2010-2019
Sammelan mein Swaagat
October 2013


Sammelan mein Swaagat

Yeh mera prarthna hai ki hum sunnte aur seekhte samay Prabhu ki Aatma se bhare rahe.

Kitna achcha hai, mere priye bhaaiyon aur bahanon, ek baar phir hum mile hai. Prabhu ke nirdeshan mein, Bhavishyevakta Joseph Smith dwara Girjaghar ko ayojit kiye 183 varsh ho gaye hai. April  6, 1830 ke sabha mein, Girjaghar ke che sadasye maujood the.1

Main khush hoon yeh ghoshna karke ki do saptaah pehle, Girjaghar ki sadasyata 15 milyan ho gayi. Girjaghar lagataar badh raha hai aur har varsh zyaada se zyaada logon ke jiwan ko badalta hai. Woh duniya bhar mein fael raha hai hamara prachaarak sena ki madad se jo sachchaai dhoondhne waalon ko dhoondh nikaalte hai.

Abhi ek varsh hi hua hai jabse mainne prachaarak sewa ki umra ko ghatane ki ghoshna ki thi. Us samay se pure-samay ke prachaarak ki sankhya jo October 2012 mein 58,500 thi aaj 80,333 ho gayi hai. Hum ne ek badhiya aur prerna bhara jawaab dekha hai!

Pavitra dharamshaastra mein isse uchit koi ghoshna nahin, koi zimmedaari nahin, isse spasht koi updesh nahin jo ki punarjiwit Prabhu ne diya jab Woh Galilee mein gyarah chelon ke saamne pragat hua. Usne kaha, “Isliye tum jaao, sab jaatiyon ke logon ko chela banao, aur unhe Pita, Putra aur Pavitra Aatma ke naam se baptisma do.”2 Bhavishyevakta Joseph Smith ne ghoshna ki, “Jab sab kuch kaha gaya hai, sabse mahaan aur sabse zaroori zimmedaari hai Susamachaar prachaar karne ka.”3 Aaj yahan maujood kuch log Pradhaan David  O. McKay ke shabd yaad karenge, jisne kaha tha “Har sadasye ek prachaarak!”4

Un sabhi logon ke shabd ke baad main apne bhi shabd kehta hoon. Abhi sahi samay hai sadasyon aur prachaarakon ko saath milkar, kaam karne ka, Prabhu ke bagiche mein kaam karke Unke paas aatmaaon ko laane ka. Usne zariya tayyaar kiye hai hamare liye susamachaar ko baatne ka kayi tarikon se, aur Woh hamein hamare parishram mein madad karega agar hum Unke kaam ko pura karein vishwaas se.

Hamare sada-badhte prachaarak sena ko kaayam rakhne ke liye, mainne apne sadasyon ko daan dene ko kaha tha, jitna bhi woh sake, apne ward ke prachaarak bhandaar mein ya Girjaghar ke Maha Prachaarak Bhandaar mein. Us niwedan ka jawaab badhiya raha hai aur usse saekdo pracharakon ki madad hui hai jo khud nahin de paate. Main aapko aapke daansheel bhent ke liye dhanyevaad deta hoon. Sahayta ki zaroorat to rahegi, ki hum unki madad kar sake jo sewa ki ichcha rakhte hai magar jinke paas, khud ke, saadhan nahin hote.

Ab, bhaaiyon aur bahanon, hum yahan shikshit aur prerit hone aaye hai. Kai sandesh, jo vibhinn susamachaar ke sachchaai par hai, agle do dinon mein diya jaaega. Jo purush aur mahila tumse baatein karenge ne swarg ki madad li hai un sandeshon ko lekar jo woh denge.

Yeh mera prarthna hai ki hum sunnte aur seekhte samay Prabhu ki Aatma se bhare rahe. Hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih ke naam se, amen.

Vivran

  1. While as many as a few dozen people were present the day the Church was organized, six were officially listed as organizing members.

  2. Matthew 28:19.

  3. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 330.

  4. David O. McKay, in Conference Report, Apr. 1959, 122.