2010-2019
“Jo Koi Unhein Grahan Karta Hai, Mujhe Grahan Karta Hai”
April 2016


“Jo Koi Unhein Grahan Karta Hai, Mujhe Grahan Karta Hai”

Aaj bachchein apneaap ko parivaar ke tarikon ke kai alag alag aur mushkilon mein paatein hain. Hume un yuva tak pahuchna hai jo akela, piche chuta, ya daire se bahar mahesoos kar rahe ho.

Parmeshwar bachchon se prem kartein hain. Wah sabhi bachchon ko prem kartein hain. Uddhaarkarta ne kaha, “Balakon ko … mere paas aane do: kyuki swarg ka raajye ayeson hi ka hai.”1

Aaj bachchein apneaap ko parivaar ke tarikon ke kai alag alag aur mushkilon mein paatein hain.

Uddhaaran mein, aaj, United States mein 50 saalon pahale2se kai dugna bachchein sirf ek hi maata ya pita ke saath rahatein hain. Aur yaha kai parivaar hain jo Parmeshwar ke prem se kam jude hue hain aur Uske aagaayon ka paalan nahi kartein hain.

Is badhatey hue dhaarmik vidhroh mein, punaharsthaapit susamachaar stir ko banaye rakhega, sahi, Prabhu ke tarike ko.

“Bachchon ko hak hai ki shaadi shuda maata-pitaaoun ke dwara payeda ho sakein, aur maata aur pita ke poshan mein bade ho jo shaadi ke niyam ko puri vishwaas ke saath nibhaatein ho. …

“Pati aur patni humare paas zimmedari hai ki ek dusre se aur apne bachchon se prem kare aur dekhbhaal kare. …Maata-pitaaoun ki pavitra zimmedaari hai apne bachchon ko prem aur sachchaai se poshan karne ka, unke sharirik aur dhaarmik zarooraton ko pura karne ka, aur unko prem aur dusron ko sewa karne ko sikhlane ka [aur] Parmeshwar ke niyamon ko nibhaane ka.”3

Hum duniyabhar ke kai achche maata-pitaaoun ko jaatein hain, sabhi vishwaas ke, jo apne bachchon ki achchi tarah se dekhbhaal kartein hain. Hum Ishu Maseeh ka Girjahar Antim–din Santon ka ke parivaaron ke abhari hain jo Uddharkarta mein badlaao liye hue pita aur maata ki tarah dekhbhaal kar rahein hain, jo purohiti ke adhikaar dwara bandhe hue hain, aur jo apne parivaaron mein sikh rahein hain apne Swargy Pita aur Uske Putra, Ishu Maseeh ko prem aur vishwaas karna.

Yuvaaon ke Liye Guzaarish

Meri aaj guzaarish hai laakhon kaadodon bachchon, yuva, aur jawaan buzurgon se jo is mein se nahi aatein hain, jinhe achche ki kami hai, “sahi”parivaaron ki . Main srif yuva se nahi baatein kar raha hoon jinhone maut, talaak, ya apne maata-pitaaoun ke vishwaas ko dagmagaatey hue anubho kiya hai parantu duniya ke ird –gird ke das haazaaron jawaan purush aur jawaan mahilaaoun se jo susamachaar mein bandhe hue hai bina maata ya pita ke unke saath Girjaghar aane ke liye.4

Yeh jawaan Antin-din Santon mahaan vishwaas se Girjaghar aatein hain. Aane waale din mein weh apne khudh ke jiwan ke liye achcha parivaar banana ki asha kar rahi hai.5 Samay mein, weh humare parchaar kaarye, humare sachhe jawaan buzurgon ke zaroori bhaag ban jaatein hain, aur jo altar par khutnon par jhuktein hai apne khudh ke parivaaron ko shuruwaat karne ke liye.

Bhaaukta

Hum parivaaron ko Prabhu ke paat ko sikhlaatey raheinge, parantu ab millionon sadesyon ke saath, aur Girjaghar ke kai bachchon mein, hume aur bhi ziyada sochne aur dhoondhne ki zaroorat hai. Humare Girjaghar ke parampara aur bhaasha samay samay par anikha hai. Praathmik bachchein gaana nahi bandh kareinge “Families Can Be Together Forever,”6 parantu jab weh gaatein hain, “I’m so glad when daddy comes home ”7 ya “with father and mother leading the way,”8 sabhi bachchein apne khudh ke parivaar ke baare mein nahi gaayenge.

