2010-2019
Antim-din Santon Koshish Karte Raho
April 2015


Antim-din Santon Koshish Karte Raho

Jab hum koshish karte, nibhaate, aur dusron ko wahi karne mein madad karte hai, hum sachche Antim-din ke Santon rehte hain.

Mere bhaaiyon aur bahanon, December 2013 mein duniya ne Nelson Mandela ke maut par shaanbhuti prakat kiya. 27 saalon tak kaed mein musibaton ko jhelne ke baad, Mandela pratham South Africa ka chuna hua prajaataantrika roop se ki pradhaan tha. Usko unko chama karna jinhone use jhel mein kiya tha aschariyejanak tha.Uski duniyabhar ne gungaan aur taarif kiya tha.1 Mandela aksar mein haataya hua shaabashi se kehte hue, “Mai koi sant nahi-hoon-wahi hai, jabtak tum yah sochte hai ki ek sant ek paapi hai jo koshish karta rehta hai.”2

Yeh nivedan— “ek sant ek paapi hai jo koshish karta rehta hai” —Girjaghar ke sadasyon ko razi aur prothsaahan karna chahiye. Bhale hi hum “Antim-din Santon” ki tarah jaane jaate hai, hum kabhikabhi is nirdesh par dard ki shikan kartein hain. Yeh shabd Santon humesha unke liye niyukt kiya hua jaata hai jo ucha tak dhaarmikta stithi tak ya bilkul sahi ko karne mein aage badhate hai. Aur hum purn adhikaar se jaantein hai ki hum nirdosh nahi hai.

Humare dharamshaastra sikhlate hai, bhale hi, vishwaas hume sikhlaatein hai ki, bhale, hi hum baar baar aur aage bade Maseeh ki shisksha “par puri tarah se nirbhar” hokar: Usmein vishwaas karke, pashchataap karein, prabhubhoj ko doharaye baptisma ke vaadon aur ashirwaadon ke liye, aur Pavitra Aatma ko humesha apna saathi banaye ek unche darje ka . Jab hum aesa karenge, hum aur zyaada Maseeh ki tarah banege aur ant tak jhel sakenge, jo awashyak hai .3 Saralta mein, Parmeshwar zyaada dekhta hai ki hum kaun hai aur kya ban rahe hai naki jo hum pehle the.4 Woh parwah karte hai ki hum koshish karte rahe.

Naatak As You Like It, Angrezi lekhak William Shakespeare ne likha hai, ek kalakaar ke jiwan ke anmol badlaao ko dikhlata hai. Ek bada bhaai apne chote bhaai ko maarne ki koshish karta hai. Yah jaante hue, chote bhaai ne apne bure bhaai ko marne se bachaya tha. Jab bada bhaai is dayalupan ke ahesaas ko jaanta hai, woh puri tarah aur humesha ke liye badal jaata hai aur hota hai jise wah ek “ badlaao” kehta hai. Baad mein kai mahilaaen bade bhaai ke paas jaate hai aur puchte hai “Kya tum wahi ho jisne itni baar [apne bhaai]ko maarna chaaha?”

Bada bhaai jawaab deta hai, “’Wah main tha; magar ab main ayesa nahi chahata hoon: Main yah batlane mein sharminda nahi hoon ki kis tarah main kabhi tha, jabse mera badlaao bahut sukhad hai, mujhe wah banata hai jo main ab hoon.”5

Humare liye, Parmeshwar ki dayaal aur Ishu Maseeh ke Praeshchit ke kaaran se, is tarah ka badlaao sirf saahitya kalpaana nahi hai. Ezekiel ke dwara, Prabhu ne prakat kiya:

“Aur dusht ki dushtaa bhi jo ho, jab wah usse phir jaaye, to uske kaaran wah na giregaa. …

“… Aur wah apne paap se phir kar nyaaye aur dharam ke kaam karne lage;

“… Apni luti hui vastuye bhar de, aur binaa kutil kaam kiye jiwandaayak vidhiyon par chalne lage, to wah na maregaa. …

“Jitne paap usne kiye ho, unmein se kisi ka samran na kiya jayega; usne nyaaye aur dharam ke kaam kiye.”6

Uske daya mein, Parmeshwar ne chama ka vaada kiya hai jab hum buraai ko tayaag kar paschaataap karenge-kitna ki humare paap dobara hume yaad bhi nahi dilaya jayega.Humare liye, Maseeh ki Praeshchit aur humare paschaataap ke kaaran, hum apne pichle paap ko dekh kar yah kaha saktein hai ki, “Wah main tha, magar ab main ayesa nahi chahata hoon.” Bhale hi kitne bure hum the, hum yah kaha saktein hai ki, “Wah main pehle tha. Parantu pehle ke jaesa bura ab main nahi hoon.”7

Pradhaan Thomas S. Monson ne hume sikhlaya hai ki, “Parmeshwar ka ek sabse mahaan uphaar humare liye hai ki koshish karte rahein, ki koi bhi asafalta antim nahi hota hai.”8 Bhale hi humne kitna sacheta hi ho, saavdhaan paapi ya kai baar asafalta aur takleefon ka saamna kiya ho, jis shan hum dobara koshish karne ko sochtein hain, Maseeh ki Praeshchit humari madad kar sakta hai. Aur hume yah yaad karna chahiye ki yah Pavitra Aatma nahi hai jo hume batlata hai ki hum itne bure hai ki hume dobara koshish bhi nahi karni chahiye.

