2010-2019
Jaha Do Ya Teen Ikattha ho
April 2016


Jaha Do Ya Teen Ikattha ho

Agar tum Aatma se sunnoge, tum apne hriday mein achcha mahesoos karoge, tumhara vishwaas badhega, aur tumhare Prabhu ki prem karne ki chamta badhegi.

Mere pyare bhaaiyon aur bahanon, main tumhe Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Santon ka 186th Vaarshik Maha Sammelan mein swaagat karta hoon. Main tumhare saath hone mein khush hoon, aur tumhara haardik swaagat karta hoon.

Mai abhaari hoon ki tum sammelan mein aaye ho swarg se prerna mahesoos karne aur humare Swargye Pita aur Prabhu ke kareeb jaane ke liye.

Is sabha mein ikattha hai, jo duniya bhar mein dikhaai de raha hai, hain Ishu Maseeh ke milyanion chelein jinhone humesha Use yaad aur Uske sewa karne ke liye vaada kiya hai. Kyunki naye vigyaan, jo aschariye hain, se hum mahesoos kartey hain ki sabhi is sabha ko ek saath mein bhent kar rahein hain. Hum miltein jaese ki hum sab ek saath ek bade se hall mein hain.

Parantu humare saath ikattha hone se ziyada zaroori hai ki kis ke naam se hum kar rahein hain. Prabhu ne vaada kiya hai ki bhale hi aaj dharti par Uske chelon ka bhaari nambar hai, Wah hum mein se har ek ke kareeb hai. Usne 1829 mein Apne chote dal ke chelon se kaha tha, “Suno, suno, main tumse kahata hoo, … jaha do ya teen mere naam se ikattha honge, … dekho, waha main unke beech mein rahunga—aur main tumhare beech mein bhi hoon” (D&C 6:32).

Hum ab ek ya do se ziyada hain, aur is sammelan mein Uske kai chelein ikattha hue hain, aur jaesa vaada kiya gaya hai, Prabhu humare beech hai. Kyunki Wah punaharjiwit hua aur bhakti kiya hai, Wah shaarirk taur se sabhi sthaan par nahi hai jaha Sant ikattha hue hain. Parantu, Aatma ki shakti se, hum yah mahesoos kartein hain ki Wah yaha aaj humare saath hai.

Kaha aur kab hum Uddhaarkarta ko nazdeek mahesoos kartein hain hum par nirbhar hota hai. Usne yah shikshan diya hai:

“Aur phir, main tumse kahata hoon ki, mere mitron, main tumse is kahawat ko batlata hoon taaki tum apne hriday mein socho, is aagya ke saath jo main tumhe deta hoon, ki tum mujhe pukaaro jab main nazdeek hoon—

“Mere kareeb aao aur main tumhare kareeb aunga; mujhe saaodhaani se dhoondho aur tum mujhe dhoondh sakoge; mango, aur tumhe diya jayega; khatkhataao, aur yah tumhare liye khola jayega” (D&C 88:62–63).

Main kamse kam aaj do sunne waale logon ko jaanta hoon jo us ashirwaad ko apne pure hriday se chahatein hain. Weh is Sammelan mein Prabhu ke kareeb jana chahatein hain. Patra mein unhone mere paas likha, jo dono mere daftar mein ek hi safta mein aaya—ek hi tarah ka madad chahatey hue.

Dono Girjaghar mein pariwartit hue hain aur pahale hi saaf taur se Pita Parmeshwar aur Uske Putra, Ishu Maseeh, duniya ke Uddhaarkata ke prem ka gawahi ko praapt kar chukein hain. Unhein pata hai ki Bhavishyevakta Joseph Smith ne Girjaghar ko Parmeshwar ke sidhe pratikaran se sangathit kiya hai aur pavitra purohiti ke chaabi dobara sangathit hue the. Har ek ne gawahi ko mahesoos kiya ki aaj Girjaghar mein chaabiyan apne sthaan par hai. Weh apne sachche gawahi ko likh kar batlaatein hain.

