2010-2019
Kitaab ki Or Dekho, Prabhu ki or Dekho
October 2016


Kitaab ki or Dekho, Prabhu ki or Dekho

Kya tum Mormon Dharamshaastra ko apne mul tatva, apne taaqat ke dhaarmik kendra ki jagah par apna sakte ho?

Mary Elizabeth Rollins

Mere mann mein, mai aapko is ubhadti peedhi ko is sammelan ko duniya mein kahi par dekhte ya sunte kalpana karta hoon. Mai aapse ek sachchi kahani batana chahata hoon, ek kahani jo ek uddharan aur ek paath bhi ho sakta hai. Yeh aapko dikha sakta hai kaise Prabhu ke kareeb jaaya jaa sakta hai aur mahaan shakti kaise paayi jaati hai behkaawa ko dur karne ke liye.

Yeh New York mein rehne waali, ek jawaan ladki ki kahani hai, jisne teen saal ki hone pehle apna pita kho diya tha jab uska naao ek bhaari taalaab mein doob gaya tha. Woh, uski maa, bada bhaai, aur choti bahan ek dusre state ke naye shahar mein apne mausi aur mausa ke saath rehne chale gaye. Parivaar ke wahan pahunchne ke kuch dinon baad, ek naye dharam ke prachaarak aur sadasye susamachaar ke Punahsthaapna ka sandesh dene unke shahar aaye. Unhonne ek vishisht kahani batayi ek devdut ek pracheen likhawat ko Joseph Smith naam ka ek jawaan ladka ko deta hai, woh likhawat jo usne Parmeshwar se shakti paa kar anuwaad kiya. Unmein se do darshak, Oliver Cowdery aur John Whitmer, ne un gude huwe pracheen lekh ke metal ke panno ko khud dekha tha, aur Whitmer ne kaha ki usne sone ke plate ko apne haathon mein bhi liya tha. Yeh lekh haal hi mein kitaab ke rup mein chaapa gaya tha, aur Bhaai Whitmer ne apne saath yeh pustak laaya tha. Is kitaab ka, vaastav mein, Mormon Dharamshaastra tha.

Jab 12-saal-ki Mary ne prachaarakon ko is pustak ke baare mein bolte suna, uske dil mein ek khaas ehsaas jaaga. Bhale hi Mormon Dharamshaastra mota tha kayi panno ka, Mary use padhna chahati thi. Jab Bhaai Whitmer chala gaya, usne is kitaab ki ek anmol copy Bhaai Isaac Morley ko di, jo ki Mary ke mausa ka ek dost tha aur is naye girja ka ek sthaaniye neta.

Mary ne baad mein likha: “Mai [Bhaai Morley] ke ghar gayi  … aur Kitaab ko dekhne ki maang ki; [usne] use mere haath mein rakha, [aur] jab maine use dekha, mujhe itni ichcha hui use padhne ki, ki mai khud ko rok na paayi is kitaab ko usse maang kar ghar le jaane ki ijazat maangne ke liye.  … Usne kaha … maine to iska ek adhyaye bhi nahin padha ab tak, aur sirf kuch hi bhaaiyon ne abhi ise dekha hai, par maine itni shradha se niwedan karta hoon, usne ant mein kaha, ‘beti, agar tum is kitaab ko kal subha bhojan ke samay se pehle lauta dogi, tab tum le jaa sakti ho.’”

Tasveer
Mary Elizabeth Rollins padhti hui

Mary daudti ghar gayi aur kitaab ki or itna akarshit hui ki woh lagbhag raat bhar jag kar use padhti rahi. Dusri subha, jab usne pustak lautayi, Bhaai Morley ne kaha, “mujhe lagta hai tumne ismein bahut kuch nahin padha” aur “mai nahin vishwaas karta hoon tum mujhe iski ek bhi baat bata paaogi.” Mary sidhi khadi hui aur yaad karke Mormon Dharamshaastra ka pehle verse dohraaya. Phir usne bhavishyevakta Nephi ki kahani batayi. Mary ne baad mein likha, “Woh achambhe se mujhe dekhta raha, aur kaha, ‘beti, yeh kitaab ghar le jaa aur padhna khatm kar, mai intazaar kar sakta hoon.’”

Kuch samay baad, Mary ne kitaab padh liya tha aur apne shahar ki pehli vyakti thi ise pura padhne ki. Woh jaanti thi ki yeh sachcha hai aur Swarg ke Pita se aaya hai. Jab woh kitaab ki or dekhi, woh Prabhu ki or dekhi.

