2010-2019
Unki Vaani ki Ghoshna karne Ke Liye Pukaara Gaya
October 2013


Unki Vaani ki Ghoshna karne Ke Liye Pukaara Gaya

Agar tum vineet, aagyakaari, aur Aatma ke awaaz ko sunne waale hoge, tum bahut khushiyaali paaoge apne prachaar sewa mein.

Jab mera samarthan hua pichle April mein Maha Adhikaari ke padh par, main India mein mission pradhaan tha. Mainne khud woh dekha jo ek anye mission pradhaan ne mujhe batlaya tha: “Is Girjaghar ke prachaarak bahut prabhaaoshaali hai.”1

Ek bahut hi safal prachaarak jiske saath Bahan Funk aur main ne sewa pradaan kiya tha Elder Pokhrel Nepal ka. Woh sirf do saalon se Girjaghar ka sadasye tha, jab use India Bangalore Mission mein sewa karne ki niyukti mili, jo ek Angrezi-bhaasha ka mission tha. Woh tumhe batlaaega ki woh theek se tayyaar nahin tha. Jo ki samajhne laayak hai. Usne ek prachaarak ko tab tak nahin dekha tha jab tak woh khud ek nahin bana, kiyuki koi bhi jawaan parchaarakon ne Nepal mein sewa pradaan nahi kiya tha. Woh Angrezi nahin padhta tha achchi tarah jisse ki woh apne call mein likhe uddeshye ko samajh paaye. Jab woh prachaarak prashikshan kendr mein pahuncha, bajaae achche paejaame, safed shert, aur tie ke, usne, “paanch denim jeens, kuch T-sherts, aur bahut saara baal mein lagane waale gel bhare laane ke liye.”2

Theek thaak kapde milne ke baad bhi, usne kaha woh adhura mehsoos kar raha tha har din shuruaat ke hafto mein. Usne apne mission ke us samay ke baare mein batlaya: “Na sirf Angrezi kathin tha, magar kaam bhi chunaotipurn tha. … Uske alaawa, main bhuka, thaka hua, aur ghar ki yaad aa rahi thi. … Bhale hi paristhitiyaan mushkil thi, mera iraada pakka tha. Main kamzor aur adhura mehsoos kar raha tha. Main un samay par Swarg ke Pita se prarthna karta madad ke liye. Har baar, mujhe sahanubhuti mehsoos hoti.”3

Bhale hi prachaar kaarye Elder Pokhrel ke liye naya aur chunaotipurn tha, usne zyaada vishwaas aur aagyakaarita se sewa ki, hamesha woh seekhna aur karna chahata jo woh dharamshaastra, Preach My Gospel, aur apne mission netaaon se seekhta tha. Woh susamachaar ka ek shaktishaali shikshak ban gaya—Angrezi mein—aur ek badhiya neta. Mission ke baad kuch samay Nepal mein rehne ke baad, woh India lauta apni padhaai puri karne. January se usne New Delhi mein branch adhyaksh ki sewa ki hai. Kyunki prachaarak rehte samay usne sachchi badhanti anubhav ki, woh aaj bhi India ke hamare Girjaghar mein sachchi badhanti mein haath bataya hai.

Kaise ek jawaan purush ne jisne kabhi ek prachaarak ko nahin dekha tha aysa ban gaya jiske paas dhaarmik shakti thi? Kaise tum ek prachaarak ke rup mein dhaarmik shakti paaoge gharon mein jaane, e-mail dwara, aur un logon ke dilon tak jo tumhare mission mein rehte hai? Pehle ki tarah, dharamshaastra aur jiwit bhavishyevakta aur devduton ke paas jawaab hai.

