2010-2019
Parivaarik Vichaarsabha
April 2016


Parivaarik Vichaarsabha

Jab maata-pitah tayaar ho aur bacche sun rahe ho aur vichar vimarsh me bhaag le rahe ho, tho parivaarik vichaarsabha sach me kaam karti hai!

Mere bhaaiyon aur bahano, maata-pitah hone ki ninda yah hai ki humare bacche bade hone par hum is par acche ho jaate hain. Aaj shaam mai aap se woh baatna chahata hoon jo meri asha hai mai samajh sakta jab Barbara aur maine apne baccho ki parvarish shuru ki.

Mere devdut ke dekhrek ke daoraan, maine humesha Girja vichaarsabha ke mahatva par zor diya hai jisme, mission, ward, aur sahayak vichaarsabha shamil hai.

Mera vishwaas hai ke acche antim parinaam paane ke liye vichaarsabha sabse upyogi hai. Iske elawa, mai jaanta hoon ki vichaarsabha Prabhu ka raasta hai aur Unhone pure jaagriti ki rachna swargye vichaarsabha dwara ki, jaise pavitra dharamshaastra me likha hai. 1

Lekin, ab tak, maine maha sabha me sabhi vichaarsabha se buniyaadi aur pramukh—aur shaayad sabse mahatva—Vishay par baate nahi ki: parivaar vichaarsabha.

Parivaar vichaarsabha ki humesha zaroorat hai. Woh, asal me, nirantar hai. Maranshil jeev se purv, hum ek parivaar vichaarsabha ke bhaag the, jab hum apne swargye maata-pitah ke saath unke aatmik aulaad ki tarah jeewan bita rahe the.

Ek parivaar vichaarsabha, jab pyaar aur Maseeh ke gun dwara sanchalan kiya jaata hai, modern technology ke asar ka jawaab dega jo hume ek dusre ke saath waqt bitaane se vyakul karta hai aur burai ko humare ghar tak laata hai.

Kripya yaad rakhe ki parivaar vichaarsabha, parivaar gharelu shaba jo somwaar ko kiya jaata hai usse alag hai. Gharelu sabha ka dhyaan susmachaar shikshan aur parivaar gathividhi par hota hai. Dusri or, parivaar vichaarsabha, saptah ke kisi bhi din kiya ja sakta hai, aur yeh khaaskar wah sabha hai jahaa maata-pitah sunte hai—ek dusre ko aur apne baccho ko.

Mera vishwaas hai ki chaar tarah ki parivaar vichaarsabha hoti hai:

Pahala, ek maha sabha jisme pura parivaar shaamil hota hai.

Dusra, ek prabandhak parivaar vichaarsabha jisme maata aur pitah shaamil hote hain.

Teesra, ek sankuchit parivaar vichaarsabha jisme maata-pitah aur ek bacha shaamil hota hai.

Chawtha, vyaktigat parivaar vichaarsabha jisme mata yah pitah aur ek baccha hota hai.

In sabhi parivaar vichaarsabha paristhiti mei, electronic cheezo ko band kar deni chahiye taaki sab ek dusre ko dekh aur sun sake. Parivaar vichaarsabha aur anye uchit samay, aap shaayad ek tokri rakhna chaahe jisme sabhi apne electronic cheezo ko rakh sake— Maata aur Pitah bhi— apne phone, tablet, tatha MP3 player is kathori me daal denge. Uske baad, weh ek dusre se vichaar vimarsh kar sakte hai bina Facebook, text, Instagram, Snapchat, yah email alerts se behekne se.

Mai sanchipt me aapse baatna chahata hoon ke har ek parivaar vichaarsabha kaise kaam kar sakta hai.

Pahala, pura parivaar vichaarsabha jisme parivaar ke sabhi sadasye shaamil hai.

Girja ka patrika jiska mukhprisht Our Familyhai prakhat karta hai, “Vichaarsabha parivaar ke musibato par vichaar vimarsh karne ke liye ikattha ho sakta hai, aamdani yojna ke liye, anya yojna ke liye, [ek dusre] ke sahare aur taaqat liye, aur ek dusre aur parivaar prarthna ke liye.” 2

Is vichaarsabha ko pahale se niyukt kiye gaye samay par milna chahiye aur yeh anye parivaar vichaarsabha se aupchaarik hai.

Ise prathna dwara shuru karna chahiye, yah woh ek shuru ki gayi vaarthalaap ka prasaar ho sakta hai jo kisi aur stithi par shuru kiya gaya ho. Kripya dhyaan de ki parivaar vichaarsabha ka sabhi samay aupchaarik shuruwaat aur anth hona zaroori nahi hai.

