2010-2019
Hum Saath Pragati Karenge
April 2015


Hum Saath Pragati Karenge

Vachan-badh mahila aur purush hone ke naate, hamein ek dusre ko unnati tak pahunchana hai aur madad karna hai Prabhu ke chahite log banne mein.

Sammelan ke daoraan prerna bhare bhaashan, sangeet, aur prarthnaaen jo hriday chuh leti hai ke alawa, mujhe kayi bahanon dwara batlaaya gaya hai ki woh jo dekhna pasand karti hai hai jab Pratham Adhyakshta aur Barah Devduton ka Parishad apne anant saathiyon ke saath mansh par se jaane ke liye nikalte hai. Aur kya hum sab Bhaaiyon ko sunne ka anand nahin lete ki woh unhe kitna prem karte hai?

Tasveer
President Boyd K. Packer and his wife, Donna, at the Brigham City Utah Temple cornerstone ceremony, 23 September 2012.

Pradhaan Boyd K. Packer ne, apne patni, Donna, ke baare mein bolte huwe kaha, “Mai jis office ke niyukti ko rakhta hoon ke kaaran, mera ek pavitra zimmedaari hai sach bolne ka: Woh dosheen hai.”1

Tasveer
President Dieter F. Uchtdorf and his wife.

“Woh mere jiwan ka khushi ka zariya hai,” 2 kaha Pradhaan Dieter F. Uchtdorf ne apni patni, Harriet, ke baare mein.

Tasveer
President Henry B. Eyring and Sister Eyring at their wedding.

Pradhaan Henry B. Eyring ne, apne patni, Kathleen, ke baare mein kehte huwe, kaha, “Woh ek insaan [hai] jisne hamesha chaaha hai ki mai sabse behtar rahun.” 3

Tasveer
LDS Church President Thomas S. Monson gives his wife, Frances, a kiss at their 60th anniversary celebration, 10/6/2008, at the Lion House. The two met in 1944 and were married in the Salt Lake Temple on Oct. 7, 1948.

Aur Pradhaan Thomas S. Monson ne, apne patni, Frances, ke baare mein kaha hai, “Woh mere jiwan ka pyaar tha, mera bharosemand saathi, aur mera kareeb ka dost. Yeh kehna ki woh mujhe yaad aati hai mere bhaaona ke gehraai ko nahin dikhlaata.”4

Mai bhi apne priyetam pati, Craig, ke liye apna prem zaahir karna chahati hoon. Woh mere liye ek bahumulye uphaar hai! Mere pati ke vishay mein, mere kulpati ashirvaad mein ek chahita aur pavitra vaada likha hai ki mera aur mere bachchon ka jiwan “unke dwara achchi parwarish paaega.” Mujhe to yeh saaf dikhta hai ki Craig us vaade ki purti hai. Mark Twain ke shabdon se nikala hua, mai kehti hoon ki “[Craig] ke bina jiwan bhi kya jeena hai.” 5 Mai unse prem karti hoon, jise bepanah mohabbat kehte hai!

Divye Bhumikaaen aur Zimmedaariyaan

Aaj mai patiyon, pitaaon, bhaaiyon, beton, aur chaachaaon/mauson ka sammaan karna chahata hoon jo jaante hai woh kaun hai aur jo Parmeshwar-ke-diye bhumikaaon ko achchi tarah nibha rahe hai jaise parivaar ek aupchaarik ghoshna mein likha hai, jismein shaamil hai dhaarmik rup se adhyaksh karna aur parivaaron ke liye zarooratein pradaan karna aur unki raksha karna. Kripya yeh jaan li jiye ki mai jaanta hoon ki pitratav, maatritav, aur vivaah ki charcha kayi logon ke liye chintajanak ho sakti hai. Mai jaanta hoon ki kuch Girjaghar ke sadasyon ko lagta hai ki unke parivaar kabhi aadarshvaadi parivaar nahin ban paaenge. Kayi log peedit hai thukraae jaane se, durvyavahaar, laton, aur galat paramparaaen aur sanskriti ke kaaran. Mai un purshon aur mahilaaon ke kaaryon ko chama nahin karta jinhonne jaane ya anjaane mein apne gharon mein peeda, maansik tanaao, aur maayusi laayi hai. Magar aaj mai kuch aur ki baat karti hoon.