Dono ko Prabhu ke liye prem se daya mahesoos hua aur Uske prem unke liye kam ho raha tha. Weh dono chahatey the ki, apne pura ikcha ke saath, main madad karun unko prem karne ke khushi aur ahesaas ko dobara paaye jo unka tha jab weh Parmeshwar ke raajye mein aaye the. Dono ne dar zaahir kiya ki Uddharkarta aur Uske Girjaghar ke pure prem ke ahesaas ko agar weh dobara nahi haasil karenge, musibatein aur chunoutiyan jo wej jhel rahein hain unke vishwaas ko khatam kar denge.

Weh apne chinta mein akele nahi hain, aur naki unka parikcha naya hai. Is maranshil dekhrekh ke dauraan, Uddhaarkarta ne hume beejh aur bone waale ki kahani batlaya hai. Beejh Parmeshwar ki vaani tha. Bone waala Prabhu tha. Beejh aur uski badhanti ka hona mitti ke stithi par nirbhar hota hai. Tumhe Uski vaani yaad hai:

“Aur jab usne boya, kuch beejh maarg ke kinaare gire aur pakchiyon ne aakar unhein chug liya:

“Kuch padthrile bhumi par gire, jaha unhein bahot mitti na mili aur gahari mitti na milne ke kaaran weh jald ugh aaye:

“Par surajh nikalne par weh jal gaye, aur jadh na pakadne se sukh gaye.

“Kuch jhaadiyon mein gire; aur jhaadiyon ne badh kar unhein daba dala:

“Par kuch achchie bhoomi par gire, aur fal laaye, koi sao guna, koi saat guna, koi tees guna.

“Jiske kaan ho wah sunn le” (Matthew 13:4–9).

Dobara, beejh Parmeshwar ki vaani hai. Mitti insaan ka hriday hai jo beejh praapt karta hai.

Hum sabhi ashchriye logon ke samaan hain jisne mere paas madad aur aaswaasan ke liye likha tha. Hum sab ke paas wah beejh hai, ya Parmeshwar ki vaani, humare andar kuch samay se hai. Kuch ke liye, bachpan tha jab humare maata-pitaaoun ne hume baptisma ke liye amantrit kiya tha aur jo adhikaar mein the ne banaya tha. Hum mein se dusre Parmeshwar ke niyukt hue chelon se sikhey the. Har ek ne mahesoos kiya ki beejh achcha tha, Parmeshwar ki badhati hui vaani ko humare andar mahesoos kiya tha, aur khushi anubhao kiya tha jab humare prem aur samjh badha tha.

Hum sabhi ke vishwaas ko parkha gaya tha mahaan ashirwaadon ko der mein de kar, un par gambheer hamla hua jo humare vishwaas ko todhna chahatey the, paap mein bahakna chahatey the, aur khudgarzi jo humare sabse bade dhaarmik ahesaas ko taeyaar karta hai aur unhe badhaata hai ko pighlana chahate thea.

Jo khushi ke gum hone par udaas hotein hain unke paas pahale tha waalein hi ashirwaad praapt kiye hain. Kuch apne aap mein vishwaas ko marte hue nahi dekhtein hin. Shaaitaan chalaakh hai. Wah unhein batlata hai jo udaas hai ki jo khushi unhone ek baar chaha tha unka-vahan hai.

Aaj mera Sandesh hum sab ke liye hai ki agle kuch dinon mein hume humare hridayon ko sahi dekhne aur bheejh ko praapt karne aur poshan karne ko chunne ka mahaan aosar praapt hoga. Beejh Parmeshwar ki vaani hai, aur yah hum sab ko praapt hoga jo sammelan ko sunnege, dekheinge, aur padhenge. Sangeet, bhaashanein, gawahiyon Parmeshwar ke sewakon dwara taeyaar kiya gaya hai jinhone Pavitra Aatma se khaas kar is taeyaari ke liye maarg ko maanga. Unhone lambie aur ziyada vinamrata se prarthna kiya hai jab is sammelan ka samay nazdeek aaya hai.

