2010-2019
Siddhaantein aur Vaadein
October 2016


Siddhaanton aur Vaadein

Hume apne sharir aur mann ka dekh bhaal karna chahiye banaye hue Gyaan ke Shabd ke siddhaaton par chal kar, ek divye pradaan kiya gaya yojna.

Aaj raat, bhaaiyon, apna sandesh tumhare saath baantne ke liye mai Swarg ke Pita se maargdarshan ke liye prarthna karta hoon.

1833 mein Prabhu ne Bhavishyevakta Joseph Smith ko swasth jiwan bitaane ka ek yojna batlaya. Woh yojna Doctrine and Covenants ke 89th bhaag mein paaya gaya hai aur Gyaan ka Shabd kehlata hai. Yah bhojan jo hum khaatein hain par khaas maargdarshan deta hai, aur yah humare sharir ke liye jo haanikaarakh hai ke istamaal par pabandi lagata hai.

Jo Prabhu ke aagyaoun ka paalan kartein hain aur jo Gyaan ke Shabd ko puri tarah se nibhatein hain ko khaas ashirwaad vaada kiya gaya hai, jismein achcha swasth aur ziyada shakti shaamil hai.1

Abhi haal hi maine in vaadon ke baare mein ek prabhaaoshaaly chin ke sachche bhaag ko padha hai. Ek girjaghar ka vishwaasi sadesye, John A. Larsen, ne World War II ke dauraan United States Coast Guard mein USS Cambria. jahaaz par sewa pradaan kiya tha. Philippines ke ek ladaai mein, sandesh aaya ki bombers ka dal aur kamikaze ladaai karne waali hawaijahaj aa rahe hai. Turant hi khali karne ka aagya jaari hua. Jabki USS Cambria pahale hi nikal chuka tha, John aur teen saathiyon ne apne cheezon ko ikattha kiya aur turant hi samundar kinare chale gaye, ek jaati hui jahaaz ko pakadne ki asha mein. Khushnasibi se, ek jahaaz ne unhein bitha liya aur turant hi kaksh se jaane waali aakhri jahaaz ke liye nikle. Us jaati hui jahaaz par ke log, jitna bhi jald ho sakey dur jaane ki koshish kar rahe the, deck par vyast the aur samay tha sirf aage logon ke paas rassiyon ko bigne ka, taaki weh shaayad deck par chadh jaye.

John, apne peeth par ek wazandaar raidiyo ko baandha hua, ne khudh ko ek 40-fut (12 m) rassi ke ant mein lataktey hue paaya, wah samundar mein jaane waali jahaaz ke bagal mein latak raha tha, Usne apne aap ko upar karna shuru kiya, haat aage badhatey hue, jaantey hue ki agar uska haat chut jaata, wah zaroor mar jaata. Sirf ek tihaai chadhne ke baad hi, usne mehsoos kiya uske hatheli peera se jal rahe the. Wah bahot hi kamzor ho gaya tha ki usne mahesoos kiya ki wah aur ziyada der tak nahi pakde reh paayega.

Uske shakti kam ho chuki thi, jab wah apne bure anjaan safar ke baare mein soch raha tha, John ne Parmeshwar se dhire se prarthna kiya, Usse kahate hue ki usne humesha Gyaan ke Shabd ko nibhaya hai aur saaf taur se jiwan bitaya hai—aur use ab vaada kiye gaye hue ashirwaadon ki bahot zaroorat hai.

John ne baad mein batlaya ki jab usne apna prarthna khatam kiya, usne mahaan shakti ke lahar ko mahesoos kiya. Usne ek baar phir chadhana shuru kiya aur turant hi upar rassi par chadh paaya. Jab wah deck par pahuncha, wah theek tarike se saas le raha tha aur thoda bhi thakaan na tha. Swaast aur shakti ki badhati hui ashirwaadein Gyaan ke Shabd ke vaadein use diye gaye the. Usne apne Swarg ke Pita ko dhanyewaad diya phir, aur apne bache hue jiwan bhar, apne madad ke chintith prarthna ke jawaab ke liye.2

Bhaaiyon, hume apne sharir aur mann ka dekh bhaal karna chahiye banaye hue Gyaan ke Shabd ke siddhaaton par chal kar, ek divye pradaan kiya gaya yojna. Apne pure hriday aur aatma se, mein mahaan ashirwaadon ki gawahi deta hoon jo humara intazaar kar raha hai jab hum us niyam par chaltein hain. Taaki yah ho, main prarthna karta hoon humare Prabhu aur Uddhaarkarta, Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Dekhiye Doctrine and Covenants 89:18–21.

  2. Dekhiye John A. Larsen, in Robert C. Freeman and Dennis A. Wright, comps., Saints at War: Experiences of Latter-day Saints in World War II (2001), 350–51; swikriti se istemaal kiya gaya.