Jab susamachaar pehli baar England mein prachaar hua tha July 1837 mein, Prabhu ne goshna ki[Devduton ko], “Jis kisi ko bhi woh Mere naam mein bhejega, tumhare bhaaiyon ke boli ke zariye, Barah ka Parishad, jinhe sifaarish kiya gaya ho aur adhikaar diya gaya ho tumhare zariye, ko shakti milegi mere raajye ka darwaaza kholne ke liye kisi bhi desh mein jahan kahin bhi tumhe bheja jaaye.”4

Jahan kahin bhi tumhe bheja jaaye, kisi bhi mission mein tumhe aayojit kiya jaaye, yeh jaani ki Barah ke Parishad ka ek sadasye ne us aayojna ki sifaarish ki hai aur tumhe Prabhu ke bhavishyevakta dwara niyukt kiya gaya hai. Tumhe “bhavishyevaani, aur sir par haath rakhne se niyukt kiya gaya hai.”5

Prabhu ne tab is vaade ko pura karne ke shart ko batlaya. Prabhu ne kaha ki “Jab tak [matlab vaada tab pura hoga jab] woh [yaane ki bheje gaye prachaarak] [1] khud ko vineet na banaye Unke saamne, aur [2] Unke shabd ka paalan karein, aur [3] Unki Aatma ki awaaz na sune.”6

Prabhu ke vaade spasht hai. Agar dhaarmik shakti zaroori hai Parmeshwar ke raajye ke darwaaze ko kholne ke liye us desh mein jahan tumhe bheja jaaye, tumhe vineet aur aagyakaari aur Aatma ko sunne aur paalan karne ki chamta rakhni chahiye.

Yeh teen gun bahut kareebi se jude huwe hai. Agar tum vineet rahoge, tumhe aagyakaari rehna hoga. Agar tum aagyakaari rahoge, tum Aatma ko mehsoos karoge. Aatma zaroori hai, kyunki, jaise Pradhaan Ezra Taft Benson ne sikhlaya, “Aatma ke bina, tum kabhi safal nahin hoge bhale hi tumhare paas gun aur chamta hai.”7

Mission adhyaksh ke rup mein, main aksar prachaarakon se vaartalaab karta jo sangharsh karte kyunki woh abhi puri tarah se yogye nahin the. Woh puri tarah se apne dhaarmik saobhaagye mein nahin ji rahe the. Chaahe kitni kadi mehnat woh karte ya kitni achchaai woh karte, unhe shaanti nahin milti aur woh Pavitra Aatma ka saath nahin aazma paate jabtak woh apne aap ko vineet nahin bana lete the, puri tarah se pashchataap karke, aur Uddhaarkarta ke upkaar aur daya ko paa lete.

Prabhu Apne sewakon ko vineet rehne ko kehta hai kyunki dhaarmik changaai paane ke liye tute hriday se shuruaat karni padhti hai. Yeh sochiye ki kitni achchaai hoti hai tute cheezon se: Mitti ko foda jaata hai gehu ko bone ke liye. Gehu ko tota jaata hai roti banane ke liye. Roti ko toda jaata hai prabhubhoj ke chinh banne ke liye. Jab ek pashchataapi vyakti prabhubhoj ko grahan karta hai ek tute hriday aur ek pashchataapi aatmi se, woh sampurn ban jaata hai.8 Jab hum pashchataap karte aur sampurn ban jaate hai Ishu Masih ke Praeshchit ke zariye, hamein aur bahut kuch Uddhaarkarta ko bhent karna padhta hai Unki sewa karte samay. “Haan, unke paas aao, aur apne puri aatma ko Unke liye ahuti mein de do.”9

Agar tum bojh se dabe ho aur pashchataap karna chahate ho, kripya aysa turant kare. Jab Uddhaarkarta ne rogiyon ko changa kiya, Usne aksar unhe uthne ka nimantran diya. Dharamshaastra mein batlaata hai ki unhonne usi samay, ya turant waisa kiya.10 Apne dhaarmik dubidhaao se changaai paane ke liye, kripya Unke uthne ke nimantran ko maan jaao. Bina chuke, apne bishop, shaaka adhyaksh, ya mission adhyaksh se baat karo aur pashchataap ki vidhi abhi shuru kar do.

