2010-2019
Aaj ki Duniya ke Chunaoutiyon ko Jhelna
October 2015


Aaj ki Duniya ke Chunaoutiyon ko Jhelna

Jo chunaao tum kar rahe ho-mission, shikshan, shaadi, kaam, aur Girjaghar mein sewa- tumhare anant jiwan mein prabhaao dalenge.

Yaha kai cheezon ko aaj ki jawaan aviwahit buzurg peediyon ke bare mein likha aur batlaya gaya hai. Parikshan ke dwara dekha gaya hai ki weh khudh ke liye sochtey hain aur dhaarmik netaaoun ke virodhi hotey hain. Kai karze mein aur berozgaar hotein hain. Kai shaadi ke yojna ko pasand kartein hain, parantu kai shaadi karne se dartey hain.Kai bachchon ko nahi chahatey hain. Talaak ziyada badh rahi hai. Chintaaein aur dukh badh rahi hain. Susamachaar aur prerit maargdarshan ke bina, kai anjaan raastey par chale jaatein hain aur apne raastey ko bhool jaatein hain.

Bhaagye se, Girjaghar ke jawaan aviwahit sadesyon mein in musibaton ko jhelne ke nambar bahot ziyada nahi hai, bhaag mein kyuki unhe susamachaar ki yojna ki ashirwaad prapt hai. Anant ojna mein lohe ki chadh ko pakde rahana- Parmeshwar ke vaani aur bhavishyevaktaaoun ki vaani ko sunna bhi shaamil hai. Kya hum lohe ki chad ko pakde raheinge jo Uske paas waapis lejata hai? Ab “aaj samay hai hum sab ke liye chunnaao”1 karne ka.

Ek ladka ki tarah, jab main ek galat chunaao karne ja raha tha, mere pita kabhikabhi kahatey, “Robert, ghambheerata se socho aur wah karo jo sahi ho!” Tum waha ho. Ussi tarah se jaesa uske saral bhaashan mein hai, main khaaskar yuva se-sachche yuva- aur sachche jawaan aviwahiton se baatein karna chahata hoon, “meri aatma anandith hoti hain …ki [hum] sikh sakhein.”2

Tum apne jiwan ke khaas samay mein jee rahe ho. Jo chunaao tum kar rahe ho-mission, shikshan, shaadi, kaam, aur Girjaghar mein sewa- tumhare anant jiwan mein prabhaao dalenge. Iska matlab hai ki tum humesha aage badhatey rahoge-aanewaale jiwan ki oar.

Hawaai jahaaz ka ek vimaanak ki tarah, maine is siddhaant ko sikha: kabhi bhi jaanbhooj kar tofaan mein mat jaao(Main nahi batlaunga ki kis tarah se use jaana tha). Balki, uske ird-gird se dur raho, dusre raastey apnaao, ya utarne se pahale toofaan ko thamne ka intazaar karo.

Pyare jawaan aviwahit bhaaiyon aur bahanon, main tumhari madad karna chahata hoon “sahi udhaan mein” antim dinon ke musibaton ke dauraan. Tum vimaanak chaalakein ho. Tumhari zimmedari hai ki apne banaaye hue sabhi cheezon ke parinaam ko sochna. Apneaap se pucho: “Agar main yah chunaao karta hoon, kya sabse galat hai jo ho sakta hai?” Tumahre sachche chunaao tumhe galat maarg par jaane se rukh lega.

Uske bare mein socho: Agar tum chunntey ho ki sharaab nahi piya jaae, tum ek sharaabi nahi banoge! Agar tum karze lene ko kabhi nahi chunoge, tum karazdaar hone se bach sakoge!

Dharamshaastraon ka ek mahatao hai ki hume yah dikhlaye ki kis tarah sachche log bahakawe aur buraai se bachtein hain. Saral mein,weh use dur rahatein hain! Joseph Potiphar ki patni se dur bhaaga tha.3 Lehi ne apne parivaar ke saath Jerusalem ko chodh diya tha.4 Mary aur Joseph Egypt ko chale gaye the Herod ki bure yojna se bachne ke liye.5 Sabhi kaarye mein, Swargya Pita ne in vishwaasiyon ko chunaoti diya tha. Ussi tarah, Wah humari madad karega yah jaanne mein ki ladhne, bhagne, ya apne badaltey hue stithiyon ko swikaar karein. Wah hume prarthna, aur hum prarthna kartey hain, humare paas Pavitra Aatma hoga, jo hume maarg dikhlayega. Humare paas dharamshaastra, jiwit bhavishyevaktaoun ke shikshanon, khulpati ke ashirwaadon, prerit mata-pitaoun, purohiti, aur parishad ke netaaoun ke salaha, aur sab kuch chodh kar, Aatma ke saral, chote se awaaz ke dwara batlayega.

Prabhu humesha Apne vaade ko nibhayega: “Main tumhare aage chalunga.”6 Sirf yah sawal hai ki, kya hum khudh ko kisi ke piche karenge? Kya hum Uske awaaz ko sunnenge aur Uske chelon ki awaaz ko?

