2010-2019
Tum Ab Ajnabi Nahi Rahe
October 2013


Tum Ab Ajnabi Nahi Rahe

Is Girjaghar mein, koi ajnabi aur koi baahar waala nahi hai. Yahan sirf bhaai aur bahanein hai.

Hum mein se kai ek samay ya dusri baar us stithi se guzre the jo hamare liye naya tha, jaha humne videshi aur surakhchit nahi mehsoos kiya hoga. Yah stithi hamare parivaar ke saath panch saal pehle ghati Pradhaan Thomas Monson ko mujhe Girjaghar ke Maha Adhyakshta mein sewa karne ke niyukti ko dene ke baad. Is niyukti ne mere parivaar ko majboor kiya sundar sthaan ko chodne ke liye jaha hum do sadiyon se khushi se rehte the. Meri patni aur mujhe abhi bhi yaad hai wah achaanak ka jawaab hamare bachchon ka jab unhonne is badlaao ko sunna tha. Hamare 16-saal-ka putra chillaya, “Yah merii musibat nahi hai. Tum ja sakte ho; Main yahi rahunga!”

Wah phir turant hi tayyaar ho gaya hamare saath jaane ke liye aur vishwaasi hokar apne jiwan mein naye aosar ko agosh mein liye. Pichle panch saalon se naye sthaanon mein rehne se hamare parivaaron ko khushiyon se sikhtey hue anubhao karne ka mauka mila, khaaskar Antim-din Santon ke doston se swikaar aur achchaaiyon se karna.Jabki humne kai deshon mein raha hai, humne yah swikaar kiya hai ki duniya bhar ke Parmeshwar ke logon ki ekta sachchi aur sakaar hai.

Mere niyukti ne mujhe kai deshon mein safar karaya hai aur mujhe saobhaagye se mauka diya hai kai sabhaon mein bhaashan dene ki. Jabki maine kai dharam sabha bhaag liya hai, maine sadasyon ko kai deshon, bhaashaaon, aur paramparaon ko pesh karte hue dekha hai. Hamare susamachaar ke yug ka ek mahaan kaarye hai ki yah ek geographical sthaan ya ek deshon ke sangathon ke saath sirf nahi jodi hui hai. Yah puri duniya bhar mein faeli hui hai. Yah Parmeshwar ke Putra ki mahaan waapsi ki tayyaari kar rahe hai “apne bachchon ko vishwa ke chaaron dishaaon se ekkatrith karne se.”1

Bhaale hi hamare Girjaghar ke sadasyon mein vibhinnataa se badhanti ho rahi hai, hamare pavitra parampara hamare antar ko uchaai denge.Girjaghar ke sadesye hone se, hume Israel ke ghar mein swikaar kiya jaata hai. Hum bhaaiyon aur bahanon ki tarah bantein hai, dhaarmik parivaar mein ek hi samaan hotein hai. Parmeshwar ne Abraham ko vaada diya ki “is Susamachaar ko jinhone bhi praapt kya hai [uske] naam se bulaye jaenge, aur [uske] jaane jaenge, aur bade hokar aur ashirwaad denge [use], unki pita ki tarah.”2

Ek vaada diya gaya hai sabhi ko jo Girjaghar ke sadasye bante hai: “Tum ab videshi aur musaaphir nahi rahe, parantu pavitra logon ke sangi swadeshi aur Parmeshwar ke gharane ke ho gaye.”3

Shabd videshi Latin shabd extraneus se aata hai, jiska matlab “bahar ka” ya “bahar se aana”. Aksar, yah batlata hai ki koi “bahar ka hai” kai kaaran se, chaahe wah adi kaaran, parampara, khayaal, ya dharam ke karan. Ishu Masih ke chelon ki tarah jo sansaar mein rehna naaki sansaar ka hokar, hum kabhikabhi videshi mehsoos karte hai. Hum, kai se achchie, tarah jaante hai ki dusri tarah hote hai unke liye kuch darwaaze bandh ho jaate hai.