Jab maata-pitah tayaar ho aur bacche sun rahe ho aur vichar vimarsh me bhaag le rahe ho, tho parivaarik vichaarsabha sach me kaam karti hai!

Chahe humari parivaarik stithi kuch bhi ho, yeh zaroori hai ki hum har parivaar ke sadasye ki anokhi sthithi ko samjhe. Bhale hi hum ek dusre ke DNA baat rahe hai, kuch aisi stithi payda ho sakti hai jo hume ek dusre se bahut hi alag bana deti hai jisme parivaar vichaarsabha ki momtha aur sahiyog ki zaroorat hai.

Udhaaran ke rup me, duniya bhar ki baath chit aur pyaar baatna koi vedic samasya ka hal nahi nikaal sakta hai, yah parivaar ke ek yah zyada sadasye ki bhavnapurna mushkil ka hal nahi nikal sakta. Aise samay par parivaar vichaarsabha ekta, wafadari, aur pyaare sahaytha ki jagah ban jaati hai jab baahar ki madad hal dhund rahi ho.

Bhaai-bahan, khaas kar bade, chote baccho ke liye updeshak ban sakte hain agar maata-pitah parivaar vichaarsabha me dukh aur musibath ke samay unki madad maange.

Is tarah, ek parivaar ward ki tarah hota hai. Jab bishop apne ward vichaarsabha sadasyon ko shaamil karte hain, wah bahut kuch haasil kar sakta hai jo bina unke madad ke nahi ho paata. Isi tarah, maata-pitah ko parivaar ke har sadasye ko shaamil karna chahiye jab weh musibato yah mushkilo ka saamna kar rahe ho. Is tarah, parivaar vichaarsabha ki taqat ka istamaal hota hai. Jab vichaarsabha ke sadasye mehsoos karte hain ki weh kisi nirnay ka bhaag hai, weh samarthak ban jaate hai aur kai acchi parinaam haasil hoti hai.

Sabhi parivaar vichaarsabha me do maata-pitah and bacche nahi hote. Aap ka parivaar vichaarsabha humare parivaar vichaarsabha jaha hum ne saath baccho ki parvarish ki usse alag dikh sakta hai. Aaj humare parivaar vichaarsabha me sirf Barbara aur mai hoon, jab tak hum visthrith parivaar vichaarsabha nahi karte jisme, humare baalig bacche, unke pati yah patni, aur kabhi kabhi humare nathi-pothe aur par nathi-pothe shaamil hote hain.

Jo kaware hain yah vidhyarthi hain aur ghar se dur rah rahe hain, divya vichaarsabha ka prathimaan istemaal karke apne doste yah roommate ke saath vichar vimarsh kar sakte hain.

Socho ki ek apartment ka maahol kaise badlega agar roommates ikattha ho kar saath prarthna, sunna, vichaar vimarsh aur aur yojna karna shuru kar denge.

Sabhi parivaar vichaarsabha ko apna sakte hai is divya swarup ko jise humare Pitah Parmeshwar ne pramanith kiya hai.

Jaise pahale darj kiya gaya hai, samay samay par visthrith parivaar vichaarsabha madadgaar ho sakti hai. Ek visthrith parivaar vichaarsabha me nana-nani, aja-aji aur baalig bacche jo ghar par nahi rahate hai ho sakte hain. Agar nana-nani, aja-aji aur baalig bacche ghar se dur rahate hai, tho weh parivaar vichaarsabha me telephone, skype, yah FaceTime dwara bhaag le sakte hain.

Aap shaayad maha parivaaar vichaarsabha Raviwaar ko rakhna ki soche, jo saptah ka pahela din hai; parivaar beete sapteh ka parchan kar sakte hain aur naye sapteh ki yojna. Vastav me yeh shaayad tumhare parivaar ki zaroorat hai Raviwaar ko anandith anubhav banane ke liye.

Dusri tarah ka parivaar vichaarsabha ek prabandhak parivaar vichaarsabha jisme sirf maata-pitah shaamil hain. Saath me is samay, maata-pitah har bacche ki shaaririk, maansik, aur aatmik zaroorato aur har ek ki pragati par vichaar vimarsh kar sakte hai.

Ek prabandhak parivaar vichaarsabha accha mauka hai ek pati aur patni ko ek dusre se apne rishte ke baare me baath karne ke liye. Jab Elder Harold B. Lee ne humare bandhana ko pradarsith kiya tha, unhone ek vidhi sikhlaya tha jo mai sochtha hoon sabhi shaadi shuda log madadgaar payenge. Usne kaha, “Kabhi haath pakad kar, ghutne tek kar prarthna kiye bina sona mat. Aisi prathnaye Pitah Parmeshwar ko amantrith karti hai Aatma ke taqat dwara humse salah karne me.”

