2010-2019
Saaf Sutra aur Vyavasthit: Mandir Yogye Rahe—Achche aur Bure Samay Mein
October 2015


Saaf Sutra aur Vyavasthit: Mandir Yogye Rahe—Achche aur Bure Samay Mein

Susamachaar ke siddhaanton ka paalan karne se hum mandir yogye rahenge, is jiwan mein khushiyaali paaenge, aur hum apne swarg waale ghar mein laut paaenge.

Bhavishyevakta Lehi ne ghoshna kiya, “Yadi koi dhaarmikta nahin hai to koi khushi bhi nahin hogi.”1

Shatru safal raha hai kayi logon ke mann mein ek jhuti baat daalne mein. Woh aur unke sandesh waahak yeh kehte hai ki sahi chunaao khushiyaali aur sukh ke beech hai abhi is jiwan mein aur khushiyaali ek aanewaale jiwan mein (jo shatru kehta hai shaayad na ho). Yeh kahani ek jhuta chunao hai, par bahut lubhaona hai.2

Parmeshwar ke khushiyaali ki yojna ka antim lakshye hai ki sachche chelein aur vachan badh parivaarein is jiwan mein prem, ektaa, aur shaanti se jude rahe3 aur celestial mahima anantta mein paaye Parmeshwar hamare Pita, Bananewaale; aur Unke Priye Putra, Ishu Maseeh, hamare Uddhaarkarta ke saath.4

Jab mai British Mission mein ek jawaan prachaarak tha, sabse pehle mujhe us samay ke Bristol District mein bheja gaya. Ek sthaaniye Girjaghar ka neta ne zor daala ki prachaarakein jo us ilaake mein kaam kar rahe hai ko (“shipshape and Bristol fashion”) saaf sutra aur vyavasthit rehna chahiye.

Tasveer
Bristol Bandargaah par Jahaaj

Shuru shuru mein mujhe uska baat nahin samajh mein aaya. Baad mein mai us waakye(“shipshape and Bristol fashion”) ka itihaas aur arth samajh gaya. Ek samay United Kingdon ka sabse vyast bandargaah tha Bristol. Uska jwaar ka range bahut zyaada tha 43feet (13 m), duniya mein dusre nambar par. Kam jwaar par jab paani niche hota tha, puraane jahaaj ret se takrakar ek taraf gir jaate the, aur agar jahaaj mazboot nahin the, tab use chati pahunchti. Aur, jo kuch bhi sahi se baandha nahin gaya hota woh bikhar kar aur idhar udhar pada rehta barbaad ya bheeg jaata.5 Is waakye ka matlab samajhne ke baad, yeh tay hua kin eta hamein batla raha tha ki, prachaarak hone ke naate, hamein dhaarmik, aagyakaari, aur kathin stithiyon ke liye tayyaar rehna chahiye.

Yahi chunaoti humpar laagu hai. Mai kahunga ki “shipshape aur Bristol fashion” hone ka matlab hai mandir yogye rehna—achche aur bure samay mein.

Jabki Bristol Channel ke jwaar ke maatra ko bataya jaa sakta hai aur uske liye tayyaari ki jaa sakti hai, is jiwan ke toofaan aur behkaawe aksar bataye nahin jaa sakte. Magar hum yeh jaante hai: woh aayenge! Chunaotiyon aur behkaawon ko jhelne ke liye jinka saamna hum sab ko karna padta hai, ke liye sachchi tayyaari chahiye aur divyata ke diye suraksha chahiye. Hamein mandir yogye hona chahiye chaahe jo bhi dukh aaye. Agar hum tayyaar rahenge, hamein darna nahin chahiye.6

Is jiwan aur aane waale jiwan ki khushiyaan dhaarmikta se jude hai. Mrityu aur Punarjiwan ke beech, “dharmi logon ki aatmaaon ko prasannta ki dasha mein rakha jaaega, jise swarg dhaam kehte hai, aaraam ki ek dasha, shaanti ki ek dasha.”7

Israel mein Uddhaarkarta ke dharti ki prachaar ke shuruaat mein aur baad mein Nephitiyon ke beech, Uddhaarkarta ne is jiwan aur anantta mein khushiyaali paane ki baat ki thi. Uddharan hai, chelon ko ashish milegi agar woh dhaarmikta ke liye bhuke aur pyaase rahe, dayalu rahe, hriday se shudh rahe, shaanti banaye rakhe aur anye mul naetikta ke siddhaanton par chalein. Saaf rup se, hamare Prabhu Ishu Maseeh ne ek buniyaadi dhaarmik sandesh, donon achche vyavahaar aur din-ba-din ka rahan sahan par gaur kiya. Unke shikshan mein na sirf Moses ke kaanoon8 ko badla aur anye tatvon se aage badha magar manushye ke galat soch ko bhi thukraya.

