2010-2019
Yah Teri Maata Hai
October 2015


Yah Teri Maata Hai

Maranshilta mein koi prem Ishu Maseeh ke sachche prem ki nazdeek nahi hai kewal ek vishwaasi maa ka mahaan prem hota hai apne shishu ke liye.

Main tumhare sab ke saath hokar Elder Ronald A. Rasband, Elder Gary E. Stevenson, aur Elder Dale G. Renlund aur unki patniyon ka swaagat karta hoon sabse sundar sangaton ke saath jo weh soch saktey hain.

Uddhaarkarta ke Praeschit par bhavishvaani kartey hue, Isaiah ne likha, “Usne humare rogon ko saha liya aur humare hi dukhon ko utah liya.”1 Ek raajye antim-din ke dirishye mein batlaya gaya hai ki, “[Ishu] duniya mein aya … duniya ke paapon ko jhelne ke liye.”2 Dono puraane aur naye dharamshaastra gawahi deta hai ki “usne unhein bachaaya, aur use jhela, aur sare puraane dinon mein use dhoya.”3 Ek pasandita ishubhajan mein hume se guzaarish karta hai ki “apne mahaan Pahuchaane waale ki awaaz sunno!”4

Janna, janam, dhona, payeda. Yeh shaktishaaly, ashabhare messiah ko samjhaane waale shabd hain. Weh madad aur asha batlatein haina ur surakhchit sangaton ke vaade ko rakhtein hain jaha hum hain aur-parantu pahuch saharae ke bina. Asaaodhaan shabdon, weh musibat aur jhelne, kamzori aur peeda ka matlab-hotey hain Uske mission ke matlab ko batlata hai jo, keemat kaha na jaye, hume upar utadhtey hain jab hum gir chuke ho, hume aage badhatey hai jab shakti kam ho jata haihume surakhchit dhang se ghar pahunchaatein hain. “Mere Pita ne mujhe is liye bheja ki,” Usne kaha, “mujhe krus par utaadye jaane ke praschaat; … jaise main utadhaya gaya … usi tarah insaan bhi utaddaya jaye … mere … liye.”5

Parantu shaayad tum in shabdon ko dusra bhaasha mein sun saktey ho jismein hum shabdon ko istamaal kartein hain jaese janna aur janam,dhona aur utahana,kaarye aur payeda. Jis tarah Ishu ne John se kaha jabki Praeschit ke sabhi kaarye mein, to Wah hum sabse kahata hai, “Yah teri maata hai!”6

Aaj main is manch par se batlata hoon jo yaha pahale batlaya gaya hai: ki maranshilta mein koi prem Ishu Maseeh ke sachche prem ki nazdeek nahi hai kewal ek vishwaasi maa ka mahaan prem hota hai apne shishu ke liye. Jab Isaiah, Uddhaarkarta ke bare mein batla rahe the, Jehovah ki prem ko batlana chahatey the, usne maa ki mahaan parchaai ko dikhlaya. “Kya ek maa apne doodh peetey shishu ko bhool sakti hai?” usne pucha. Usne kaha ki yah sujhaao anokha hai, utna anokha nahi hai jaese sochna ki kya Ishu hume kabhi bhool sakta hai.7

Is tarah ka sachcha prem “lambhe samay tak, aur dayalu, …ikchaaen nahi karti, … parantu … sabhi baaton ko sahti, sabhi baaton mein vishwaas karti, sabhi baaton ki asha karti, sabhi baaton mein anant tak bani rahati hai.”8 Sabhi cheezon mein ziyada prothsaahan, wah vishwaas “kabhi bhi asafal nahi hoti.”9 “Chaahe parwat hat jaaye aur pahaadiyon khisak jaaye,”Jehovah ne kaha, “parantu teri uddharta tujh se alag nahi hogi.”10 To apni maaen bhi kahati.

Tum dekho, yah wah sirf nahi hai ki weh hume payeda karti hain, parantu weh humari madad karti hai humare saath musibaton mein Yah sirf maata-pita ka dekhrekh nahi hai parantu jiwanbhar ke dekhrekh hai jo maaoun ko itna aschariye kaarye banati hai. Sahi mein, yaha par hriday cho lene waale kaarye hain, parantu kai maataein sahaj gyaan se haan leti hain, khudh hi ki yah sabse mahaan tarah ka pavitra vishwaas hai. ko uthaana jo weh asha karti hai ki guzar jaaye parantu kisi bhi tarah se hataya nahi ja sakta hai. Prastuti ki woh vastu, khaas kar un jawan maatae ko, bahot taravaanaa ho skata.

