2010-2019
“Mainne Tumhe Ek Uddharan Diya Hai”
April 2014


“Mainne Tumhe Ek Uddharan Diya Hai”

Sabse bada uddharan jo kabhi dharti par tha hai hamare Uddhaarkarta, Ishu Maseeh. … Woh hamein amantrit karta hai yeh sampurn uddharan par amal karne ko.

Jab maine susamachaar baatne ke apne kartavvye ke baare mein socha hai, maine priyejanon par gaur kiya hai jinke komal prabhaao ne mujhe madad kiya divye maargdarshan dhoondhne mein jisse mai ne dhaarmik rup se pragati kiya. Mere jiwan ke avashyak mod par, Swarg ke Pita ke ashirvaad se koi aaya jisne mujh par paryaapt maarg daala ki mai theek disha mein jaaun. Unhonne Uddhaarkarta ke in shabdon par gaur kiya: “Ki maine tumhe ek uddharan diya hai, ki tum waisa hi karo jaisa maine kiya hai.”1

Jab mai ek chota ladka tha, mere pita Girjaghar ke sadasye nahin the aur meri maa kam sakriye ho gayi thi. Hum Washington D.C. mein rehte the, aur meri maa ke maata/pita 2,500 meel (4,000 km) dur Washigton ke ek state mein rehte the. Mere athwe janam din ke kuch mahine baad, Naani Whittle humse milne aayi. Naani chintit thi ki na to mai na mera bada bhaai ne baptisma liya tha. Mai nahin jaanta usne mere maata/pita se iske baare mein kya kaha, magar mai jaanta hoon ki ek subha usne mujhe aur mere bhaai ko paak le gayi aur batlaya ki kitna avashyak hai baptisma lena aur Girjaghar ke sabhaaon mein lagataar jaana. Mujhe theek se nahin yaad usne kya kaha, magar uske shabdon ne mere dil mein kuch badlaao laaya, aur jald mera bhaai aur mai ne baptisma liya.

Nani hamein sahayta karti rahi. Mujhe yaad hai ki jab kabhi mere bhaai ya mujhe girjaghar mein bhaashan dene ki baari hoti, hum unhe fon karte sujhaao ke liye. Kuch hi dinon baad daak se hamein haath ke likhawat ki chitthi milti. Uske baad usne sujhaao dene ka tarika badal diya jismein hamein zyaada koshish karni padti thi.

Nani ne paryaapt himmat aur aadar istemaal kiya taaki hamare pita jaan sake ki woh kitna zaroori kaam kar rahe hamein girjaghar le jaa kar. Har sahi tarike se, usne hamein batlaana chaaha ki susamachaar hamare jiwanon mein kitna avashyak hai.

Sabse avashyak, hum jaante the Nani humse prem karti hai aur susamachaar se bhi prem karti hai. Woh ek behtarin uddharan thi! Mai kitna abhaari hoon us gawahi ke liye jo usne mujhse baata jab mai bahut chota tha. Uske prabhaao ne mere jiwan ka disha badal diya anant achchaai ke liye.

Baad mein, jab mai vishwavidyalay se grejuaet hone waala tha, mujhe ek sundar jawaan mahila se prem hua jiska naam Jeanene Watkins tha. Mainne socha use bhi mere baare mein gehre ehsaas the. Ek raat jab hum bhavishye ki baate kar rahe the, usne bahas mein kuch kaha jisse mera jiwan hamesha ke liye badal gaya. Usne kaha, “Jab mai shaadi karungi, woh ek vishwaasi waapas aaya prachaarak ke saath hoga mandir mein.”

Isse pehle maine kabhi mission ke baare mein nahin socha tha. Us raat mera prachaar sewa dene ke prerna mein bahut pariwartan aaya. Mai ghar gaya, aur mujhe wahi yaad aata raha. Mai raat bhar jaagta raha. Agle din padhaai mein mann hi nahin lag raha tha. Kayi prarthnaaon ke baad maine nirnay kiya bishop se milne aur apna prachaarak arzi bharna shuru karne ke liye.

Jeanene ne kabhi nahin kaha tha ki uske liye mujhe prachaar sewa karni hai. Uska prem aysa tha ki usne mujhe apna iraada batlaaya aur mujhe mauka diya apne jiwan ka disha chunne ka. Hum donon ne prachaar sewa pradaan kiya aur baad mein mandir mein pavitra bandhan mein bandhe the. Jeanene ka himmat aur lagan uske vishwaas ki or se hamare ek saath ka jiwan sundar bana. Mujhe yakeen hai ki humne aysi khushi nahin paayi hoti agar uske paas thos vishwaas nahin hota Prabhu ki sewa ko mahatva dene ka. Woh ek badhiya, nek uddharan hai!