Mujhe yakeen hai ki ek pati apne patni ke liye sabse akarshak lagta hai jab woh apne Parmeshwar-ke-dwara diye purohiti rakhnewaale ke bhumika ko pura karta hai—sabse zaroori apne ghar mein. Mai Pradhaan Packer ke in shabdon ko pasand aur par vishwaas karta hoon jo yogye patiyon aur pitaaon ke liye hai: “Tumhare paas Prabhu ke dwara di gayi purohiti ki shakti hai apne ghar ki raksha ke liye. Kuch samay ayse aaenge jab tumhre parivaar aur shaetaan ke beech khada hoga yeh shakti raksha karne ke liye.” 6

Ghar mein Dhaarmik Netaaen aur Shikshak

Kuch pehle isi varsh mein mai ek anokhe aur saadhaaran vyakti ke antim sanskaar mein gaya—mere pati ke fufa Don ka. Fufa Don ke ek bete ne apne ek bachpan ka anubhav batlaaya, uske maata-pita ke ghar kharidne ke baad yeh hua tha. Kyunki parivaar mein khilaane aur pehnaane ke liye paanch bachche the, unke paas paryaapt paese nahin the aagan mein ghera lagane ke liye. Usne parivaar ki raksha karne ki bhumika ko gambheerta purwak liya, Fufa Don ne dharti mein kuch lakdi ke khambe daale, kuch rassi li, aur aangan ko gher diya isi tarah rassi ko khambe par baandhne se. Phir usne bachchon ko apne paas bulaya. Usne unhe khambe aur rassi dikhaai aur samjhaaya unhe ki agar woh ghere ke andar rahenge, woh surakshit rahenge.

Ek din bhent karne waale shikshak aaye aur dekhte reh gaye ki kaise paanch chote bachche aagyakarita se rassi ke andar khade hai, ek gend ko dekhte huwe jo rassi paar karke raaste par chala gaya tha. Ek chota bachcha daoda apne pita ko laane ke liye, jisne, jawaab mein, daud kar gend laa diya.

Baad mein antim-sanskaar mein, sabse bade bete ne rote huwe kaha ki usne hamesha is jiwan mein apne priye pita jaisa banna chaaha hai.

Tasveer
Sister Burton's son and grandson reading together.

Pradhaan Ezra Taft Benson ne kaha:

“He, Israel ke patiyon aur pitaaon, tum apne parivaaron ke uddhaar aur anantta ke liye bahut kuch kar sakte ho! …

“Israel mein pita hone ka apne pavitra niyukti ko yaad rakho—tumhare sabse zaroori niyukti abhi aur anantta ke liye—ek niyukti jisse tumhe mukti nahin mil sakti. ”

Tasveer
Sister Burton's son and grandson on a bed together.

“Tumhe aysa ghar banane mein madad karni chahiye jahan Prabhu ki Aatma reh sake.”7

Bhavishyevakta ke yeh shabd aaj itne uchit hai.

Agar namumkin nahin to kathin to hoga, vachanbadh purush hona is duniya mein jahan unke divye bhumika aur zimmedaari ko hi nahin kam mahatva diya jaata magar “riyal man” ka matlab galat nikaalte hai. Ek galat sandesh hai “Woh sab mere baare mein hai.” Tarazu ki dusri or ek kam avashyak aur hasi udaane waala sandesh hai ki patiyaan aur pitaaen ab zaroori nahin hai. Mai aap se niwedan karta hoon ki Shaetaan ke jhoot ko mat suno! Usne apna woh mauka kho diya hai pati aur pita banne ka. Kyunki use jalan ho rahi hai unse jinke paas yeh pavitra bhumika hai se, usne tay kiya “sabhi maanav samaaj … unhi ki tarah aashaheen ho jaaye”!8

Ek Dusre ke Bhumikaaon se Ek Dusre ko Unnat karna aur Madad karna

Bhaaiyon aur bahanon, hamein ek dusre ki zaroorat hai! Vachan-badh mahila aur purush hone ke naate, hamein ek dusre ko unnati tak pahunchana hai aur madad karna hai Prabhu ke chahite log banne mein. Aur hamein saath kaam karne ki zaroorat hai ubhadti peedhi ko uthaane aur unhe unke divye saobhaagye tak pahunchne mein madad karne ke liye taaki unhe anant jiwan mile. Hum Elder Robert D. Hales aur unki patni, Mary, ki tarah kar sakte hai is kahawat ko apna kar “Tum mujhe madad karo aur sahara do, aur mai bhi waisa karunga, aur hum saath pragati karenge.”9