Ek mahina baad ek khaas darshak uske ghar aaya. Mary ne us din ke apne yaadgaar mulakaat par yeh likha: “Jab [Joseph Smith] ne mujhe dekha usne gaur se se dekha. … Kuch chano ke baad usne … mujhe ek mahaan ashirvaad diya, … aur uphaar mein woh kitaab diya, aur kaha ki woh Bhaai Morley ko ek dusra [copy] dega. … Hum sab ne mehsoos kiya ki woh Parmeshwar ka bhakt hai, kyunki woh ek shakti ke saath baat karta, jaise kisi adhikaar se.”

Yeh jawaan ladki, Mary Elizabeth Rollins, ne apne jiwan mein kayi chamatkaar dekhein aur hamesha apne Mormon Dharamshaastra ke gawahi ko yaad rakhi.1 Yeh kahani mere liye khaas hai kyunki woh meri chauthi-peedhi-ki-aaji thi. Mary ke uddharan se, aur mere jiwan ke kayi anubhavon se, maine seekha hai ki koi bahut chota nahin hota Mormon Dharamshaastra ke niji gawahi ko dhoondhne aur paane ke liye.

Tumhare Gawahi ka Mul Tatva

Mary ke kahani mein ek niji paath hai tumhare liye. Tum sab jawaan purush, jawaan mahilaa, aur bachcho ko bhi usi ke tarah ehsaas ho sakte hai. Jab tum Mormon Dharamshaastra padhoge aur uski sachchaai jaanne ke ichcha se prarthna karoge, tum bhi apne dil mein wahi bichaar paa sakte ho jo Mary ko mila. Tum yeh bhi paaoge ki jab tum khade hokar Mormon Dharamshaastra ki gawahi doge, tumhe wahi sachchaai ki aatma mehsoos hogi. Pavitra Aatma tumhare dil se baat karega. Tum isi sachchaai ki aatma ko mehsoos karoge jab tum auro ko apne Mormon Dharamshaastra ki gawahiyon ko dete sunoge. Yeh sab dhaarmik gawaah milkar Mormon Dharamshaastra ko tumhare gawahi ka mul tatva banaega.

Mujhe samajhane do. Bhavishyevakta Joseph Smith, jisne Mormon Dharamshaastra ka anuwaad kiya “Parmeshwar ke uphaar aur shakti ke dwara,” ne Mormon Dharamshaastra ko “dharti par kisi bhi pustak se sahi kaha, aur hamare dharam ka mul tatva.”2

1830 mein Mormon Dharamshaastra ke pehle chapne se, aaj 110 alag alag bhaashaaon mein 174 milyan copies se zyaada chap chuki hai, yeh dikhlate hua ki aaj bhi Mormon Dharamshaastra hamare dharam ka mul tatva hai. Par yeh aap sab ke liye kya arth rakhta hai?

Tasveer
Keystone(Mul tatva) ekdam beech mein hota hai

Architecture sambandhi bol mein ek keystone mul tatva hai ek arch darwaze ka. Yeh woh patti-ke-aakaar ka patthar hai jo beej aur sabse unche sthaan par hota hai ek arch mein. Yeh sabhi pattharon mein mahatvapurn hota hai kyunki woh us arch ko ikattha rakhta hai, use girne se bachata hai. Aur yahi woh banawat ka tatva hai jo yeh dekhta hai ki darwaza, ya niche ka maarg, se guzarna mumkin hai ya nahin.

Tasveer
Ek arch dwaar ka Keystone(mul tatva)

Susamachaar ke tarike se yeh Prabhu ka ek uphaar aur ashirvaad hai ki hamare dharam ka mul tatva Mormon Dharamshaastra ki tarah asli aur chuhne laayak hai aur ki tum use pakad aur padh sakte ho. Kya tum Mormon Dharamshaastra ko apne mul tatva, apne taaqat ke dhaarmik kendra ki jagah par apna sakte ho?

Pradhaan Ezra Taft Benson ne Joseph Smith ke un shikshan par aur batlaya. Usne kaha: “Teen tarike hai jisse Mormon Dharamshaastra hamare dharam ka mul tatva hai. Woh Maseeh ke hamare gawaah ka mul tatva hai. Woh hamare siddhaant ka mul tatva hai. Woh hamare gawaah ka mul tatva hai.”