Kayi sao varsh se Ishu Maseeh ka susamachaar ne vishwaas ko prerit kiya hai aur vyavahaar ka star niyukt kiya hai dhaarmikta, ichchapurn, aur naetik aur khushi ka parinaam, sukh chaen, aur anand. Haalaanki, Uddhaarkarta ne jo siddhaant aur mul naetikta sikhlaya aaj ki duniya mein use khatra hai. Isaai dharam par hamla ho raha hai. Kayi log vishwaas karte hai ki naetikta badal gaya hai.9

Hum kathin samay mein reh rahein hai. Log pasand karte hai “bure ko bhala kehna, aur bhale ko bura.”10 Ek duniya jo ek vyakti ke khud ke Shakti ko badhane aur dharm ko aswikaar karne par zor deta hai woh ek chinta ka vishay hai. Ek naami lekhak ne, jo hamare dharam ka nahin hai, ne ayse likha: “Durbhaagye se mai logon mein bahut kam dekhta hoon ki woh is yug mein zyaada khush hai, ya ki unke bachche aur behtar hai, ya ki samaaj mein nyaaye sudhar gaya hai, ya ki vivaah kam hote hai aur family trees patle hote jaa rahe hai … zyaada logon ko akelepan ka vyaada milta hai, aur pragati tham jaata hai.”11

Uddhaarkarta ke chelein ke rup mein, hamein yojna banana aur tayyaari karna padta hai. Khushiyaali ki yojna mein, naetik chunne ki Shakti ek mukhye ayojan ka siddhaant hai aur hamare chunaao avashyak hai.12 Uddhaarkarta ne yeh Apni puri sewa mein kaha, jaise apne nitikatha un murkh kuwaariyon aur gunon mein.13 In sab nitikatha mein, Prabhu ne tayyaari aur kriya ki badhaai ki aur der lagane aur aalsipan ko salaah di.

Mai yeh jaanta hoon, bhale hi sab khush hai Parmeshwar ke divye yojna se, kabhi kabhi woh hamare vartamaan ke stithi se bahut dur aur alag mehsoos hota hai. Shaayad hamare pahunch se baahar ho sangharsh karne waale chelon ke rup mein. Hamare chote nazariya se, abhi ke behkaawe aur mannbehlaao lubhaaone lag sakte hai. Dusri or, un behkaawon ko dur karne ka puruskaar hai, woh dur aur paane laayak na lage. Magar Pita ke yojna ki sachchi samajh dikhlata hai ki dhaarmikta ke puruskaar abhi uplabdh hai. Buraai, jaise anaetik vyavahaar, kabhi jawaab ka bhaag nahin hota hai. Alma ne apne bete Corianton se saaf kaha tha: “Dekho, mai tumse kehta hoon, dushtta kabhi prasannta nahin thi.”14

Hamara siddhaant Amulek ne spasht rup se likha hai Alma 34:32 : “Dekho, yeh samay Parmeshwar se milne ke prati logon ki tayyaari ka samay hai; haan, is jiwan ka samay logon ke parishram karene ka samay hai.”

Tab, kaise, hum is kathin samay mein tayyaari karenge? Mandir yogye hone ke saath saath, kayi anye siddhaant hai jo dhaarmikta ke liye avashyak hai. Mai teen ke naam deta hoon.

Pehla: Atma-Kaabu aur Vyavahaar

Mai vishwaas karta hoon ki kabhi kabhi hamare priye Swarg ke Pita hamein us manoranjak nazariye se dekhte hai jaise hum apne chote bachchon ko seekhte aur badhte dekhte hai. Hum sab thokar khate aur girte hai anubhav haasil karte samay.

