2010-2019
Ishu Maseeh ke Balidaan Dwara Mazboot Hua
October 2015


Ishu Maseeh ke Balidaan Dwara Mazboot Hua

Ussi balidaan ke kaaran, humare Uddhaarkarta hume wah shakti pradaan kar saktein hain jo hume zaroori hai maranshilta ke jiwan ke dauraan musibaton ko jhelne mein.

Humare maranshilta ke jiwan mein humesha mauth aur paap ki musibaten hain. Ishu Maseeh ka balidaan maranshilta ke jiwan ke in dono cheezon ko kam karta hai. Parantu maut aur paap ke bawajood, humare paas kai aur chunaotinayon hain jabki hum maranshilta ko jhel rahein hain. Ussi balidaan ke kaaran, humare Uddhaarkarta hume wah shakti pradaan kar saktein hain jo hume zaroori hai maranshilta ke jiwan ke dauraan musibaton ko jhelne mein. Yah mera aaj ka shirshak hai.

I.

Balidaan ke sabse dhaarmik lekh Uddhaarkarta mrito ke is zanjir ko todhne aur humare jheltey hue paapion ke chintaaoun ko batlata hai. Mormon ki dharamshaastra mein us ke khilaaf likha hua hai, Alma ne in gunon ko sikhlaya hai. Parantu usne hume saaf taur se dhaarmik bharosa pradaan kiya hai ki Uddhaarkarta ne bhi peeda aur kasht aur Apne logon ke peeda aur bimaari ko har prakaar jhela tha.

Alma ne Uddhaarkarta ke is Balidaan ke baare mein bhi batlaya hai: “Aur wah peeda aur kasht aur har prakaar ke pralobhan jhelega; aur ayesa is liye hoga taaki wachan pura ho sakey jiske anusaar wah apne logon ki peeda aur bimaari ko apne upar le lega” (Alma 7:11; 2 Nephi 9:21 bhi dekhiye).

Uske bare mein socho! Uddhaarkarta ke balidaan mein, Usne sabhi prakaar ke peeda aur musibaton aur bahekaawe ko jhela hai.” Jaesa Pradhaan Boyd K. Packer ne samjhaya hai: “Usko koi karza nahi tha bharne ke liye. Usne kuch bura nahi kiya tha. Parantu, sabhi buraai, kasht aur peeda, dard aur sharmindagi ke sangaton, insaan jo sabhi kuch dimaagi, ahesaas kartein, aur sharirik taur se jaatein hain- Usne un sabhi ko anubhao kiya tha.”1

Usne yeh “sabhi tarah ke” maranshilta ke chunaotiyon ko kyo jhela tha”? Alma ne samjhaya: “Aur wah apne upar unki durbaltaaoun ko le lega, taaki manav sharir ke anusaar uska katora daya se bhar sakey, ki wah sharir mein jaan sakey ki kis prakaar durbaltaaoun ke anusaar apne logon ki sahayata kar sakey” (Alma 7:12).

Uddhaaran ke taur par, Devdut Paul ne batlaya ki kyuki Uddhaarkarta “ne pariksha ki dasha mein dukh uthaya tha, to wah unki bhi sahayata kar sakta hai, jinki pariksha hoti hai” (Hebrews 2:18). Ussi tarah, Pradhaan James E. Faust ne sikhlaya: “Jabki Uddhaarkarta ne kuch bhi aur sabhi kuch jhela tha jo hum kabhi ahessas aur anubhao karenge, Wah kamzor ki madad kar sakta hai shaktishaaly banne mein.”2

Humare Uddhaarkarta ne sabhi maranshilta ke chunaotiyon ko anubhao kiya aur jhela hai “sharirik taur se” taaki Wah jaanne “sharirik taur se” kis tarah “madad kare [jiska matlab hai sahara ya madad dena] unke logon ke durbaltaaoun ke anusaar.” Wah isliye humare musibaton ko jaanta hai, humare dil ka peeda, humare bahekawe, aur humare jhelne ko, kyuki Usne un sabhi ko khudh hi ahesaas kiya tha Apne Balidaan ke khaas bhaag mein. Aur kyuki is ke karan, Uska Balidaan Usko himmat deta hai hume madad karne keliye-hume shakti deta hai sabhi kuch jhelne ke liye.

II.

Jabki Alma ki shikshan pure dharamshaastra mein se saathwe bhaag mein saaf taur se Balidaan ki khaas shakti ko sikhlata hai, yah pure dharamshaastra mein bhi sikhlaya gaya hai.