Meri mitra Bette ne apne girjaghar ke anubho ke bare men batlaya jab wah 10 saal kit hi. Usne kaha, “humari shikshak mandir ke shaadi ke paat ke bare mein batla rahi thi. Usne khaaskar mujhse pucha, ‘Bette, kya tumhare maata-pita mandir mein shaadi nahi kare the, na? [Meri shikshak aur kaksha ke dusre log] jawaab jaantey the.” Shikshak ka paat aage badha, aur Bette aur uske parivaar ka koi asha nahi tha. Bette ne kaha, “Yaha kai raat the jab main roi thi. Jab mujhe do saal baad hriday ka bimaari hua aur socha ki main mar jaunga, main dar gaya, sochtey hue ki main humesha akela rahunga.”

Mera mitra Leif girjaghar khudh hi jaata tha Ek baar, jab Prathmik mein tha, use ek chti bhaashan dene ko kaha gaya. Uske paas nato maa ya pita pita girjaghar mein uske bagal mein khada hone aur madad karne ke liye agar wah bhool jaata kya kahana hai, Leif dar jata. Apneaap ko sharminda hone se bachne ke liye, wah girjaghar se kai mahinon ak dur raha.

“Ishu ne ek chote baalak ko paas bulaya, aur unke beech mein khada kiya …

“Aur [kaha] jo koi mere naam se ek ayese baala ko graham karta hai wah mujhe grahan karta hai.”9

Vishwaasi Dilein aur Aatmik Uphaare

In bachchon aur yuva ko asaani se vishwaasi dil aur aatmik uphaar ki ashish praapt hui hai. Leif ne mujhe batlaya, “mujhe apne mann mein ek mul tarika jaanta tha ki Parmeshwar mere Pita hi aur Wah mujhe jaanta hai aur mujhe prem karta hai.”

Humare mitra Veronique ne kaha, “Jabki main susamachaar ke siddhaanton ko sikh raha tha aur Mormon ki Dharamshaastra ko, ayesa tha ki jaese mujhe pata tha jo main yaad kar raha tha parantu bhool gaya tha.”

Humare mitra Zeleika Brazil, Alegrete se aai hai. Bhale hi uska parivaar dhaarmik vchaar ka nahi hai, 12 ki umar mein, Zuleika Bible padhati aur sthaaniye girjaghar jaati, Parmeshwar ke baar mein aur ziyada dhoondhati. Apne maata-pita ke ijaazat ke bagaer, usne parchaarakoun ke saath shiksha liya, gawahi banaya, aur baptisma liya. Zuleika ne mujhe batlaya, “Faesle ke samay, mujhe Salt Lake Mandir ka chitra dikhlaya gaya tha aur bandhane ke siddhaanton ke baare mein batlaya gaya tha. Ussi samay, mujh mein ek din Prabhu ke ghar jaane ki aur anant parivaar banana ki ikcha hui thi.”

Bhale hi ek bachche ka dharti par ka stithi deek na ho, ek bachche ka DNA sahi hai kyuki uska sachcha pahachaan Parmeshwar ke putra ya putri ka hai.

Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Parmeshwar ke bachchon ki madad karo yah samjhne mein ki kya sachcha aur zaroori hai is jiwan ke liye. Uski madad karo sahi raasta chunne mein jo unhein surakhchit dhan se anant jiwan ki oar le jayega.”10 Dusron ke liye ziyada daya karo aur unki madad karo. In yuva ko humari samay aur gawahion ki zaroorat hai.

Brandon, jo haai skool mein tha ne Colorado mein Girjaghar mein shaamil hua, mujhe se un ke baar mein baatein kiya jo us tak dono baptisma ke pahale aur baad mein pahuche the. Usne kaha, “Main un parivaaron ke saat tha jo susamachaar mein jite the. Usne mujhe wah star dikhlaya jo maine apne khudh ke parivaar ke liye mahesoos kiya.”

Veronique, Netherlands mein payeda hua, humari putri, Kristen ke saat skool jaati thi, jab hum Germany mein rahatey the. Veronique achchie tarah se jaanti thi, “Shikshak jo Girjaghar ke sadesye the alag hi dikhtey the. Maine yah jaana ki Ishu Maseeh mein unke vishwaas aur Uske shikshan mein jeene se roshni milta hai.”

Mera mitra Max aant saal ki umar mein baptisma liya tha. Uska pita koi bhi girjaghar ka sadesye nahi tha, aur Max chahe girjaghar jaata ya nahi.

Ek jawaan ki tarah, kai mahinon tak nahi bhent karne ke baad, Max ko mahesoos hua ki use waapis girjaghar jana chahiye aur ek Raviwaar I subeh Waapis jaane ka faesla kiya. Parantu uske taye kiye hue saftaant jab wah girjaghar ke darwaaze par pahucha, wah dar gaya.

Waha, darwaaze par, naya bishop khada hua tha. Max use nahi jaanta tha, aur usne mahesoos kiya ki bishop Max ko nahi jaanta tha. Jab Max pahucha, bishop ka chahara khushi se bhar gaya, aur usne haat badhaya aur kaha, “Max, tumhe dekh kar bahot khush hoon!”