Tasveer
Marshmallow parikshan

Mujhe prasannta mili Pradhaan Dieter F. Uchtdorf ke 201015 ke sammelan ke bhaashan se jismein 1960s mein Stanford University mein kiye ek mashoor marshmallow parikshan ki baat hui thi. Tumhe yaad hoga ki chaar-varshiye bachchon ko ek marshmallow diya gaya. Agar woh 15 ya 20 minat bina use khaae intazaar kar sakte the, unhe ek aur marshmallow milta. Vidio banaye gaye hai dikhlaane ke liye ki bachchon ne kya paetre apnaaye taaki woh marshmallow na khaaye.16 Un mein se kuch safal na huwe.

Pichle varsh jo professor ne woh pehla prashikshan kiya tha, Dr. Walter Mischel, ne ek kitaab likha jismein likha ki usne yeh jaanch kiya apne atma-kaabu ke chinta se aur apne tambaku ke lat ke kaaran. Woh khaaskar chintit tha jab U.S Surgeon General ne 1964 mein tay kiya ki tambuku peene se phephdo ka cancer hota hai.17 Varshon ke adhyan ke baad, unke ek saathi ne tay kiya ki “atma-kaabu ek muscle ki tarah hai:tum jitna istemaal karo, utna mazboot hota hai. Kuch behkaawon se ek baar bachne se tumhe woh chamta milegi bhavishye mein anye behkaawon se bachne mein.”18

Anant pragati ka ek siddhant yeh hai ki atma-kaabu ko karte rehna aur sachchaai se jeene se behkaawon se bachne ki hamari chamta mazboot hoti hai. Yeh sach hai dhaarmik duniya mein aur saansaarik stithiyon mein.

Hamare prachaarakein ek anokha uddharan hai. Woh Maseeh jaise chamtaaen utpann karte hai aur aagyakarita aur dhaarmikta par zor dete hai. Unko ek sakht suchi par chalna hota hai aur apne din dusron ki sewa mein bitate hai. Unka pehnaawa saada, mariyaada-purn hota hai na ki bemariyada ka jo aaj itna mashoor hai. Unka rawaiya aur pehnawa ek naetik, aham sandesh hai.19

Hamare paas lagbhag 230,000 jawaan loh prachaar sewa mein lage hai ya jo pichle paanch varshon mein prachaar sewa se laute hai. Unhonne paryaapt aatmik shakti aur atma-anushaasan paa liya tha jo lagataar aazmaaya jaana chahiye ya yeh gun sab nasht ho jaaenge jaise na istemaal kiye muscle dhile pad jaate hai. Hum sab ko rawaiya aur pehnaawa ko seekhna hai jo tay karta hai ki hum Maseeh ke sachche chelein hai. Jo log chaahe dhaarmik rawaiya ya ek purn, mariyada prast pehnawa ko chodkar anye rawaiya ko apnaate hai usse na anand na khushiyaali milti hai.

Punahsthaapit susamachaar hamein khushiyaali ki yojna ka ruprekha deta hai aur ek kaaran taaki hum atma-kaabu ko samjhe aur aazmaaye aur behkaawon se bachein. Woh hamein pashchataap karna sikhlaata hai jab hum gunaah ho jaate hai.

Dusra: Vishraamdin ka Sammaan Karne se Dhaarmikta Badhegi aur Parivaar ke Liye Suraksha Hogi

Shuruaat ka Isaai Girjaghar ne Vishraamdin ko Shaniwaar se Raviwaar kar diya tha Prabhu ke Punahsthaapna ki yaad mein. Vishraamdin ke anye pavitra lakshye wahin rahe. Jew aur Isaaiyon ke liye, Vishraamdin Parmeshwar ke mahaan kaaryon ka prateek ka hai.20

