2010-2019
Aapka Agla Kadam
October 2015


Aapka Agla Kadam

Tumhare Swarg ke Pita aur Unke Putra, Ishu Maseeh, aapko amantrit karte hai aapka agla kadam Unki or uthaane ke liye. Intazaar mat kijiye. Abhi woh kadam uthaao.

Akarshak Antim-din Santon ke saath haal hi ke sabha mera dil dukhi hua. Ek sawaal pucha gaya, “Kaun phir se Swarg ke Pita ke saath rehna chahata hai?” Har ek ne haath uthaya. Agla sawaal tha “Kise vishwaas hai ki tum kaamyaab hoge?” Mujhe bahut dukh aur ashcharye hua jab kayi haath niche ho gaye.

Jab hum apne aaj aur bhavishye mein kya banna chahata hai mein antar dekhte hai, hum mein se kayi log behkaawe mein aate hai vishwaas aur aasha ko chod dene ke liye.1

Kyunki “Parmeshwar ke saath koi bhi ashudh wastu niwaas nahin kar sakti,”2 Unke saath ek baar phir jeene ke liye hamein paap ko dhona padega3 aur paripurn bano.4 Agar hamein aysa akele, karna pada hum mein se koi bhi kaamyaab nahin hoga. Magar hum akele nahin hai. Balki, hum kabhi akele nahin rehte.

Hamein Ishu Maseeh aur Unke Praeshchit ke kaaran swarg ka madad milega.5 Uddhaarkarta ne kaha, “Yadi tum mujh mein vishwaas karoge to tumhe us kaam ko karne ke liye saamarthye milega jo mujh mein uchit hai.”6 Jab vishwaas aazmaaya jaata hai, vishwaas ki badhanti hoti hai.

Aao hum teen adarshon ki soche jo hamein Swarg ke Pita ke paas lautne ki hamari yaatra mein madad karega.

Ek bachche ki Tarah Ban Jaao

Hamara sabse chota pota yeh pehla aadarsh ko dikhlata hai. Bakaiya bhaagna seekhne ke baad aur phir khade hokar, woh chalne ki koshish karna chahata tha. Uske pehle kuch koshishon mein, woh gira, roya, aur is tarah se dekha jo kehta tha, “Mai kabhi—bhi nahin—iski koshish karunga! Mai sirf bakaiya bhaagta rahunga.”

Jab woh thokar khakar gira, uske premi maata/pita ne nahin socha ki woh kamzor hai ya ki woh kabhi chal na sakega. Balki woh apna haath pasare use pukaarte rahe, aur woh apne nazrein unpar tikaae, koshish karta raha unke pyaar bhare baahon mein jaane ke liye.

Prem karne waale maata/pita hamesha baah pasare intazaar kar rahe hote hai jab hum ek bhi sahi kadam lein sahi disha mein. Woh jaante hai ki lagataar koshish karne se hum pragati aur safalta ki or badhenge.

Uddhaarkarta ne sikhlaya ki Parmeshwar ka raajye paane ke liye, hamein ek nanhe shishu jaisa banna chahiye.7 Isliye, dhaarmik rup se, pehla siddhaant hai ki hamein woh karna hai jo hum bachpan mein karte the.8

Bachche ki tarah vineet bankar aur dilchaspi se hamare Swarg ke Pita aur hamare Uddhaarkarta par gaor karein, hum bina haar maane Unki or kadam uthaate hai, chahe hum gir jaaye. Hamare pyaare Swarg ke Pita har ek vishwaasi kadam par khush hota hai, aur agar hum girte hai, Woh khush hota har baar jab hum koshish karte hai uthne ki aur aage badhne ki.

Vishwaas se Kaarye Kar

Ek dusra siddhaant do vishwaasi Santon dwara dikhlaaya gaya, donon ek anant saathi paane ki ichcha rakhte hai. Donon ne prarthnashilta se vishwaas-bhare kadam uthaye.

Yuri, ek Russian Antim-din Sant, ne mandir jaane ke liye balidaan kiye aur paese bachaaye. Train par usne ek sundar khushaal mahila ko dekha, aur usne mehsoos kiya ki use uske saath susamachaar baatna chahiye. Na jaante hue ki aur kya karna hai, woh apne Mormon Dharamshaastra mein se padhna laga is aasha ke saath ki woh shaayad dekhegi.

Yuri ne yeh nahi jaana ki woh mahila, Mariya, ek Antim-din Sant thi. Yeh na jaante huwe ki Yuri bhi ek sadasye tha, aur ek prerna par amal karte huwe woh uske saath susamachaar baatne lagi, Mariya bhi apne Mormon Dharamshaastra mein se padhne lagi, yeh soch ke ki shayad woh ise dekh lein.

Tab, jab woh donon khade huwe, Yuri aur Mariya ko achambha hua ek dusre ke haath mein Mormon Dharamshaastra dekh kar—aur haan, pyaar karne ke baad, woh mandir mein seal huwe. Aaj, Yuri aur Mariya Kutepov jo Voronezh, Russia ke hai, wahan ke Girjaghar mein anant saathiyon ke rup mein kaarye kar rahe hai.

Yahan par sirf is dampati ke vishwaas se kaarye karne ki marzi par nahin gaur kiya jaa raha hai. Yeh ek dusre siddhaant ke baare mein bhi hai—Prabhu mumkin karta hai ki hum vishwaas se kaarye karein. Hamara marzi ek kadam lene ka sirf pura nahin hota; woh Prabhu ke vaada kiye ashirvaadon se badh jaata hai.

