2010-2019
Yaha ek Achcha Karye Pradaan karne ke Liye
October 2015


Yaha ek Achcha Karye Pradaan karne ke Liye

Hum sahi kaarye ko karne ko chunne humare Prabhu Ishu Maseeh ke bahadur sipahi ki tarah.

Main abhari hoon ki hum vishwaasi mahilaaoun ke saath ikatha hue hain, jaese Lisa- video mein ki bahan- jo hriday se saaf, jo Prabhu ko prem karti aur Uski sewa karti hai, apne khudh ke musibaton se ladti hai. Lisa ki kahani mujhe yaad dilaati hai ki hume ek dusre se prem karna chahiye aur ek dusre mein aatma ki sundarta dekhni chahiye. Uddhaarkarta ne sikhlaya hai, “Yaad rakho ki Parmeshwar ki nazar mein aatma ko laayak rakhna mahaan hai.”1 Chahe hum 8 saal ke ho ya 108, hum sab “[Uski]nazar mein anmol hain.”2 Wah hume prem karta hai. Hum Parmeshwar ke putriyon hain. Hum Zion ki bahanen hain. Humare pass diviye gun hai, aur hum ko ek mahan kaarye karna hai.

Saawan ke dauraan maine putriyon ke ek pyaari jawaan maa ko bhent kiya. Usne mere saath apne ahesaas ko baata ki humare jawaan mahilaaoun ko ek lakshye ki zaroori hai, kuch jo unhein achcha mehsoos karaye. Wah jaanti thi hum humare vyatigat aur anant laayak ko jaanege maranshilta mein humare divye kaarye mein bhaag le kar. Aajraat, is sundar aur anmol gaayakmandali ne wah geet gaaya hai jo humare matalab ko batlata hai. Parikshan aur pariksha ke dwara, dar se bhi aur nirasha ke beech mein, humare paas laayak hriday hai. Hum apna bhaag karne ke liye taeyaar hain. Hum yaha par achcha kaarye pradaan karne ke liye.3 Bahanon, is kaarye mein hum sab ko mahatav milta hai. Hum sab ki zaroorat hai.

Wah achcha kaarye jo hum kartein hain wah Maseeh ka hai. Yah mukhti ka kaarye hai. .4 Prabhu ne sikhlaya, “Yah mere kaarye aur mera mahima hai-insaan ke maranshilta aur anant jiwan ko paar karne ke liye.”5 Hum woh hain jinke liye Ishu Maseeh ne jhela tha, sabhi rom se lahu baha, aur sachche prem mein Usne apna jiwan balidaan kiya. Uska kaarye achcha parinaam hai, “khushi ka khabar hai, … ki wah duniya mein aaya, Ishu bhi, duniya ke liye balidaan dene ke liye, aur duniya ka paap lene ke liye, aur duniya ko saaf karne ke liye, aur sabhi asudh cheezon ko saaf karne ke liye; ki uske kaaran sabhi kuch bach jaye.”6 Humare Uddhaarkarta ne “raasta dikhlaya aur us par chala.”7 Main gawahi deta hoon ki jab hum Uske uddhaaran par chaltein, Parmeshwar se prem kartein, aur ek dusre ko kripa aur daya ke saath sewa kartein hain, hum sudhta se khare rahenge, “antim din mein Parmeshwar ke aage nirdosh .”8 Hum Prabhu ko Uske sachche kaarye mein sewa karne ke liye chuntein hain taaki hum Pita aur Putra ke saath ho.9

Bhavishyevakta Mormon ne batlaya, “kyunki mitti ke is deh mein rahatey hue karne ke liye humare paas ek nek kaam hai, taaki hum sabhi dhaarmikta ke shatru par vijay prapt kar sakein, aur apni aatmaoun ko Parmeshwar ke raajye mein vishraan dein sakein.”10 Haal hi ke Girjaghar ke netaaoun aur purwajon ne mahaan himmat ke saath aage badha aur mahaan vishwaas ke saath susamachaar ko punaharsthaapit kiya aur mandiron ko banaya jaha khushiyon ke siddhaanton ko kiya jata hai. Abhi ke purwajon, matlab tum aur main, bhi vishwaas se aage badhatein hain, “[Prabhu ke] angoor ke bagiche mein insaan ke aatma ki mukti ke liye kaam karna.”11 Aur, jaesa Pradhaan Gordon B. Hinckley ne sikhlaya hai, “Aanewaala jiwan bahut vishaal hoga jab Sarwashaktimaan Apne mahaan kaarye ko kartein rahenge… niswaarthi [sewa] ke dwara jinke hriday mein duniya ke Muktidata ke liye prem bhara hua hai.”12 Hum pehle ke vishwaasi bahonon, abhi ke, aur abhi ke peediyon ke saath jab hum saath milkar mukti ke kaarye mein shaamil hote hain!

