2010-2019
Bahanaapa: Hamein Ek Dusre ki Bahut Zaroorat Hai
April 2014


Bahanaapa: Hamein Ek Dusre ki Bahut Zaroorat Hai

Hamein apne bhinntaaon par gaur karna chodna chahiye aur dekhna chahiye hum mein kya saamaanye hai.

Us video mein humne aath deshon ko dekha aur nao alag alag bhaashaaen sune. Kalpana karo kitne aur bhaashaaen us antim verse mein jodi gayi thi. Kitna mazedaar hai yeh jaanna ki ek vishwabhar ke bahanaapa hone ke kaaran hum anant sachchaai ki gawahi ke liye apne awaaz utha sakein ki hum ek premi Swarg ke Pita ke putriyaan hai.

Kitna mahaan saobhaagye hai aaj is itihaasik samaaroh par hona aur Girjaghar ke sabhi mahilaaon se baatein karna jo aath se upar ke umra ke hai. Aaj shaam hamare ekta mein bahut shakti hai. Jab mai hum sab ko Sammelan Kendra mein ikattha dekhti hoon aur un anye hazaaron ke baare mein sochti hoon jo is prasaaran ko duniya ke anye ilaakon se dekh rahe hai, hamare gawahiyon aur Ishu Maseeh mein vishwaas ki ikathit shakti vaastav mein Girjaghar ke itihaas mein mahilaaon ki sabse vishwaasniye aur shaktishaali sangathan hai, aur shaayad duniya ke itihaas mein bhi.

Aaj raat hum anandit hote Girjaghar ke mahila hone ke hamare vibhinn bhumikaaon mein. Bhale hi hum kayi tarah se alag aur vichitra hai, hum yeh bhi maante hai ki hum sabhi ek hi Swarg ke Pita ki putriyaan hai, jiske kaaran hum bahanein hai. Hum Parmeshwar ke raajye ko banane mein ek hai aur un vachanon mein jo humne kiye hai, chaahe jo bhi hamari paristhiti ho. Yeh ektrit sangathan, bina koi sandeh ke, sabse vishaal bahanaapa hai is dharti par!1

Bahan hona yeh tay karta hai ki hamare beech ke atut bandhan hai. Bahanon ek dusre ka khyaal rakhna, ek dusre ki dekhrekh karna, ek dusre ko sahanubhuti dena, aur ek dusre ke liye upasthit rehna achche aur bure samay mein. Prabhu ne kaha hai, “Mai tumse kehta hoon, ek bano; aur agar tum ek na bane tum mere nahin ho.”2

Shaetaan chahata hai ki hum ek dusre ke prati ninda ya alochna karein. Woh chahata hai ki hum apne bhinnta par gaur karein aur apne aap ki tulna ek dusre se karein. Shaayad tum har din ek ghante ke liye kasrat karna pasand karti ho kyunki tumhe achcha lagta hai, jabki mere liye escaletar lene se sidiyaan chadhna ek tarah ka hasht-pusht kaam hai. Iske bajae hum tab bhi dost reh sakte hai, nah?

Mahilaa hone ke naate hum apne aap par sakht rehte hai. Jab hum apne aap ko khud se ya kisi aur se tulna karenge, hum hamesha kamzor mehsoos karenge ya auron se gussa karenge. Bahan Patricia T. Holland ne kabhi kaha tha, “Baat yeh hai, hum apne aap ko Maseehi nahin keh sakte aur ek dusre—ya khud—ki alochna nahin karte reh sakte itne sakhti se.”3 Woh aur kehti thi ki hamein koi vajah nahin apna daya aur bahanaapa khone ki. Hamein aaraam karna hai aur anand manaana hai apne divye bhinntaaon mein. Hamein yeh jaanna hai ki hum sab raajye mein sewa karna chahate hai, apne vishist gun aur uphaaron dwara apne tarike se. Tab hum kahin jaakar apna bahanaapa aur apne taalukaat waalon ka anand le paaenge, aur sewa karna shuru karenge.

Sachchaai yeh hai ki hamein vaastav aur sachchaai mein ek dusre ki zaroorat hai. Mahilaaen prakritik rup se dosti, sahara, aur saath dhoondhti hai. Hamein bahut kuch seekhna hai ek dusre se, aur hum aksar khud ke khade kiye badhaaon ko apne taalukaat ka anand lene se rokte hai jo ki hamare jiwan ka sabse bada ashirvaad ho sakta hai. Uddhaaran ke liye, hum mahilaaon ko jo zyaada umra ke hai, woh chahiye jo tum Praathmik-umra ke ladkiyon mein hai. Hum tumse Maseeh jaise sewa aur prem ke baare mein bahut kuch seekh sakte.

