2010-2019
Surakhchit Maargdarshan se Ghar Pahunche
October 2014


Surakhchit Maargdarshan se Ghar Pahunche

Hum swarg se annat maargdarshan ko chahatein hain, taaki hum dekhein aur ek sache aur sahi kaarye ko karein.

Bhaaiyon, hum purohiti ki mahaan sharir ki tarah ikatta hue hain, dono yaha Sammelan Kendra aur duniya bhar ke sthaanon par. Main abhaari hoon apne zimmedari ke liye vinamar hokar tumhe kuch baaton ko batlaane mein. Main prarthna karta hoon ki Prabhu ki Aatma mere saath ho jab ki main ayesa karun.

Pachatar saal pahale,1939, February 14 ko, Germany, Hamburg mein, ek sarwajanik aokaash mana rahe the.Daya bhare bhaashanon ke dauraan, utsahik bheed, deshbhakt gaana ga rahe the, naya jangi jahaaz Bismarck ko Nadi Elbe mein pahali baar utarah gaya tha. Yah,sab se shaktishaaly jahaaz paani par, ek asaadhaaran kawaj aur mashinari ka parchaai tha. Nirmaan ke liye 380-milimitar tak 57,000 blueprints, raedar-simit, dohari-bandukh kalash ki zaroorat tha. Jahaaz mein 28,000 miles (45,000 km) ke bijali sarcut the. Yah 35,000 tan se ziyada aur ke kawaj-palate ne mahaan surakhcha pradaan kiya tha. Dikhne mein alishaan, akaar mein vishaal, golabari mein bhayankar, nadubne waala mahaan jahaaz batlaya gaya tha.

Bismarckko milne ka samay do saal se bhi zyaada ke baad mukhar hua tha, jab 24  May, 1941 mein, British Navy ke do shaktishaaly ladaai ke jahaaz, the Prince of Wales aur the Hood, ke ladaai mein Bismarck aur German cruiser Prinz Eugen shamil the. Paanch hi mimton mein Bismarck ne Hood ko Atlantic mein dubo diya aur sabhi parantu 1,400 mein se teen yaatri. Dusre British ladaai waale jahaaz, the Prince of Wales, ko bahot nuksaan hua tha aur waapis chala gaya.

Teen dinon tak, Bismarck dobara phir ladaai par nikla, is baar British ke chaar ladaai waale jahaz se aur hawaaijahaz se. Kul milaakar, British ne paanch ladaai waale jahaaz, do planen, 11chote, aur 21 tezi se ladne waale jahaazon ka istamaal kiya tagatwar Bismarck ko dhoondne aur dubone ke prayaas mein.

In ladaaiyon ke dauraan, kai missiles ko Bismarck par chode kewal kuch hi bahari nusaan pahucha tha use. Wah duba nahi? Phir tarpedo ne ek safal gola mara, jisneBismarck ke rudder ko bandh kar diya. Use banana namumkin tha. Bandukein chalne ko taeyaar thi aur chalane waale taeyaar, Bismarck sirf dhire gol mein chal sakta tha. Kuch hi duri par shaktishaaly German hawaai jahaaz tha.  Bismarck desh ka fatak tak nahi pahuch paya.Weh surakhcha ka sthaan nahi pradaan kar paye, kyuki Bismarck ne yojna bhare chalne ka chamta kho diya tha. Rudder nahi the, madad nahi mila, faatak tak nahi pahuch paya tha. Uska ant nazdeek tha. British bandukhuon ne prajwalit kiya jabki German dal ne bardaad kar diya aur ek mazboot jahaaz ko dubo diya. Atlantic ke bhukhe laharon ne pahale diwaaron ko toda aur phir German saenik ke ghamand ko todh diya. Bismarck ab nahi tha.1

Bismarck ki tarah, hum sab bhi inginary ke chamatkaar hain. Humari rachna, phirbhi, insaan ke chamta mein nahi tha. Insaan bahot hi mushkil ke mashin ko bana sakta hai parantu usmein jaan nahi daal sakta ya usmein kaaran aur parinaam ke shakti nahi de sakta. Yeh diviye uphaar hain, sirf Parmeshwar dwara banaya gaya hua.

Jahaaz ki zaroori rudder ki tarah, bhaaiyon, hume raasta diya gaya hai jis par hume chalna hai. Prabhu ki roshnighar sanket kar raha hai hum sab ko jabki hum jiwan ke samundra mein taer rahein hain. Humara kaarye hai ki hum sidhe apni manzil ki oar badhein-Parmeshwar ki celestial raajye ki oar. Ek insaan usi tarah nahi jaese bina rudder ka jahaaz, kabhi ghar ke faatak tak nahi pahuchega. Hume chin milta hai ki: maarg banao kis oar jana hai, apne manzil tak ke liye taeyaari karo, apne paiye ko usi oar ghumao, aur aage badho.

