshwar ke haathon ka aozaar banoge auron ki madad karne ke liye. Tumhara jiwan bharpur aur arthpurn hoga. Tumhe buraai se bachne mein zyaada taaqat milegi. Tum sachchi khushi paaoge—woh jo sirf Ishu Masih ke sachche chelein jaante hai.

Aasha hai ki tum dekhrekh karne ke pavitra kartavvye ko pura karne mein anand anubhav karoge, main Ishu Masih ke naam se kehta hoon, amen.