2010-2019
Vishwaas Mauka Nahi hai, balki Chunaao hai
October 2015


Vishwaas Mauka Nahi hai, balki Chunaao hai

Ishu Maseeh par vishwaas hona ek tofa hai swarg mein se jo aate hai jab hum vishwaas ko chunte hai aur jab hum dhoondhte hai aur maante hai.

Uddhaarkarta ne jo log unke aas-paas the ke vishwaas ki shakti yah kamzori ko sammanit kiya. Ek par, Usne sahamati mein se kaha, “tera vishwaas badha hai.”1 Usne dusre se udaas se kaha, “To hai alapvishwaasiyon.”2 Usne dusre se sawaal kiya, “Tumhara vishwaas kaha tha?”3 Aur Ishu se dusre par ashadharan kiya, “[Sara Israel mein] Mainne aise vishwaas nahi paya.”4

Mainne apne aap se pucha, “Kitna vishwaas mera paas hai jo Uddhaarkarta mehsoos karte hai?” Aur aaj raat ko main tumse puchta hoon ki kitna vishwaas tumahara paas hai jo Uddhaarkarta mehsoos karta hai?”

Ishu par vishwaas karna ek asaan cheez nahi hai, jo hawaa mein dhilaa se palva ho jaata hai.Vishwaas hamare paas mauke se nahi aate hai, na ki janamsidh adhikaar se hamare saath hai.Woh, jaise dharamshaastra batlata hai ki “ka nishchay … andekhi vastuo ka pramaan hai.”5 Vishwaas prasaarit karte hai ek aatmik raushni ko, aur woh raushni saaf hai.6 Ishu Maseeh par vishwaas hona ek tofa hai swarg mein se jo aate hai jab hum vishwaas ko chunte hai aur jab hum dhoondhte hai aur maante hai. Tumhare vishwaas7 mazboot hote jaata hai ya kamzor hota jaata hai.Vishwaas shakti ka siddhant hai, jiwaan mein sirf zaroorat nahi, balki hamare bhadhanti parda ki bandwaar mein.8 Maseeh ke kripdadrishti par, ek din hum bach paenge vishwaas se Unki naam par.9 Tumhari aane-waale vishwaas mauke se nahi honge, balki chunaao se.

Ek Jawaan Brazilian ki Vishwaas

Ek mahine pehle Brazil mein meri mulakaat Aroldo Cavalcante se hui. Uska baptisma hua tha jab woh 21 ka saal tha, woh pehla Girjaghar ka sadasyon tha apne parivaar mein. Uske paas bahut hi vishwaas tha, aur woh turant hi prachaarak ke liye taeyyaar shuru karne laga. Udaasi se, Aroldo ke maa cancer se bimaar ho gayi. Teen mahina ke baad, marne se kuch din pahale, usne Aroldo se apni bahut hi chintith ki baate ki: Waha rishtedaar nahi the madad karne mein. Aroldo ko apni donon choti bahanon aur chote bhaai ki zimmedaari hai. Usne dirhhaatapurvaak se apne marte hue maa se vyada kiya.

Tasveer
Cavalcante bhai-bahanon

Din mein woh bank mein kaam karta tha, aur raat ko university mein padtha tha. Woh nirantar se apni baptisma ka vaado ko nibhata tha, magar uski pura samay ka prachaarak ki umeed kamzor ho gaye.Uska mission tha ki woh apna parivaar ko dekhbal karein.

Mahino ke baad jab woh prabhubhoj ki sabha ki baate ko taeyyaar kar raha tha, Aroldo Samuel ki shabd ko sikha jo Raja Saul se alochnatmak dang se baate ki: “Palaan kariye,” usne padha, “balidaan se behtaar hai.”10 Aroldo ne prakat rup se prabhao mila ki use bhavishyavakta ke agya ka palan kar ke mission par jana chahiye. Unke aage jo rukhawate thi use avichalit na hote hue wah adhik vishwaas ke saat age bade.