Unhone prarthna kiya hai tumhare Shakti ko badhaane ke liye taaki wah chunaao karein jo Parmeshwar ki sachche vaani ko tumhare hriday mein aur bhi achchie tarah se samjhae aur badhe. Agar tum Aatma se sunnoge, tum apne hriday mein achcha mahesoos karoge, tumhara vishwaas badhega, aur tumhara Prabhu ke prem karne ki chamta badhegi.

Tumhare prarthna karne ki chunaao ka mahatva sammelan sabhaon ke anubho ko badhaayega aur aanewaale dinon aur mahinon mein jo ayenge.

Tum me se kai ne pahale hi shuruwaat kar diya hai Is sabha ke shuruwaat mein, tumne prarthna ko sunne se ziyada, tumne apne vishwaas ko maanga hai ki hum Pavitra Aatma ke praapt hue ashirwaadein se khush honge. Jab tumne Ishu Maseeh ke naam se shaanti se maanga hai, tum Uske nazdeek gaye ho. Yah Uska sammelan hai. Sirf Pavitra Aatma hume wah ashirwaad dega jo hume chahiye. Humare liye Uska prem mein, Usne vaada kiya hai ki hum wah mahesoos kar saktein hain:

“Jo kuch bhi weh batlaenge jab Pavitra Aatma dwara hoga dharamshaastra hoga, Prabhu ka ikcha hoga, Prabhu ka mann hoga, Prabhu ka vaani hoga, Prabhu ki awaaz hoga, aur Mukti ke liye Parmeshwar ki Shakti hoga.

“Dekho, tumhare liye yah Prabhu ka vaada hai, Are mere sewakon.

“Isliye, achche insaan bano, aur daro mat, ki main Prabhu tumhare saath hoon, aur tumhare saath rahunga; aur tum meri lekh bayaan karoge, Ishu Maseeh bhi, ki Main jiwit Parmeshwar ka Putra hoon, ki Main tha, ki main hoon, aur Main hi aaunga” (D&C 68:4–6).

Tum prarthna kar sakte ho aur har samay apne vishwaas ko Parmeshwar ke ek manch par aaye hue sewak par daal saktey ho ki Doctrine aur Covenants ke bhaag 50 mein vaada kiya hua Prabhu ki vaani pura hoga:

“Isliye main tumse kahata hoon, wah jise main ne niyukt kiya hai aur sachchaai ki vaani sikhlaane ke liye Dayawaan se bheja gaya hai, sachchaai ki Aatma se, wah sachchaai ki Aatma ya kisi aur tarike se sikhlata hai?

“Aur agar koi aur tarike se hai to Parmeshwar ka nahi hai.

“Aur dobara, wah jo sachchi se vaani praapt karta hai, kya wah sachchaai ki Aatma ya kisi aur tarike se praapt karta hai?

“Aur agar koi aur tarike se hai to Parmeshwar ka nahi hai.

Isliye, kyun ayesa hai ki tum samajh aur jaan nahi pate, ki wah jo sachchaai ki Aatma se vaani praapt karta hai waesa hai jaese sachchaai ki Aatma ne sikhlaya hai?

“Isliye, wah jo sikhlata hai aur wah jo praapt karta hai, ek dusre ko samajhtey hain, aur dono ko badhanti milta hai aur saath khushi manate hai” (D&C 50:17–22).

Tum prarthna kar saktey ho jabki gaayakmandali gaane waale hai. Gayakmandali ka nirdeshak, organ bajaane waala aur gaayakmandali ke sadesyon ne prarthna kiya hai aur hriday aur vishwaas se prarthna kiya hai taaki sangeet aur vaani hridayon ko shaant kare aur unke Shakti ko badhaaye dusron mein vishwaas jalane ke liye. Weh Prabhu ke liye karenge jaese ki weh Uske saamne hai, jaantey hue ki humare Swargy Pita unhein suntein hain usi tarah jaese Wah unke veyaktigat prarthnaaon ko suntein hain. Unhone saath mein prem se kiya hai Emma Smith ko Uddhaarkarta dwara diye gaye vaade ko sachchaa karne ke liye: “Ki mera aatma hriday ke sangeet se khush hota hai; ha, sachche ka sangeet mere liye ek prarthna hai, aur uska jawaab unke siron par ashirwaad ki tarah milega” (D&C 25:12).