Meri patni aur mai, aur mere do saathi aur unke patniyaan, haal hi mein ek Jewish Shabbat(Vishraamdin) par gaye apne dost, Robert Abrams aur unki patni, Diane ke daawat par, unke New York waale ghar mein.21 Uska shuruaat Shukrawaar ke saanjh Jewish Vishraamdin ko hua. Woh Parmeshwar ko Rachnewaala ka sammaan dene par gaur kar rahe the. Pehle parivaar ko ashirvaad diya gaya aur ek Vishraamdin ka geet gaaya gaya.22 Humne unka saath diya haath dhone ke kriya, roti ke ashirvaad, prarthnaaon, kosher bhojan, dharamshaastra padhne, aur Vishraamdin geet gaane mein ek manorajak maahol mein. Humne Hebrew shabdon ko suna, jiske Angrezi anuwaad the. Sabse mann bhaane waale dharamshaastra Puraane Niyam mein Isaiah se the, jo hamare liye bhi priye hai, jismein Vishraamdin ko ek anandit din maane,23 aur Ezekiel se, ki Vishraamdin “mere aur tumhare beech ek chinh ho, jisse ki tum jaano ki mai Prabhu tumhara Parmeshwar hoon.”24

Is saanjh se hamein paarivaarik prem, shraddha, aur Parmeshwar ke prati zimmedaar hone ka badhia ehsaas hua. Jab mai is samaroh par gaur karta hoon, mujhe Jew dwara jhelein sadiyon ke zulm yaad aate hai. Nisandeh, Vishraamdin ka sammaan karna “lambe samay se chal raha vachan hai,” Jewish logon ko bachata aur ashirvaad deta dharamshaastra ki purti karne ke liye.25 Isse kayi Jewish logon ke badhiya parivaarik jiwan aur khushiyaali par prabhaao pada hai.26

Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke sadasyon ke liye, Vishraamdin ka sammaan karna ek tarah ka dhaarmikta hai jo parivaaron ko ashirvaad dega aur mazboot karega, hamein Shrishtikarta se sampark karata hai, aur khushi badhata hai. Vishraamdin hamein anavashyak, anuchit, ya bura karne se alag rakhta hai. Woh hamein duniya mein rakhta hai par duniya kab nahin banata hai.

Pichle cheh mahinon mein, Girjaghar mein ek bahut vishisht baat hui hai. Pratham Adhyakshta aur Barah Devduton ke Parishad aur Pradhaan Russell M. Nelson ka chunaoti tha Vishraamdin ko anandit din maane jiske jawaab mein Vishraamdin par sadasyon dwara gaur kiya gaya.27 Kayi sadasye yeh samajhte hai ki sach mein Vishraamdin ko pavitra rakhne se jiwan ke toofaanon se bacha jaa sakta hai. Yeh hamare Swarg ke Pita ke prati bhakti ka ek chinh hai aur uski pavitrata ke badhte samajhdaari ka bhi. Ab bhi, bahut karna bacha hai, par hamara shuruaat sundar tha. Mai hum sab ko chunaoti deta hoon ki hum is salaah ko lein aur apna Vishraamdin ke bhakti ko badhaae.

Teesra: Divye Surakshaaen Pradaan ki Jaati hai Jab hum Dhaarmik Hote Hai

Parmeshwar ke divye yojna anusaar, hamein Pavitra Aatma ke uphaar ka ashirvaad milta hai. Yeh uphaar, “jab bhi koi yogye ho, ko Pavitra Aatma ka saath hone ka adhikaar hai.”28 Yeh Ishwartav ka sadasye ek saaf karne waala utpadan ban jaata hai jab susamachaar hamare jiwan mein pratham sthaan par hai. Woh buraai ke khilaaf chetaoni ki aawaaz bhi hai aur khatre ke khilaaf bachaao ki aawaaz. Jiwan ke samudro ka saer karte samay, Pavitra Aatma ke ehsaas par chalna avashyak hai. Aatma hamari madad karega behkaawon aur khatron se bachne mein, aur chunaotiyon mein sahanubhuti dega aur unmein se nikalega. “Par Aatma ka fal prem, anand, shaanti, dheeraj aur kripa, bhalaai, vishwaas hai.”29

Susamachaar ke siddhaanton ka paalan karne se hum mandir yogye rahenge, is jiwan mein khushiyaali paane ke liye, aur hum apne swarg waale ghar mein laut paaenge.