“Jab wah baatein kar raha tha, “Max ne kaha, “main khush hua aur maine jaana ki maine sahi kiya tha.”11

Kisi ka naam jaanna asarkarik ho sakta hai.

“Aur [Ishu] ayesa hua ki [usne] aagya di ki apne chote bachchon ko laaye. …

“Aur … usne [unke] chote bachchon ko ek ek kar ashish di, aur unke liye pita se prarthna kiya.

“Aur jab usne ayesa kar iya phir se roya.”12

Baptisma Na Liye hue Yuva

Maata-pitaaoun ki ijaazat se, kai yuva jo susamachaar ko prem kartey the biptisma ke liye kai saalon tak intazaar kartey.

Emily ke maata-pita talaak le chuke the jab wah choti thi, aur use baptisma ke liye aagya nahi tha jabtak ki wah 15 ki hui. Humari mitra Emily ek Jawaan Mahilaaoun ke neta ke baare mein achchie baatein karti hai jo “humesha [us] tak pahunchie aur gawahi banana mein madad kiya.”13

Colten aur Preston jawaan hai jo Utah mein rahatey hain. Unke maata-pita talaak le chukein hain, aur unke paas aagya nahi hai baptisma lene ka. Bhale hi weh prabhu bhoj ko baat nahi saktey, weh har safta roti laatey nahi Bhale hi weh mandir ke andar yuva ke saat ja kar baptism nahi kar saktey hain jab ward mandir jaatein hain, weh do bhaai bagal mein parivaar ithaas kendra mein parivaar ke naamon ko dhoondhatey hain. Sabse mahaan prabhaao humare yuva ko saat mein shaamil rahane ki hai dusre sachche yuva ki madad se.

Elder Joseph Ssengooba

Naye mitra ke uddhaaran ke saat khatam karta hoon, kuch haftey pahale kisi ko hum mile jab Zambia Lusaka Mission mein bhent kar rahe the.

Tasveer
Joseph Ssengooba jab ek chota ladka tha

Elder Joseph Sengooba Uganda se hai. Uske pita mar gaye the jab wah saath saal ka tha. Nao saal ki umar mein, apne uske maa aur rishteydaar ke saat uske dekhbhaal nahi kar paatey the, wah khudh par nirbhar tha. 12 ki umar mein, wah parchaarakhon se mila aur baptisma liya.

Joseph ne mujhe apne girjaghar ke pahale din ke bare mein batlaya: “Prabhubhoj ke baad, maine socha ki ghar jaane ka samay ho gaya, parantu parchaarakon ne mujhe Joshua Walusimbi se milaya. Joshua ne mujhe bataya ki wah mere mitra bannega, aur usne mujheChildren’s Songbookdiya taaki mujhe Praathmik mein khaali haat jaana na pade. Praathmik mein,Joshua ne apne bagal mein ek ziyada kursi ko rakha. Praathmik pradhaan ne mujhe aage bulaya aur sare prathmik ko mere liye gaane ko kaha “I Am a Child of God.’ Maine bahot hi khaas mahesoos kiya.”

Shaakha pradhaan Joshua ko Pierre Mungoza parivaar ke paas laya, aur wah agle chaar saalon ke liye uska ghar ban gaya.

Tasveer
EldersJoshua Walusimbi aur Joseph Ssengooba

Aath saal baad jab Elder Joseph Sengooba ne mission ki shuruwaat kiya, usko achamba hua ki uska sikhlane waala Elder Joshua Walusimbi tha, wah ladka jisne use Prathmik ke pahale hi din mujhe ghar jaesa mahesoos karaya tha. Aur uska mission pradhaan? Wah Pradhaan Leif Erickson tha, wah ladka jo Prathmik se dur rahata tha kyuki wah bhaashan dene se darta tha. Parmeshwar apne bachchon se prem kartein hain.

Tasveer
Elder Joseph Ssengooba aur President Leif Erickson

Bachche Daudte Aaye

Jab main aur Kathy kuch saalon pahale Africa mein the, humne Mubji-Mayi bhent kiya, Congo ka Democratic Republic. Kyuki chapel 2,000 sadesyon ke liye bhari nahi tha, hum darwaaze ke baahar miltey bade se pilaastic ke niche jiska baas ka khoota tha. Jab sabha shuru hota, hum darjanon bachchon ko hume dekhtey hue dekhtey, imaarat ke ird-gird lage fens par bahar se latke hue. Kathy ne dhire se kaha, “Neil, kya tum sochtey ho ki tum un bachchon ko andar aane ke liye amantirith karoge?” Main manch par Kendra Pradhaan Kalonji ke paas gaya aur use pucha ki kya weh un fans se bahar ke bachchon ko humare saat khelne ke liye amantirith kar saktey hain.