Ek aschariye jawaan maa ne abhi haal hi mere paas likha: “Kis tarah hai ki ek insaan ek shishu ko itna prem kar sakta hai ki tum khudh hi apne azaai ka ek mukhye bhaag use dedo? Kis tarah se maranshil prem itna shaktishaaly ho sakta hai ki tum khudh hi khushi se veyaktigat rup mein zimmedari, kamzoriyon, chinta, aur sirke peede ko swikaar karegi aur baar baar prem ko doharatein rahenge bhale hi achche anubhaouein na rahe ho? Kis tarah ka maranshil prem tumhe mahesoos kara sakta hai ki, ek baar tumhe shishu ho, ki tumhara jiwan kabhi bhi tumhara apna, khudh ka nahi hai? Maa ka prem diviye hona chahaiye. Waha par aur koi jawaab nahi hai. Jo maatein achchie tarah se Maseeh ke kaarye mein yah mukhye bhaag hai. Jaante hi us prem ke prabhaao ko batlane mein kaafi hai kabhikabhi jo jhela nahi ja sakta hai baar baar, jabtak dharti par sabi ek bacha surakhchit na ho aur mukhti ko prapt kiya ho, hum bhi [phir] Ishu ke saath kaha saktey hain, ‘[Pita] Maine wah kaarye khatam kar diya hai jo tumne mujhe diya tha.’11

Us patra ko man mein yaad karke, main tumhe teen anubhaoun ko batlata hoon maataoun ke mahaan prabhaao ko dikhlatey hue mere dekhrekh ke dauraan pichale kuch hafton mein:

Mere wartalabh mein rachetik hai, yaad dilate hai ki maataon koshishe se ek kahani samapt par bhi lekin turant se nahi. Muhjye yaad aaye ek baat-chit ki prem karne waala 50 saalon se ziyada ka mitra jisne durbhaagye se apne vaadon ko todh diya tha, Girjaghar ke ashirwaadein kho diye hai. Jaaye kitna bhi main usko madad karun, who unko anand nahi denha. Ant mein usne kaha, “Jeff, mere liye kitna dardnaak hoga Parmeshwar ke saamne khade hone mein, main apni maa ke saamne khade hone ke soch ko jhel nahi sakta hoon. Susamachaar aur uske bachchein uske liye sabse zaroori the. Main jaanta hoon ki maine uska dil todha hai, aur maine bhi apni maa ka todha hai.”

Ab, mujhe yakeen hai ki uske guzarne par, uski maa ne mere mitra ko khushi se swokaar kiya tha, pyaar karne waale haaton ke saath; wah hai jo maata-pitaaien kartein hain. Parantu kahani ka chetaaouni hai ki bachchein apni maa ka hriday todh saktein hain. Yaha bhi hum diviye ke saath dusre tulna ko dekh saktey hain. Mujhe yaad karwaane ki zaroorat nahi hai ki Ishu todhte hue hriday, duniya ke paapon ki takawat aur gum ko jheltey hue mara tha. To kisi bhi bahakawat mein, hume “[apni] maa” aur humare Uddhaarkarta dono ko humare paapion se bachana chahiye.

Dusra, main us jawaan aadmi ke bare mein batlata hoon jo mission kaarye mein laayak se juda tha parantu apne khudh ke chunaao se ghar waapis jald chala gaya ek hi ling ke khichaao ke karan aur us stithi mein jhele hue peeda ke kuch anubhao ke karan. Wah abhi bhi laayak tha, parantu wah apne vishwaas mein ghambheerta se swaal puch raha tha, use chu jane waala dard aur bhi badh raha tha, aur uska dhaarmik peeda bahot hi ziyada peedanashak tha. Wah dard, aschariye, gusse, aur akelapan mein tha.

Uske mission pradhaan, uske stake pradhaan, uske bishop ne kai ghanton bhar usko dhoondhane aur rone aur ashirwaad dene mein bitaya jabki weh uski madad kar rahe the, parantu uska dhaarmik jhelna uska veyaktigat tha ki waha par kuch bhaag the jo usne unko nahi batlaya tha. Is kahani mein pyare pita ne apna pura dhaarmik shakti laga diya tha apne bache ki madad mein, parantu uske bahot hi mushkil naukri ke stithi ka matlab tha ki lambhe andhere raat ke dauraan yeh dhaarmik musibatein ghati thi jo is ladke aur uski maa ne jhela tha. Din aur raat, pahale hafton tak, phir mahinon tak jo saalon mein badal gaye, weh changaai aur tandususti saath mein kare. Gusse ke samay ke dauraan (ziyadatar wah ahesaas kar raha tha parantu kabhikbahi wah bhi kar rahi thi) aur kabhi na khatam hone waali dar (ziyadatar wah ahesaas kar rahi thi parantu kabhikbahi wah bhi kar raha tha), usne apna gawahi apne putra se batlaya. Yah ek dusra uddhaaran hai sundar, takleef bhara tarika jo maataaien “jhelti” hain apne bachchon ke saath Parmeshwar ki shakti se, Uske susamachaar se, Uske Girjaghar se parantu khaaskar Uske prem se is bachche ke liye. Ussi samay par usne apne khudh ke gawahi ko stir, samjhaota nahi, uske liye khatam na hone waala prem bhi. Saath mein laane ke liye uske jiwan ke un dono mujhye bhaag ko- Ishu Maseeh ka susamachaa aur uske parivaar- wah humesha prarthna karti rahi. Usne upwaas rakha aur roya, usne roya aur upwaas rakha, aur phir sunna aur sunna aur sunna jabki uske putra ne usko baar baar batlaya ki wah bhaari naaraazgi mahesoos kar raha tha. Phir usne uski mdad kiya- dobara- sirf is baar nao mahine ke liye nahi tha. Is baar usne socha ki usko ghambheer dhaarmik musibaton mein madad karne se humesha ke liye chala jayega.