Humare payeda hone se pehle, humne humare Swarg ke Pita ki yojna ko swikaar kiya tha “jjske dwara [hum] ko sharirik sharir prapt hua hai aur dharti par anubhao ko prapt kiya hai safalta ki oar badhane mein aur [humare] diviye kaarye ko jant tak jaane ke liye jaease uske anant jiwan ke bare mein.”13 Is maranshil jeev se purva ke jeevan ke vaadon mein, Elder John A. Widtsoe ne samjhaya: “Humne faesla kiya tha, turant hi, ki hum khudh ke liye hi uddhaar karenge parantu … pure insaani parivaar ke liye uddhaar karenge. Humne Prabhu ke saath mitratav kiya tha. Us yojna par kaarye karna phir sirf Pita ke kaarye nahi tha, aur Uddhaarkarta ka kaarye, parantu humare bhi kaarye tha. Humse kamse kam, vinamrata, hai Swarwashaktimaan ke saath mitratav mein anant mukti ki yojna ko karne ki mahatav mein.”14

Yaha maranshil jiwan mein humne dobara vaada kiya hai mukti ke kaarye mein Uddhaarkarta ki sewa karne ka. Pavitra purohiti siddhaanton mein shaamil hokar, hum guzarish karte hain ki hum Parmeshwar ki sewa hriday, shakti, mann, aur bal ke saath karenge.15 Humne Pavitra Atma ko prapt kiya hai aur Uske prerna ko dhoondhatein hain hume maarg dene ke liye. Sachchaai duniya tak pahunch jaata hai jab hum jaan jaatein hai ki Parmeshwar kya chahata hai ki hum karein aur phir hum kartein hain.

Main ek prathmik bachche ko jaanta hoon jisne ek mitra se bas ki intazaar mein khade hokar use kaha tha, “Are! Tumhe mere saath girjaghar aana chahiye aur Ishu ke bare mein sikhna chahiye!”

Maine Jawaan Mahilaaoun ki kaksha mein ladkiyon ko saath haath pakde hue aur ek dusre ki dekhbhaal karne ki vaade ko karte hue dekha tha aur phir yojna banaya ki jawaan mahilaaoun ki sahi tarike se madad karun jo lat ko jhel rahi thi.

Maine jawaan maataaoun ko unke sabhi samay, unke gunon, aur unke shaktiyon ko dete hue dekha tha taaki susamachaar ke siddhaanton ko apne bachchon ko sikhla aur samjha sakein, Helaman ke putron ki tarah, himmat aur vishwaas ke saath musibaton, bahekawe, aur virodhi ko jhel sakein.

Parantu shaayad mere liye sabse sundar yah tha ki ek avivahit bahan ne batlaya sachche gawahi ki sachchaai ke saath ki sabse zaroori kaarye hum kar saktein hain hai ki shaadi aur parivaar ke liye taeyaari karna. Bhale hi yah uski anubhao nahi tha, usko pata tha ki parivaar mukti ki kaarye mein sabse zaroori bhaag hai. “Khushiyaali ki diviye yojna parivaar ke netadari mein mritiyo ke baad bhi rehta hai.”16 Hum Pita ki yoja ki izzat kartein hain aur Parmeshwar ki mahima kartein hain jab hum un netadari ko mazboot aur mahaan banatein hain shaadi mein naye aur ant tak nibhaane waale vaadon ke saath. Hum jiwan mein saaf aur sudh rehne ko chuntein hai taaki jab aosar mile, hum taeyaar rahenge Prabhu ke ghar mein pavitra vaadon ko banane ke liye aur humesha nibhaane ke liye.

Hum apne jiwan mein samay aur mausomon ko anubhao kartein hain. Parantu chahe hum skool, kaam par, sangaton mein, ya khaaskar ghar par hain, hum Prabhu ke karamchaari hain aur hum Uske saath hain.