Tasveer
Elder Andersen Democratic Republic of the Congo mei
Tasveer
Bacche fence ke bahar
Tasveer
Baccho ko andar aane ke liye amanthrith kiya gaya

Mujhe aschariye hua, Pradhaan Kalonji ke nimantaran par, sirf bchche nahi aaye parantu daude aaye-50 se ziyada, shaayad 100-kuch fatte kapdon aur khaali paer ke saat parantu sabhi sundar muskuraahaton aur khushi se bhare chaharon ke saath.

Main is anubhao se bahot hi prabhaawit hua aur ise yuva tak pahuchne ki zaroorat ki chin ki tarah dekha jo akela, piche chut, ya fans se bahar mahesoos kartein hain. Hum unke bare mein sochein, unka swaagat karein, unko thaame, aur sabhi kuch karein unko Uddhaarkarta ke prem ko mahesoos karane ke liye. Ishu ne kaha, “Jo koi mere naam se ek ayese baalak ko graham karta hai … mujhe graham karta hai.”14 Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Matthew 19:14.

  2. Dekhiye “Family Structure,” Child Trends DataBank (Dec. 2015), appendix 1, panna 9, childtrends.org/databank.

  3. “Parivaar: Duniya ke Liye Aupchaarik Ghoshna,” Liahona, Nov. 2010, 129, paragraphs 7 aur 6.

  4. Mai vyaktigat taur se un daso hazaro sacchi matao ko dhanyavaad dena chahata hoon, unme se kai akele mata-pitah, jo himmat se apne baccho ko aatmik taur se taqatwar banana ki zimedaari lete hain. Humari dist Shelley jo Canada se hai ne apni maa ke bare mei yah kaha:

    “Pracharako ne mere mata-pitah ka darvaaza khatkhataya’mere payda hone se paanch saal pahale. Mere mata-pitah ne kuch sikhsa ko liya uske baad mere pitaji ko koi dilchaspi nahi thi. Meri maa sikhshan leti gayi aur unko baptisma lene ki iccha thi. Paanch saalo tak meri maa girja jaati rahi bina baptisma ke, phir mere payda hone ke theen mahine baad, usne apna baptisma liya.

    “Meri maa kabhi zyada bolthi nahim na hi unhone koi netagiri ka padh sambhala. Unki gawahi ek meethi, saral, atal gawahi hai, …aur wah har din apne vishwaas anusaar jeeti hai. Unki khamosh, sadharan udhaaran ne mujhe humesha Prabhu aur Girja ke kareeb rakha hai.”

  5. “Humare dost Randall ne mujhe batlaya: “Mujhe sikhlaya gaya aur mai jaantha tha ki mai swargye mata-pitah ka beta hoon, aur is asli pahechaan ko jaane par mujhe aasha mili ki mujhe apne mata-pitah ke chune hue raste par chalna zaroori nahi, jinse mai behat pyaar karta tha par jinki nakal nahi karna chahata tha. Mujhe vishwaas tha jo mujhe Primary, Sunday School, aur Young Men aur anya sikshak ne sikhlaya. Maine ward aur apne visthrith parivaaro ka udhaaran dekha tha, jo vishwaaskari, khusal parivaar the, aur mujhe Pitah Parmeshwar par vishwaas tha, yah jaante hue ki agar mai vishwaaskari rahu, Wah meri madad karega aise parivaar paane mei.”

  6. “Families Can Be Together Forever,” Children’s Songbook, 188.

  7. “Daddy’s Homecoming,” Children’s Songbook, 210.

  8. “Love Is Spoken Here,” Children’s Songbook, 190–91.

  9. Matthew 18:2, 5.

  10. Thomas S. Monson, “Learn of Me,” Liahona, Mar. 2016, 6.

  11. Dekhiye Max H. Molgard, Inviting the Spirit into Our Lives (1993), 99.

  12. 3 Nephi 17:11, 21–22.

  13. Emily, ke maata-pitah bhale hi girja me active nahi the, wah apne nana-nani/aja-aji ke Vishay me pyaar se baate karti, apne chacha aur chichi, aur anya log jinhone unke mata-pitah ka “farz nibhaya.” Michigan me ek Jawaan Ladkio ke leader ke Vishay me baath karte hue, usne kaha: “Unki bacche bade ho gaye the, aur unhone hare k jawaan ladki ko apni beti ki tarah sewa ki. … Unki muskaan tumhare dil ko kathin dino me bhi chu leti thi. …Maine thaan liya hai ki mai unke udhaaran ka istamaal karungi aur Bahan Molnar ki tarah jo bacche ‘alag’, ‘chute hue’ yah ‘shamil nahi mehsoos karte’ unko sahara dungi.’”

  14. Matthew 18:5.