Parantu Parmeshwar ki mahima se, uske khudh ke atalta, aur kai Girjaghar netaaoun ki madad, mitron, parivaar ke sadesyeon, aur peshewaron se, is sachchie maa ne apne bachche ko dekha hai uske musibaton ko jheltey hoye aur dhaarmik taur se dobara mazboot hotey. Dukh ke saath hum batlaatein hain ki us tarah ka ashirwaad hai hi nahi, ya abhi hua nahi hai, sabhi maata-pitaaoun ko mila nahi hai jo apne bachchon ke kai stithiyon mein peeda jheltein hain, parantu yaha asha ka kiran tha, Aur main zaroor kahata hoon, is putra ka ling sambandh kaarye kisibhi tarah se kuch bhi badla nahi tha- kisi ne kaha nahi ki hoga. Parantu dhire-dhire, uska hriday mein badlaao hua.

Wah girhaghar aana shuru kiya. Usne prabhubhoj ko khudh hi aur laayak se lena shuru kiya. Usne dobara mandir ka sifaarish liya aur ek niyukti ko karne ke liye swikaar kiya ek subeh ki seminary shikshak ki tarah, jaha wah bahot hi safal hua. Aur ab, paanch saalon baad uske paas hai, uske khudh ke sifaarish se aur Girjaghar ke madad se, dobara mission ke kaarye ko Prabhu ki sewa karne mein pura kiya. Maine bahot aasoo bahaya hai is jawaan ladke aur uske parivaar ke kaarye ko himmat, sachchaai, aur lagan se karne mein aur usko vishwaas rakhne ki madad mein.Wah jaanta hai ki wah bahot hi abhari hai kaion ke liye, parantu wah jaanta hai ki wah sabse ziyada is jiwan mein do logon ka jo messiah ke sewak hain, do jinhone use payeda kiya aur usko dhoya, uske liye musibat utahya aur use laya- uske Uddhaarkarta, Prabhu Ishu Maseeh, aur uske stir, vimochak, bilkul santon ki tarah maa.

Antim, is Mexico Shahar Mexico Mandir ke punaharsthaapna mein teen haftey pahale. Wah Pradhaan Henry B. Eyring ke saath tha humne apne pyare mitra Lisa Tuttle Pieper ko us chaltey hue punharsthaapna ki sewa mein khadi huwi dekha. Parantu uske liye khada hona mushkil tha kyuki sharirik taur par ek haat se apne pyare ke pure wazan ko utahye hue thi parantu shakti se apang putri, Dora, ko jabki dusre se wah kosish kar rahi thi Dora ke apang daahine haat ko teek karne ke liye taaki is apang parantu Parmeshwar ki sundar putri ek safed romaal ko hila sakey aur us tarah se baatein kiya jo srif khudh hi samajhti aur swarg ke duton ne chillaya, “Hosanna, hosanna, hosanna Parmeshwar aur Mimna ke liye .”12

Maataaoun ke liye sabhi sthaan, pichale, abhi, ya aanewaalon, main kaheta hoon, “Dhanyewaad. Dhanyewaad hai payeda karne ke liye, apne bachchon ki parwarish karne ke liye, veyaktigat prabhaao dene ke liye, aur Maseeh ki sachche prem ko dikhlaane ke liye.” Maa Eve ko, Sarah ko, Rebecca ko, aur Rachel, Nazareth, aur Swarg mein ek Maa ko, main kehta hoon, “Dhanyewaad kahata hoon tumhare mahaan kaarye ko jiwan mein pura karne ke liye anant.” Sabhi maataaoun ko sabhi stithiyon mein, unke saath jo jhel rahi hain-aur sabhi jhelengi- main kahata hoon, “Ananadita ho. Parmshwaar par bharosa rakiye aur apne aap ko bhi. Sahi mein, tum Pahaad Zion par uddhaar kar rahi ho,13 aur tumhara prem ‘kabhi kam nahi hoga.’14 ” Main kisi aur ka itna bada aadar kar nahi sakta. Ishu Maseeh ke naam se, amen.