2010-2019
Ek Pavitra Kartavye
April 2016


Ek Pavitra Kartavye

Yeh purohiti shakti ki anmol taufa sirf ghambheer zimmedaari nahi laate balki hamare liye aur dusro ke liye khaas ashirvaaden bhi laati hai.

Mere pyaare bhaaiyon, Main Aatma ke liye prarthna karta hoon ki aaj shaam ko mere sandesh ko aagya karein. Hum purohiti adhikaari mein kuch saamaanye hai. Hum ko Parmeshwar ke purohiti saupna gaya hai aur Unke naam se karya karne ka adesh. Hum ek pavitra kartvaye ki grahan karnewaala hai. Humse kai umeede hai.

Hum Doctrine and Covenants section 121, verse 36,mein padhte hai ki “purohiti ke adhikaariyon swarg ke shakti se hamesha saath se mila hua hai.” Kitna chamatkarik taufe hai jo humko diya gaya hai. Hamare hi zimmedaari hai ki purohiti ko raksha aur sahayata karein aur laayak rahein un mahan ashirvaadon ka jo hamare Swarg ke Pita ne hamare liye tayyaar kiya hai- aur dusre ko bhi hum se.

Jaha aap jaye, tumhare purohiti tumhare saath hi jaega. Kya aap pavitra sthaan par khade hai? Khatra mein aap aur tumhari purohiti ko dalne se pehle jo tumko aur tumhari purohiti ke liye laayak nahi, rukhiye aur sochiye samajhik pratishta ko. Yaad kijiye ki aap kaun hai aur Parmeshwar kya chahate hai aap se. Aap ek vaade ke bache hai. Aap shaktisahli mard hai. Aap Parmeshwar ke putr hai.

Yeh purohiti shakti ki anmol taufa sirf ghambheer zimmedaari nahi laate balki hamare liye aur dusro ke liye khaas ashirvaaden bhi laati hai. Kya hum, jaha kai bhi rahe, unki shakti niyukti karne ke laayak rahe, ki hum jante nahi ki kab hamari zaroorat aur humara mauka aa pade.

Vishva Yuddh II ke samay, mera ek dost South Pacific mein sewa kar raha tha jab unki hawaijahaz par goli chali aur wah samundar mein gir gaya. Woh aur unke saathi safalta ke saath parashut dwara aag lage hue hawaijahaj se nikal gaye, apne raft ko fulaya, aur use theen dino tak pakde rahe.

Teesre din mein unhonne ek bachane waale jahaaz ko dekha. Wah unhe vyathith karke chala gaya. Agle din mein phir se unke paas se nikla. Weh udaas hone lage kyonki unhone ehsaas kiya bachane waali jahaaz ka us ilaake me aakhri din tha.

Phir Pavitra Aatma ne mere dost ko batlaya: “Tumhare paas purohiti hai. Bachaanewaala ko aagya karo ki aapko le jaye.”

Usne waisa kiya jaise wah prerith hua tha: “Ishu Maseeh ke naam se aur purohiti shakti dwara, palat kar hume lene ao.”

Minaton mein jahaz unke paas tha, unko deck par jaane ki madad karte hue. Ek vishwaaasi aur laayak purohiti adhikaari, ek kathor kasht ke samay par, apne purohiti ka istemaal kar ke, apni jeevan ko ashirvaad kiya aur dusre ke jeevan ko bhi.

Humko faesla karna hai, yaha aur abhi, ki hamein apni zarooratmand ki samay par, sewa ke samay par, aur ashirvaad ki samay par tayyaar rahna chahiye.

Ab jab hum is maha purohiti ke sabha ke anth me aa pahuche hai, mai aapse kahata hoon “par tum ek chunna hua vansh, aur raajye-purohiti” (1 Peter 2:9). Hum is divye sabaashi ke yogya rahe, mai prathna karta hoon, Ishu Masih, humare Udhaarkarta ke naam se, amen.