2010-2019
Chelapan ke Khushi ke Bhaar
April 2014


Chelapan ke Khushi ke Bhaar

Hamare netaoun ko banaye rakhna saobhaagye hai; yah vyaktigat zimmedari ke saath aata hai netaoun ke musibaton ko baatne ke liye aur Prabhu Ishu Masih ke chela banne ke liye.

Pichle saal 20 May par America ke kendra bhaag Oklahoma Shahar ke nagar mein, ek bahot hi ghambheer bhawandar chala, ek mil (1.6km) se zyaada chaodi aur 17 milon (27km) lambi tak ke sthaan ko barbaad karte hue. Is bhawandar ne, sab bhawandar se bada chati pahuchayi, us sthaan ke logon ke sameen aur jiwanon par.

Us gambheer bhawandar ke ek hi safta baad, mujhe chunna gaya us sthaan par bhent karne, jaha ghar aur cheezein bikhari padi hui thi, ujade hue pados mein.

Maine jaane se pahale, apne pyaare bhavishyevakta, President Thomas S. Monson ke saath baatein ki, jo Prabhu ke is tarah ke rojh ke kaam se bahut khush hota hai. Izzat uske daftar ke aur uske achchaai ke saath, maine pucha, “Aap kya chahate ho ki main karun? Aap kya chahate ho ki main kahoon?”

Usne prem ke saath mere haathon ko apne haath me liya, jaesa woh har ek pidith ke saath karta aur har ek waha naash hue ko madad karne waalon ke saath, aur kaha:

“Pahale, unhein batlana ki main unse prem karta hoon.

“Dusra, unhein batlana ki main unke liye prarthna karta hoon.

“Teesra, kripa unsab ko dhanyewaad dena jo madad kar rahein hai.”

Sattar ke Adhyakshta ke sadasye hone se, main is zaroori zimmedarion ko apne upar mehsoos kiya ussi tarah jaise Moses ko Prabhu se mile huwe in shabdon mein:

“Israel ke elders mein se sattar ayese purush mere paas ikatta kar, jinko tu jaanta hai ki weh praja ke elders aur unke sardaar hein; …

“Tab main utarkar tujh se waha baatein karunga; aur jo aatma tujh mein hai [Moses]usmein se kuch likar unmein samaunga; aur weh in logon ka bhaar tere sang utaye rahengein, aur tujh ko use akela utana na padega.”1

Yeh purane samay ke vaani hai, phirbhi Prabhu ke tarike badale nahi hai.

Abhi Girjaghar mein, Prabhu ne 317 Sattaron ki niyukti ki hai, 8 parishadon mein, jo Pratham Adhyakshta ke bhoj ko kam karne ke liye Barah Devduton ki madad kar rahein hai. Main khushi ke saath us zimmedariyon ko apne andar mehsoos kar raha hoon, jaesa mere piche chalne waale Bhaai. Phirbhi, hum hi nahi hai jo is mahaan kaarye mein madad kar rahein hai. Duniyabhar ke Girjaghar sadasye hone se, hum sab ke paas aschariye aosar hai dusron ke jiwanon mein ashirwaad pradaan karne ke liye.

Maine apne priye bhavishyevakta se sikha hai ki kya bhawandar ke mare logon ki zaroorat hai—pyaar, prarthnaein, aur madad karne waalein haaton ke liye abhaar.

Is shaam ko hum sab apne dahine haath ko utadaenge aur Pratham Adhyakshta aur Barah Devduton ko is Ishu Masih ka Girjaghar Antim-din Santon ke bhavishyevaktaein, devduton, aur prakat karne waalon ki tarah banaye rakhenge. Yah ek sadhaaran parampara nahi hai, yah Girjaghar ke maha adhikariyon ke sewa karne waalon ka adhikaar hai. Hamare netaoun ko banaye rakhna saobhaagye hai; yah vyaktigat zimmedari ke saath aata hai netaoun ke musibaton ko baatne ke liye aur Prabhu Ishu Masih ke chela banne ke liye.

Pradhan Monson ne kaha tha:

Hum unke ird-gird hai jinko hamari prothsaahan, hamari madad, hamari dilaasa, hamari dayalupan ki humse zaroorat hai—chahe weh parivaar ke sadasyein, mitron, jaanpahachaan, ya anjaan ho. Hum yaha dhati par Prabhu ke haath hai, Uske bachchon ko sewa aur upar utadene mein adesh dene ke liye. Wah hum sab par nirbhar raheta hai. …

“‘… Tumne jo mere in chote se bhaaiyon mein se kisi ek ke liye kiya hai…, wah mere hi saath kiya hai’ [Matthew 25:40].”2

Kya hum prem ke saath jawaab denge jab tumhe aosar diya jata hai ek bhent ya ek phone karne ka, ek patra likhne ka, ya ek zarooratmand ke liye ek din bhent karne ka ?Ya hum us jawaan purush ki tarah hai jisne thaan liya hai ke Parmeshwar ke sabhi aagayoun ka paalan karega:

“In sab ko to maine mana hai; ab mujh mein kis baat ki ghati hai?

“Ishu ne use kaha, Yadi to sidh hona chahata hai to ja, apna maal bech kar kangaalon ko de, aur tujhe swarg mein dhan milega; aur ahkar mere piche ho le.”3

Jawaan purush ko aur zyaada Prabhu ke kaarye ki sewa ko karne ki niyukti prapt hui thi, parmeshwar ke kaarye ko is dharti par karne ka, phirbhi usne yah nahi kiya, “kyunki wah bahut dhani tha.”4

Humare dharti par ka sampati kya hai? Hum yah dekh saktein hai ki kuch hi pal mein bhawandar humare saath kya kar sakta hai. Yah hum sab ke liye bahut zaroori hai ki hum swarg ke dhan ikatha karein—Parmeshwar ki sewa mein apne samay, gunon, aur saadhan ka istamaal karke.