Uske dekhrekh ki shuruwaat mein, Ishu ne samjhaya ki Usko bheja gaya tha “tute hriday ko jodhane ke liye” (Luke 4:18). Bibil humesha hume Use changaai ko prapt kiye hue logon “ke dulbaltaaoun ke” bare mein batlaya hai (Luke 5:15; 7:21). Mormon ki Dharamshaastra mein Use changaai unko diya “jo kisi bhi prakaar se jhel rahe the” ka lekh hai(3 Nephi 17:9). Mathew ki Susamachaar samjhata hai ki Ishu ne logon ko changa kiya tha “taaki jo wachan Esaias bhavishyevakta ke dwara kaha gaya tha wah pura ho, ki Usne khudh hi humare durbaltaaoun ko le liye aur humari bimariyon ko utdha liya” (Matthew 8:17).

Isaiah ne sikhlaya ki Messiah humare “dukh aur takleefon” ko utha (Isaiah 53:4). Isaiah ne Apne shakti ko hume dene ko batlaya: “Mat dar, kyunki mai tere sang hoon, idhar udhar mat taakh, kyuki main tera Parmeshwar hoon; Main tujhe dird karunga aur teri sahayata karunga” (Isaiah 41:10).

Isliye hum gaatein hain:

Dar mat, main tumhare saath hoon; are udaas mat ho,

Kyunki main tumhara Parmeshwar hoon aur humesha tumhari madad karunga.

Main tumhe shakti dunga, madad karunga, aur tumhe khada rakhunga, …

Main apne sachche, shaktishaaly haanton dwara karunga.3

Apne khud ke kuch chunotiyon ko batlatey hue, Devdut Paul ne likha, “Main sabhi kuch Maseeh ke dwara karta hoon jo mujhe mazboot karta hai.” (Philippians 4:13).

Aur hum yah dekhtein hain kyuki Uske Balidaan ke karan, Uddhaarkarta ke paas shakti hai sahara dene ka-madad karne ka-sabhi maranshil peeda aur dard se. Kabhi kabhi Uska shakti bimari se changaai deta hai; parantu dharamshatra aur humare anubhaou sikhlaatein hain ki kabhi kabhi wah hume sahara aur madad karta hai humare musibaton mein shakti ya shaanti dete hue.4

III.

Wah koun se yeh maranshil peeda aur dard aur musibatein hain jo humare Uddhaarkarta ne anubhao kiya aur hela hai?

Tasveer
Mahila musibaton ko jhelti hui

Hum sab ke pass peeda aur dard aur musibatein hain ek samay ya dusre par. Hum jo anubhao kartein hain ke alaawa humare paapion ke kaaran, maranshilta mein humesha musibatein, dil ka peeda, aur jhelna hota hai.

Tasveer
Aspataal mein Bhent karna

Hum aur jinhe hum prem kartey hain bimariyon ko jheltey hain. Kuch samay par hum anjaan peedon ko bhi anubhao kartei hain ya dusre sharirik ya dimaaki musibaton ko. Hum sabhi kisi prem karne waale ke mauth ko jheltey aur sahatein hain. Hum sabhi apne veyaktigat zimmedariyon, apne parivaar ke sadesyon, ya apne kaamon par haar ko jheltein hain.

Tasveer
Chintith Maata-pitaein

Jab pati, patni ya bachcha wah inkaar kartein hain jo hume pata hai ki sachcha hai aur sachchaai ke maarg se bhatak jaatein hain, hum chinta bhare khaas peeda ko anubhao kartein hain, Ishu ki yaadbhare kahani mein kharchile putra ki pita ki tarah (dekhiye Luke 15:11–32).

Jaesa ki Palmist ne batlaya tha: “Dharam par bahut si vipattion padhti to hai, parantu Prabhu usko un sab se mukht karta hai” (Psalm 34:19).

Isliye, humre ishubhajan mein yah aaswaasan diya gaya hai: “Dharti par utni gam nahi hai jo swarg achcha nahi kar sakta hai.”5 Hume jo theek karta wah humare Uddhaarkarta aur Uska Balidaan hai.

Tasveer
Yuvaein dayalu nahi hotey

Khaaskar yuvaon tyaag ke ahesaas ko mahesoos kartein hain, jab hum khushi se netadari aur gatividhiyon mein saath hotein hain aur jaanbujh kar unhein bhool jaatein hain. Jaati aur parampara ke niyam dusre peedyon ko banatein hain, yuva aur balikon ke liye. Jiwan mein aur bhi chintaaein hain, jaese ki bekaari ya humare yojna mein musimatein.

