2010-2019
“Mere Piche, Chalo” Isaai Dharm Sambandhi ki Prem aur Sewa ke dwara
October 2016


“Mere Piche, Chalo” Isaai Dharm Sambandhi ki Prem aur Sewa ke dwara

Jaise ki Uddhaarkarta ke antim-din chelon ki tarah, hum Uske paas Parmeshwar ke bachchon se prem aur sewa kar ke jaatein hain

Nobal vijeta Elie Wiesel asptaal mein open-hart ke oparation se ubhar raha tha jab uske paanch-saal umar ke naati ne use bhent kiya. Jab us chote ladke ne apne nana ke ankhon mein dekha, usne uski dard ko dekha. “Nanaji, “usne pucha, “agar main tumhe ziyada prem karta, kya tumhe [kam dard] hota?”1 Aaj main humare liye wahi sawal humse puchta hoon: “Agar hum Uddhaarkarta se ziyada prem kartein, kya hum kam jheltein?”

Jab Uddhaarkarta ne Apne chelon ko Uske piche chalne ke liye kaha, weh Moses ke niyam par chal rahe the, jismen “aankh ke badle ankh, aur daanth ke badle daanth” lete the, 2 parantu Uddhaarkarta Apne Praeschit se niyam ko pura karne ke liye aya. Usne naye siddhaant ko sikhlaya: “Apne shatrouon se prem karo, jo tumhe sharaap de use aashish do, jo tumse baer kare uske liye bhalaai karo, aur unke liye prarthna karo jo dosh mein tumhare upuog kare aur tumhe sataaye.”3

Chelon aadmi ke tarike se jaanne ke liye ko sikhlaya gaya tha Uddhaarkarta ke pyaar aur dekhbaal karne ke liye chama, dayaluta aur karunaa ke saath daleelo ki jagah le. “Naya niyam” “ek dusre se prem”4 karna humesha asaan nah tha. Jab chelein paapion aur dusre sangaton ke logon ke saath mel-milaap karne ke liye chintith the, Uddhaarkarta ne shaanti se sikhlaya, “Ki tumne jo mere in chote se chote bhaaiyon mein se kisi ek ke saath kiya, wah mere hi saath kiya.”5 Ya, Mormon ki Dharamshaastra ke bhavishyevakta ne jaesa samjhaya hai ki, “Jab tum apne saathiyon ki sewa kartey ho, tum apne Parmeshwar ki sewa kartey ho.”6

Jaise ki Uddhaarkarta ke antim-din chelon ki tarah, hum Uske paas Parmeshwar ke bachchon se prem aur sewa kar ke jaatein hain. Jab hum yah kartein hain, hum takleefon, musibaton, aur sharirk kashton ko jheltein hain, parantu hum dhaarmikta mein kam jhelenge. Hum apne musibaton mein bhi khushi aur shaanti ko anubho karenge.

Humare ghar se hi Isaai dharm sambandhi ki tarah prem aur sewa ka shuruaat hota hai. Maata-pitaaoun, tumhe apne bachchon aur yuva ke liye priye shiskshakon aur prachaarakhon ki niyukti mili hai. Weh tumhare jaachkarta hain. Tumhari zimmedari hai unko badalne ki madad karne ka. Sabhi mein, hum sabhi badalne ki koshish kar rahe hain- jiska matlab hai Uddhaarkarta ke prem ko pana.

Jab hum Ishu Maseeh ki tarah jiyenge, Uska prem hume humare maransheel jeewan mein ek dusre ki madad karne ke liye prerit karta hai. Hum akele nahi kar saktein hain.7 Tumne mujhe Quaker kahawaat ko pahale bhi kahatey hue suna hai: “Tum mujhe upar uthaao, main tumhe upar uthaaonga, aur hum saath mein upar anantta ki or chalenge.”8 Chelon ki tarah, humne yah karne ki shuruaat kiya jab hum baptisma liye, apne ikcha ko dikhlatey hue “ki tum ek dusre ke bhojh ko utaahane mein madad karna chahatey ho, taaki weh halke ho jaye.”9

“Ek dusre ko raajye ki siddhaant ko shik[laana] ”10 ek dusre se prem aur sewa ka tarika hai. Maata-pitaaoun aur nana-nanion, hum duniyadaari ke stithi par bahut chintith hai- ki skoolon mein sahi kaarye ko nahi sikhlaya ja raha hai. Parantu yaha bahut kuch hai jo hum kar saktein hain. Hum apne khudh ke parivaaron mein shikshan ke palon se faeda utah saktein hain- abhi. In aosaron ko khona mat. Jab tumhe susamachaar aur jiwan ke anubhaon ke bare mein batlaae ka aosar pradaan ho, sab kuch chodh kar apne bachchon aur natiyon ke saath baet kar aur batlaao.