Praeshchit ki changaai ki shakti tumhe aatmashaanti degi aur Pavitra Aatma ko mehsoos karne ki chamta. Uddhaarkarta ka balidaan naapa nahin jaa sakta, magar hamare paap, bhale hi anginit aur gambheer ho, ko geena aur swikaara, thukraya aur maaf kiya jaa sakta hai. Prabhu ne kaha hai ki “Unko bahut khushiyaali milta hai jab koi pashchataap karta hai!”11

“Prabhu ne ek shaktishaali vaada kiya jab Usne kaha ki agar hum sadgun ko hamesha apne soch ko sundar banane dein, tab hamara nidarta mazboot hoga Parmeshwar ki upasthiti mein.”12 Jab tum sadgun ka jiwan jioge, tum shaantipurn nidarta mehsoos karoge Parmeshwar ke aage apni yogyata mein aur tumhare paas Aatma ki shakti hogi.13

Kuch log jo Girjaghar ke naye sadasye hai ya jo log haal hi mein puri gatividhi mein aaye hai kahenge, “Main ab yogye hoon aur sewa karne ki ichcha rakhta hoon, magar main nahin jaanta ki kya mera gyaan paryaapt hai.” April mein Pradhaan Thomas S. Monson ne hamein sikhlaaya, “Sachchaai ka gyaan aur hamare gehre sawaalon ka jawaab tab milta hai jab hum aagyakaari hote hai Parmeshwae ke aagyaaon ke prati.”14 Yeh jaanna ki hamare aagyakaarita ke zariye hum gyaan paate hai kitna aashwaasan deta hai.

Anye log mehsoos karenge ki unke paas kam gunn, chantaaen, ya anubhav hai dene ke liye. Agar tumhare aysi chintaaen hai, Elder Pokhrel ka anubhav yaad karo. Achchi tarah tayyaari karo, aur yeh jaano ki Swarg ka Pita tumhare vineet aur aagyakaari koshishon ko dugna karenge. Elder Richard  G.Scott ne yeh protsaahan bhara salaah diya: “Jab hum Prabhu ke aagyaaon ka paalan kartein hai aur Uske bachchon ki sewa bematlab se karte hai, Parmeshwar se prakritik shakti milti hai—aur zyaada shakti praapt hota hai jo humare paas nahi hai. Humare dekhrekh, humare gun, humare chamtaein badhti hai kyunki hum Prabhu se mazbooti aur shakti praapt kartein hai.”15

Jab tum Prabhu aur Unki achchaai mein bharosa karoge, Sarvashaktimaan Parmeshwar Apne bachchon ko tumhare zariye ashirvaad dega.16 Nevada ka Elder Hollings ne apne mission ke shuruaat mein yeh seekh liya tha. India pahunchne ke ek din baad, Woh Bahan Funk aur mere saath Rajahmundry gaya, jo uska pehla ilaaka tha. Us shaam Elder Hollings aur Elder Ganaparam ek Girjaghar sadasye aur unki maa se milne gaye. Woh maa Girjaghar ke baare mein seekhna chahati thi kyunki usne dekha tha ki kaise susamachaar ne uske putri ke jiwan mein ashirvaad diya tha. Bahan Funk bhi unke saath gayi sangat dene ke liye. Kyunki paath Angrezi me dena tha aur maa Telugu bolti thi, shaakha ka ek bhaai wahan tha anuwaad karne ke liye.

Elder Holling ko First Vision(Pehli Drishti) ke baare mein padhana tha, Bhavishyevakta Joseph ke shabd istemaal karke. Paath mein us samay, woh Bahan Funk ki or muda aur pucha, “Kya mai har shabd isi tarah kahun?” yeh jaante huwe ki uske anuwaad hoga.

Usne jawaab diya, “Uske har ek shabd ka istemaal karna taaki Aatma uski gawahi de sake.”