Taagatwar Bismarck ki tarah, yah insaan ke saath bhi hai. Engin aur paiyon ki shakti bekaar hai bina maargdarshan ke, us shakti ki istamaal, maargdarshan par chalne ki shakti ka disha, dikhlaai nahi dena, chote akaar mein parantu bahot hi kaam ka hai.

Humare Pita ne suraj, chaand, aur taaron ko banaya hai-swarg ke galax ies ko machuon ko maarg dikhlane ke liye jo samundar mein taertein hain. Humare liye, jab hum jiwan ke maarg par chalenge, Wah saaf taur se maarg dikhlata hai aur usi oar ishara karta hai jaha hume jana hai. Wah satarkh karta hai: chakkar, khatron, chal se bacho. Hum apne aap ko unse dhoka nahi dekhne denge jo hume gumrah kartein hain, weh chatur paap ke lubhaane waale rang-birangi cheezon se bacho. Balki, hume prarthna karna chahiye; hume chote saral awaaz ko sunna chahiye jo humare aatma ke ant tak batlata hai Swaami ke dayabhare nimantaran ko, “Aao, mere piche ho lo.”2

Phirbhi yaha kai hain jo suntey nahi hai, jo aagya ka paalan nahi karenge, jo khudh ke banaye hue maarg par chalenge. Unhein bahot ziyada bahekawe se guzarna padhata hai jo hum sab ke ird-gird hai aur jo bahot khatarnaak ho sakta hai.

Purohiti ke rakhne waalon, hume duniya mein mushkilon ke samay rakha gaya hai. Hum is musibaton bhare duniya mein jaha sabhi oar jhagdon ki baochaar hai mein rahatein hain. Raajniti ka khel desh ko barbaad kar raha hai, nirdehi shakti ko pakad rahe hai, aur sangaton ke khand tut rahe hain, aosar se maharum aur asafalta ke ahessas se chale jaatein hain. Insaan ke sujhaao humare kaanon mein bajh rahein hain, aur humare ird-gird paap hotin hain.

Humari zimmedari hai ki hum humare Swarg ke Pita ke mahaan ashirwaadon ko jo usne hume diya hai ke laayak rahein. Jaha kahi bhi hum jaaye, humara purohiti humare saath hota hai. Kya hum pavitra sthaanon par rahatein hain? Kripa, jab tum khud ko aur apne purohiti ko khatre ke sthaan mein rakhtein ho ya un gatividhiyon mein bhaag lene se jo tumhare laayak nahi hai ya us tarah ka purohiti, jismein musibaton ko utana pade.

Hum jo purohiti ke rakhne waalon ki tarah niyukt hue hain badlao laa saktein hain. Jab hum apne aap ko sudh rakhtein aur purohiti ki iszzat kartein hain, hum dosron ke liye sabhi uddhaaran hotein hai karne ke liye. Devdut Paul ne batlaya, “Par vachan, aur chaal-chalan, aur prem, aur vishwaas, aur pavitrata mein vishwaasiyon ke liye adesh ban ja.”3 Usne yah bhi likha ki Maseeh ke piche chalne waalon ko “duniya ki roshni ki tarah” banna chahiye 4 Sachchai ke uddhaaran ko dene se buraai se bhare duniya mein sachchai prapt ho sakta hai.

Tum meinse kai Pradhaan N. . Eldon Tanner ko jaantey ho, jisne chaar Girjaghar ke Adhyakshtaoun ke salaahakaar ki tarah sewa kiya hai. Usne sachchaai ke uddhaaran ko sidha uske kaam ke vehapaar bhar mein, Canada ke sarkaar ki sewa ke dauraan, aur Ishu Maseeh ke Devdut ki tarah . Usne hume yah prerit bhare salaah ko diya: “Susamachaar ke shikshan ko jine se ziyada khushi aur safalta kuch bhi nahi dega. Ek uddhaaran banno; achchaai ke liye prabhaao dalo.”