Tasveer
Elder Aroldo Cavalcante

Aroldo ne Brazilian cruzeiro bachaya jitna hi usko mila tha. Jab woh 23 ka saal tha, usne apni mission call liya.Usne apne bhai ko batlaya ki use har mahine bank account se kitne payse nikalne the;. Phir bhi Aroldo ke paas zyaada paese nahi the unke mission ke liye aur na ki unke bhaai aur bahanon ki karch, ke liye.par vishwaas se wah MTC gaya. Ek hafte baad usko pehla ashirvaadon mila jo kai ashirvaadon se. Jo bank Elder Cavalcante par naokri karta tha ne achaanak se paese ko dohaara kiya jisse usko milna tha jab unka kaam katm hua tha. Yeh chamatakaari, aur kai, uski mission aur parivaar ke liye nafaa ko pradaan kiya uski nah rehna.

Tasveer
Calvalcante parivaar aaj par

Bees saal baad, Bhaai Cavalcante ab Recife Brazil Boa Viagem Stake ke pradhaan sewa kara rahe hai. Sochte hue ki kya hua, usne us din ke liye kaha, “Jab main nyayepriye jeena koshish kar raha tha, mujhe Uddhaarkarta ke pyaar aur sanchaalan ko mehsoos kar raha tha. Mera vishwaas badh gaye, mujhe aagya diya apne chunaotiyaan ko kabu paana.”11 Aroldo ke vishwaas mauke se nahi aaye, balki chunaao se.

Waha par kai Isai purush aur mahila hai jiske paas gehra vishwaas hai Prabhu Ishu Maseeh ka, aur hum unko palaan aur adaar karte hai.

Ladai mein nahi anurodh honga

Magar bhaaiyon, hume aur kuch mila hai.Humko Parmeshwaar ki purohiti praapt hui, Parmeshwaar ki shakti jo punahsthapit hua is dharti par pavitra farishta se.Ye tum par khaas hai. Ab tum is ladai mein nahi anurodh honge(achchai aur bure ke beej mein).Tumhara vishwaas mauke se nahi badhenga, balki chunaao se.

Hum apne jeevan ko kaise jienge jo vishwaas ko kamzori ya mazboot karta hai. Prarthna, agyakaari, imaandaari, niyam paalne waalon ka soch aur kaarye ki pavitrata, aur udaarta bhadhanti vishwaas. Isi ke binna, vishwaas kami ho jaenga. Kyon Uddhaarkarta ne Peter se kaha, “Maine tere liye veenti ki, ki tera vishwaas jaataa na rahe.”?12 Kyunki waha virodhi hai jo hamare vishwaas ko barbaad karna chahata hai! Sab cheez ko karna hai rakhsha ke liye.

Sachchaai Sawaalo

Sachchaai sawaalon ko vyavahaar karna bahut hi avashyaak hai hamare vishwaas ko nirmaan karna, aur hum apne donon gyaan aur bhavna ko istemal karte hai. Prabhu ne kaha, “Main tumhare hriday mein aur tumhare man mein bataunga.”13 Sab sawaalon turant nahi ayenge, par kai jawaabo sachmuch vishay aur Parmeshwaar se sawaalon ko dhoondhna se sankalp hoga. Apne hriday ko istemal karna bina man ke humko pavitra sawaalo ko nahi milenga. “Parmeshwaar ke vaastuye sansaar nahi jaante hai, par Parmeshwar ki Aatma[se].”14 Aur humko madad karne mein, Ishu ne vaada kiya ki “ek aur sahaayak, …athaarth satya ka aatma bhi.”15

Vishwaas har sawaalon ke jawaabo ko nahi anurodh karta hai pratithi ko dhoondhta hai aur shakti se aage badhta hai, aur bhi jab hum swikaar karte “Main sab kuch nahi jaanta, par main itna jaanta hoon ki main chelapan ke maarg par badhte hi rahunga.”16

Ek dusre ko sandeh par laagaatar rehna, jawaabo se prerit kiya gaya hai avishwaasi aur avishwaasniye se, jo ek dusre ki Ishu Maseeh aur Punahsthaapna ki vishwaas ko kamzori karta hai.17 “Manushye Parmeshwaar ke aatma ki baate grahan nahi karta: kyunki weh uski drishti mein murkhtaa ki baate hai.”18

