2010-2019
Shakti se Zimmedrion ko Swikaar karo, Zion ki Bahanon
October 2016


Shakti se Zimmedrion ko Swikaar karo, Zion ki Bahanon

Vaadon ko banane aur rakhne ke liye, hume zaroorat hai un suamachaar ke khaas siddhaanton ko sikhne ka aur unke paas apne sachchaaion ki stir gawahi ka.

Is Sammelan Kendra mein Girjaghar ke ladkiyon, jawaan mahilaaon, aur mahilaaon ke saath ikatta hone mein kitna khushi mahesoos ho raha hai. Hum yah bhi bahot achchi tarah se jaantein hain ki duniya bhar mein, kai hazaaron sangaton ke bahane bhi, yah ammelam ko dekh rahi hai, aur main is aosar aur saadhan ke liye abhari hoon jo hume saath aur mahatav mein jodhta hai is shaam.

October 2006 mein, Pradhaan Gordon B. Hinckley ne 1911 mein likhe ishbhajan naamak “Zimmedaari Swikaar karo, Are Parmeshwar ke Logon,” par bhaashan diya tha.1 Yah Girjaghar ke logon ko khudh ke kaarye ki niyukti ko zimmedaari se swikaar aur sudhaarne ke liye. Main us bhaashan ke bare mein soch rahi thi jab maine prarthna kiya yah jaanne ke liye ki kya tumhe batlaaein.

Bahanon, hum “katin samay” mein jee rahe hai.2 Humare dinon ke stithion humare liye achariye nahi hoga. Weh saalon pahale ek chetaauoni aur khatre ki tarah pata chal gaya tha taaki hum taeyaar rahe. Mormon ki 8th bhaag humare dinon ke liye bikul sahi tarah se batlata hai. Is bhaag mein, Moroni ne batlaya ki unhe humare dinon ko dekha tha, aur usmein ladaaion aur ladaaion ke kahanion, mahaan prabhaawein, hatyaein, choruon, aur log jo hume batlaeinge ki Parmeshwar ke ankhon mein kuch sahi yah galat m hai haamil honge. Usne ghamand se bhare logon ke bare mein batlaya, mahange kapde pahane hue, aur jo dham ki hassi udaatey hue. Unhone duniyadari ke cheezon mein khush hoye hue logon ko dekha ki weh “zarooratmandon, aur nangon, aur bimaaron aur jhelne waalon ke bagal se nikal jaatein hain” 3 bina hi unhe dekhe.

Moroni ne humare bare mein veyaktigat-parikshan ke liye swaal ko dhoondhna- humare liye jo is dinon mein jiwit hai ke liye. Unhone kaha, “Kyo tum apne upar Maseeh ke naam lene se sharminda ho?” 4 Yah lochna saaf taur se humare duniya mein badhatey hue duniyadari ke star ko batlata hai.

Joseph Smith—Matthew batlata hai ki antim dinon mein jo “bahot … aagyakaari hai bhi”5 dhoka khayenge. Un aagayakaarion mein ladkion, jawaan mahilaaein, aur Girjaghar ke bahane bhi shaamil hai jo baptisma liye aur vaade kiye hai apne Swarg ke pita ke saath. Hum bhi jhute shikshanon se dhokha kha saktein hain.

Bahanon, mujhe nahi vishwaas hai ki aage badhane ke liye stithi mein koi sudhaar anewaala hai. Agar yah chin abhi ke stithi par hai, hume aanewaale khatron se taeyaar rahane ki zaroorat hai. Yah humare liye asaan hoga ki ashaheen ho jaye, parantu aagyakaari logon ki tarah hume kabhi ashaheen nahi hona chahiye. Jaesa Elder Gary E. Stevenson ne batlaya hai, “Swarg ke pita jo hume jeene ke liye daya bhare asirwaad deta hai ki taaki hum is aanewale stithiyon ko bhi jhel sakein.”6 Main is vaakye se sahayak se prem kartu hoon.