Tasveer
Pita apne apang putra ke saath

Main abhi bhi maranshil dard ke bare mein batla raha hoon jo humare paapon se nahi hua hai. Kuch sharirik ya dimaagi nirbalta ke saath payeda hue hain jo unko veyaktigat tarah se jhelna padhata hai aur unko musibat utahna padhata hain jo unhein prem aur dekhbaal kartein hain. Kaion ke liye, udaasi ki bimaari peeda deta ya humesha nirbaltaon ko. Dusra peeda bhara stithi hai akelapan. Jo in stithiyon ko jheltein hain ko yaad rakhna chahiye ki humare Uddhaarkarta ne bhi is tarah ke peede ko anubhao kiya tha aur ki, Uske Balidaan ke dwara, Usne shakti pradaan kiya hai jhelne ke liye.

Kuch nirbaltaein humare sharirik ya dharmik jiwan ko lat se bhi ziyada barbaad karta hai. In mein se kuch, jaese ashlilchitra ya nasha ki lat, paap bhare chaalchalan se hota hai. Bhale hi jab veyohaar mein paschaataap ho chuka ho, lat raha sakta hai. Wah nirbalta ka pakad stir shakti se bhi chut sakta hai Uddhaarkarta ke paas hone se. To kya khaas chunaoti anubhao kartein hain jo gunahon ke liye jhel jaatein hain. Ek abhi haal ka hi patra ne shakti ka gawahi diya hai jo ek ko us stithi mein milta hai. “Main jaanta hoon ki humare Uddhaarkarta in bhawan mein chaltein hain, aur maine humesha in jhel ke diwaaron mein Maseeh ke prem ko mahesoos kiya hai.”6

Tasveer
Jel mein aadmi

Main apne shayari karta aur dost Emma Lou Thayne ki gawahi se prem karta hoon. Ishubhajan ki sabdon mein ab hum gaatey hain, uska likha hua:

Main shaanti ke liye kaha jaaun?

Mera shara kaha hai

Jab dusre cheezein mujhe pura hone ka ahesaas ko deti hain?

Jab ek dard bhare hriday, gussa, ya nafrat ke saath,

Main apne ap ko dusron se alag karta hoon,

Khudh ke darze ko jaanne ke liye?

Jaha, jab mera peeda ziyada hota hai,

Jaha, jab main jhelta hoon,

Jaha, jab mujhe jaanne ki zaroorat hai, main kaha bhaag shakta hoon?

Kaha par kuch haath hain mujhe prabhao dene ke liye?

Kaun, kaun samajh sakta hai?

Uddhaarkarta, sirf Ek. 7

Tasveer
Maseeh ki Murti

IV.

Koun Ishu Maseeh ke Balidaan ke dwara raahat aur shakti prapt karta hai? Alma ne sikhlaya ki Uddharkta “apne logon ki peeda aur bimaari ko apne upar le lega aur “apne logon ko rahat dega” (Alma 7:11–12; zor diya gaya). Is vaada mein “uske log” koun hai? Sabhi maranshil hain-sabhi jo Balidaan ke dwara punaharjiwan ke sachchaai mein khush hain ? Ya sirf weh chunne hue sewakein hain jo siddhaanton aur vaadon ke dwara safal hue hain?

Dharanshaastra mein logon shabd ke kai matlab hotein hain. Uddhaarkarta “apne logon” ko rahat dega ka sabse achcha matlab hai ki Alma ne sikhlaya jab wah baad mein batla raha tha ki “Parmeshwar har ek ke liye sanchet hai chaahe weh kisi bhi desh mein niwaasi ho” (Alma 26:37). Yahi hai jo devduton ne bhi batlaya tha jab unhone shishu Maseeh ke payedaish ko batlaya tha: “Bade anand ka susamachaar sunata hoon, jo sab logon ke liye hoga” (Luke 2:10).

Maranshilta ke anubhao mein Uske balidaan ke karan, humare Uddhaarkarta sabhi sthaan par sabhi aadmi aur mahilaaoun ko daya, changa, aur mazboot kar sakta hai, parantu main vishwaas karta hoon ki Wah unke liye karega jo Usko dhoondhatey hain aur Uske madad ko pukaartey hain.Devdut James ne sikhlaya hai: “Prabhu ke saamne deen bano, to Wah tumhe shiromni banayega” (James 4:10). Hum un ashirwaad ke liye safl hotein hain jab hum Usmein vishwaas kartein hain aur Use madad ke liye prarthna kartein hain.

