2010-2019
Dhaarmik Bawandarein
April 2014


Dhaarmik Bawandarein

Tum bawandaron ko apne aap ko niche nahi karne do. Yeh tumhare din hai—Prabhu Ishu Maseeh ke chelon ki tarah mazbooti se khade raho.

Mai aapka aaj subha swaagat karta hoon—khaaskar un jawaan logon ko jo aaj is Sammelan Kendra aur duniya bhar mein hai. Tum ek chune hue peedhi ke ho, aur mai khaaskar tum logon se baat karta hoon.

Kai saal pehle jab hum Florida mein hamare parivaar se bhent karne gaye, ek bawandar hamare niwaas sthaan ke kuch duri par aaya. Ek mahila jo ek mobael ghar mein rehti thi, apne snaan-ghar mein suraksha ke liye chupi. Mobael ghar hilne laga. Kuch samay bite. Tab usne apne padosi ki awaaz suni: “Mai yahan aage waale kamre mein hoon.” Jab woh snaan-ghar se baahar nikli, woh achambhit hui, usne jaana ki bawandar ne uske mobael ghar ko uthaya aur udaya hawa mein, aur use sidha uske padosi ke mobael ghar ke upar rakh diya.

Mere jawaan doston, duniya ek shaant jagah nahin tehrega jab Uddhaarkarta ka Dusra Aagman kareeb aata jaaega. Dharamshaastra kehta hai ki “sabhi or halchal hoga.”1 Brigham Young ne kaha, “Girjaghar ke shuruaat ke samay mujhe praktikaran mila tha, Girjaghar faelega, viksit karega, badhaega aur chaoda karega, aur uske saath Shaetaan ki shakti bhi utne hi tezi se badhegi jitni tezi se Susamachaar duniya bhar ke deshon mein Susamachaar bhi faelega.”2

Tasveer
illustration of tornado

Bhukamp aur yudh3 se jo bhavishyevaani ki gayi hai se zyaada takleef deh hai woh aatmik bawandar jo paryaapt taaqat rakhta hai tumhe tumhare dhaarmik buniyaadon se alag kar dega aur tumhare aatma ko akaalpanik paristhitiyon mein le jaaega, kabhi kabhi tum jaan nahin paate ki tumhe khiskaaya gaya hai.

Shaetaan ke behkaawein sabse khatarnaak bawandar hai. Paap hamesha duniya mein raha hai, magar yah kabhi haasil karne mein itna aasaan, bhulne mein itna kathin, aur itne jaldi se swikaar nahin tha. Yaha par, zaroor, ek shaktishaali upaaye hai jo paap ke bawandar ko rok sakta hai. Use pashchataap kehte hai.

Jiwan ke sabhi bawandar hum khud nahin laate apne upar. Kuch auron ke galat chunaawon ke kaaran aatein hai, aur kuch aatein hai kyunki yah maranshil jiwan ka bhaag hai.

Jab veh chote the, Pradhaan Boyd K. Packer polio ki apang karne waale beemari se peedit the. Jab Elder Dallin H. Oaks saat saal ka tha, uska pita achanak guzar gaya. Jab Bahan Carol F. MacConkie jo Jawaan Mahilaaon ki maha adhyakshta mein thi apne yuva avastha mein thi, uske maata-pita ne talaakh liya. Kathinaaiyaan tum par aayenge, magar jab tum Parmeshwar mein bharosa karoge, woh tumhare vishwaas ko mazboot karega.

Tasveer
illustration of tree and roots

Prakriti mein, ped jo tez hawaaon waale vaatavaran mein badhte hai mazboot hote hai. Jab hawaa ek chote se paodhe ke aas-paas mandrati hai, paodhe ke andar ki shaktiyaan do kaam karti hai. Pehla, woh jado ko jaldi badhaati aur dur tak faelati hai. Dusra, paodhe ke andar ki shakti dhani aur daaliyon ke andar ko mazboot aur lachila banati hai hawaa ki tezi ko sehne ke liye. Yeh shaktishaali jadein aur daaliyon ped ko zaroor waapis aanewaale hawaa se bachaata hai. 4

Tum to yakinan Parmeshwar ke liye ek ped se bhi bahumulye ho. Tum Unka putra ya Unka putri ho. Usne tumhare aatma ko jiwan ke bawandaron ke prabhaao se mazboot aur sahensheel banaya hai. Tumhare yuva avastha ke bawandar, is paodhe ka virodh karne waale hawa ki tarah, tumhare vishwaas aur taaqat ko badhaaegi, aage ke jiwan ke liye.