Mere priye bhaaiyon aur bahanon, jiwan aasaan nahin hai, na kabhi waisa hona tha. Yeh pariksha aur musibat ka samay hai. Bristol Bandargaah ke puraane jahaajon ki tarah, kuch samay ayse honge jab jwaar utrenge aur ek pal ke liye aysa lagega ki jin cheezon ke zariye hum aage badhte the woh gaayab ho gaya hai. Hum shaayad ret se takrakar ek taraf gir jaaenge. Ayse musibaton mein, mai aapse vaada karta hoon ki mandir yogye jiwan jeene aur barkarar rakhne se hum woh sab sambhaalenge jo avashyak hai. Shaanti, khushiyaali, aur anand ke sundar ashirvaad, anant jiwan aur celestial mahima hamare Swarg ke Pita aur Unke Putra, Ishu Maseeh ke saath ke ashirvaad ko jaanenge. Mai yeh gawahi deta hoon Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. 2 Nephi 2:13.Yeh dharamshaastra Mormon Dharamshaastra ke saamaanta ka bhaag hai. Itni dilchaspi ki baat hai ki Mormon Dharamshaastra ke bhavishyevaktaaon ke lekh aur updesh isi sahityak dhang ko apnaaye the zaroori siddhaanton ko sikhlaane ke liye. Uddharan ke liye, dekhiye, 2 Nephi 9:25 (Jacob) and 2 Nephi 11:7 (Nephi).

  2. Dekhiye 2 Nephi 28.

  3. Dekhiye 4 Nephi 1:15–17.

  4. Dekhiye Doctrine and Covenants 59:23.

  5. Dekhiye Wiktionary, “shipshape and Bristol fashion,” wiktionary.org.

  6. Dekhiye Doctrine and Covenants 38:30.

  7. Alma 40:12; zor dala gaya.

  8. Dekhiye Matthew 5, adhyaye saaraansh.

  9. Dekhiye Carl Cederstrom, “The Dangers of Happiness,” New York Times, July 19, 2015, Sunday Review section, 8.

  10. 2 Nephi 15:20.

  11. Ross Douthat, “Gay Conservatism and Straight Liberation,” New York Times, June 28, 2015, Sunday Review section, 11.

  12. Dekhiye 2 Nephi 2.

  13. Dekhiye Matthew 25: 1–30.

  14. Alma 41:10.

  15. Dekhiye Dieter F. Uchtdorf, “Continue in Patience,” Ensign ya Liahona, May 2010, 56.

  16. Dekhiye Walter Mischel, The Marshmallow Test: Mastering Self-Control (2014), Jacoba Urist, “What the Marshmallow Test Really Teaches about Self-Control,” bhi dekhiye Atlantic, Sept. 24, 2014, theatlantic.com.

  17. Dekhiye Mischel, The Marshmallow Test, 136–38.

  18. Dekhiye Maria Konnikova, “The Struggles of a Psychologist Studying Self-Control,” New Yorker, Oct. 9, 2014, newyorker.com, dekha gaya Roy Baumeister, a professor of psychology at Florida State University who studies willpower and self-control.

  19. Dekhiye Malia Wollan, “How to Proselytize,” New York Times Magazine, July 19, 2015, 21. Mario Dias jo Brazil Missionary Training Center ke hai se dohrati hai.

  20. Dekhiye Bible Dictionary, “Sabbath.”

  21. Elder Von G. Keetch aur uski patni, Bernice, aur John Taylor aur uski patni, Jan, mere patni aur mere saath se ek dilchasp Shabbat par Robert Abrams aur unki patni, Diane ke saath, May 8, 2015 ko. Mr. Abrams ne chaar baar attorney general niyukt kiye gaye the New York ke raashtra ka aur Girjaghar ke dost rahe hai kayi varshon se. Mr. Abrams ne apne do Jewish saathiyon ko bhi bulaya tha unki patniyon ke saath.

  22. Prabhubojh mez ka geet Shalom Aleichem (“Peace upon You”) gaaya gaya.

  23. Dekhiye Isaiah 58:13–14.

  24. Ezekiel 20:20.

  25. Dekhiye Exodus 31:16–17.

  26. Dekhiye Joe Lieberman, The Gift of Rest: Rediscovering the Beauty of the Sabbath (2011). Senator Lieberman’s ka dilchasp kitaab Jewish Shabbat ke baare mein batlata hai aur kayi prerna bhare baatein batata hai.

  27. Dekhiye Isaiah 58:13–14. Russell M. Nelson, “The Sabbath Is a Delight,” Ensign ya Liahona bhi dekhiye, May 2015, 129–32.

  28. Bible Dictionary, “Holy Ghost.”

  29. Galatians 5:22.