Pradhaan Russell M. Nelson ne hume ek saal pahale batlaya tha ki: “Girjaghar, uske siddhaanton, aur humare jiwan ke raastey mein kai musibatein aati rahengi. Is ke kaaran, hume un mahilaaon ki zaroorat hai jiske paas Maseeh ke siddhaanton mein stir vishwaas hai aur jo usko istamaal karega ek peedi ke logon ko sikhlaane aur madad karne mein jo paap se bachenge. Hum un mahilaaon ki zaroorat hai jo kisi bhi stithi mein chal ko pahachaan le. Hume un mahilaaon ki zaroorat hai jinhein pata ho wah Parmeshwar ke shakti jo vaadon ko rakhne waalon ke paas hai aur jo aatamnirbarta aur daya ke saath apne vihwaas ko batkatein hain. Hume un mahilaaon ki zaroorat hai jiske paas humari Maa Eve ki himmat aur samajh hai.”7

Yah sandesh mujhe aaswaasan deta hai ki chahe kuch bhi humare dinon ki stithi ho, humare paas kai kaaran hai jisse hum khushi manana aur ashaawaadi hona chahiye. Main apne pure hriday se vishwaas karti hoon ki hum bahanon ke pas wah shakti aur vihwaas hai jisse hum in antin dinon ke musibaton ko jhel saktein hain. Bahan Sheri Dew ne likha hai, “Main vishwaas karti hoon ki jis pal jab hum badal kar, vaada- rakhne waali mahilaaon ke prabhaao mein kaarye ko puri tarah se karenge, Parmeshwar ke raajye ki tarah turant badal jayega.”8

Usmein bahot kaarye karna padega vaadon ko banane aur rakhne ke liye. Yah karne ke liye, hume wah ladkiyon aur mahilaaon ki zaroorat hai jo suamachaar ke khaas siddhaanton ko sikhtein hai aur unke paas apne sachchaaion ki stir gawahi hai. Mujhe vishwaas hai ki yaha teen kendra hai sachche gawahi ke neev ka aur wah humare samajhne ke liye bahot zaroori hai.

Pratham, hum Parmeshwar humare Anat Pita aur Uke Putra, Ishu Maseeh ko zaroor swikaar karne ki zaroorat hai, humare vihwaas aur mukhti ke liye. Ishu Maseeh humare Uddhaarkarta aur Mukhtidata hain. Hume zaroori hai ki hum sikhein aur Uske Praeschit ko jaane aur kis tarah se use humesha kaam mein lana hai; paschaataap hum sab ke liye ek mahaan asirwaad hai sachchaai ke raastey par bane rahane ke liye. Hume zaroori hai ki Ishu Maseeh ko humare mukhye sahi karyekarta aur uddhaarkarta ki tarah dekhien jiski tarah hume zaroori hai banna. Hume zaroori hai humesha apne parivaaron aur kakshaaoun ko humare Pita ke mahaan mukhti ke yojna ke bare mein sikhlana, jismein Maseeh ki siddhaantein shaamil hain.

Dusra, hume zaroori hai ki is antin dinon ke siddhaanton, sangaton, aur adhikaari ke chaabiyon ke punaharsthaapna ke zaroorat ko samjhe. Hume zaroori hai ki Prabhu ke punaharsthaapna ko karne ke liye Bhavishyevakta Joseph Smith ko diviye tarah se chunne aur niyukt karne ki gawahi ko rakhna chahiye aur jaane ki usne Girjaghar ke mahilaaon ko sangatith kiya tha Puraane samay mein Maseeh ke Girjaghar ko sangatith karne ke dauraan.9

Aur teesra, hume zaroori hai ki mandir ke siddhaanton aur vaadon ko sikhein aur jaane. Mandir humare sabse bade vishwaas ka mukhye sthaan hai, aur Prabhu chahatein hain ki hum jaayein, sochein, sikhein, aur khudh hi veyaktigat tarike se matlab jaane. Hum yah jaanege ki mandir ke siddhaanton dwara, humare jiwan mein parmeshwar ki shakti ki prapti hoti hai 10 aur kyuki mandir ke siddhaantein hai, hume Parmeshwar ki shakti ki prapti ho sakta hai, aur Uska naam humare upar ho sakta hai, Uski mahima humare ird-gird rah sakta hai, aur Uske devdut humare kaarye karenge. 11 Main sochti hoon ki kya hum puri tarah se un vaadon par nirbhar kartein hain.