Usne aage kaha: “Hum sabhi ko kuch kaarye prapt hua hai[Parmeshwar ke] chune hue sewak ki tarah jise usne kaabil samjha hai uske naam mein purohiti aur karne ki shakti mein. Humesha yaad rakho ki log tumhe neta ki tarah dekhtein hain aur tum veyaktigaton ke jiwan mein prabhaao daltey ho chahe achcha ya bura, jo anewaale peediyon par prabhaao daal sakta hai.”5

Hume sachchaai se shakti prapt hota hai ki aaj duniya mein Parmeshwar ke shakti sab se badi hai jab wah insaan ke beech kaam karta hai. Maranshilta ke jiwan mein surakhshit dhang se safar, hume Anant Naaowik ki maargdarshan ki zaroorat hai-mahaan Jehovah ki bhi. Hum madad ke liye pukaartein hain, hum swarg se pukaartey hain swarg ki madad ke liye.

Ek jaana-maana uddhaaran jo upar nahi pahucha tha wah Cain, Adam aur Eve ka putra tha. Shakti mein balwaan parantu kaarye mein kamzoor, Cain bhukha, jarantua, aagya na maanne waale ko aagya dene waala ban gaya tha, aur katal karne se us veyaktigat chakar ko todh diya tha jo use surakhcha aur mukti deta. Cain ne swarg ke cheezon se ziyada duniya dari ke cheezon se prem kiya; Cain kathor ho gaya tha aur paap ki oar chal pada tha.

Dusre samay par aur ek dusht raaja ke dwara, Parmeshwar ke ek sewak ko nirakhchin kiya gaya.Swarg se prerna ko prapt karke, Daniel, ne raja ke liye diwaar par likhe hue ko samjhaya. Inaam jo use prapt hua tha ko dekhkar-ek raaj wansh ka robe, ek sone ka chen, aur raajniti ki shakti-Daniel ne kaha, “Apne dhan apne hi paas rakh; aur jo badalna tu dena chahata hai, wah dusre ko de.”6 Bahot payese aur shakti Daniel ko deni chahi thi, duniya dari ki cheezon ko aur Parmeshwar ka nahi. Daniel ne nikaar kar diya aur vishwaasi bana raha.

Baad mein, Daniel ne Parmeshwar ki bhakti ki bhale hi yah tae hua tha ki ayesa nahi kiya ja sakta, use gaddhe mein shero ke saath fenk diya gaya tha. Bible mein likhi hui katha hume batlati hai ki dusre subeh, “Daniel ko gaddhe mein se nikaala gaya, aur us par haani ka koi chin nahi paya gaya, kyuki wah apne Parmeshwar par vishwaas  ….”7 Khatre ke zaroorat ke samay mein, Daniel ka vishwaasi rahane ka kaarye ne diviye bachaao kiya aur surakhcha ka sharan sthaan pradaan kiya. Is tarah ka bachaao aur surakhcha humara ho sakta hai jab hum apne jiwan ki gaadi ko anant ghar ki oar le jaayenge .

Itihaas ka samay, balu ghadi ki ret ki tarah, samay ke raastey par chalo. Naye dal ke khiladiyon ne jiwan ke samay ko bhar diya hai. Humare din ke musibatein hume daratein hain. Duniya bhar ke itihaas mein, Shaitaan ne Parmeshwar ke chelon ko musibat dene ke liye humesha karye kiya. Agar hum uske bahekawe mein padh jaatein hain, hume- taagatwarBismarck ki tarah-us rudder ko kho dega jo hume maargdarshan dega surakhchit sthaan tak pahunchne mein. Balki, bhale hi humare paas insaani nipunta ka banawat ho, hum swarg se annat maargdarshan ko chahatein hain, taaki hum dekhein aur ek sache aur sahi kaarye ko karein. Humare Swarg ke Pita humare sachche aagya ko kabhi jawaab diye bagair nahi raheinge. Jab hum swarg se madad chahatein hain, humara rudder, Bismarck ki tarah nahi hoga, kabhi tutega nahi.

Jab hum apne khud ke safar ki shuruwaat kartein hain, hum jiwan ke samundar mein surakhchit rahein. Humare paas Daniel jaysi shakti ho, taaki paap ke aur humare ird-gird ke bahakawe ke bawajood hum sachche aur vishwaasi rahein. Humari gawahi Jacob ki tarah shaktishaaly aur mazboot rahe, Nephi ke bhaai, jo, jab us aadmi jo uske saamne sabhi tarikoun ko aazmaaya tha uske vishwaas ko todne ke liye, ne batlaya, “Wah apne vishwaas se digh nahi sakta tha.”8

Vishwaas ke rudder ke saath humare maarg par maargdarshan deta hai, bhaaiyon, hum bhi ghar ke liye surakhchit raastey ko prapt karenge-Parmeshwar ke ghar tak, Uske saath anantta tak rahane ke liye. Taaki yah hum sab ke liye ho, masin Ishu Maseeh, humare Uddhaarkarta aur Muktidata ke naam se prarthna karta hoon, amen.