Maine haal hi mein ek vishaal kahani suni ek choti ladki Sarah naam ki, jiski maata ko mauka mila tha apne ward ke anye mahila, Brenda, ki madad karne ka, jise naso ke gaathna(multiple sclerosis) kaha jaata hai. Sarah pasand karti thi apne maata ke saath Brenda ki madad karne jaana. Woh Brenda ke haath par loshan lagati aur uske ungliyon aur haath ko malti kyunki woh use dukhta tha. Baad mein Sarah ne sikha ki Brenda ke haath ko dhire se lamba karke uske sir par rakhne se uska masal ka kasrat hota tha. Sarah Brenda ke baal jhaadti aur usse baatein karti jab tak uski maata anye kaam niptaati. Sarah ne kisi aur ki sewa karne ka mahatva aur anand seekh liya tha aur samajhne lagi thi ki ek bachcha bhi kisi ke jiwan mein bahut bada sudhaar la sakta hai.

Mujhe Luke ke pehle adhyaaye ka uddharan pasand hai jahan Mary, Ishu ki maata, aur uske chacheri bahan Elisabeth, ka sundar rishta hum dekhte hai. Mary ek jawaan mahila thi jab use pata chala ki woh Parmeshwar ke Putra ki maata hone ki zimmedaari uthaaegi. Shuru mein yeh zimmedaari bahut bhaari lagi hogi akele sehne ke liye. Prabhu ne Khud kisi ko tayyaar kiya Mary ka bojh baatne ke liye. Devdut Gabriel ke sandesh ke zariye, Mary ko ek bharosemand aur dayalu mahila ka naam diya gaya jiske paas woh sahare ke liye jaa sake—uski chacheri bahan Elisabeth.

Yeh jawaan mahila aur uski chacheri bahan, jo “budhi ho gayi thi,”4 ne ek jaisa bandhan baanta in chamatkaari garbh avasthaaon mein, aur mai sirf kalpana kar sakti hoon kitne mahatvapurn rahe hoge woh pehle teen mahine jo unhonne saath guzaare baate karte, ek dusre se ko samajhte huwe, aur sahara dete huwe ek dusre ko unki vichitra niyuktiyon mein. Kitna badhiya uddhaaran hai woh alag alag peedhi ki mahilaaon ki jo ek dusre ka dekhrekh kar rahi thi.

Hum mein se jo bahane zyaada umra ki hai kitna achcha prabhaao daal sakti hai chote peedhi par. Jab meri maata ek choti ladki thi, uske maata/pita donon Girjaghar mein sakriye nahin the. Paanch saal ki choti umra mein bhi, woh khud girjaghar chal kar jaati thi aur sabhaaon mein bhaag leti thi—Praathmik, Raviwaar Kaksha, aur prabhubhoj sabha—sab alag alag samay par hota tha.

Maine haal hi mein apni maata se pucha kyun woh har hafte aysa karti rehti thi jab ki use ghar se koi sahara ya protsaahan nahin milta tha. Uska jawaab tha: “Mere paas Praathmik ki shikshak the jo mujhse prem karte the.” Yeh shikshak uski parwaah karte the aur use susamachaar sikhlaate the. Unhonne use sikhlaya ki uske paas ek Swarg ka Pita tha, jo usse prem karta tha, aur yeh unka parwaah tha jo use har hafte aane ko protsaahit karta tha. Meri maata ne mujhse kaha, “Woh mere bachpan ke jiwan ka sabse avashyak prabhaao tha.” Mai aasha karti hoon ki mai un behtarin bahanon ko ek din dhanyevaad de sakun! Jab Maseeh jaise sewa ki baat ki jaaye tab koi umra ki bandish nahin hoti.

Kuch hafte pehle, mai ek stake Jawaan Mahilaaon ki adhyaksh se mili California mein jisne mujhe batlaya ki uski 81-saal-ki maata ne haal hi mein Mia Maid salaahkaar ki niyukti li hai. Mai itna ashcharyechakit reh gayi, maine uski maata ko kol kiya. Jab Bahan Val Baker ka bishop ne mujhe usse milne ko kaha, woh chahati thi ki use librarian ya ward itihaasak ka niyukti mile. Jab usne usse Jawaan Mahilaaon mein Mia Maid ki salaahkaar ki niyukti ke baare mein kaha, uska jawaab tha, “Kya tum nishchint ho?”

Uske bishop ne shaant se kaha, “Bahan Baker, yeh koi galti nahin; yeh Prabhu ke dwara niyukti mili hai.”

Usne kaha woh aur kuch nahin keh paayi sirf, “Bilkul sahi.”

Mai is prerna ko pasand karti hoon jo is bishop ne mehsoos kiya ki uske ward ki in chaar Mia Maidon ko bahut kuch seekhna tha is vridh bahan ke gyaan, anubhav, aur jiwan bhar ke uddharan se. Aur anumaan lagaao ki Bahan Baker kiske paas jaaegi jab use apna Facebook panna shuru karne mein madad chahiye hogi?