Pradhaan Benson ne yeh bhi kaha: “Mormon Dharamshaastra hamein sachchaai sikhlaata hai [aur] Maseeh ki gawahi deta hai.  … Par kuch aur bhi hai. Is kitaab mein ek shakti hai jo tumhare jiwan mein aane lagegi jab tum is kitaab ka dil se adhyan karne lagoge. Tumhe zyaada shakti milegi behkaawe se bachne mein.  … Tumhe sidhe aur sakre maarg par tikne ki shakti milegi.” 3

Mera Niji Gawahi

Mere jiwan mein Mormon Dharamshaastra mere gawahi ka mul tatva bana kayi saal aur kayi anubhavon ke baad. Ek shaktishaali anubhav hua meri gawahi ko badhane mein jab mai ek jawaan prachaarak tha mere pehle chetra: Kumamoto, Japan mein. Mai aur mera saathi ghar-ghar bhent kar rahe the. Mai ek nani se mila jisne hamein pyaar se apne ghar mein amantrit kiya, jise Japanese mein ek genkan kaha jaata hai. Usne hamein us garmi ke din par ek thandi sharbat di. Mai Japan mein bahut din se nahin tha, aur maine haal hi mein Mormon Dharamshaastra ko padhna khatm kiya tha aur prarthna kar raha tha nishchayi rup se jaanne ke liye ki kya yeh sach hai.

Kyunki mai Japan mein naya tha, mai Japanese achchi tarah nahi jaanta tha. Asal mein, mujhe nahin lagta tha ki yeh mahila samajh paayi mai kya keh raha tha. Maine use Mormon Dharamshaastra sikhana shuru kiya, yeh batlate huwe kaise Joseph Smith ne ek pracheen lekh se ek devdut ke zariye plates par goda tha aur kaise usne unhe Parmeshwar ke shakti ke dwara anuwaad kiya tha.

Jab maine use apni gawahi batlayi ki Mormon Dharamshaastra Parmeshwar ka vachan hai aur Ishu Maseeh ka dusra gawahi, mujhe bahut gehra ehsaas hua, uske saath mere chaati mein sahanubhuti aur shaanti ka komal ehsaas hua, jo dharamshaastra mein kaha jaata hai “tumhara chaati andar se [jalna].” 4 Is ehsaas ne mujh mein ek shaktishaali tarike se sachchaai bayaan kiya ki Mormon Dharamshaastra Parmeshwar ka vachan hai. Us samay par mere ehsaas itne gehre the ki mere aankhon mein aansu aa gaye us Japanese nani se baat karte huwe. Maine us din ke khaas ehsaas ko kabhi nahin bhula hai.

Tumhara Niji Gawahi

Tum sab is kitaab ki niji gawahi paa sakte ho! Kya tum jaante ho ki Mormon Dharamshaastra tumhare liye likha tha—aur tumhare samay ke liye? Is kitaab ko sampurn samay ke yug mein jeene ka ashirvaad kaha jaata hai. Bhale hi Mormon Dharamshaastra prerit, pracheen lekhako ke dwara likha gaya tha—jin mein se kayi bhavishyevakta the—woh aur unke samay ke logon ke paas is pure kitaab ko rakhne ka saobhaagye nahin tha. Ab tumhare pahunch mein bhavishyevaktaaon, paadriyon, aur raajaaon ke pavitra lekh hai jise woh bahumulye samajhte, apnaate, aur surakshit rakhte the! Tumhare paas sampurn Mormon Dharamshaastra ko haath mein rakhne ka saobhaagye hai. Dilchasp baat hai, Mormon Dharamshaastra ka ek bhavishyevakta, Moroni, ne hamare samay ko dekha tha—tumhare samay ko. Usne tumhe bhi dekha tha, drishye mein, kayi sao saal pehle! Moroni ne likha:

“Suno, Prabhu ne mujhe  … mahaan aur ashcharyejanak baaton ko dikhaya hai jo ki us samay hogi jabki yeh baate,” yaane ki Mormon Dharamshaastra, “tum mein aaengi.

“Suno, mai tumse usi tarah bol raha hoon jaise maano tum mere saamne upasthit ho, parantu tum yahan ho nahin. Lekin suno, Ishu Maseeh ne tumhe mujhe dikhaya hai, aur mai tumhare karmo ko jaanta hoon.”5

Mormon Dharamshaastra ko tumhare gawahi ka mul tatva banne mein madad karne ke liye, mai tumhe ek chunaoti deta hoon. Maine haal hi mein seekha hai kayi jawaan log TV, computar, aur smartphone screen ke saamne har din lagbhag das ghante bitaate hai. 6 Yeh mann mein rakhte huwe, kya tum ek chota badlaao laa sakte ho? Kya tum woh daenik screen time se kuch samay—khaaskar woh samay jo social media, internet, gaming, ya television mein beetta hai—ko Mormon Dharamshaastra padhne mein bitaoge? Agar jis padhaai ko maine kaha sahi dhang se ho, tum aasaani se samay paaoge Mormon Dharamshaastra ko har din padhne ke liye chaahe 10 minat bhi ho. Aur tum us tarah se padhoge ki uska anand loge aur samjhoge—chaahe apne device par ya kitaab lekar. Pradhaan Russell M. Nelson ne haal hi mein aagaah kiya, “Hamein kabhi Mormon Dharamshaastra padhna sirf padhne ka kartavvya nahin, jaise kadwe dawaai ko jaldi se nigal lena aur phir kehna khatm to hua.” 7