Hum dharamshaastra mein se jaante hai ki “manushye ka akela rehna … achcha nahin.” Isiliye hamare Swarg ke Pita ne uske liye “ek sahayak banaya.”10 Yeh shabd sahayakka matlab hai “ek madad karne waala jo uske samaan, uske laayak, ya usse mel khaane waala.” 11 Uddharan ke taur par, hamare do haath ek jaise hai magar ekdam ek jaisa nahin hai. Vaastav mein, woh bilkul alag hai, magar saath achche lagte hai aur sundarta badhaate hai. Saath kaam karne se woh zyaada takatwar hai.12

Parivaaron par ek adhyaaye mein, Girjaghar ke hendbook mein yeh likha hai: “Stri aur purush ki aatmaaen aysi hai ki woh ek dusre ko sampurn karti hai.”13 Kripya dhyaan dein usmein yeh nahin likha hai ki “ek dusre se mukaabla nahin karte,” balki “ek dusre ko sampurn karte hai”! Hum yahan madad karne, unnat, aur anand manane ke liye hai ek dusre ke saath aur is daoraan behtar bhi banenge. Bahan Barbara B. Smith ne budhimaani se sikhlaaya, “Kitna zyaada aur khushiyaali mil sakti hai jab hum ek dusre ke safaltaaon se khush honge aur sirf apne safalta se nahin.”14 Jab hum “mukaabla” karne ke bajae “sampurn karenge”, tab kitna aasaan ho jaaega protsaahan dena!

Jab mai kayi chote bachchon ki jawaan maata thi, diapar badalne, bartan dhone, aur daatne ke dinon ke samaapti par, koi aur yeh Praathmik geet aur khushi se nahin gaa sakta “Mai kitna khush hota hoon jab Pitaji ghar aate hai.” 15 Haalaanki, mujhe dukh hota hai yeh batla kar ki mai hamesha hasmukh nahin hoti thi jab Craig darwaaze se woh kathin kaam waale din ke baad ghar aata tha. Woh hamesha hum sab ko gale milkar aur chumma dekar milta tha jisse kathin aur jatil samay khushaal pitaji ka samay ho jaata tha. Mai chahati hoon ki mai apne kaam mein kam vyast rehti us samay aur budhimaani se, unke tarah, avashyak baaton mein dhyaan deti. Mai kaam rok kar aur pavitra parivaar samay ka anand leti aur use dhanyevaad deti aksar hamare jiwan ko ashirvaad dene ke liye!

Aao Hum Ek Dusre Se Aksar Daya ke Baat Kahe

Bahut din nahin hue, Girjaghar ki ek vishwaasi bahan ne mere saath apna ek gehra chinta baanta jiske baare mein woh prarthna kar rahi thi bahut dinon se. Uska chinta ward ke kuch bahanon se tha. Woh keh rahi thi ki use dukh hota tha unhe apne patiyon se anaadar se baate karte dekhna aur unke baare mein bhi, apne bachchon ke saamne bhi. Usne tab mujhe bataya ki jab woh ek jawaan mahila thi tab usne dil se chaaha aur prarthna kiya ki use ek yogye purohiti rakhnewaala mile shaadi ke liye aur uske saath woh khushaal ghar basaye. Woh ayse ghar mein pali thi jahan uski maata ki “baat chalti thi ghar mein” aur uske pita hamesha maa ki maang puri karta tha taaki ghar mein shaanti rahe. Use lagta tha ki isse behtar tarika bhi ho sakta hai. Usne apne ghar mein nahin dekha, magar maargdarshan ke liye utsaah se prarthna karne ke baad, Prabhu ne use ashirvaad diya yeh jaanne ke liye ki kaise woh apne pati ke saath ek ghar basaye jahan Aatma maujood rahe. Mai uska ghar gayi hoon aur gawahi de sakti hoon ki woh ek pavitra jagah hai!

Bahanon aur bhaaiyon, kitni baar hum jaanbujh kar “ek dusre se daya ke shabd kehte hai”? 16

Hum khud ki pariksha le sakte hai yeh sawaal puchkar. Thodi badlaao ke baad, yeh sawaal hum sab ke liye sahi ho sakte hai, chaahe hum vivaahit ya avivaahit ho, jo bhi hamare ghar ka stithi ho.

  1. Kab maine apne pati/patni ki prashansa ki thi, chaahe akele ya hamare bachchon ke saamne?

  2. Kab pichli baar maine use dhanyevaad diya, prem zaahir kiya, ya uske liye vishwaas ke saath vinti kiya prarthna mein?

  3. Kab maine apne aap ko kuch dukh pahunchaane waali baat kehne se roka?

  4. Kab aakhri baar tha jab maine maafi maanga aur vinamrata se chama maagi—bina yeh shabd kahe “par agar sirf tumne yeh kiya hota” ya “par agar sirf yeh nahin kiya hota”?