Yaha par Parmeshwar se darne waale kai milion log hain jo Parmeshwar se apne musibaton se bachne ke liye prarthna kartein hain. Humare Uddhaarkarta ne batlaya hai ki Wah “sabhi cheezon mein hai” (D&C 88:6). Jaesa Elder Neal A. Maxwell sikhlatein hain, “Sabhi cheezon mein hone se,’ Wah samjhata hai, sahi aur veyaktigat tarike se, pure ginti ke insaan jo jhel rahein hain.”8 Hum yah bhi kaha saktein hain ki sabhi cheezon se niche hai, Wah hi hume sahi tarike se upar utah sakta hai aur hume shakti de sakta hai hume jo zaroori hai hume ant tak jhelne ke liye. Hume sirf yah puchana hai.

Tasveer
Mez par parivaar

Kai samay par naye prakashit wakiye mein Prabhu ne batlaya hai ki, “Isliye, agar tum mujhse maangoge to tum prapt karoge; agar tum khatkhataaoge to khola jayega” (uddhaaran mein, D&C 6:5; 11:5; Matthew 7:7 ko bhi dekhiye ). Sahi mein, kyuki unke pure sachche prem se, humare Swargy Pita aur Uske priye Putra, Ishu Maseeh, sunnta hai aur sabhi jo vishwaas se prarthna kartein aur dhoondhatein hain ko jawaab bhi deta hai. Jaesa ki Devdut Paul ne likha hai, “Hum jiwit Parmeshwar mein vishwaas kartein hain, jo sabhi insaaan ka Uddhaarkarta hai, khaaskar jo vishwaas kartein hain” (1 Timothy 4:10).

Main jaanta hoon ki wah sab sachcha hai. Humare Uddhaarkarta ka Balidaan hume maranshilta se sanchet karne se ziyada karta hai ek pure punaharjiwan ke dwara aur hume aosar pradaan karega paap se bachne ke liye paschaataap aur baptisma ke dwara. Uska Balidaan hume aosar deta hai ki Usko pukaare jisne humare sare maranshilta ke musibaton ko anubhao kiya tha hume shakti dega maranshilta mein musibaton ko jhelne mein. Wah humare peeda ko jaanta hai, aur Wah humare liye yaha par hai. Ek achche samri ki tarah, jab Wah hume raastey mein gaayal dekhta hai, Wah humare ghaaon par patti baandhata aur dekhbhaal karta hai (dekhiye Luke 10:34). Ishu Maseeh aur Uska Balidaan ki changaai aur mazboot karne ki shakti hum sab ke liye hai jo dhoondhatein hain. Main uski gawahi deta hoon jabki main apne Uddhaarkarta ki gawahi bhi deta hoon, jo sab teek karta hai.

Ek din yeh sabhi maranshil musibaton dur honge aur yaha par koi peeda na hogi (dekhiye Revelation 21:4). Main prarthna karta hoon ki hum sabhi humare Uddhaarkarta ki Balidaan ki asha aur shakti ko samjhenge: amaranshilta ke vaada, anant jiwan ke liye aosar, aur hum bane rahane ki shakti ko prapt karenge agar hum mangege tab, Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Boyd K. Packer, “The Savior’s Selfless and Sacred Sacrifice,” Liahona, Apr. 2015, 38.

  2. James E. Faust, “The Atonement: Our Greatest Hope,” Liahona, Jan. 2002, 22.

  3. “How Firm a Foundation,” Hymns, no. 85.

  4. Dekhiye, generally, Jeffrey R. Holland, Christ and the New Covenant: The Messianic Message of the Book of Mormon (1997), 223–34; David A. Bednar, “The Atonement and the Journey of Mortality,” Liahona, Apr. 2012, 12–19; Bruce C. Hafen and Marie K. Hafen, “‘Fear Not, I Am with Thee’: The Redeeming, Strengthening, and Perfecting Blessings of Christ’s Atonement,” Religious Educator, vol. 16, no. 1 (2015), 11–31, khaaskar 18–25; Tad R. Callister, The Infinite Atonement (2000), 206–10.

  5. “Come, Ye Disconsolate,” Hymns, no. 115.

  6. From a 2014 letter received by Bishop Bobby O. Hales, who oversees the Henry Branch of the Central Utah Correctional Facility.

  7. “Where Can I Turn for Peace?” Hymns, no. 129.

  8. Neal A. Maxwell, “Apply the Atoning Blood of Christ,” Ensign, Nov. 1997, 23.