Main gawahi deta hoon ki agar tum waha Prabhu ke liye ho, Wah tumhare liye hoga.7 Agar tum Usko prem kartey aur Uske aagyaoun ka palan kartey ho, tumhare saath Uska aatma rahega aur tumhe maarg dega. “Apne vishwaas ko us Aatma mein lagaao jo acchaai ki oar lejata hai. … Iske dwara tum jaanoge ki, sabhi cheezein … sachchaaiyon par nirbhar hota hai.”8

Neev ki tarah un siddhaanton ke saath, kya main tumhe kuch karne waale salaha ko de sakta hoon?

Tumhare kai peedyon bahot hi bhari karze mein dubie hui hai. Jab main ek jawaan aviwahit tha, mera stake pradhaan Wall Street mein ek payese bachaane waale salahakaar the. Usne mujhe sikhlaya tha, “Tum dhani ho agar tum khushi se apne kamaai se kam kharch kartey ho.” Tum kis tarah kar saktey ho? Apne daswe-hisse ko bharo aur phir bachaao! Jab tum ziyada kamaao, ziyada bachaao. Dusron ke saath tulna mat karo jin kimti cheezon ki zaroorat nahi ho. Wah mat khareedo jo tumare aokaad se ziyada ka ho.

Kai jawaan aviwahit duniya mein shikshan ke liye karz le rahein hain, sirf skool ka kharch ziyada hota hai jo unhein bharna padhata hai. Skolashipsaur garaanton ko dhoondho. Kuch-samay ke liye naoukari karo taaki tumhare khudh ke karze ko bharne mein madad mile. Is mein kuch balidaan ki zaroorat hai, parantu yah tumhari safalta mein madad karega.

Shishan tumhe achche kaam ke aosaron ko pradaan karne mein madad karta hai. Yah tumhe aur bhi achche sthaan par sewa karne ka mauka deta hai aur tumhare ird-gird ke logon ko ashirwaad dene mein. Yah tumhare jiwan bhar mein tumhe shishan sikhne ka mauka deta hai. Yah tumhari madad karega gyaan ko badhaane aur galti ko dur karne mein. Jaesa Joseph Smith ne sikhlaya hai: “Gyaan se andhera, chinnta aur sandeh bhaag jata hai; yah waha par nahi raha sakta hai jaha gyaan rahata hai. … Gyaan mein shakti hota hai.”9 “Skihna achcha hai agar weh Parmeshwar ke salaha par chalenge.”10 Shikshan tumhe tumhare anewaale jiwan ke liye taeyaar karega, shaadi ke saath bhi.

Dobara, main sachchaai ke saath kahata hoon? Jo raasta shaadi ki oar jata hai usmein sammilan hota hai! Sammilan lambe waartalaabhon ka aosar hai. Jab tum sammilan karo, ek dusre ke bare mein sab kuch sikho. Kya tumhare parinaam ek jaesae hain? Kya tum dono ek hi tarah ke vichaar rakhtey ho aagyaaoun, Uddhaarkarta, purohititav, mandir, Girjaghar ke niyuktion, aur dusron ki sewa karne mein? Kya tumne ek dusre ko tanaao mein dekha hai, safalta aur asafalta par, gusse mein, aur rukaawaton ka saamna kartey samay? Kya wah insaan jiske sath tum sammilan kar rahe ho dusron ko nicha dikhlaatein hain ya unhein upar uthaatein hain? Kya uska ya uski veohaar aur bhaasha aur sanchaalan us tarah ka hai jiske sang tum humesha raha sakoge?

Usne kaha, hum mein se koi sahi veyakti se shaaadi nahi karta hai; hum use shaadi kartein hain jo gunni ho. Sahi shaadi wah nahi hai jo sirf main kya chahata hoon; yah us par bhi nirbhar hai-jo meri saathi bannewaali hai-kya chahati aur mujhe kya banana chahati hai.

Saaf taur se batlata hoon, 20 mein rahatey hue kripa sammilan mat karo “achche samay bitaane ke liye,” balki shaadi mein der karna dusron ke zarooraton aur gatividhiyon ke liye bhi. Kyo? Kyuki sammilan aur shaadi antim nirnay nahi hotein hain. Weh srif shuruwaat hai ki tum kaha jana chahatey ho. “Is kaaran purish apne maata-pita ko chd kar apni patni se mila rahega aur weh ek tan bane rahenge.”12

Tumhari zimmedar hai ki ab tum us veyakti laayak raho jise tum shaadikarna chahatey ho. Agar tum achche, sundar, sachche, khushiaal, achcha kaam karne waala, dhaarmik veyakti se shaadi karna chahatey ho, us tarah ke insaan bano. Agar tum us tarah ke insaan ho aur shaadi nahi kare ho, shaanti rakho. Prabhu ka intazaar karo. Main gawahi deta hoon ki Prabhu tumhari ikchaaoun ko jaanta hai aur tumhe prem karta hai Uske liye tumhe vishwaas se bakti karne mein. Uske paas tumhare liye yojna hai, chahe is jiwan mein ho yah ananewaale jiwan. Uske Aatma ko sunno. “Prabhu ko salaha dene ka prayaas na karein, lekin Uske haaton se salaha lein.”13 Is jiwan mein ya aanewaale jiwan mein, Uske vaadein pura honge. “Agar tum taeyaar ho tum daroge nahi.”14