Tum kaise apne bawandaron ke liye taeyaar rahoge?3 “Yaad rakho ki tumhe apne Muktidaata, jo ki Parmeshwar ka Putra, Maseeh hai, Uski chattaan par apni neev ko banana hai, jisse ki jab shaetaan apni prabal hawa ke jhokon ko, … haan bawandal ke chad ko, … apne sabhi hail aur aandhiyon ke thapede ko tumhare upar bheje, tab uske paas woh shakti na hogi jo tumhe, … khaai mein fenk sake kyunki jis chattaan par tumne apni neev daali thi.”5 Bawandaron mein yah tumhare liye surakhcha hai.

Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Kabhi kisi samay Girjaghar ke star aur samaaj ke star mel khaate the, ab hamare beech ek bhaari vibhaajan hai, aur yeh aur bhi bada ho raha hai.” 6 Kuch logon ke liye, yeh vibhaajan, shaktishaali aatmik ashaanti ko utpann karta hai. Mujhe ek uddharan batlaana hai.

Pichle mahine mein Pratham Adhyakshta aur Barah Devduton ke Parishad ne duniya bhar ke Girjaghar netaaon ko ek patra likha. Usmein aysa kuch likha tha: “Naagrik kaanoon mein badlaao aane se, Parmeshwar ka banaya naetik kaanoon, bilkul nahin, badalta. Parmeshwar chahata hai ki hum Unke aagyaaon ko maane aur paalan kare chaahe samaaj ke vichaar ya kaaeda kitna hi badle. Unka shudhta ka kaanoon bhi spasht hai: yaon sambandh sirf ek purush aur ek mahila ke beech theek hai jo kanoon aur vidhi anusaar pati patni bane hai. Hum chahate hai ki aap phir se … ‘Parivaar: Duniya Mein Susamachaar ki Aupcharik Goshna’ ko phir se padhe.”7

Jabki duniya Prabhu ke shuddta ke niyam ko bhool rahi hai, hum nahi bhooltein. Pradhaan Monson ne kaha: “Insaan ki Uddhaarkarta ne Apne aap ko duniya mein ka batlaya magar duniya ka nahi. Hum bhi duniya mein ho saktein hai magar duniya ka nahi jab hum jhute cheezon aur jhute shikshanon ko inkaar kartein hai aur us par sachche kahde rahete hai jo Parmeshwar ne batlaya hai.”8

Jabki sarkaar aur achche-matlab ke vyaktigat ne shaadi ko dobara samjhaya hai, Prabhu ne nahi. Shuruwaat mein hi, Parmeshwar ne aadmi aur aurat ke beech shaadi ko banaya hai—Adam aur Eve. Usne racha ki shaadi ka kaarye vyaktigat chaen aur buzurg ke jiwan ko pura karne se zyaada hai, taaki, usse avashyak, bachche paeda karne, paalne, aur poshan karne ke stithi ko aur achcha banaao. Hamein yeh nahi bhoolna chahiye ki: swarg ke liye parivaarein khazana hai.9

Hum kyun is par baatein karte rahete hai? Jaise Devdut Paul ne kaha, “Hum to dekhi hui vastuwon ko nahin, parantu andekhi vastuwon ko dekhte rehte hai.”10 Prabhu Ishu Maseeh ke chelein hone ke naate, hamare paas woh zimmedaari hai Apne bachchon ko Shristikarta ka yojna sikhlaaye aur unhe Unke aagyaaon ko na maanne ke parinaam batlaaye.

Haal hi mein, maine ek Laurel se baatein kiya jo United States mein raheti hai. Mai uske email se dohraata hoon:

“Yeh pichla saal mere Facebook waale kuch dost vivaah par apna raae post kar rahe the. Us mein se kayi ek-ling vivaah pasand karte the, aur kayi LDS yuva ne un postingon par ‘pasand’ zaahir kiya. Maine kuch tippani nahi kiya.