Hume yah chinta nahi karna hai ki hum susamachaar ke sikhlaane waale peshewar shikshak nahi hain. Koi bhi sikhne ki kaksha ya kitaab humare khudh se siddhaanton ko sikhne, prarthna karne, dhoondhane, aur Pavitra Aatma se maargdarshan ko dhoondne ki madad ke barabar nahi hai. Aatma tumhe maarg dikhlaaega. Main tumhe vadakarta hoon: maata-pita banne ki niyukti mein sahi tarikon ko sikhlaane ki uphaar shaamil hai tumhare aur tumhare bachchon ke liye. Yaad rakho, hume sahi tarah se prabhaawit karne ke liye Parmeshwar ki shakti Uska prem hai. “Hum isliye prem kartein hain, ki usne hum se prem kiya.”11

Yuva, tum hare sabse laayak susamachaar shikshakein ho. Tum girjaghar sikhne ke liye aate ho taaki tum ghar ja kar apne parivaar, padosiyon, aur doston ko sikhlaao aur sewa karo. Daro mat. Vishwaas rakho yah gawahi dene ke liye jo tum jaantey ho ki sach hai. Socho ki kis tarah pure-samay ke prachaarak safal hotein hain kyunki weh ek vishwaasi ki tarah pavitra jiwan jetein hain- dusron ki sewa aur asirwaad dene ke liye apne samay aur gunon ka istamaal kartein hain aur gawahi detein hain. Jab tum apne susamachaar ke gawahi ko batlaao, tumhare vishwaas badhenge aur tumhare aatam-nirbharta badhenge!

Humare kuch Isaai dharm sambandhi sewa ka sabse bada prabhaao hai saath mein parivaarik dharamshaastra sikhna, parivaark prarthna, aur parivaarik salaaha sabhaaoun ko karna. Ek sao saalon se bhi ziyada se, Girjaghar ke netaaoun ne hume in cheezon ke liye samay nikaalne ki salaha diya tha har safta samay nahi mila. Parantu hum mein se kai abhi bhi ashirwaadon ko prapt nahi karein hain. Parivaar gharelu sabha Maata aur Pita se shaashan ka samay nahi hai. Yah humare parivaarik samay hai saral dhrmik cheezon aur anubhaoun ko baatne ka, taaki humare bachchon ko dekhbhaal karne aur baatne ko sikhne mein, saath maza karne mein, saath gawahi dene mein, aur saath bade hone aur aage badhane mein madad mile. Har safta jab hum parivaarik gharelu sabha karenge, ek dusre ke liye humare prem badhenge aur hum kam jhelenge.

Aao hum yeh yaad rakhein, Pavitra Aatma ki shakti ke dwara hum apne parivaaron ke liye sabse zaroori kaarye ko kartein hain. Jab kabhi bhi hum apne unchi awaaz mein kahatein hain, Aatma hume saathiyon aur parivaaron se dur ho jaatey hain. Jab hum prem se baatein kartein hain, Aatma humare saath rahata hai. Hume yah yaad rakhna hai ki humare bachche aur humare naati-poti humare prem ka tulna unke saath bitaaye hue bahkti ke samay se kartey hain. Sabse zaroori hai ki, dhiraj mat kho aur haar mat mano!

Dharamshaastra hume batlata hai ki jab Swarg ke Pita ke kuch aatma bachchon ne Uske yojna par chalne se inkaar kar diya tha, swarg mein sabhi roye.12 Kuch maata-pita bhi roten hain jinhone apne bachchon ko prem kiya aur sikhlaya jab unke bachche bade hone ke baad Prabhu ki yojna par chalne ko nahi chuntein hain. Maata-pita kya kar saktein hain? Hum kisi ke chunaao ko lene ke liye prarthna nahi kar saktein hain. Khoya hua bachche ke pita ko yaad karo, jisne apne putra ko“khudh ke paas [aane]” ka shanti se intazaar kiya tha jabki ussi samay usko dhoondh raha tha. Aur “jab wah abhi dur hi tha” woh uske paas daoda.13 Hume prarthna mein kab kahana hai aur kya kehna hai, kab nahi kahana hai, aur haan, kuch avsaron par, kab chup rehna hai. Yaad rakho, ki humare bachchon aur parivaaron ne apne maranshil jiwan se pahale hi Uddharkarta ke piche chalne ko tae kiya tha. Kabhikabhi unke khudh hi ke jiwanon ke anubhaoun ke kaaran unke pavitra ahesaas ko weh dobara mahesoos kartein hain. Isliye, Prabhu ko prem karna aur piche chalna unke khudh ka chunaao hona chahiye.