Bahanon, is mahafil mein sabse jawaan bhi apne vishwaas ki zimmedar ko swikaar karke aur Parmeshwar ke raajye ko banane mein mukhye kaarye kar sakta hai. Bachchein khudh ke gawahiyon ko dharamshaastron ko padhane ya sikhne se, humesha prarthna karne, aur prabhubhojh ko laayak tarike se lene se banana shuru kar saktein hain. Sabhi bachchein aur mahilaaon gharelu shaam sabha ko prerit kar ke aur puri tarah se bhaag le saktein hain. Tum apne ghutnon par pratham ho saktey ho jabki tumhare parivaar parivaarik prarthna ke liye ikatdha ho. Agar tumhare gharein bilkul sahi bhi na ho, tumahre veyaktigat suamachaar ke vishwaas ke uddhaaranon se tumhare parivaaron aur doston ke jiwan mein prabhaao padh sakta hai.

Girjaghar ki jawaan mahilaaon ko khudh ko purohiti ke mukhti ke kaarye ki kaam mein mukhye bhaag nibhaane ko dekhne ki zaroorat hai aur naki sirf dekhne aur sahara dene ki. Tumhe niyukti di gayi hai aur purohiti chaabiyon ko rakhne waalon ke dwara sangatith kiya gaya hai is kaarye mein netaaoun ki tarah shakti aur adhikaar ke saath. Jab tum apne niyukti ko kaksha adhyakshtaaoun mein badhatay ho aur dhaarmikta se taeyaar kartey, saath mein salaah kartey, apne kaksha ke sadesyon ki dekhbhaal kartey, aur ek dusre ko susamachaar sikhlaatey ho, tum is kaarye mein sthaan bana rahe ho aur dono tum aur tumhare purwajon ko asirwaad milega.

Sabhi mahilaaon ko purohiti ke kaarye mein khudh ko mukhye bhaag nibhaane ki tarah dekhna chahiye. Is Girjaghar ki mahilaaein adhyakshtaaein, salaahakaarein, shikshaein, salaha dene waalon ki sadesyein, bahanon, aur mataaein hain, aur Parmeshwar ke raajye kaarye nahi kar sakta hai jabtak ki hum vishwaas se zimmedari swikaar na karein aur apne kaareyon ko pura na karein. Kabhi kabhi hume zaroori hai ki jo ho sakta hai ke mahaan samjh ko rakhein.

Tasveer
Bahan Maldonado Bahan Oscarson ke saat

Maine abhi haal hi Maxico mein ek bahan se bhent kiya jo jaanti thi ki vishwaas se apne niyukti ko badhaane ka kya matlab tha. Marffissa Maldonado ko teen saal pahale ek juva ke Raviwaar Skool kaksha ko sikhlaane ki niyukti prapt hui thi. Uske paas 7 vudhyaardhi the jab wah niyukt hui thi, parantu abh uske paas 20 hai jo humesha aatein hain. Maine usse pucha, aschariye se, usne kya kiya tha un nambaron ko badhaane ke liye. Usne vimanrata se kaha, “Are, yah sirf mera kaam nahi hai. Sabhi kaksha ke sadesyon ne madad kiya.” Saathmein, unhone aanewaalon ke kam-sakriye logon ke naamon ko dekha aur saat jakar unko waapis girjaghar aane ke liye amantirith karna shuru kiya. Kyuki unke sahiyog ke karan unhone baptisma bhi kiya

Tasveer
Mexico mein Raviwaar ki Skool

Bahan Maldonado ne apne kaksha ke sadesyon ke liye hi sirf ek janta raidio sthaan naamak “Main ek Parmeshwar ke Bachcha Hoon” ko taeyaar kiya, aur unhone kai baar safta mein dhaarmik soch aur dharamshaastron ko us par batlaya. Wah humesha apne vidhyaardhiyon ko kaarye aur badhantion texts karti thi. Wah mahesoos karti hai ki unke saath usi tarah se waaartalaabh karna zaroori hai jaesa unhe achcha lage, aur yah kaam kar raha hai. Usne mujhe saralta se batlaya, “Main apne vidhyaardhiyon se prem karti hoon.” Maine us prem ko ahesaas kiya jab usne unke karyon ko batlaya, aur uske uddhaaran ne mujhe yaad dilaya ki ek insaan ka vishwaas aur kaaarye Prabhu ki madad se is kaarye ko pura kar sakta hai.

