2010-2019
Humare Vaada Kiye hue Aashirwaadon ke Laayak
October 2015


Humare Vaada Kiye hue Aashirwaadon ke Laayak

Humare Pita ka anokha vaade kiya hua ashirwaad ki drishti har din humare aankhon mein mukhiye lakshye hone chahiye.

Kya tum is bahan se prem nahi kartey ho? Hum jaantein hain ki tum mein se kai ko apne khudh ke bachchon ko payeda karne ki aosar nahi prapt hua hai ne apne jiwan mein bachchon ko prem, shikshanm aur ashirwaadon ko diya hai. Aur, are, kis tarah humare Swargy Pita aur hum, tumhari bahanon, uske liye tumhe prem kartein hain!

Kya hum sab ko, tum Praathmik aur Jawaan Mahilaaoun ki jawaan pyaari bahanon ko bhi, yah mauka mila hai ki apne haaton mein ek naye payeda hue shishu ko pakde aur ladka ya ladki humare ankhon mein dekhe? Yah humne is celestial aatma ke ird-gird pavitra aur diviye ahesaas ko mahesoos kiya hai, jo humare Swargy Pita ke dwara naya banaya hua abhi hi bheja gaya hai, saaf chota sa sharir? Maine kai baar ayesa itna sundar, itna komal, aur itna dhaarmik ahesaas ko mehsoos kiya hai.

Humare sharir humare Swargy Pita ki oar se pavitra uphaar hai. Weh veyaktigat mandirein hain. Jab hum use saaf aur pavitra rakhtein hain, hum laayak yah saktein hain Swargy Pita ko madad karne mein Uske pyare aatma bachchon ke sharir ko banane main.

Tasveer
Pradhaan Packer ka bhaashan

Pradhaan Boyd K. Packer ke antim maha sammelan ke bhaashan mein, jo tumhe shaayad yaad ho “ek bishkut aur ek chumma,” usne gawahi diya tha ki “dharti par dugna hokar aur bhar dene se ka aagya … khaas hai … aur insaan ki khushiyon ka neev hai. Is [prerirt] shakti ke sachche kaarye se, hum apne Swargy Pita ke nazdeek ah saktein hain aur khushi ko puri tarah se anubhao kar saktein hain, parmeshwartav bhi. Uppatti ki shakti yojna ka koi choti si mukhye bhaag nahi hai; yah yojna hi hai.”

Usne aage batlaya:

“Sachche prem ke liye intazaar karna chahiye jabtak ki shaadi na ho jaye jo wah pavitra shakti hai us prem ko nibhaane ke liye… [us] stithiyon se dur raha kar jaha sharirik ikcha ho sakta hai. …

“… Maranshil jiwan mein humare khushiyon, humare anand aur mukti us par nairbhar hai ki hum kis tarah inhe humesha jawaab detein hain, sharirik ikchaaoun ke saath. .”1

Meri pyari bahanon, dono jawaan aur jo bahot jawaan nahi hai, maine bahot hi chinta mahesoos kiya hai jab maine is bhaashan ko banaya. Jaesa Alma jo Jawaan tha ne batlaya hai, “Main apne hriday ki gaharaai se … ki tum …uske naam mein bulaao, dhyaan do aur nirantar prarthna kartey raho, taaki jitna tum saha sako usse adhik laalach mein na pado, … taaki antim din tum utkarsh pa sako.”2

Baad mein, Mormon ne bhi gawahi diya ki Alma ke dinon mein, Korihor, Maseeh -ko nahi maanne waala, “sikhlaya … ,kai mahilaaoun … ke hridayon ko batkaate hue.”3

Bahanon, Shaitaan ne humare din mein ek Korihor- ki tarah ko bahot hi safalta ke saath pala hai. Us ke kuch aozaar kya nahi? Pralobhi rishteydaari ke kahanion, TV ke kaaryekaram, shaadi-shuda mahilaaien aur puraane ladkon ke saath samuhik tarike se baatein karti hai, aur ashleel chitron se.Hume bahot hi saaodhaan rahana chahiye, pyari bahanon! Hum Shaitaan ke jaltey hue teeron ke saath nahi khelein aur jale nahi. Main aur kuch nahi jaanta jo hume Pavitra Aatma ke saathi ki tarah humesha safal karta hai jaesa ki sadgun!

Kai aaj ke duniya mein turant hi khushiyon aur turant hi gyaan ko Internet par dhoondh rahe hai. Tulna mein, hume bahot hi ashirwaad prapt hoga agar hum vishwaas aur shaanti se karenge aur humare Swargy Pita ke paas jaenge, sabhi sachchai ka mul hamari chinta se. Kai jawaab aur aaswaasan hume humesha dharamshaastra ko dhoondhne aur sikhne se prapt hota hai aur sachche aur dil chu lene waale prarthna se, parantu yaha Internet ke liye koi ayese vaade nahi hai. Bhavishyevakta Jacob ne gawahi diya: “Kyuki aatma sachchaai bolta hai aur jhut nahi. Isliye, wah baaton ke vishye mein waise hi bolti hai jaesi weh aaj hai.”4

Jab hum dekhne, padhane, ya kisi bhi cheez ke saath shaamil ho jo humare Swargy Pita ke star ka nahi hai, wah hume kamzoor karta hai, pari bahanon. Chaahe hum kisi bhi umar ke ho, Agar jo hum dekhtein, padhatein, sunntein, ya chunntein hai jo Prabhu ke star For the Strength of Youth mein ka nahi hai, usko bandh kar do, use bahar nikaal do, todh do, aur darwaaza bandh kar do.