Jab is naye prachaarak ne dil se Pehle Drishti ko sikhlaya, Bhavishyevakta ke shabdon ka istemaal karke, us priye bahan ka chehra badal gaya. Ansoo gir pade. Jab Elder Hollings ne us vishaal sandesh ka ant kiya aur un shabdon ka anuwaad karne se pehle, usne apne bhaasha mein aansoo bahate huwe kaha, “Kya main baptisma le sakti hoon? Aur kya tum mere bete ko sikhlaaoge?”

Mere jawaan saathi sewak, darwaaze aur dil har din susamachaar sandesh ke liye khulte hai—ek sandesh jo aasha aur shaanti aur khushiyaali deta hai duniya bhar ke Parmeshwar ke bachchon ko. Agar tum vineet aur aagyakaari aur Aatma ke awaaz ko sunne waale hoge, tum bahut khushiyaali paaoge apne prachaar sewa mein.17 Kitna achcha mauka hai prachaarak hone ka—ek samay jab Prabhu Apne kaarye ko jald aage badha raha hai!

Main hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih, aur Unke “divye aagya”18 jo tha “isliye tum jaakar sab jaati ke logon ko chela banaao.”19 ki gawahi deta hoon. Yeh Unka Girjaghar hai. Woh uski agwaai jiwit bhavishyevaktaaon aur devduton ke zariye karta hai. Agle ek ghante mein, Pratham Adhyakshta hamein sikhlaaenge. Hum Mormon ki tarah, “sheegr dekh lein,”20 taaki jab woh pukaare, hum yogye rahe aur Aatma ki shakti se goshna kar sake: “Suno, main Parmeshwar ke Putra, Ishu Masih ka ek shishye hoon. Unke logon mein Unki vaani ki goshna karne ke liye main pukaara gaya hoon, jisse ki unko anant jiwan mile.”21 Ishu Masih ke naam se, amen.

Vivran

  1. Personal conversations with Dennis C. Brimhall, president of the Kentucky Louisville Mission, 2005–8.

  2. Ashish Pokhrel, “My Name Is Ashish Pokhrel and This Is My Story” (unpublished personal history, Sept. 2011).

  3. Pokhrel, “My Name Is Ashish Pokhrel.”

  4. Doctrine and Covenants 112:21.

  5. Vishwaas ke Vishay 1:5.

  6. Doctrine and Covenants 112:22.

  7. Ezra Taft Benson, Preach My Gospelmein: A Guide to Missionary Service (2004), 176.

  8. Elder Jeffrey R. Holland ke bhaashan mein se li gayi tippaniyaan Bountiful Utah North Stake conference par, June 8–9, 2013.

  9. Omni 1:26.

  10. Dekhiye Mark 5:41–42; John 5:8–9.

  11. Doctrine and Covenants 18:13.

  12. Doctrine and Covenants 121:45.

  13. Dekhiye Doctrine and Covenants 121:46.

  14. Thomas S. Monson, “Obedience Brings Blessings,” Ensign ya Liahona, May 2013, 89.

  15. Richard G. Scott, “For Peace at Home,” Ensign ya Liahona, May 2013, 30.

  16. Batlaate hue ki kayi prachaarak kya karenge, Elder Russell M. Nelson ne kaha: “Woh karenge jo prachaarakon ne hamesha kiya hai. Weh susamachaar ka prachaar karenge! Weh Sarvashaktimaan Parmeshwar ke bachchon ko ashirwaad denge! (“Prachaar kaarye ke Lahar ko Pakadna,” Ensign ya Liahona, May 2013, 45).

  17. Dekhiye Preach My Gospel, v.

  18. Thomas S. Monson, “Come, All Ye Sons of God,” Ensign ya Liahona, May 2013, 66.

  19. Matthew 28:19.

  20. Mormon 1:2.

  21. 3 Nephi 5:13.