Swarg ke Pita aur hamare Uddhaarkarta hamein ashirvaad dene ke liye utsuk hai. Waise bhi, Woh to sirf daswa-hissa chahata us mein se jo Woh hamein deta hai aur phir vaada karte hai ki swarg ke khidkiyaan khulenge!9

Jab bhi hum apni marzi se kaarye karte hai Ishu Maseeh mein vishwaas rakh kar aur ek kadam lenge, khaaskar ek bechaen kadam jiske liye badlaao ya pashchataap zaroori hai, hamein shakti milegi.10

Mai gawahi deta hoon ki Prabhu hamein raah dikhaega hamare agle kadam tak —aur usse baahar. Woh hamein bahut madad karega Apne shakti se agar hum marzi se koshish, pashchataap, aur aage badhte rahenge hamare Swarg ke Pita aur Unke Putra, Ishu Maseeh mein vishwaas rakh kar.

Dhaarmik uphaar sirf unhe nahin vaada kiye jaate jo Parmeshwar se prem karte aur Unke aagaaon ka paalan karte hai magar unhe bhi, jo abhaar ke saath, “[dhoondhte] hai aysa karne ke liye.”11 Shakti unhe di jaati hai jo dhoondhte aur koshish karte rehte hai.

Do zaroori tatva jinke zariye hum hamare Swarg ke Pita tak ka safar tay kar paate hai prabhubhoj aur Vishraam Din ka paalan karne ka vachan. Pradhaan Russell M. Nelson ne hamein pichle maha sammelan mein sikhlaya ki Vishraam din Prabhu ka uphaar hai hamare liye. Hamara shraddha se har hafte Vishraam din ko pavitra rakhne se Prabhu ko chinh milega ki hum Unse pyaar karte hai.12

Har ek Vishraam din par hum dekhte hai ki hum “[apne upar Unka naam] lene ke liye tayyaar rehte hai, aur hamesha unhe yaad karenge, aur unke aagyaaon ka paalan karenge.”13 Hamare pashchataapi hriday aur hamare dilchaspi ke badle mein, Prabhu hamein phir se chama karta hai aur hamein mauka deta hai ki “hamesha Aatma [hamare] saath rahein.”14 Pavitra Aatma ka prabhaao hamein sudhaarta, mazboot karta, sikhlata, aur raah dikhata hai.

Agar, har Vishraam din ko Unhe yaad karte samay, hum apne hridayon ko Uddhaarkarta ki or mode in do tatvo ke zariye, tab hamare koshish Prabhu ke vaada kiye ashirvaadon ke zariye dugne ho jaayenge. Humse vaada kiya jaata hai ki, shradha se Vishraam din ko nibhaane se, dharti ka sab sukh hamara hoga.15

Hamare Swarg ke Pita tak ka lautne ka raasta Prabhu ke ghar pahunchta hai, jahan hamein bachane waale dharamsiddhaant milte hai hamare aur hamare mare huwe priyejanon ke liye. Pradhaan Boyd K. Packer ne sikhlaya ki “dharamsidhaant aur vaadein hamare parichay patra ban jaate hai [Parmeshwar] ke upasthiti mein daakhila paane ke.”16 Mai prarthna karta hoon ki hum sab yogye rahenge aur apna mandir sifaarish istemaal karte rahenge sewa pradaan karne ke liye.

Prakritik Manushye par Vijay Paao

Ek teesra siddhaant yeh hai: hamein prakritik manushye ke taalne ke aadat, ko radh karna, ya chodh dena chahiye.17

Jab hum vachan ka paalan karne lagte hai, hum kayi baar galtiyaan karenge. Hum mein se kuch log aadaton ya laton ko lekar sangharsh karte hai jinpar vijay paana namumkin lagta hai. Magar Swarg ke Pita aur Ishu Maseeh mein vishwaas ek furtila aur balwaan siddhaant hai.18 Agar hum kuch karne ke liye raazi hai, hamein pashchataap karne ki aur badalne ki shakti ka ashish milega.

Hum asafal hote hai agar hum ek aur vishwaasi kadam lene mein asafal rahenge. Hum nahin, asafal ho sakte hai, agar hum Uddhaarkarta ke saath vishwaasi rup se jude hai—Woh jo kabhi asafal nahin hua aur hamein asafal nahin hone dega!

Vaada Kiye Ashirvaadein

Mai vaada karta hoon ki har ek vishwaas-se-bhara kadam mein swarg ka sahyog hoga. Maargdarshan milega jab hum hamare Swarg ke Pita se prarthna karenge, apne Uddhaarkarta par bharosa karenge aur Uski tarah rahenge, aur Pavitra Aatma ki sunenge. Ishu Maseeh ke praeshchit ke balidaan se ashirvaad milega.19 Changaai aur chama Parmeshwar ke kripa se milega.20 Budhimaani aur dhaerye aaega Prabhu ke sahi samay par bharosa karke. Suraksha milega Parmeshwar ke jiwit bhavishyevakta, Pradhaan Thomas S. Monson ka kaha maan kar.

Tumhe banaya gaya tha “taaki [tumhe] anand praapt ho,”21 tum anand mehsoos karoge jab tum yogye rehkar Swarg ke Pita aur tumhare Uddhaarkarta tak pahunchoge aur Unke pyaar ke baahon mein jaaoge.

Mai in sachchaaiyon ki gawahi deta hoon. Tumhare Swarg ke Pita aur Unke Putra, Ishu Maseeh, jiwit hai. Woh tumhe jaante hai. Woh tumse prem karte hai. Woh prem se aapko amantrit karte hai aapka agla kadam Unki or uthaane ke liye. Intazaar mat kijiye. Abhi woh kadam uthaao. Ishu Maseeh ke pavitra naam se, amen.