Udharan ke taur par, Bhavishyevakta Joseph Smith ke bare mein sawaal hai jo naye nahi hai. Is Karye ke shuruwaat se alochak ne ise nirdayi rup se dekha hai. Sachchaai vishwaasiyon purush ki oar, jo 21 st century ki gyaan praapt hai jo Bhavishyevakta Joseph Smith ki karyekram ya vivran janne ke liye utsukh hai 200 saalon pehle se, mujhe is salaha ko baatne dijiye: Bhavisye ke koi din mein, 100 baar zyada jaankari Intarnet ke sarch engine mein maujood hoga aur use immandari se bharosemand maan liya jayega.Woh aksar kehta tha ki woh sampurn nahi tha.19 Unki pure jeevan ke liye soche- kangali mein janm hua tha aur thori si shikshan, magar usne Mormon Dharamshaastra ko 90 dinon se kam mein anuwaad kiya, aur20 dassio haazaro, sachchaai samarpit purush aur mahilaaon ko moh liya Punahsthaapna ke liye, jab woh 38 ka saal tha usko hutaaatma hua tha. Main gawahi deta hoon ki Joseph Smith Parmeshwaar ka bhavishyevakta tha. Vishwaas kijiye, aur shuru kijiye dusre cheez ko chintit ke liye.

Taufe jo Hamare Vishwaas ko Badhata hai

Hamare paas Bible aur Mormon Dharamshaastra hai, sachmuch pratithi karte hai ki Ishu Maseeha hi hai, Parmeshwaar ka Putr. Mera haathon mein French ki pehla chapai Mormon Dharamshaastra hai, anuwaad aur prakashan kiya gaya hai John Taylor se, jab usne kaarye ko shuru kiya tha 1852 France mein. Kai ya sab Mormon Dharamshaastra ab 110 bhaashon mein hai duhiya bhar. Yeh aatmik aur sachchaai ke liye puri Punahsthaapna ki taeyyaar par.Kis samay par tumne Mormon Dharamshaastra padha aadi se ant tak? Woh ek taufa hai Parmeshwaar se tumhari vishwaas ko mazboot karne mein.21

Ek aur taufa hai Parmeshwaar ki oar se jo tumhari vishwaas ko mazboot karenga woh hai Pratham Adhyakshta aur Barah ke Parishad ki sanchaalan. Aaj Barah mein se teen naye sadasyon ko humne sehmat kiya, aur main unka swagat karta hoon. Paul ne kaha:

“Usne prerit[niyukt kiya]; aur …bhavishyevaktaaon ko: …

“Jisse pavitra log sidh ho jaaye … :

“Jab tak ki hum sab ke sab vishwaas aur Parmeshwaar ke Putra ki pahechaan mein ek na ho jaaye. …

“…Taaki hum aage ko … manushye ki tag-vidha aur chaturai se, unke brham ki yukitiyon ke aur updesh ke har tak jhoken se uchale aur idhar-udhar ghumaye jaate hai.”22

Pratham Adhyakshta aur Barah ki raksha se hamari vishwaas ko raskha karne mei madad karti hai.

Tasveer
Vishwaas ki Aag

Tumhari vishwaas ki aag shuruaat mein shayad chote honge, ek shuruaat josh tumhe pratithi karta hai ki tum Parmeshwaar ke putr ho. Tumhari niyamon ka palaan karne ki chunaao se aur faesla se, tumhari nidar Parmeshwaar badh jaaega. Aandekhi taufe swarg se ek jaise shuddh hawaa hai, jo tumhari vishwaas ko badhata hai aur sneh aur raushni ko sanklit karta hai. Aisa hone par bhi maranshilta ki mushkilen jo dhamki deti hai aag bhujane ko aur burai ko josh karta hai andere mein umeed hai ki tumhari vishwaas ko bhuja deta hai, aap ko aage badhna hai taki apko aur raushni aur buddhi tatha gyaan mile. Pradhaan Thomas S. Monson ki baate sachch hai: “Daaro mat. …Bhavishye tumhari vishwaas ki raushni ki anand ki tarah hai.”23

Porter, Zane, aur Max Openshaw

Girjaghar ki jawan purushon ki vishwaas bahut hi asadharan hai!