“Maine vichaarpurwak dhang se paaramparik vivaah par apna vishwaas zaahir kiya.

Tasveer
young woman using a mobile telephone

“Mere profael chitra mein, maine likha ‘Mai ek purush aur mahila ke beech ka vivaah mein vishwaas karti hoon.’ Turant hi mujhe sandesh milne shuru hue. ‘Tum khudgarz ho.’ ‘Tum jujmental ho.’ Ek ne mera ek daas-maalik se milaan kiya. Aur maine yeh post ek achche dost se paaya jo ki Girjaghar ki vishwaasi sadasye hai: ‘Tumhe samay ke saath chalna chahiye. Vaatavaran badal raha hai aur tumhe bhi badalna hai.’

“ Maine aur kuch nahin kaha,” usne kaha, “ magar mai apne vichaar se mukri nahin.”

Usne anth mein kaha: “Kabhi kabhi, jo Pradhaan Monson ne kaha, ‘Tumhe akele khade hona padega.’ Aasha karti hoon ki hum yuva, saath khade honge Parmeshwar aur Unke jiwit bhavishyevaktaaon ke shiksha ke prati sachche hone mein.”11

Hamari khaas parwaah hai un logon ki jo ek hi ling ka akarshan ke saath sangharsh kar rahein hai. Yeh tez gati ka ek bawandar hai. Mai apna prem aur prashansa unko batlana chahata hoon jo himmat se apne vishwaas ke parishram ka saamna karte hai aur Parmeshwar ke aagyaaon ke liye sahi rehte hai!12 Lekin har koi, jo apne nirnay aur vishwaas se swatantra hai, hamari dayaluta aur parwaah chahata hai.13

Uddhaarkarta ne hamein sirf apne doston se nahin par unse bhi prem karna sikhlaaya jo humse samarth nahin hai—aur unse bhi jo hamein aswikaar karte hai. Usne kaha: “Kyunki yadi tum apne prem rakhne waalon se hi prem rakho, to tumhare liye kya fal hoga? … Aur yadi tum kewal apne bhaaiyon hi ko namaskaar karo, to kaun sa bada kaam karte ho?” 14

Bhavishyevakta Joseph Smith ne hamein chetaaoni diya ki “atam-nek se bacho” aur apne hirdayon mein unke liye sthaan banaao jo duniya ko dusri tarah se dekhtein hai naaki hamari tarah, us maarg tak “ki hum unhein apne kandhon par bitana chahatein hai.”15 Ishu Maseeh ke susamachaar mein khilli karna aur badmaashi, ya tarafdaari karna ka jagah nahin hai.

Agar tumhare paas Girjaghar ke netaoun ke salaah par koi sawaal hai, kripa apne maata-pita aur netaoun ke saath apne sachche chintaon ko batlaao. Tum wah shakti chahiye jo Prabhu ke bhavishyevaktaoun par bharosa karne se praapt hota hai. Pradhaan Harold B. Lee ne kaha: “ Is girjaghar ke sadasye hone se yah hi suraksha hai ki … Prabhu ke diye gaye Uske bhavisyevaktaon ke aagyaoun aur shabdon ka paalan karne ko sikho. …Yaha par kuch cheezein hongi jismein dhaerye aur vishwaas ki zaroorat hai. Tum shayad wah na pasand karo jo aaye. …Yah shayad tumare raajnitik tarikoun …tumhare samaajik tarikoun se alag ho …tumhare samajik jiwan … mein dakhal detein ho. Parantu jab tum in cheezon ko sunnoge, agar Prabhu ke khudh ki zubaan se, … ‘narkh ke darwaaza tumhare liye nahi khulega … aur Prabhu Parmeshwar tum se buraai ke shakti ko dur karega …’ (D&C 21:6).”16

Bhawandar se dusri bachane waali shakti Mormon ki Dharamshaastra hai.