Teesre tarah ka parivaar vichaarsabha haiek sankuchhit parivaar vichaarsabha hai. Yaha, dono mata-pitah har ek bacche ke saath aupcharik aur unaupcharik taur se samay bita sakte hain. Yeh vichaar vimarsh karne ka mauka hai pragathi ke nirnay un cheezo ke baare me jo wah karega yah nahi karega bhavishye me. Jab aise nirnay banaye jaate hain, weh inhe darj karna chahenge bhavisya me udhaaran ke liye. Agar aap ka beta yah beti aap ko pakka sanchalak samjhengi, yeh vichaarsabha bhavisya ke maksad aur lakshya ko kayam karegi. Yeh wah samay hai jab hum dhyaan se unke musibaton aur chinta ko sune jo bacche ke upar beetha yah beeth raha ho jaise, athmavishwaas ki kami, durupyog, darana dhamkana yah darr.

Chauthe tarah ka parivaar vichaarsabha hai vyaktigat parivaarik vichaarsabha jisme ek mata yah pitah aur ek bacha hoth hai. Is tarah ka parivaar vichaarsabha anya taur par ho jaata hai. Namune ke taur pe, mata-pitah aur baccha unaupcharik mauko ka fayda utha sakte hai jab weh gaadi me sayr kar rahe ho yah ghar ke aas paas ghoom rahe ho. Mata yah pitah ka ek baccche ke saath bahar jaana ek khaas aatmik aur maansik bandhan payda karta hai. Inhe aage se Calendar par likh lo, taki bacche Maata yah Pitah ke saath is khaas mauke ka intazaar kar sake.

Ab, bhaiyon aur bahano, ek aisa samay tha jab humari ghar ki chaar diwaari bahar ke prabhav aur athikraman ke khilaaf humari sharan thi. Hum darwaaze, khidkiyon ko bandh kiya; humne get band kiye; aur bahar ki duniya se apne chote se sharan me mehfooz, aur surakshit mehsoos karte the.

Woh din ab beeth chuke hain. Humari ghar ke pakke diwaar, ghera, darvaze, Internet, Wi-Fi aur mobile phone, networks ke humle nahi taal sakti hai. Wah humare ghar me ek button dabane se akramann kar sakti hai.

Saubhagya se, Prabhu ne is akramann ka samna karne ke liye ek raasta nikaala hai, jo hum eek dusre ke saath waqt bithaane se roktha hai. Unhone hume aisa vichaarsabha sanyog diya hai jisse hum apne rishte ko taqat, suraksha aur seechne se banaye rak sakte hain.

Baccho ko maata-pitah ki adhik zaroorat hai jo unhe sunne ki iccha rakhte hai, aur parivaar vichaarsabha waqt pradhaan kar sakta hai, jaha parivaar ke sadasye ek dusre ko samajh aur ek dusre se pyaar kar sake.

Alma ne sikhlaya, “Apne sabhi kaam ke liye Prabhu se raye lo, aur wah tumhari bhalai ke liye tumhara nirdeshan karega.”3 Parivaar vichaarsabha me prathna dwara Prabhu ko aamanthrith karna humare rishtey ko ek duje ke prathi mazboot karega. Hum Pitah Parmeshwar aur Udhaarkarta ke madad dwara shaant, samajhdaar, madadgaar, chamashil aur anukul ban sakte hain. Unke madad dwara hum apne ghar ko is dharti par thoda sa swarg bana sakte hain.

Ek parivaar vichaarsabha, jab swarg ke vichaarsabha aur Masih ke pyaar dwara sanchalan kiya jata hai, aur Prabhu ke aatma dwara marg darshan kiya jata hai, humare parivaar ko vyakultha se bachaega jo humare keemthi samay ko churatha hai, aur wah humari duniya ke burai se raksha karega.

Prathna ke saath, ek parivaar vichaarsabha, Udhaarkarta ko amanthrith karega, jaise unhone vaada kiya hai: “Kyonki jaha do yah theen mere naam par ikatha hote hain, waha mai unke beech me hotha hoon.”4 Prabhu ke Aatma ko parivaar vichaarsabha me amanthrith karne se nirupan ashis milti hai.

Anth me, kripya yaad rakhe ki parivaar vichaarsabha humesha karne se hum parivaar samasyaon ko jald jaan jayenge aur use turanth nikaal fekenge; wah har parivaar sadasye ko ek zaroori aur yogya hone ka ahesaas dilayegi; aur wah humare ghar ki chaar diwari mei hume aur kaabil aur khus hone me madad karegi. Humare Pitah Parmeshwar humare parivaaro ko ashis de jab hum ek dusre se vichaar vimarsh kare main vinamratha se prathna kartha hoon Prabhu, Ishu Maseeh ke naam se, amen.