Samay bharse Parmeshwar ke logon ko aagya di gayi hai ki sabhi vyaktikon ka dekhbhaal karo jo videshi ya tumne jinhein dusri tarah dekha hai. Purane samay mein ek ajnabi ko usi tarah samaan diya jaata tha jaeseek vidwa ya ek anaath ko dete the. Unki tarah, videshi mahaan komalta ke stithi mein the, aur usko zinkada rehna waha he logon ke surakhcha par nirbhar tha. Israel ke logon ko khaas kar is kaarye par jaankaari milta tha; “Jo videshi tumhare samaan rahe wah tumhare liye deshi ke samaan ho, aur use apnehi samaan prem rakhna; kyunki tum bhi Egypt desh ke videshi the.”4

Unki dhaarti par dekhrekh ke dauraan par, Ishu wah ek uddhaaran tha jo sadhaaran zimmedari aur dayalu kaarye bhi aage kiya tha. Jo sanstha mein nahi the, jinhe chunna nahi gaya tha aur weh sachche antam-vishwaasi, nahi the ko Unki daya aur izzaat mili. Unhein Unki shikshan aur dekhrekh ka barabar bhaag mila.

Uddhaaran mein, Uddhaarkarta Apne samay ke banaye hue parampara ke khilaaf hoga Samariya ke mahila se, paani maagne ke kaaran. Wah jaantaon aur paaese ikatha karne waalon ke saath bhijan karne baet gaya. Wah kodi ke paas jaane mein hichkickaaya nahi. Roman vyakti ke vishwaas ko dekhta raha, Usne bheed se kaha, “Main tumse sach kehta hoon, ki Maine Israel mein bhi ayesa vishwaas nahi paya.”5

Ishu ne hamein sachche pyaar ko dyaan se dekhne ko kaha hai, jo anmol aur puri uphaaar hai. Usne kaha:

“Kyunki yadi tum apne prem rakhnewaalon hi se prem rakho, to tumhare liye kya fal hoga? kya mahasul lenewaale bhi ayesa hi nahi rarte?

Aur tum kewal apne bhaaiyon hi ko namaskaar karo, to kaun sa bada kaam karte ho? Kya anyejaati bhi ayesa nahi karte?

“Isliye chaahiye ki tum sidh baano, jaesa tumhara swargiye Pita sidh hai.”6

Is Girjaghar mein koi ajnabi aur koi baahar waala nahi hai. Yahan sirf bhaai aur bahanein hai. Jo Anant Pita ka gyaan hamare paas hai bhaaiyon aur bahanon mein zyaada zimmedari se madad karta hai jo dharti par sabhi aadmiyon aur mahilaon mein hona chahiye.

Les misérableske ek kahani ke bhaag se yah pata chalta hai ki purohititav rakhne waalen un vyaktion jo ajnabi hai ke saath kaesa vyahawaar kar sakten hai. Jean Valjean jo abhi hi karaghar se azaad hua hai. Ek labhi saer aur bhukh aur pyaas ko jhela hai, wah ek chote se shahar mein us raat ke liye bhojan aur rehne ka sthaan ko dhoondhata hua aya. Jab uske aayne ki khabar faeli, ek ek kar ke waha ke logon ne apne darwaazon ko uske liye bandh kar diya. Naato hotel, naato inn, naato karaghar mein bhi use sthaan mila. Usko vanchit hua, khadera gaya, bheja gaya. Anth mein, bina shakti ke, wah shahar ke bishop ke darwaaze ke aage behosh ho gaya.

Wah achcha paadri Valjean ke atith ko jaanta tha, magar usne us bikaari ko apne ghar mein in daya ke shabdon ke saath amantrith kiya:

“‘Yah mera ghar nahi hai; yah Ishu Masih ka ghar hai. Is darwaaze par koi bhi aah sakta hai yaha koi rukawat nahi hai chaahe naam ho na ho, magar chaahe peeda ho. Tum dard mein ho, tum bhukhe aur pyaase ho; tumhara swaagat hai.… Mujhe tumhara naam jaanne ki koi avashyakta nahi hai? Balki, tumhe [apna naam] batlane se pehle, tumhare paas ek tha jo mujhe pata hai.’

“[Valjean] ne ghabrahat mein apne ankhon ko khola.

“‘Sahi mein? Tumhe pata tha mera naam?’

“‘Ha,’ Bishop ne uttar diya, ‘tum mere bhaai ho.’”7

Is girjaghar mein hamare wards aur hamare parishad nahi shaamil hai. Weh Ishu Masih ke hai. Jo hamare sabhaghar mein aata hai unhein ghar jaesa mehsoos hona chahiye. Sabhi ka swaagat karna bahut zaroori hai. Yah duniya jismein hum raha rahe hai bahut hi nuksaan pahuchaati hai. Kyunki badhti hui gaadiyon, vaartalaabh ki tezi, aur vishwayapi adhikta se, dharti ek badi gaao ban rahi hai jaha logon aur desh miltein, saath jodte, aur pehle se achcha jodte hai.

