2010-2019
Girjaghar Afsaron ka Samarthan
October 2015


Girjaghar Afsaron ka Samarthan

Bhaaiyon aur bahanon, Pradhaan Monson ne kaha ki aaj mai aapko Girjaghar ke Maha Adhikaariyon, Chetriye Sattaron, aur maha sahayak adhyakshtaaon ko pesh karun aapke samarthan mat ke liye.

Yeh prastavit kiya jaata hai ki hum Thomas Spencer Monson ko bhavishyevakta, paegambar, aur praktikarta aur Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke Pradhaan ke rup mein samarthan karein; Henry Bennion Eyring ko Pratham Adhyakshta ke Pratham Salaahkaar; aur Dieter Friedrich Uchtdorf ko Pratham Adhyakshta ke Dusre Salaahkaar.

Jo sehmat hai kripya prakat karein.

Jo asehmat hai, agar koi, kripya prakat karein.

(Mat ko likh liya gaya hai.)

Yeh prastavit kiya jaata hai ki hum Russell M. Nelson ko Barah Devduton ke Parishad ke rup mein samarthan dein aur diye gaye sadasyon ko us parishad ke rup mein: Russell M. Nelson, Dallin H. Oaks, M. Russell Ballard, Robert D. Hales, Jeffrey R. Holland, David A. Bednar, Quentin L. Cook, D. Todd Christofferson, Neil L. Andersen, aur, Barah Devduton ke Parishad ke naye sadasye ke rup mein Ronald A. Rasband, Gary E. Stevenson, aur Dale G. Renlund.

Jo sehmat hai, kripya haath utha kar prakat karein.

Agar koi asehmat kripya prakat karein.

(Mat ko likh liya gaya hai.)

Yeh prastavit kiya jaata hai ki hum Pratham Adhyakshta aur Barah Devduton ke Parishad ke salaahkaaron ko bhavishyevakta, paegambar, aur praktikarta maane.

Jo sab sehmat hai, kripya prakat karein.

Jo asehmat, agar koi hai, kripya prakat karein.

(Mat ko likh liya gaya hai.)

Kyunki weh Barah ke Parishad mein niyukt huwe hai, isliye hum Ronald A. Rasband ko Sattar ki Adhyakshta aur Elder Rasband aur Elder Dale G. Renlund ko Sattar ke Pehle Parishad ke sadasyon ke rup mein mukt karte hai.

Jo log hamare saath prashansa dikhlana chahate hai prakat kar sakte hai.

Yeh prastavit kiya gaya hai ki hum inhe achchi sewa ke liye dhanyevaad dein Elder Don R. Clarke jo Sattar ke Parishad sadasye hai aur Elder Koichi Aoyagi aur Bruce A. Carlson ko Sattar ke Dusre Parishad ke sadasye ke rup mein aur unhe sewamukt Maha Adhikaari kaha jaaye.

Jo log hamare saath milkar unhe unke uttam sewa ke liye dhanyevaad dena chahate hai, kripya prakat karein.

Hum Serhii A. Kovalov ko Chetriye Sattar ke rup mein mukti ka mat bhi dete hai.

Jo saath milkar unhe sewa ke liye abhaar prakat karna chahate hai, kripya prakat karein.

Is samay par hum Bhaai John S. Tanner jo Raviwaar Kaksha maha adhyakshta ke pratham Salaahkaar the aur Bhaai Devin G. Durrant jo Raviwaar Kaksha maha adhyakshta ke dusre salaahkaar the ko sewa se mukt karte hai. Jaise pehle batlaya gaya tha, Bhaai Tanner ko BYU–Hawaii ke pradhaan ki niyukti mili hai.

Jo log hamare saath in bhaaiyon ko unke sewa aur bhakti ke liye dhanyevaad dena chahate hai, kripya prakat karein.

Bhaai Devin G. Durrant ko ab Raviwaar Kaksha maha adhyakshta mein pratham adhyakshta aur Bhaai Brian K. Ashton ko Raviwaar Kaksha maha adhyakshta mein dusre salaahkaar ke rup mein sewa pradaan karne ke liya niyukt kiya gaya hai.

Jo sab sehmat hai, kripya prakat karein.

Jo asehmat, agar koi.

Yeh prastavit kiya gaya hai ki anye Maha Adhikaari, Chetriye Sattaron, aur maha sahayak adhyakshtaaon jaisa abhi hai rahein.

Jo sab sehmat hai, kripya prakat karein.

Jo asehmat, agar koi.

Mat ko likha gaya hai. Jinhone kisi bhi prastaao ko aswikaar kiya hai kripya apne stake adhikaari ko sampark karein.

Bhaaiyon aur bahanon, hum Girjaghar netaaon ke liye aapke vishwaas aur prarthnaaon ke liye abhaari hai.

Ab hum Barah Devduton ke Parishad ken aye sadasyon ko manch par apna sthaan lene ki aagrah karenge. Unhe kal subha mauka milega humse baate karne ka.