  5. Kab aankhri baar maine khush rehne ko chuna bajae “sahi” hone ka maang kiye?

Ab, agar ismein se koi sawaal se tum bechaen hote ya kasurwaar mehsoos karte, yaad rakhiye ki Elder David A. Bednar ne sikhlaaya hai ki “kasurwaar mehsoos karna hamare aatma ke liye waisa hai jaisa peeda shareer ke liye—khatre ki chetaoni aur kisi aur chot se suraksha.”17

Mai aap sab ko nimantran deta hoon ki hum Elder Jeffrey R. Holland ke dil se diye niwedan par gaur karein: “Bhaaiyon aur bahanon is lambe anant koshish mein jab hum hamare Uddhaarkarta ke jaisa banna chahate hai, hum ‘sampurn’ purush aur mahila bane sirf is tarah se abhi ke liye—kisi ko apne baat se haani na pahunchana, ya koshish kare, ek naye zubaan se baate karne ki, farishton ki zubaan.” 18

Is mauke ke liye tayyaari karte samay, Aatma ne mujhe sikhlaya hai, aur maine tay kiya ki mai daya ke shabd aksar apne chahite pati se aur unke baare mein kahungi, taaki apne parivaar ke purshon ko uncha darja doon aur unhe dhanyevaad doon apne divye aur saathi ke bhumika ko baakhubi nibhaane ke liye. Aur maine us kahawat ka paalan karne ke liye thaan liya hai “Tum mujhe madad karo aur sahara do, aur mai bhi waisa karunga, aur hum saath pragati karenge.”

Kya tum mere saath Pavitra Aatma ki madad ko dhoondhoge taaki woh hamein sikhlaaye hum kaise ek dusre ko sampurn kare apne naye bhumika mein apne premi swarg ke maata-pita ke vachanbadh putra aur putriyon ke rup mein?

Mai jaanti hoon ki Ishu Maseeh ke Praeshchit ke shakti aur Unmein hamare vishwaas ke dwara, hum aysa kar sakte hai. Mai prarthna karti hoon ki hum Unpar bharosa kare ki woh madad karenge khushi aur anantta se jeene mein saath pragati karte huwe, Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Boyd K. Packer, “Donna Smith Packer Receives Family History Certificate from BYU mein,” news.byu.edu/archive12-jun-packer.aspx.

  2. Dieter F. Uchtdorf, Jeffrey R. Holland mein, “Elder Dieter F. Uchtdorf: On to New Horizons,” Ensign, Mar. 2005, 12; Liahona, Mar. 2005, 10.

  3. Henry B. Eyring, Gerald N. Lund, “Elder Henry B. Eyring: Molded by ‘Defining Influences mein,’” Ensign, Sept. 1995, 14; Liahona, Apr. 1996, 31.

  4. Thomas S. Monson, “I Will Not Fail Thee, nor Forsake Thee,” Ensign ya Liahona, Nov. 2013, 85.

  5. Mark Twain, Eve’s Diary (1905), 107.

  6. Boyd K. Packer, “The Power of the Priesthood,” Ensign ya Liahona, May 2010, 9.

  7. Ezra Taft Benson, “To the Fathers in Israel,” Ensign, Nov. 1987, 51, 50.

  8. 2 Nephi 2:27.

  9. Dekhiye Robert D. Hales, “Strengthening Families: Our Sacred Duty,” Ensign, May 1999, 34 mein dohraaya gaya; Liahona, July 1999, 40; LaRene Gaunt, “Elder Robert D. Hales: ‘Return with Honor,’” Ensign, July 1994, 51 bhi dekhiye; Liahona, Apr. 1995, 31.

  10. Genesis 2:18.

  11. Genesis 2:18, footnote b.

  12. Dekhiye Bruce K. Satterfield, “The Family under Siege: The Role of Man and Woman” (Ricks College Education Week par prastut kiya gaya, June 7, 2001), 4; emp.byui.edu/SATTERFIELDB/PDF/RoleManWoman2.pdf.

  13. Handbook 2: Administering the Church (2010), 1.3.1.

  14. Barbara B. Smith, “Hearts So Similar,” Ensign, May 1982, 97.

  15. “Daddy’s Homecoming,” Children’s Songbook, 210.

  16. “Let Us Oft Speak Kind Words,” Hymns, no. 232.

  17. David A. Bednar, “We Believe in Being Chaste,” Ensign ya Liahona, May 2013, 44.

  18. Jeffrey R. Holland, “The Tongue of Angels,” Ensign ya Liahona, May 2007, 18.