Tasveer
Uddhaarkarta Gethsemane mein

Hum mein se koi sahi nahi hai, parantu jab humne paap kiya hai, Pradhaan Packer ne hume yaad dilaya hai ki

“… Vaada hai ki: ‘Dekho, jisne apne paapon se paschaataap kar liya hai, ussi ko chama milta hai, aur main, Prabhu, usko dobara yaad nahi karta’ (D&C 58:42). …

“… Balidaan, jo hum sab ko bacha sakta hai, koi daag nahi chodhta. Us ka matlab hai ki bhale hi humne kuch bhi kiya ho ya kaha hum gaye ho ya kis tarah kuch hua tha, agar hum sach mein paschaataap kartein hain, Usne vaada kiya hai ki Wah praeschit karega. Aur jab Wah praeschit karta hai, use wah pura hoga. Yaha par humein kai hain jo yaha par jhel rahein hain … zimmedariyon ke ahesaas ke saath, nahi jaantein hain ki kis tarah se bach saktein hain. Tum Maseeh ke Praeschit ko swikaar kar ke bach saktey ho, aur jo sab hriday ka peeda hai wah sundarta aur prem aur anant tak badal sakta hai.”5

Paschaataap ke alawa kya madad ya aozaaron ko hume diya gaya hai humari madad ke liye saaf aur sadgunta se rahane mein? Humare Prathmik aur jawaan mahilaaein sabhi jaatein hain aur geet gaatein hain “Dharamshaastra Shakti.”6 Kya hum badha kar “Prarthna Shakti,” “Vaadon Shakti,” “Sabbath Sahkti,” “Bhavishyevakta Shakti,” aur “Sadgun Shakt” kar saktein hai?

Yaha par mahaan ashirwaad aur bachaane waale vaadein bhi hai hume sahi tarah se mandir ke kapde ko pahanne se. Mujhe yah mahesoos hua hai ki maine Swargy Pita se prapt hue raajye jaesa rosbs ko pahana hai. Main gawahi deta hoon ki jab hum mandir ka kapde siddha se koshish se pahenonge, humare Pita use Khudh ke liye humare prem aur bakti ki tarah jaantein hain. Yah vaade ka chin hai jo humne Uske saath bananya hai, aur Usne vaada kiya hai, “,ain, Prabhu, khush hota hoon jab tum wah kartey ho jo maine kaha hai; parantu jab tum wah nahi kartey jo maine kaha hai, tum vaada nahi rakhtey.”7

Abhihaal hi maine ek puraane mitra se baatein kiya hai jo do talaak se guzar chuki hai apne pati ke laton aur vishwaas ghaat ke kaaran. Usne aur uske teen bachchon ne bahot jhela hai. Usne guzaarish kiya tha, “maine bahot hi kosish kiya tha sachche tarah se rahane ke liye. Mujhe itne musibaton ko kyo jhelna pada? Maine kya bura kiya hai? Swargy Pita kya chahatein hain ki main karun? Main prarthna karti aur apne dharamshaastra ko padhati hoon, apne bachchon ki madad karti hoon, mandir humesha jaati hoon.”

Jab maine is bahan ko sunna, maine chillana mahesoos kiya, “Tum kar rahi ho! Tum wah kar rahi ho jo Swargy Pita chahatein hain aur asha kartein hain ki tum karo!”

Samjhtey hue, kai ne batlaya hai ki humare Pita ka vaada bhara ashirwaad “bahot hi dur hai,” khaaskar jab hum apne jiwan mein musibaton ko jhel rahe hotein hain. Parantu Alma ne apne putra ko sikhlaya ki “yah jiwan samay hai … Parmeshwar ko milne ki taeyaari ka.”8 Yah humare saare ashirwaadon ko nahi prapt kareinge. Pradhaan Packer ne samjhaya tha ki“‘aur weh baad mein humesha khushi se jiwan bitaaye’ is maranshil jiwan ke bhaag mein. Yah lekha humare marnopraant jiwan ka hai, jab paheliyon sulajh jaati hai aur sahi kuch deek ho jaata hai.”9 Phirbhi, humare Pita ka anokha vaade kiya hua ashirwaad ki drishti har din humare aankhon mein mukhiye lakshye hone chahiye- ek gyaan ki tarah bhi “uske komal dayaon ke bheed mein”10 ki hum har din anubhao kartein hain.

Main nahi jaanti hoon ki hume kai mushilon ko kio sahana padhata hai, parantu yah meri veyaktigat ahesaas hai ki, bahanon, inaam bahot mahaan hai, itna anant aur ant tak na khatam hone waala, jo khush haal aur humare samjh se baahar hai ki inaam ke din mein, hum apne dayawaan Pita se kahenge, “Bas itna hi zaroori tha?Main vishwaas karti hoon ki agar hum prem ki gaharaai ko humesha yaad karein ayr jaane jo humare Swargy Pita aur humare Uddhaarkarta ne humare liye diya hai, hum kuch bhi kar sakenge. Weh chahatein hai ki Unke saath dobara rahein. Kya zaroori hai, pyari bahanon, jo humne yaha jhela hai agar, ant mein, weh musibatein wah cheez hain jo hume anant jiwan ke liye safal karti hain aur Unke saath Parmeshwar aur Pita aur Uddhaarkarta ke raajye mein mukti ke liye?

Main gawahi deti hoon ki humare sharir humare Swargy Pita ka pavitra uphaar hai aur jab hum apne jiwan ko saaf aur shudh rakhenge humare Uddhaarkarta ke praeschit bhare balidaan ke dwara, aur apne saamne humare Pita ke vaade bhare parinaam ko humesha rakhtein hain, ek din hum prapt karenge “sabhi kuch jo [humare] Pita ke paas hai.”11 Ishu Maseeh ke pavitra naam se, amen.