Jab Pradhaan Henry B. Eyring ek yuva tha, uska parivaar ek naye shahar mein rehne gaya. Shuru mein use yeh badlaao nahin pasand tha aur usne kam dost banaye. Usne apne aapko high skool ke vidhyaarthiyon ke jaisa nahin mehsoos kiya. Bawandar ki hawaaen ikattha ho rahi thi. Usne kya kiya? Usne apna shakti ka istemaal Mormon Dharamshaastra mein lagaya, kai baar padhatey hue.17Saalon baad, Pradhaan Eyring ne gawahi di: “Mai Mormon Dharamshaastra adhyan phir se karna [pasand karta] hoon aur usmein se gehra aatmik shakti paana.”18 “[Yah] sabse shaktishaali likhi hui gawahi hai hi Ishu Maseeh hai.” 19

Prabhu ne tumhe ek aur tarika diya hai atal rehne ka. Usne kaha, “Hamein pavitra sthaanon mein … khade rehna, aur bahekna nahin hai.”20

Jab mai ek yuva tha, Girjaghar mein sirf 13 mandirein thi. Abhi 142 hain. Girjaghar ki pachaansi (85) pratishat sadasyata abh ek mandir se 200 meel (320 km) ki duri par rehte hain. Prabhu ne tumhe yah dhaarmik uphaar diya hai jo shaetaan ke bawandaron se zyaada shaktishaali hai!

Kya tum kabhi safed pehne, baptisma dene ka intazaar kiye ho mandir mein? Tumhe kaisa laga? Mandir mein pavitrata ki ek shaktishaali ehsaas hai. Uddhaarkarta ki shaanti duniya ke ghumte hue bawandaron ko shaant karta hai. Prabhu ne tumhare peedhi ko Uske pavitra mandiron ke aane ka zyaada mauka diya hai duniya ke itihaas ke peedhiyon ke milaan mein.

Tum mandir mein kya mehsoos karte ho ek uddharan hai us ehsaas ka jo tumne apne jiwan mein mehsoos karna chahiye.21

Apne nana-ajaon aur nani-aajion aur apne chachere bhaai-bahanon ko dhoondho jo tumse pehle jiwit the. Unke naam apne saath mandir leke jaao. 22 Jab tum apne purvajon ke baare mei seekhoge tumhe jiwan, vivaah, bachchein; dhaarmikta ke tarike; aur kabhi kabhi ayse uddharan dekhoge jo tum nahin jaanna chahate.23

Baad mein mandir mein tum duniya ki Rachna, Adam aur Eve ke jiwan ke uddharan, aur, sabse zaroori, hamare Uddhaarkarta Ishu Maseeh hai ke baare mein seekhoge.

Mere bhaaiyon aur bahanon, hum tumse kitna prem karte, tumhe pasand karte, aur tumhare liye prarthna karte hai. Tum bawandar ko apne aap ko niche nahi karne do. Yeh tumhare dinon hai—Prabhu Ishu Maseeh ke chelon ki tarah mazbooti se khade raho. 24

Apne Muktidaata par apne neev ko aur zyaada shaktishaali karo.

Uske anmol jiwan aur shikshanon ko zyaada bahulye do.

Unke uddhaaran aur Unke aagyaaon ka aur zyaada paalan karo.

Uddhaarkarta ke prem, Uske daya aur sundarta, aur Uske Praeshchit ke mahan uphaar ko aur zyaada samjho.

Jab tum yeh karoge, main tumse vaada karta hoon ki tum bhawanbdar ko us liye dekhoge jiske liye wah hai—parikshaaein, bahekawein, musibatein, ya chunaoutiyon jo tumhe aage badhaayega. Aur jab tum sachchaai mein saal saal jeeoge, main tumhe yah aaswaasan deta hoon ki tumhare anubhaaoein tumhe baar baar gawahi dengi ki Ishu Maseeh hai. Tumhare paeron ke niche ka dhaamik neev sachcha aur mazboot hoga. Tum khushi manaoge ki Parmeshwar ne tumhe Maseeh ki mahaan waapsi ke antim taeyaari ka hissa banaya hai.

Uddhaarkarta ne kaha, “Main tumhe bearaam nahi chodunga: Main tumhare paas aaunga.” 25 Yah Uska vaada hai tumhare liye. Main jaanta hoon ki yah vaada sachcha hai. Main jaanta hoon ki Wah jiwit hai, Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Doctrine and Covenants 88:91.