Tasveer
Yuva Mormon Dharamshaastra Padhte Huwe
Tasveer
Bachcha Mormon Dharamshaastra Padhta Huwa

Aap mein se kuch chote bachchon ke liye, tum shaayad use ek maata/pita, aja/aji, ya priyejan ke saath padhoge. Agar ek adhyaye, ya verse, ya bhaag kathin ho jaaye ki tum aage padhna nahin chahoge, uska baad waala padhiya, ya agla waala. Mai tumhe Mary ke uddharan ko karte dekh sakta hoon. Mai tumhe utsukta se Mormon Dharamshaastra padhne ka samay aur ek shaant jagah dhoondhte dekh sakta hoon. Mai tumhe jawaab paate, maargdarshan mehsoos karte, aur Mormon Dharamshaastra aur Ishu Maseeh ki apni gawahi paate dekh sakta hoon. Jab tum kitaab ki or dekhoge, tum Prabhu ki or dekhoge.

Tasveer
Kitaab ki or Dekhna

Tum is anmol kitaab ke panno ko padhoge aur apne priye Uddhaarkarta, Prabhu Ishu Maseeh ko, lagbhag har panne par paaoge. Yeh anumaan lagaya jaata hai ki Unka alag alag naam average taur se 1.7verse mein ek baar istemaal kiya gaya hai. 8 Maseeh ne khud bhi iske sachchaai ki gawahi in antim-dino mein di hai, yeh kehkar, “Jaise tumhara Prabhu aur tumhara Parmeshwar jiwit hai yeh sach hai.” 9

Mai abhaari hoon us nimantran aur vaada ke liye jo Prabhu ne bhavishyevakta Moroni ke zariye tumhe diya hai—aur un sab ke liye jo Mormon Dharamshaastra padhta hai. Mai samaapt karta hoon is nimantran aur vaada ko padhne se aur apni gawahi dekar: “Aur jab tumko yeh baate [Mormon Dharamshaastra] praapt hongi, tab mai tumhe saodhaan karunga ki tum Parmeshwar Amar Pita se, [Ishu] Maseeh ke naam par, pucho ki kya yeh baate satya nahin hai; aur agar tum sachche hriday se, aur achchi abhilaasha se, Maseeh mein vishwaas karke puchoge, tab woh Pavitra Aatma ki shakti dwara tum par sachchaai spasht prakat karega.” 10

Mai gawahi deta hoon susamachaar ke Punahsthaapna ki in antim dinon mein aur Mormon Dharamshaastra ka ki woh Punahsthaapna ka asli saboot hai. Jaise is kitaab ke shabdon ne ek 12-saal-ke ladki ko prerit kiya Ishu Maseeh ke punahsthaapit Girjaghar ko apnaane ka lagbhag do sao saal pehle, wahan paaye jaane waali sachchaai tumhe isi tarah unnat aur prerit karegi. Yeh tumhare vishwaas ko mazboot karegi, tumhare hriday ko raushni se bharegi, aur tumhe ek ayse bhavishye ke liye tayyaar karegi jiski tumne kalpana bhi nahin ki hai.

Is kitaab ke panno mein, tum Parmeshwar ke anant prem aur akalpaniye kripa ko jaanoge. Jab tum us mein paaye jaane waale shikshan par chalne ki koshish karoge, tumhara anand badhega, tumhara samajhdaari badhega, aur jo jawaab tum dhoondhte ho apne maransheelta ke kayi chunaotiyon ko lekar woh tumhe milega. Jab tum kitaab ki or dekhoge, tum Prabhu ki or dekhoge. Mormon Dharamshaastra Parmeshwar ka prakat kiya hua shabd hai. Iski mai gawahi deta hoon, apne pure hriday aur mann se, Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Dekhiye “Mary Elizabeth Rollins Lightner,” Utah Genealogical and Historical Magazine, July 1926, 193–95.

  2. Introduction to the Book of Mormon.

  3. Ezra Taft Benson, “The Book of Mormon—Keystone of Our Religion,” Ensign, Nov. 1986, 5, 7.

  4. Doctrine and Covenants 9:8.

  5. Mormon 8:34–35.

  6. Dekhiye American Academy of Pediatrics, “Media and Children,” aap.org.

  7. Russell M. Nelson, “Strengthen the Shepherds” (address given at the general conference leadership meetings, Sept. 28, 2016).

  8. Dekhiye Susan Easton Black, Finding Christ through the Book of Mormon (1987), 16–18.

  9. Doctrine and Covenants 17:6.

  10. Moroni 10:4; verses 3, 5bhi dekhiye.