Parmeshwar ki ichcha hai ki Antim-din Santon ko humesha koshish karna chahiye jo paap se bacha sakta hai. Bhale hi hum kisi aur ke kaaran us rishte mein ho jaha kai musibatein ho, payese ki musibatein, ya bimaariyon ya kisi aur ki paap ki saza ko jheltein ho, Uddharkarta ki mahaan Praeshchit kisi ghaao ko bhi theek kar sakta hai- aur shaayad khaaskar- jo nirdosh ne jhela hai. Wah achchi tarah se samajhta hai nirdosh jab kuch jhelta hai kisi aur ke paap ke kaaran. Jaise bhavishyevaani ki gayi hai, Uddhaarkarta “Tute man ke logon ko shaanti doon, …sir par raakh … doon, unka vilaap dur karke harsh ka tel lagaun, [aur] unki udaasi hatakar yash ka oadhana oadhaun.”9 Bhale hi kuch bhi ho, Uske madad ke saath, Parmeshwar chahata hai ki Antim-din Santon koshish kartein rahein.

Ussi tarah Parmeshwar bhi khush hota hai jab hum aage badhatein hain, Wah bura maanta hain jab hum yah nahi dekh paatein hain ki dusre bhi koshish kar rahein hain. Humari dost Thoba ne prayog kiya ki kis tarah usne yah shikshan ko apne maa, Julia se sikha tha. Julia aur uski maa Dakshin Africa ke hal hi ke kaalon mein se thi. Baad mein jab yah rangbeedha neeti shaasan khatam hua, Girjaghar ke gore aur kaalon ke sadasyon ko saath girjaghar ane ki anumati mil gayi thi. Kaiyon ke liye, jaatiyon mein bhed bhaao ka tarika naya aur musibat bhara tha. Ek baar, jab Julia aur Thoba girjaghar gaye the, unhone yah mehsoos kiya tha ki kuch goron ne unke saath dur vehawaar kiya tha. Jab weh ja rahe the, Thoba ne apni maa se gusse se shikayat ki. Julia chupchaap sunti rahi jabtak Thoba ne apni badaas nahi nikaal liya tha. Phir Julia ne kaha: “Are, Thoba, Girjaghar ek bade aspataal ki tarah hai, aur hum sabhi apne apne tarikon se bimaar hain. Hum girjaghar madad ke liye aatein hain.”

Julia ki aalochnaa se kimti prachur ko prakat hua. Hume sirf dusron ke dhaarmikta ke kaarye ko andekha nahi karna hai; hume bhi daya, vinamar, madadgaar, aur samjhna bhi chahiye. Jabki Parmeshwar chahatein hai ki hume aage badhane ki koshish karte rahe, Wah yah bhi chahata hai ki hum dusron ko bhi ussi tarah ka aosar dein, unke apne aosar par. Praeshchit humare jiwan mein aur bhi bade tarah se ayega. Hum usmein phir saaf taur se antar dekh sakenge, hum sab ko ussi tarah ki mahaan Preshchit ki zaroorat hai.

Kai saal pehle ek aschaariye jawaan Curtis naamak purush ko mission ki sewa ki niyukti pradaan hua tha. Wah us tarah ka prachaarak tha jiske liye sabhi mission pradhaan prarthna kartein hai. Wah kendrith aur bahut mahenati tha. Ek samay usko ek prachaarak saathi niyukt hua tha jo appurn, dusron se achchie tarah mel milaap nahi kar pata tha, aur kaarye ko ghambheerta se nahi pura karta tha.

Ek din, jab weh apne sayecal par ja rahe the, Curtis ne piche mudha aur dekha ki uska saathi bina koi spashtikaran ke apne sayecal se utar gaya aur payedal chal raha tha. Shaantipurwak se, Curtis ne Parmeshwar ko apne nirasha ko vyakt ki; bahut hi mushkil ka kaarye tha ek ayese saathi ke saath kaarye ko pura karna jise bahut hi zyaada prothsaahan ki zaroorat ho. Kuch shan baad, Curtis ko ek ghambheer sujhaao aaya, jaese ki Parmeshwar use batla rahe ho ki, “Tum jaantey ho, Curtis, mere liye, tum dono mein bahut antar nahi hai.” Curtis jaan gaya tha ki use ek apurn saathi ke saath dhaerye rakhne ki zaroorat thi jo apni tarike se koshish kar raha tha.