Agar tum sirf sunoge nahi parantu jab weh ga rahe hai prarthna karoge, tumhara prarthna aur unke prarthna ja jawaab milega tumhare sir par aur unko bhi ashirwaad ki tarah milega. Tum Uddhaarkarta ke prem aur adhikaar ko ashirwaad ki tarah mahesoos karoge. Sabhi jo us get mein shaamil hotein hain Uske liye prem ko badhtey mahesoos karenge.

Tum shaayad prarthna karne ko chunoge jabki bhaashankarta apne Sandesh ke ant tak pahunchta hai. Ladka ya ladki Pita se hriday mein hi prarthna kar rahe honge ki Pavitra Aatma unhein gawahi ki vaani ko de jo sunne waalon ke hriday, ashaoun, aur Uddhaarkarta ko humesha yaada karne ki aur Uske diye hue aagyaoun ko pura karne ko badhaaye.

Woh gawahi sandesh ka dohrana nahi hai. Wah kuch sachchaai ko batlata hai jise Aatma unke apne hriday mein saath rahta hai jo madad ke liye, divye maarg, aur Maseeh ke sachhe prem ko praapt karne ke liye prarthna kar rahein hain.

Sachcha gawahi bhaashankartaoun ko milta hai. Unke vaani kam honge, parantu weh vinamar sunne waalon ke hriday mein rahega jo sammelan mein Parmeshwar ke achche vaani ke pyaas mein aaye hain.

Main anubhao se jaanta hoon ki achche logon ke vishwas kya kar sakta hai Aatma ke vaani ko pura karne ke liye sabha ke samaapti par. Ek se ziyada, baar kisi ne mujh se mere gawahi ke baad kaha hai, “Kis tarah tumhe pata chala jo mujhe sunna zaroori tha?” Maine aschriye mein hona nahi sikha hai jab main vaani ko yaad se nahi kaha paata. Maine gawahi ke vaani ko kaha hai, parantu Prabhu waha par tha, us samay mujhe detey hue. Vaada ki Prabhu hume vaani ko dega usi samay jab hume uski zaroorat hogi khaaskar gawahi par laagu hota hai (dekhiye D&C 24:6). Is sammelan mein diye gaye gawahiyon ko dhyaan se sunno—tum Prabhu ke nazdeek mahesoos karoge.

Tum jaan sakte ho ki main us samay par pahunch gaya hoon jab main sachchaai ke gawahi ke saath batlaye hue Sandesh ko khatam karunga. Tumhare prarthnaein mujhe madad karega gawahi ke vaani ko dene mein jo shaayad kisi ki madad kare uske swaalon ke jawaabon ko praapt karne mein.

Main tumhe apni sahi gawahi deta hoon ki humare Swargy Pita, mahaan Elohim, hume prem karta aur sabhi ko, jaanta hai. Uske maarg mein, Uska Putra, Jehovah, Rachnakaar tha. Main gawahi deta hoon ki Nazareth ka Ishu Parmeshwar ka Putra ki tarah payeda hua tha. Usne bimaaron ko dheek kiya, ankhon ko roshni diya, aur mare hue ko jaan. Usne Swargy Pita ke sabhi maranshilta mein payeda hue bachchon ke paapon ki keemat chukaai hai. Usne sabhi ke liye maut ko khatam kiya hai jab Wah pratham Easter Raviwaar ko gufa mein zinda hua tha. Wah aaj bhi jiwit hai, ek Parmeshwar—punaharjiwit aur mahaan.

Yah hi sirf sachcha Girjaghar hai, aur Wah hi uska Mukhye Neev hai. Thomas S. Monson pure duniya ke liye Uska bhavishyevakta hai. Is sammelan ke bhavishyevaktaon aur devduton ko tum Prabhu par baatein kartey sunoge Weh Uske sewakein hain, Uske liye kaarye karne ka adhikar hai. Wah Apne chelon se pahale duniya mein aata hai Yah main jaanta hoon. Aur main Uske naam se gawahi deta hoon, Ishu Maseeh ke hi pavitra naam se, amen.