Tasveer
Openshaw ke parivaar

June 12 is saal mein, mujhe ek email mila italah karte ki ek bishop Utah ward mein se uski patni, aur donon bachche ki hawaijahaz mein maaut hui. Bishop Mark Openshaw hawaijahaz ko maargdarshak kar raha tha jaise who ek chota hawaii kendra ko choda tha, jab wah achanak se sataa ko kho diya aur dharti pe dhamaaka hua. Bishop Openshaw, uski patni, amy, aur unke bachche Tanner aur Ellie durghtana mein maar gaye. Chamatkaari se unke paanch-saal-ka beta, Max, hawaiijahaz se ki uski sit mein se mukt hua, bach gaya sirf tutha hadhiyon se.

Mainne yeh jaan paya ki unke beta Elder Porter Openshaw Marshall Islands Majuro Mission mein pracharak tha aur unke 17-saal beta, Zane, Germany mein ek skul ki saanskritik badlaao mein tha.

Mainne Christmas Island mein Elder Openshaw ko phone kiya. Toote hue dil hone par bhi apni maa, pita, bhaai, aur bahan ki achanak mritiyu par, Elder Openshaw ka vichaar turant uske donon chote bhaai par tha.

Aant mein Elder Openshaw aur uske bhaai Zane ne faesla kiya ki dusro ghar mein madad kar saktein hai aur Porter apni mission mein rehna hai. Who log jaante the ki yahi unke mata-pita chahate the.

Tasveer
Elder Porter Openshaw ek baptisma par

Jab maine Elder Openshaw se baate ki, maine uski udaasi ko mehsoos kiya par uski vishwaas ki aag bhi. “Mera paas pratithi hai,” usne mujhe kaha, “aur main jaanta hoon bina shakh ke ki main apne parivaar ko phir se dekhunga. … Sankat mein hamare shakti hamesha mil jaata hai … hamare Prabu, Ishu Maseeh par. …Parmeshwaar ki bahut hi shaktimaan haathon ne [mujhe] madad ki aur mera bhaaiyon ko bhi [is] takleef chunaoti pe.”24

Tasveer
Zane Openshaw antim-sanskar mein bhashaan

Mainne Zack ko paheli baar antim-sanskar mein mila tha. Jab main chaar kafan ko dekha jo hamare samne tha chapel mein, mujhe aschaariya hua is 17-saal ki jab usne sabha ko sanbhodhit kiya. “Aaj,” usne kaha, “ hum sab yah par upasthit hue vinamrata se aur thaake hue log, jo hamare maa, pita, Tanner, aur Ellie ko yaad karte. …Hum ne saath mein baate ki, saath mein roya, saath mein yaad kiya, aur saath mein Parmeshwaar ki haathon ko mehsoos kiya. …

“Jo din maine durghatna ki khabar ko sunna, main ek chithi paya mera bag meri maa se. Chithi mein likha tha usne: ‘Zane, yaad karna ki tum kaun ho aur kaha se aaye ho. Hum tumhare liye prarthna karenge aur tumko bahut yaad karte hai.’Waha se aur kai shabd nahi hai jo yogye hai mera maa se hai. Main jaanta hoon …ki who prarthna kiya ki mujhe yaad aaye ki main kaun hoon …kyunki main, tumhare hi tarah hoon, Parmeshwaar ka putr, aur Woh mujhe yaha bheja hai. Main gawahi deta hoon[ki] …ki jaye hum kuch bhi mehsoos karein, Parmeshwaar humko nahi bhulenga.”25

Bhaaiyon, tumhari vishwaas janm se nahi shuru hua, aur na hi dehant par. Main apko samna karta hoon, ki chunao tum karonge, tumhari vishwaas ko mazboot karenga. Ki aap Uddhaarkarta ki prashansapurn shabdon par laayak hai: “Mahan hai aapka vishwaas.” Agar tum aisa hi karonge, mai vaada karta hoon ki tumhari vishwaas, Ishu Maseeh ki daya se ek din, tumko aagya denag un logo jo tum pyaar karte hai, saaf aur pavitra se Parmeshwaar ke upastithi mein, Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Matthew 15:28.