Mera nimantaran hai ki hum sab apne jiwan ko aankaana, paschaataap, aur koshish karte rahe. Agar hum koshish nahi karenge, hum antim-din tak paapi rahenge; agar hum abhi nahi karenge, hum antim-din kaamchor rahenge; aur agar hum apne aap se koshish nahi karenge, hum sirf antim-din ke pakhandi rahenge.10 Jab hum koshish karte, nibhaate, aur dusron ko wahi karne mein madad karte hai, hum sachche Antim-din ke Santon rehte hain. Jab hum badalte hain, hum yah jaanenge ki Parmeshwar aur zyaada dhyaan deta hai ki hum kuon hai aur hum kya banna chahatein hain naki jo hum pehle the par.11

Main Uddhaarkarta ke liye bahut abhaari hoon, Uske mahaan Preshchit ke liye, aur antim-din bhavishyevataon ke liye jo hume prothsaahit kartein hai Antim-din Santon banne ke liye, koshish karte rehne mein.12 Main Uddhaarkarta ke jiwit sachchaai ki gawahi ko, Ishu Maseeh ke naam se deta hoon, amen.

Vivran

  1. Dekhiye, Nelson Rolihlahla Long Walk to Freedom (1994); “Biography of Nelson Mandela,” nelsonmandela.org/content/page/biography; aur President Barack Obama’s Dec. 10, 2013, Nelson Mandela ke kriyakaran par prasansa kartey hue, at whitehouse.gov/the-press-office/2013/12/10/remarks-president-obama-memorial-service-former-south-african-president-. Mandela ko kai Nobel Peace Puruskaar praapt hue the, the United States Presidential Medal of Freedom, aur the Soviet Order of Lenin.

  2. Dekhiye, uddhaaran mein, Nelson Mandela ne Rice University’s Baker Institute Oct. 26, 1999 mein baatein kiya. Usne ne Robert Louis Stevenson ke jaanmaane ke waakye ko doharaya tha: “Ek sant ek paapi hai jo koshish karta rahata hai.” Kai saalon se kaiyon ne is tarah ke waakye ko doharay hai. Uddhaaran mein, Confucius ne kaha tha, “Humara mahaanta kabhi na girne mein nahi hai balki sabhi samay upar utkar aage badhne mein hai.”

  3. Dekhiye, uddhaaran par, 2 Nephi 31:2–21; 3 Nephi 11:23–31; 27:13–21; Moroni 6:6; Doctrine and Covenants 20:77, 79; 59:8–9; Handbook 2: Administering the Church (2010), 2.1.2.

  4. Kehte hue ki Parmeshwar zyaada parwaah karta hai ki hum kaun hai aur kya ban rahein na ki jo hum pahale the iska matlab nahi hai ki Uddhaarkarta ek dusre par kiye hue paap ko andekha kar deta hai. Sahi mein, Uddhaarkarta unki bahot madad karta hai jo dard, peeda, aur sir ki peeda ko jheltein hai kyunki wah dusron ke kaaran hota hai. Uddhaarkarta “aur [Apne logon ki] mritio bhi apne upar lelega, uska pyaala daya se bhar uthega, … jisse ki wah maano sharir ke durbaltaon ke anusaar apne logon ki sahaeta kar sakey” (Alma 7:12).

  5. William Shakespeare, As You Like It, act 4, scene 3, lines 134–37.

  6. Ezekiel 33:12, 14–16.

  7. Verbs mein abhi hue ka istamaal Antim Parinaam ke kai dharamshaastraon mein kiya gaya hai.Dekhiye, uddhaaran par,, 2 Nephi 9:16; Mormon 9:14; Doctrine and Covenants 58:42–43.

  8. Thomas S. Monson, “The Will Within,” Ensign, May 1987, 68.

  9. Isaiah 61:1–3; see also Luke 4:16–21.

  10. Naye Niyam mein istamal kiye hue Baimaan Greek se anuwaad kiya gaya hoga jaese “kalakaar”; “Greek shabd ka matlab ‘ek kalakaar karnewaala,’ ya ‘ek jo kala dikhlata hai, ghambheerta se pesh karta, ya dikhlata hai’” (Matthew 6:2, footnote a). Agar hum dusron ko uske samay par badalne ka aosar nahi denge, to hum sirf Antim-din Santon banne ka naatak kartein hai.

  11. Dekhiye sandesh 4, upar.

  12. Jitna hi baar yah sandesh Pratham Adhyakshta aur Barah Devduton ke Parishad batlatein hain wah aschariyejanak hai. Pradhaan Dieter F. Uchtdorf ne is par zor diya jab usne kaha, “saalon se jo sabhi siddhaanton ko bhavishyevaktoun ne sikhlaya hai, ek jispar baar baar zor diya jata hai ki ashabhare aur dilchu lene waale sandesh jisse manushye paschaataap, badalaao kar saktein, aur waapis chelatav ke sachche raastey par chal saktein hain” (“You Can Do It Now!” Ensign or Liahona, Nov. 2013, 56).