Mai soch rahi hoon ki kitna bhari madad milega Jawaan Mahilaaon ko jab Sahayak Sanstha ki bahane unhe swaagat karegi. Hamare jawaan bahanein zyaadatar mehsoos karti hai ki woh Sahayak Sanstha mein nahin jaa sakti ya unka wahan koi zaroorat nahin hai. Unke 18 saal ke hone se pehle, Jawaan Mahilaaon ke netaaaon aur mataaon ko khushi se unse gawahi bolni chahiye Sahayak Sanstha ke mahaan ashirvaadon ki. Unhe utsaahit hona hai is vishaal sanstha mein shaamil hone ke liye. Jab jawaan mahilaaen Sahayak Sanstha jaana shuru karti hai, use sabse zyaada ek saath baethne waale dost ki zaroorat hoti hai, unke kaandho par ek haath ke, aur ek mauka ka shiklaane aur sewa karne ka. Aao hum sab aage badhe aur ek dusre tak pahunche apne jiwan ke badlaao aur avashyak chanon ke dwara.

Dhanyevaad un sabhi Girjaghar ki mahilaaon ko jo bina apna umra aur sankritik bhinntaaen dekhe auron ko ashish aur sewa pradaan karti hai. Jawaan mahilaaen Praathmik aur budhe logon ki sewa karti hai. Aviwaahit bahanein sabhi umra ke apne kayi ghante bitaati hai apne paas ke logon ki un zaroorat ko dhyaan karte hue. Hum un hazaron jawaan mahilaaon ko yaad karte hai jo apne jiwan ka 18 mahine bitaati hai susamachaar duniya tak pahunchaane mein. Yeh sabhi baatein gawaah hai ki, jaise hamara priye geet kehta hai, “Devduton ki zimmedaari mahilaaon ko di gayi hai.(The errand of angels in given to women) .”5

Agar wahan rukawatein hai, to isliye ki humne khud unhein banaye hai. Hamein apne bhinntaaon par gaur karna chodna chahiye aur dekhna chahiye hum mein kya saamaanye hai; tab hi hum apna mahaan saobhaagye jaan paaenge aur is jiwan mein achchaai paaenge. Bahan Marjorie P. Hinckley ne kaha tha, “Hamein ek dusre ki kitni zaroorat hai. Hum mein se jo budhe hai ko jawaan ki zaroorat hai. Aur, aasha karti hoon, tum jo jawaan ho hum budho mein kisi ki madad chahate ho. Yeh ek samaaj-shaastra sambandhi sachchaai hai ki mahilaaon ko mahilaaon ki zaroorat hai. Hamein ek dusre ke saath gehri aur santushti dene waali aur wafadaar dosti chahiye.”6 Bahan Hinckley sahi thi; hamein ek dusre ki kitni zaroorat hai!

Bahanon, koi aur aysa dal hai mahilaaon ka is duniya mein jiske paas Antim-din Sant mahilaaon se badhkar ashirvaadon ki pahunch hai. Hum Prabhu ke Girjaghar ke sadasye hai, aur hamare niji paristhitiyon ko na dekhte hue, hum sab purohiti shakti ki sabhi ashirvaadon ka anand le sakte hai baptisma aur mandir mein kiye vachanon ke zariye. Hamare paas jiwit bhavishyevakta hai raah dikhate aur sikhlaate hai, aur hum Pavitra Aatma ke mahaan uphaar ka anand le rahe hai, jo sahanubhuti aur maargdarshan deta hai hamare jiwan mein. Hum dhanye hai sachche purohiti bhaaiyon ke saath kaam karne mein gharon aur parivaaron ko mazboot karte hue. Hamare paas mandir dharamvidhiyon ki taaqat aur shakti ka pahunch hai aur kayi anye cheezon ki.

In sab vishaal ashirvaadon ka anand lene ke saath saath, hum donon hai ek dusre ke liye—Ishu Maseeh ke susamachaar ki bahanein. Hamein komal aur dayalu daan se ashish mila hai jisse hum Maseeh jaisa prem aur sewa ki prerna paaenge. Jab hum apne bhinntaaon se aage dekhte hai umra, sanskriti, aur paristhiti mein poshan aur sewa karne ka, hum Maseeh ke sampurn prem aur perna se bhar jaaenge aur prerna se hum jaanenge ki kab aur kise sewa karna hai.

Aur mai tumhe ek nimantran deta hoon jo pehle bhi chapa hai ek Sahayak Sanstha maha adhyaksh ne kaha, “Mai amantrit karta hoon aap sab ko sirf ek dusre se prem na rakho magar ek dusre se behtar tarike se prem karo.7 Hum pehchaane ki hamein ek dusre ki kitna zaroorat hai, aur hum sab ek dusre ko aur achchi tarah prem karein, hai meri prarthna Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Dekhiye Barbara B. Smith, “The Bonds of Sisterhood,” Ensign, Mar. 1983, 20–23.

  2. Doctrine and Covenants 38:27.

  3. Patricia T. Holland, “‘One Thing Needful’: Becoming Women of Greater Faith in Christ,” Ensign, Oct. 1987, 29.

  4. Luke 1:7.

  5. “As Sisters in Zion,” Hymns, no. 309.

  6. Glimpses into the Life and Heart of Marjorie Pay Hinckley, ed. Virginia H. Pearce (1999), 254–55.

  7. Bonnie D. Parkin, “Choosing Charity: That Good Part,”Ensign ya Liahona, Nov. 2003, 106.