Ishu Masih niyukti ko deta rahata hai “ Aur ah kar mere piche ho le.”5 Wah Apne ghar ke galiyon mein Apne chelon ke saath nisswaarth ke saath chalta rahta tha. Wah humare saath bhi chalta, khada rahata, aur aage chalta rahata hai. Uske sahi uddhaaran par chalne ke liye Uddhaarkarta ko jaano aur izzat karo, jisne humare sare musibaton ko jhela hai Apne pavitra aur bachane waale praeschit se, sewa ka mahaan kaarye. Wah hum sab se chahta hai ki hum chelapan ke “musibaton” ko khushi se lein aur karein.

Oklahoma mein jab main tha, mujhe aosar pradaan hua ki main bhawandar se chati pahunche kuch parivaaron ko bhent karun. Jab main Sorrel ke parivaar ke saath bhent kar raha tha, main unke putri, Tori ke anubhao se uttejith hua tha, jo us samay Plaza Towers Elementary Skool mein paanchwe kaksha mein padhati thi. Wah aur uski maa aaj humare saath yaha par hai.

Tori aur uske kuch mitra shochaalye (restroom) mein bhawandar jo skool par aakaraman kar raha tha se bachne ke liye ikatda hui. Tori ke khudh ke shabdon ko, is bhaag mein mujhe us din ke, varnan ko padhate hue sunno:

“ Maine chat par kisi cheez ko maarte hue sunna. Maine socha ki baraf gir raha tha. Awaaz gambheer hoti chali gayi. Maine prarthna kiya ki Swarg ke Pita hum sab ko bachayega aur surakhchit rakhega. Turant hi hum sab ne ek vakum kalinar ke tarah gambheer awaaz ko sunna, aur humare sir se chat udh gayi. Yaha par bahot hi tez hawa chal rahi thi aur cheezein udh kar mere sharir ke sabhi bhaag par maar rahi thi. Bahar ziyada andhera tha aur ayesa laga ki baadal kaali ho chuki thi, magar ayesa nahi tha—yah bhawandar ke andar ka bhaag tha. Maine apni akhon ko, asha aur prarthna karte hue bandh kar liya tha ki yah jald hi khatam ho jaye.

“Kuch hi samay mein yah tham gaya.

“Jab maine apne akhon ko khola, maine apne akhon ke saamne hi stop chin dekha! Yah bilkul mere naak ko chu raha tha.”6

Tori, uski maa, unke teen sahodar, aur kai mitra jo uske saath us samay skool mein the us bhawandar se chamatkaarpurn dhang se bache; unke skool me saat bachche nahi bachche.

Us safta anth purohiti bhaaiyon ne kai sadasyon ko ashirwaad diya jinhone bhawandar ko jhela tha. Mujhe Tori ko ashirwaad dene mein vinamrata hui. Jab maine apne haathon ko uske sir par rakha, maine apne pasand ke ek dharamshaastra ke vishye mein socha jaha Prabhu humein batlatein hai Wah humare saamne ghada rahega, ki Wah humare dhaye aur baaye mein, aur Uski Aatma humare hriday mein rahega, aur Uske devduton humare ird-gird khade rahenge, tumhari madad ke liye.”7

Maine Tori ko wah din yaad karne ko kaha jab Prabhu ka ek sewak ne uske sir par haathon ko rakh kar kaha tha ki use bhawandar mein duton ne bachcahya tha.

Kisi bhi samay ek dusre ki madad karna, anant prem ko dikhlata hai. Yah wah sewa hai jiska maine Oklahoma mein us safta gawahi diya tha.

Humesha humein aosar prapt hota hai un zaroorat mandon ko madad pradaan karne ke liye.Girjaghar ke sadasye hone se, hum sab ke paas pavitra zimmedari hai “ek dusre ke bhoj ko dhone mein se sahayata mlti hai, jisse wah bhoj halka ho jaye,”8 “jo dukh se rotein hain unke dukh se dukhi hone ko tayyaar ho,”9 “un haathon ko upar udaao jo niche hai, aur dhagmagaate hue ghutnon ko mazboot karo.”10

Bhaaiyon aur bahanon, Prabhu tum sab ke liye abhari hai, sewa ke anginit samay aur kaarye ke liye, chaahe bada ya chota, tum jo har din khule dil se aur dayaluta se karte ho.

Raja Benjamin ne Mormon ki Dharamshaastra mein sikhlaya ki, “Jab tum apne saathi ki sewa karte ho, tab tum apne Parmeshwar ki sewa karte ho.”11

Apne bhaaiyon aur bahanon ki sewa ko karne se humare har din ke jiwan ko diviye faesla karne ke liye maargdarshan milta hai aur Prabhu ke prem ki keemat aur prem ke liye tayyaar karta hai. Jab hum yah kartein hai, hum apne jiwan se gawahi detein hai ki hum Uske chelein hai. Jab hum Uske kaarye ko kartein hai, hum Uske Aatma ko humare saath mahesoos kartein hai. Hum gawahi, vishwaas, bharosa, aur prem mein badhatein hai.

Main jaanta hoon ki humare Muktidata jiwit hai, Ishu Masih bhi, aur Wah Apne bhavishyevaktaoun se aur Apne bhavishyevaktaoun dwara baatein karta hai, pyaare Pradhaan Thomas S. Monson, aaj, humare samay ka.

Main asha karta hoon ki hum sab us khushi ko praapt karenge jo pavitra sewa se praapt hota hai ek dusre ke bhoj ko dhone se, chahe sadhaaran ya chote bhoj ko, mere prarthna mein Ishu Masih ke naam se, amen.