Is duniya ki badhti hui badlao, Mahaan Parmeshwar ki sewa karti hai. Uske chunne hue dharti ke chaaron konon se sirf nahi ikattha ho rahe hai dur deshon se bheje hue prachaarakon ki tarah balki dusre sthaanon se hamare shaharon aur padosiyon mein bas rahein hai. Kai, bina jaantein hai, Prabhu ke kaaran waha pahunchte hai jaha weh susamachaar ko sunn sakte hai aur Uske saath rah sakte hai.

Yah ho sakta hai ki jo agla insaan jo tumhare ward ke susamachaar mein badlaao kare wah tumare doston aur jaane-maane mein se na ho. Tum unhe unke pahenawa, bhaasha, kapde pahanne ki tarike, ya chamde ki rang se jaana jaaye. Yah insaan dusre dharam ka ho sakta hai, dosre sthaan ya dosre rahansann ka.

Sewa karna purohiti ka ek zaroori zimmedari hai. Aaronic aur Melchizedek Purohiti parishadon ko bahanon ke saath mil kar kaam karna hota hai bishop ke nirdeshan par taaki sabhi insaan ka swaagat pyaar aur daya ke saath ho. Gharelu shikshakein aur bhent shikshakein saaodhaan rahenge taaki koi bhi chote ya andekha nahi ho.

Hum sab ko saath mil kar wards aur shaakaon mein dhaarmikta ko badhaane ke liye ekta se kaam karna hoga . Ek achcha ekta ka udhaaran Parmeshwar ke logon ka tha Masih ko America ko bhent karne ke baad ka. Waha ke lekh mein na to “Lamanitiyon, na to koi bhed--bhaao hi tha; parantu sabhi ek samaan Masih ki santaan the, aur Parmeshwar ke raajye ke adhikaari.”8

Ekta sadasyon ko andekha aur akela karne se nahi hota jo alag ya kamzor dikhta hai aur sirf un logon ke saath mel milaap jo is tarah ke hai. Dusra, ekta badhti hai jab naye aur khaas zarooratmandon ki swaagat aur sewa hota hai. Yeh sadasye Girjaghar ke liye ashirwaad hai aur hamein aosaren pradaan karte hai hamare padosiyon ki sewa karne mein aur hamare hriday ko saaf kartein hai.

To, mere bhaaiyon, yah tumhari zimmedari hai ki jo koi bhi tumhare Girjaghar immarat ke darwaaze par aaye un tak jaao. Unka swaagat abhaar aur bina koi bedhbhaao ke karo. Agar jinhe tum nahi jaante tumhare sabha mein aaye, unko achchi tarah se swaagat karo aur unhe apne paas baethaao. Kripya kaarye karne ko pehla banne taaki weh swaagat aur pyaar mehsoos karein, naaki tum intazaar karo unhe tumhare paas aane ke liye.

Tumhare aadhim swagat ke baad, tarikon ko jaano jo tum unko sewa kar sake. Maine ek baar ek ward ke baare mein sunna jaha, do bhayri bahanon ke baptisma ke baad, Sahayak Sanstha ki do mahaan bahanon ne chin ke bhaasha ko sikhne ko socha taaki weh in naye parivartiton ke saath achchi tarah se vaartalaabh kar sake. Kitna mahaan uddhaaran hai pyaar ka susamachaar bhaaiyon aur bahanon ka!

Main gawahi deta hoon ki hamare Swarg ke Pita se koi bhi ajnabi nahi hai. Yaha par koi nahi hai jo Usse anmol na ho. Peter ke saath, main gawahi deta hoon ki “Parmeshwar kisi ka paksh nahi karta: “Magar har jaati mein jo usse dartaa, aur dharm ke kaam karta, wah use bhaata hai.”9

Main prarthna karta hoon ki jab Prabhu Apne bhedh ko antim din mein ikattha karega, Wah hum sab se kahega, “Main ek ajnabi tha, aur tum mujhe apnaaye.”

Phir hum usse kahenge, “Kab humne tumhe ajnabi ki tarah dekha, aur apnaya?”

Aur Wah hume jawaab dega, “Main tumse kehta hoon, Ki tumne jo mere in chote se chote bhaaiyon mein se kisi ek ke saath kiya, wah mere hi saath kiya.”10

Ishu Masih ke naam se, amen.