Yaha dura khaas tarika hai chelon ko Uddhaarkarta ke liye apne prem ko dikhlaane ka. Aaj main un sabhi ka izzat karta hoon jo Prabhu ki sewa dekh-rekh karne waale ki tarah kartein hain. Prabhu tumse bahut prem kartey hain! Tumhare chote se, gupt daan mein, tum Uske piche ho jisne vaada kiya hai, “Tumhare Pita jo gupt mein deta hai, wahi tumhe khule taur par purskaar dega.”14

Main apne padosi ke bare mein yaad karta hoon jis ki patni Alzheimar namak bimaari ko jhel rahi thi. Sabhi Raviwaar ko wah Girjaghar sabhaoun mein aane ke liye uski madad karta, uske baal banane, usko mek-up lagane, usko apne kaanon ki bali pahan kar taeyaar hone mein bhi. Yah sewa kartey hue, wah humare ward ke sabhi aadmi aur mahila ke liye uddhaaran tha—duniya ke liye, bhi. Ek din uski patni ne use kaha, “Main sirf apne pati ko ek baar fir dekhna chahati hoon aur uske saath rahana.”

Usne jawaab diya, “main tumhara pati hoon.”

Aur usne prem se jawaab diya, “Are, achcha hai!”

Main dekhbhaal karne ke bare mein batla nahi sakta hoon bina apne jiwan mein khaas dekhbhaal karne ke gyaan ke-Uddhaarkarta ka mere liye khaas chela hai- meri anant saathi , Mary. Usne dayabhare poshan aur prem mein apna sabhi shakti aur bal lagaya tha. Uske haathon ne Uski Uddhaarkarta ke, banaye rakhne waale ahesaas diya. Main uske bina yaha par nahi hota. Aur uske saath, mai ant tak reh paaunga aur uske saath anant jiwan mein bhi.

Agar tum akele jhel rahe ho, Main tumse guzaarish karta hoon ki Uddhaarkarta ko apne dekhbhaal karne do. Uske baahon mein jhuk jaao.15 Uska vaada swikaar karo. “Main tumhe bina sahanubhuti ke na chodunga: Main tumhare paas aata hoon.” Woh vaada karta hai. 16

Bhaaiyon aur bahanon, agar hum ne abhi yah puri trah se nahi kiya ho, hume Puraane Niyan ke tarikon se badal kar Naye Niyam ke tarikon par chalna chahiye. Hume bure ahesaas ko dur karna chahiye jo humesha prakritik manushye ka bhaag hai aur Maseeh ki dekh bhaal, prem, aur shaanti ko batlana chahiye.17

Agar “Parmeshwar ki mahima [aur sachchaaiyon] ki gyaan ko jaan liya hai ”18 aur “jiski wayewasta sansaar ki neev se sari maanov jaati ke liye taeyaar ki gayi thi,”19 “ek dusre ko haani pahuchaane ki nahi sochoge, lekin shaant se rahane. … Aur tum apne bachchon ko … nahi Parmeshwar ke wawasta ka ulanghan karne doge aur nahi ek dusre ke saath ladaai aur jhagda karne doge. … lekin tum unhein ek dusre se prem karne aur sewa karne ki shiksha doge.”20

Uddhaarkarta ke Jhelne se pahale, Usne Apne Devduton ko sikhlaya: “Main tumhe ek neyi aagya deta hoon, ki ek dusre se prem rakho: jaesa maine tumse prem rakha hai”21 aur “Agar tum mujhse prem kartey ho, mere aagyaoun ka paalan karo.”22

Main gawahi deta hoon ki Uddhaarkarta ka humare liye sachcha ahesaas Thorvaldsen ki murti Christus ke pasare huwe baahon mein dikhta hai. Woh Apna baah pasare, 23 hamein pukaarta hai, “Aao, mere piche ho lo.” Hum Uske piche chaltein hain ek dusre se prem aur sewa karke aur Uske aagyaaoun ka paalan karke.

Main apne khaas gawahi deta hoon ki Wah jiwit hai aur hume prem karta hai sachche prem ke saath. Yah Uska Girjaghar hai. Aaj is dharti par Thomas S. Monson Uska bhavishyevakta hai. Taaki humapne Swarg ke Pita aur Uske Putra ko aur ziyada prem karein, aur kam jhelein, yah mera prarthna hai. Ishu Maseeh ke naam se, amen.