Nani Whittle aur Jeanene donon ne mujhe utna prem kiya ki unhonne susamachaar ke dharamvishiyon se aur Swarg ke Pita ki sewa karne se mere jiwan ko ashirvaad diya. Unmein se kisi ne majboor nahin kiya ya mujhe bura ehsaas nahin dilaya. Unhonne sirf mujhse prem kiya aur Swarg ke Pita se bhi. Donon jaante the ki Woh mere jiwan ke saath bahut kuch kar sakte hai jitna mai khud nahin kar sakta. Donon ne meri madad himmat se ki prem bhare tariko se mahaan khushiyaali ka raasta dhoondhne mein.

Hum sab itna mahatavpurn prabhaao kaise daal saktein hai? Hamein sachche mann se unse prem karna chahiye jinhe hum dhaarmikta se madad karna chahatein hai taaki woh Parmeshwar ke prem mein bharosa karenge. Kyunki duniya mein kitne log hai, jinka pehle kadam susamachaar apnaane ka hai Swarg ke Pita mein vishwaas utpann karna, jo unse sampurn prem karta hai. Asaan hota hai aysa vishwaas utpann karna jab unke paas dost ya parivaar sadasye hote hai jo unse ussi tarah prem karte hai.

Apne prem mein bharosa ko dene se Parmeshwar ke prem mein vishwaas badhaane mein unko madad milega. Phir tumhare prem, achche waartalaabh se, unke jiwan ko ashirwaad milega tumhare shikshanon ko baatne se jo tumne sikha hai, anubhao jo tumhe hue hai, aur siddhaanton ko jo tumne jaeaab paya hai apne khudh ke musibaton par. Apna pura dilchaspi dikhaae unke parwaah mein; phir Ishu Maseeh ke susamachaar ka gawahi baatein.

Tum un tarikon se madad kar sakte ho jo siddhaant aur dharamvidhiyon par adhaarit hai. Unko protsaahit karein jinse tum prem karte ho ko woh samajhne ki koshish karein Prabhu unse kya chahate hai. Ek tarika aysa karne ka hai ki hum usne sawaal puche jisse woh soch sakein aur phir unhe paryaapt samay dein—chaahe ghante, din, mahine, ya zyaada—taaki woh khud jawaab dhoondhne ke liye soche aur dhoonde. Shaayad tumhe unhe batlaana pade kaisa prarthna karni chahiye aur kaise apne prarthna ke jawaab ko pehchaanna chahiye. Unhein madad karein jaanne mein ki dharamshaastra zaroori zariya hai jawaab paane aur pehchaanne mein. Is tarah tum unhein tayaar karoge aane waale maukon aur chunaotiyon ke liye.

Parmeshwar ka lakshye hai “manushye ka amaranshilta aur anant jiwan laaye.”2 Yeh avashyak hai sabhi kuch mein jo hum karein. Kabhi kabhi hum anye kaamon mein itne vyast ho jaate hai ya duniya ke zimmedaari mein itna dhyaan dete ki hum Parmeshwar ke lakshyon ko bhool jaate hai. Jab tum lagataar apne jiwan mein sabse mul siddhanton par gaur karoge, tumhe samajh mein aayega tumhe kya karna hai, aur tum Prabhu ke liye aur zyaada kaarye karoge aur apne liye ziyada khushiyon ka.

Jab tum apna jiwan uddhaar ki yojna ke mul siddhaanton par kendrit karoge, tum achchi tarah gaur kar paaoge apne gyaan ko baatne mein kyunki tum susamachaar ke dharamvidhiyon ke anant zaroorat ko samajhte ho. Tum us tarah apna gyaan baatoge ki tumhare dost dhaarmik rup se mazboot hona chahenge. Tum apne priyejanon ki madad karoge Unke sabhi aagyaon ka paalan karne mein aur apne upar Ishu Maseeh na naam lene mein.