  2. Discourses of Brigham Young, sel. John A. Widtsoe (1954), 72.

  3. Dekhiye Dallin H. Oaks, “Preparation for the Second Coming,” Ensign yaLiahona, May 2004, 7–10.

  4. Dekhiye A. Stokes, A. H. Fitter, aur M. P. Coutts, “Responses of Young Trees to Wind and Shading: Effects on Root Architecture,” Journal of Experimental Botany, vol. 46, no. 290 (Sept. 1995), 1139–46.

  5. Helaman 5:12.

  6. Thomas S. Monson, “Priesthood Power,” Ensign yaLiahona, May 2011, 66.

  7. First Presidency letter, Mar. 6, 2014; David A. Bednar, “We Believe in Being Chaste,” bhi dekhiye Ensign yaLiahona, May 2013, 41–44; Dallin H. Oaks, “No Other Gods,” Ensign yaLiahona, Nov. 2013, 72–75; For the Strength of Youth (booklet, 2011), 35–37.

  8. Thomas S. Monson,Ensign yaLiahona, May 2011, 67.

  9. Elder Russell M. Nelson ne kaha: “Shaadi saham samaaj ka buniyaad hai. … Yeh milan sirf pati patni ka nahin hota; ismein Parmeshwar ke saath ek rishta banta hai” (“Nurturing Marriage,” Ensign yaLiahona, May 2006, 36). Matthew 19:5–6bhi dekhiye.

  10. 2 Corinthians 4:18.

  11. Vyaktigat vaartalaabh aur baatcheet Mar. 17, 2014; Thomas S. Monson, “Dare to Stand Alone,” bhi dekhiyeEnsign yaLiahona, Nov. 2011, 60–67.

  12. Dekhiye Jeffrey R. Holland, “Helping Those Who Struggle with Same-Gender Attraction,” Ensign, Oct. 2007, 42–45;Liahona, Oct. 2007, 40–43.

  13. Bhale hi jab maseeh ka virodhi Korihor logon ke vishwaas ko nasht karna chahata tha, Parmeshwar ke kaanoon ne use bachaaya tha: “Ek vyakti ke vishwaas ke vipreet koi niyam nahin bana tha; kyunki yeh Parmeshwar ki kadaai se di gayi aagya ke vipreet tha ki koi aysa niyam banaya jaae jiske dwara sabko ek samaan kiya jaa sake. … Agar koi aadmi Parmeshwar ki sewa karne ki ichcha karta hai, tab yah uska saobhaagye hai; … lekin agar woh uspar vishwaas nahin karta hai tab unko dand dene ke liye koi niyam nahin hai” (Alma 30:7, 9). gyaarawe vishwaas ke vishay kehta hai, “Hum Param Pita Parmeshwar ki bhakti ke saobhaagye ka daawa karte hai, apne vichaar aur khayalaat ke anusaar, aur sabhi manushye ko, yah saobhaagye dete hai ki wah jahaan chaahe, jaise chaahe aur jise chaahe unki bhakti kar sakte hai.”

  14. Matthew 5:46–47.

  15. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 427, 429.

  16. Teachings of Presidents of the Church: Harold B. Lee (2000), 84–85; Robert D. Hales, “General Conference: Strengthening Faith and Testimony,” bhi dekhiye Ensign yaLiahona, Nov. 2013, 6–8.

  17. Dekhiye Robert I. Eaton and Henry J. Eyring, I Will Lead You Along: The Life of Henry B. Eyring (2013), 40.

  18. Henry B. Eyring, Choose Higher Ground (2013), 38.

  19. Henry B. Eyring, To Draw Closer to God (1997), 118.

  20. Doctrine and Covenants 87:8; Doctrine and Covenants 45:32bhi dekhiye.

  21. Dekhiye Doctrine and Covenants 52:14.

  22. Dekhiye Neil L. Andersen, “Find Our Cousins!” (address given at RootsTech 2014 Family History Conference, Feb. 8, 2014); lds.org/prophets-and-apostles/unto-all-the-world/find-our-cousins.

  23. Dekhiye David A. Bednar, “The Hearts of the Children Shall Turn,” Ensign yaLiahona, Nov. 2011, 24–27.

  24. Dekhiye Helaman 7:9.

  25. John 14:18.