Agar tumhare paas kai sadhanein na ho, chinnta mat karo. Ek achche Girjaghar ke sadesye ne mujhe abhi haal hi mein batlaya hai, “maine apne bachchon ko payese par badha nahi kiya hai; maine unhein vishwaas par bada kiya hai.” Uske liye yaha mahaan sachaai hai. Apne vishwaas ko apne jiwan ke sabhi sthaan par lagaane ki shuruwaat karo. Agar tum nahi karoge, tum wah jheloge jise main “vishwaas ko kam karne waala kahata hoon.” Tumhare vishwas ko bahot mazboot karne ki zaroorat kam ho jayega. To apne vishwaas se har din karo, aur tum “mazboot aur mazboot karo … aur Maseeh ki vishwas mein dird aur dird raho.”11

Shaadi ke liye taeyaar rahana, tumhe prabhubhoj ko lene ke laayak rakhta hai aur mandir ke sifaarish ko rakhne ka bhi. Mandir humesha jaao. Girjaghar mein sewa karo. Girjaghar mein sewa karne ke niyuktiyon ke saath, Uddhaarkarta ke uddhaaran par chalo, jo saralta se “humesha achcha hi karta raha tha.”15

Ab, tumhare paas ghambheer swaal honge anewaale chunaao par. Mere jawaan buzurg saalon mein, maine apne maata-pita, vishwaasiyon se, vishwaasi salahakaaron se salaha liya tha. Ek purohiti ka neta tha; dusra ek shikshak tha jo mujh mein vishwaas karta tha. Dono ne mujhse kaha tha, “Agar tum mere salaha chahatey ho, use swikaar karne ko taeyaar raho.” Maine jaana ki kya matlab tha. Prarthnashilta ke saath shikshak ko chunno jo tumhare dhaarmikta ko achchie tarah se dhayaan rakh sakta hai. Apne umar ke logon se salaha lene ke samay saaodhaan raho. Agar tum abhi se ziyada chahatey ho, apne buzurg se salaha lo apne umar se nahi!16

Yaadrakho, koi bhi tumhare badhanti ke madad ke liye wah chunaao nahi bana sakta hai. Sirf tumhare vishwaas aur prarthnaein tumhare hriday mein mahaan badlaao la sakta hai. Sirf tumhare laayak rahane se tumhare jiwan mein badlaao ah sakta hai. Kyuki tumhare liye Uddhaarkarta ki mahaan balidaan, tum mein shakti hai.17 Tum khudh ka chunaao kar saktey ho, tumhare paas mazboot gawagi hai agar tum laayak ho, aur tum Aatma ke piche chal saktey ho jo tumhe maarg dikhlata hai.

Abhi haal hi, ek jawaan chitra bananewaale ne kaha usne mahesoos kiya hai ki wah uska bhaag hai “kharch karne waale peedi “ ka- ek peedi jo “asha aur khushi, aur kaarye ki khoj karta hai, parantu galat sthaanon par dekhta hai aur galat tarike se.”18

Uddhaarkarta ke kharchile putra ki kahani mein, putra ko kai ashirwaad mila tha uske intazaar mein, parantu jab wah use maangta, use khudh ke jiwan, uske chunaao, aur stithiyon par gaur karna padta.Wah achamba jo baad mein hua dharamshaastraon ke is saral bhaag mein likha hua hai: “Use khudh ke paas aana pada.19 Kya main tumhe prothsaahan deta hoon ki khudh ke paas aao? Girjaghar mein,jab zaroori faeslon ko liya jaye, hum humesha salaha sabha kartein hain. Parivaar salaha bhi ussi tarah se hota hai. Tum shaayad wah sanchaalan karna chaho jise main ek “veyaktigat salaha” kahata hoon.” Prarthna ke baad kuch samay akele guzaaro. Aanewaale jiwan ke bare mein socho. Apneaap se pucho: “Mere jiwan ke kis bhaag ko main mazboot karna chahata hoon taaki main dusron ko mazboot ar skun? Abhi se ek saal baad main kaha rahana chahata hoon? abhi se do saal baad? Kya chunaao mujhe zaroori hai karna waha tak pahuchne mein?” Sirf yaad rakho, tum sanchaalan karta ho, aur tumhari zimmedari hai. Main gawahi deta hoon ki jab tum khudh ko jaanoge, tumhare Swargy Pita tumhare paas ayenge. Uske Pavitra Aatma ke daya bhare haaton ke saath, Wah tumhari madad karega.

Main apni gawahi deta hoon ki Parmeshwar jiwit hai. Main apna khaas gawahi deta hoon ki Uddhaarkarta tumhe prem karta hai. “Kya hume [Uske mahaan] kaarye mein shaamil nahi hona chahiye? Aage badho aur piche nahi.”20 Jab tum Uske piche chalo, Wah tumhe shakti dega aur upar utadyega. Wah tumhe ghar layega. Ishu Maseeh ke naam se, amen.