Yaad rakho ki logon ka dharm pariwartan sirf ek bhaag hai kaarye ka. Hamesha koshish karein parivaaron ko mazboot karne ke liye. Us anant nazariye se padhaae ki parivaar mandir mein bandhna chaahe. Kuch parivaaron ke liye varshon lag sakte hai. Mere maata-pita ke saath bhi aysa hua tha. Mere baptisma ke kai saal baad, mere pitaji ne baptisma liya, aur baad mein mera parivaar mandir mein bandhne gaya. Mere pita ne mandir mein baandhewaale ki tarah sewa kiya, aur meri maa uske saath waha sewa karti thi. Jab tumhare paas mandir mein baandhne ke shiddhaanton ka anant nazariya ho, tum Parmeshwar ka raajye is dharti par badhane mein madad karoge.

Yaad rakho, unko prem karna sabse bada neev hai un par prabhaao daalne ke liye jinhein tum madad karna chahatey ho. Mere Nani Whittle aur meri patni, Jeanene, ka prabhaao shaayad bekaar hota agar mai pehle nahin jaanta ki woh mujhse prem karte hai aur chahate the ki mujhse sabse behtar mile jiwan mein.

Unhein prem karne ke saath saath, unpar bharosa karo. Kuch stithiyon mein bharosa karna mushkil hoga, magar kuch tarika dhoondhe unpar bharosa karne ka. Swarg ke Pita ke bachche ashcaryejanak kaarye kar sakte hai jab unpar koi bharosa karta hai. Parmeshwar ka har ek bachche ne maranshilta se Uddhaarkarta ke yojna ko chuna tha. Bharosa rakho ki mauka milne par, woh phirse waisa karenge.

Siddhaanton ko baato jis se unhein madad mile jinhein tum prem karte ho anant jiwan ke maarg par aage jaane mein. Yaad rakho, hum sab ek- ek karke niyam ko sikhne se badhte hai. Tumne yahi tarika apnaaya hai susamachaar ko samajhne mein. Saraltase susamachaar baate.

Tumhara Ishu Maseeh ke Praeshchit ka niji gawahi ek shaktishaali aozaar hai. Anye saadhan hai prarthna, Mormon Dharamshaastra aur anye dharamshaastra, aur tumhara lagaao purohiti dharamvidhiyon se. In sab se tumhe Aatma ka nirdeshan milega, jispar bharosa karna tumhare liye bahut zaroori hai.

Ek achcha aur Maseeh jaisa banne ke liye,3 susumachaar ke is mul siddhaant par gaur karein: Ishu Masih ka Praeshchit yeh mumkin karta hai ki hum Swarg ke Pita ke hi tarah bane taaki hum hamesha ke liye hamare parivaaron mein rahein.

Koi aur dharamsiddhaant zyaada avashyak nahin hai Ishu Maseeh ke Praeshchit se. Har ek upyukt mauke par, Uddhaarkarta aur Unke Praeshchit ke balidaan ki shakti ki gawahi dein. Dharamshaastra istemaal karein jo Unke baare mein sikhlaate hai aur kyun Wohi jiwan mein sabhi ke liye sampurn uddharan hai.4 Tumhe achchi tarah adhyan karna hoga. Chote cheezon mein utna vyast na ho jaao ki tum dharamsiddhant aur Prabhu ke shikshanon ko seekh nahin paao. Ek thos, veyaktigat dharamsiddhaant ke buniyaad ke saath, tum mahatavpurn sachchaai dosron ke saath jinhein bahot zaroorat hai ko baatne ka shaktishaali zariya banoge.

Hum apne Swarg ke Pita ki sewa sabse behtar kartein hai jab hum auron ko nek tarike se prabhaawit karein aur unke sewa bhi karein.5 Sabse bada uddharan jo kabhi dharti par tha hai hamare Uddhaarkarta, Ishu Maseeh. Unka maransheel prachaar sikhlaane, sewa karne, aur dosron se prem karne se bhara tha. Woh waise veyaktigaton ke saath baetha jo Unke saath ke laayak nahin the. Unhonne un sab se prem kiya. Unhonne unke zaroorat ko jaana aur unhe Apna susamachaar sikhlaaya. Woh hamein amantrit karta hai Uske sampurn uddharan par amal karne ko.

Mai jaanta hoon ki Unka susamachaar ka tarika is jiwan mein shaanti aur khushiyaali deta hai. Hum yaad karein wohi karne ko jo Usne kiya hai humare prem, bharosa, aur gyaan baatein ka auron ke saath jo abhi tak susamachaar ke ujwal jyoti ko nahin apnaaye hai. Ishu Maseeh ke naam se, amen.