2010-2019
Girjaghar Auditing Vibhaag Suchna, 2015
April 2016


Girjaghar Auditing Vibhaag Suchna, 2015

Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din ke Santon ke Pratham Adhyakshta ke Liye

Priye Bhaaiyo, Jaise praktikaran dwara nirdeshit kiya gaya hai Doctrine aur Covenants ke bhaag 120 mein, Daswa Hissa ka Batware ka Parishad—jismein Pratham Adhyakshta, Barah Devduton ka Parishad, aur Bishopric ki Adhyakshta shaamil hai—Girjaghar ke dhan ke kharch ka adhikaar deta hai. Girjaghar vibhaag dhan ka kharch swikriti di hui bajatein, nitiyon aur kaaryevidhiyon ke anusaar hota hai.

Girjaghar Auditing Vibhaag, jismein pramaanit peshewar aur woh Girjaghar ke anye vibhaagon se swatantra shaamil hai, ke paas zimmedaari hai audit karne ka taaki woh paryaapt jaankaari de sake praapt yogdaan, kiye gaye kharch, aur Girjaghar sampatiyon ke suraksha par.

Jo audit hua, uspar adhaarit Girjaghar Auditing Vibhaag ka yeh vichaar hai ki, sabhi saamaanon ko lekar, praapt hue yogdaan, kiye gaye kharch, aur Girjaghar sampattiyaan 2015 varsh ke darj aur istemaal kiye gaye hai niyamit Girjaghar bajaton, nitiyon, aur kaaryevidhiyon ke anusaar. Girjaghar apne sadasyon ko sikhlaaye gaye riwaaj par chalta hai bajat mein ji kar, karza se bach kar, aur zaroorat ke samay ke liye bachat karke.

Shriddha purwak pesh kiya gaya,

Girjaghar Auditing Vibhaag

Kevin R. Jergensen

Prabandh Nirdeshak