Mukti ke kaarye mein, yaha par sthan nahi hai tulna, alochna, ya ninda karne mein. Yah umar, anubho, ya prasidh hone ke liye nahi hai. Yah pavitra kaarye ek tute hue hriday, ek paschaataap bhare aatma, ko badhaane ke liye hai aur humare diviye uphaaron aur Prabhu ke kaarye ko Uski hi tarah pura karne ki anmol gunon ka istamaal karne ki ikcha honi chahiye. Yah humara vinamrata hai ki hum ghuton par jhukein aur kahein, “He mere Pita, … parantu jaesa tu chahata hai waesa hi ho.”17

Prabhu ki shakti se, hum “sabhi kaarye kar saktein hain.”18 Hum humesha prarthna, dharamshaastra, aur Pavitra Atma ki fusfusaahat mein Uske maargdarshan ko dhoondhtein hain. Ek bahan, ek chinta bhare kaarye ko chunaoti de rahi thi ne, likha, “Kabhi kabhi main sochti hoon ki kya Girjaghar ki hal hi ke itihaas ki bahanon ne, humari tarah, raat ko apne katiye par sir rakh kar aur prarthna ko kiya tha, ‘Chahe kuch bhi kal ho, kya Aap meri usmein madad karenge? Phir usne likha, “Ek ashirwaad hai [ki] hum ek dusre ke saath hain aur madad kartein hain!”19 Chahe kuch bhi humre halaat ho, kahi bhi hum mukti ke maarg par saath hain, hum Uddhaarkarta ke kaarye mein ek saath hain. Hum Uske sewa mein ek dusre ko banaye rakhtein hain.

Tasveer
Ella Hoskins ne Personal Progress ko khatam kiya

Abhi haal hi, tumne Bahan Ella Hoskins ke bare mein padha hoga, jo 100 varsh ki thi jise uski ward mein jawaan mahilaoun ko Vyaktigat Progress mein madad karne ko pukara gaya tha.20 Lag bhag do saal baad, 102 mein, Bahan Hoskin ne apna Jawan Mahilaao Recognition uphaar ko paya tha. Jawaan mahilaaoun, ward aur stake ke Jawaan Mahilaaoun aur Sahayak Sanstha adhyakshtaaoun, aur parivaar ke sadesye uski safalta ko manane ke liye saath ikatda hue the. Umar, sangatonon, aur shadi shuda jiwan vishwaas bhare sewa ke liye zaroori rukh nahi hai. Jawaan mahilaaoun ne Bahan Hskins ke liye abhaar prakat kiya, uake shikshan aur uske sachche uddhaaran ke liye. Weh unki tarah banana chahatein the. Uskebaad, maine Bahan Koskins se pucha, “Kis tarah se tumne kiya hai?”

Usne turant hi jawaab diya, “main sabhi din paschaataap karti hoon.”

Ek vinamar mahila, Prabhu ke Aatma se bhari hui jo sachche jyoti mein chamak rahi thi, mujhe yaad aya ki pavitrata ke sundarta ke saath chamkna, Uddhaarkarta ke saath khade rahana, aur dusron ko ashirwaad dene ke liye, hume saaf rehna chahiye. Shudhta Maseeh ki mahima ke dwara ho sakta hai jabki hum adharmiktaaoun ko aswikaar karenge aur Parmeshwar ko yogyta, bhudhi aur bal se prem karoge.21 Devdut Paul ne sikhlaya, “Bhaag … jawaani ki abhilaashaoun se: … aur jo shudh mann se Prabhu ka naam leta hai, unke saath dharm, aur vishwaas, aur prem, aur mel-milaap ka picha kar. .”22 Hum mein se koi bilkul sahi nahi hai. Hum sab ne galtiyon ko kiya hai. Parantu hum paschaataap kartein hain taaki hum achche ban sakein aur “taaki jo naam [Maseeh ka] [humare] hridayon mein likha ja chuka hai sadeo bana rahe.”23 Jab hum Prabhu ke naam se sewa kartein hain, sudh hriday ke saath, hum Uddhaarkarta ke prem ki parchaai ko dikhlaatein hain aur swarg ko dusron ko dikhlaatein hain.

Hum sahi kaarye ko karne ko chunne humare Prabhu Ishu Maseeh ke bahadur sipahi ki tarah. Hume saath khada rahana chahiye aur “[humare] hriday[on] mein sangeet ke saath aage badho, susamachaar24 Main gawahi deta hoon ki is mahaan kaarye mein, hum Parmeshwar ke sachche prem ko jaannege. Hum sachche khushi ko prapt karenge aur anant ke sabhi mahimaon ko prapt karenge. Ishu Maseeh ke pavitra naam se, amen.