  2. Matthew 6:30.

  3. Luke 8:25.

  4. Matthew 8:10.

  5. Hebrews 11:1.

  6. Dekhiye Alma 32:35.

  7. Dekhiye L. Whitney Clayton, “Choose to Believe,” Liahona, May 2015, 36–39.

  8. Dekhiye Lectures on Faith (1985), 3.

  9. Dekhiye Ephesians 2:8.

  10. 1 Samuel 15:22.

  11. Vyaktigat vichaar Aroldo Cavalcante ke saath, Aug. 29, 2015, Salvador, Brazil, mein aur email Aug. 31, 2015. Waha kai aur kahani hai Aroldo Cavalcante ka pratigya uski maa par apne bahanon aur bhaai ko dekhbaal karne mein. Us saalon mein uski maa ke mritiyu ke baad, who apne bhaai aur bahanon ko “bachche “ ki tarah pukarta tha. Uski mission par, uski chithi aur phone call Bada din ke samay par aur Mothers day par karta raha parivaar ke saath. Balidaan ki oar se mission par, Aroldo ne paese ke zimmedaari kiya apne bhaai aur bahanon ka aur unki bhaai ke mission ke liye, Aroldo ne intazaar kiya jab tak unki bahanon aur bhaai ke shaadi hui uski shaadi se pehle,jisne who 32 saal mein kiya tha.Woh dusre se kareeb the.

  12. Luke 22:32.

  13. Doctrine and Covenants 8:2.

  14. 1 Corinthians 2:11.

  15. John 14:16–17.

  16. Dekhiye Adam Kotter, “When Doubts and Questions Arise,” Liahona, Mar. 2015, 39–41.

  17. Elder Neil A. Maxwell ne kaha, “Koi zor karta hai ki Girjaghar ko shikshan karte hai sirf pakshtyaagi ki ankho se-jaise ki Judas ko bhet kiya hai ki Ishu ko samaj paye.Pakshtyaagi hamesha hamein aur batate hai apne aap ko jo usne bita hua” ” (“All Hell Is Moved” [Brigham Young University devotional, Nov. 8, 1977], 3, speeches.byu.edu ).

  18. 1 Corinthians 2:14.

  19. “Maine yah kabhi nahi kaha hai ki mai parishud hoon, par maine koi prakhat hone ki kriya nahi padhai jisme galati ho”. (Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith [2007], 522).

  20. Dekhiye John W. Welch and Tim Rathbone, “The Translation of the Book of Mormon: Basic Historical Information” (Foundation for Ancient Research and Mormon Studies, 1986).

  21. Marman Dharamshastra ki dharmik gawahiAntim-dino ke Sant ke badlaav mein mahatvapurn hai. Wah gawahi hai jise humesha punahaarambh karna padtha hai. Agar nahi tho, dharmik ahesaas dhundlaa ho jaata hai insaan us Shakti ko bhool jata hai jo usne kabhi mehsoos kiya tha. “aur logo ne jin sanketo aur swarg se diye jane wale sanket aur chamatkaar par veh kam achambav karte aur dhire-dhire veh…hirday ke kathor aur buddhi ke andhe hone lage aur unhone jo kuch dekha suna tha uspar se avishwaas karne lage… unhe yah vishwaas karne mei bhagya kar kar diya ki Maseeh ka sidhant murkthapurn aur nirtharak hai”. (3 Nephi 2:1–2).

  22. Ephesians 4:11–14.

  23. Thomas S. Monson, “Be of Good Cheer,” Liahona, May 2009, 92.

  24. Vyaktigat email Elder Porter Openshaw dwara bheja gaya, Aug 23, 2015.

  25. Zack Openshaw ki alochna apni parivaar ke liye antim sansarik mein, June 22, 2015.