Humare yuva ko humesha musibat bhare sawaalon ka saamna karna padta hai, aur hum mein se kai ke parivaaron ko jo jawaan dhoondhane ke liye kosish kar rahein hain. Achchie baat yah hai ki yaha par puche gaye sawaalon ke jawaab hain. Humare netaaoun ke abhihaal ke sandeshyon ko sunno. Hum humare Swarg ke pita ke khushiyon ki yojna ke bare mein sikhne aur samjhne ko batlaya gaya hai. Hume parivaarik ghoshna mein mul ke bare mein yaad dilaya gaya hai.12 Hume in saadhanon ko sikhlaane aur istamaal karne ko batlaya gaya hai naapne ke liye taaki hum sidhe aur sakriye raastey par humesha rahe.

Laghbhag ek saal pahale, maine ek jawaan bachchon ki maa se bhent kiya jisne apne bachchon ko online aur skool par kai galat prabhaaoun se bachchane ke liye ek sakriye kadam udthne ka faesla kiya. Usne har safta ek shirshak chunna, humeshma jispar online kai waartalaabh rahata tha, aur wah safta bhar uske matlabon par waartalaabh karti jaha unke bachchein swaal puch saktein aur wah dhyaan rakhti ki weh un musibaton par humesha accha aur sachcha nazariya batlaya. Wah apne ghar ko swalaaon ko utdhne ke liye ek surakhchit sthaan bana rahi hai aur suamachaar ke shikshan ke sahi matlabh ko rakhne ka.

Main chintith hoon ki hum us gunah ko rukhne ke sthaan par hai jiske bare mein hum kabhikabhi sahi siddhaanton ke shikshan ko batlate hue dartey hain. Hum apne jawaan mahilaoun ko yah sikhlane mein asafal ho jaatein hain ki ek maa banna mahaan zimmedari hai kyuki hume unko nusaan nahi pahuchye jo shaadishuda nahi hai ya jinke bachchein nahi ho saktein, ya jinke bhavishye mein is tarah ke chunaao nahi hai. Dusri oar, hum shikshan ke zarooraton par bhi zor nahi detein hai kyuki hum yah sandesh nahi bhejna chahatein hain ki shaadi se bahot zaroori hai. Hum yah nahi batlaatein hai ki humare Swarg ke pita ne batlaya hai ki shaadi aadmi aur mahila ke beech hona chahiye kyuki hum unko nuksaan nahi puchna chahatey jo ek-hi ling mein akarshit ko anubhao kar rahe hai. Aur hum ling ke kaarye ya swast ling par waartalaabh karna achcha nahi maheoos kartein hai.

Sabhi mein, bahanon, hume daya ka zaroor istamaal karna chahiye, parantu hume apna sahi vichaar bhi arna chahiye aur humare mukhti ke yojna ko humesha aur saaftaur se samjhna chahiye jo wah khaas susamachaar siddhaantein humare bachchon aur yuva ko sikhna hai is duniya mein jaha weh rahatein hain ko samjhne ke liye. Agar hum apne bachchon aur yuva ko sahi siddhaant nahi sikhlaatein hain-aur saaf taur se sikhlaatein hai- duniya unhe Shaitaan ki buraaion ko sikhlayega.

Main Ishu Maseeh ke susamachaar se prem karti hoon, aur mai apne maargdarshan, shakti, aur Parmeshwar ki ek humesha aagyaakaari putri hone ki madad ke liye abhaari hoon. Main gawahi deti hoon ki Prabhu ne hume humesha asirwaad diya hai, is khatre ke samay mein jeene mein mahilaaon ki tarah, pure shakti, uphaaron, aur mazbooti ke saath jo ki zaroori hai duniya ko taeyaar karne ke liye Prabhu Ishu Maseeh ko Dusre Baar aane mein. Main prarthna karti hoon ki hum apne sahi chamta ko jaanehe aur humare Swarg mein Pita jaesa chahatein hain hume banna vishwaas aur himmat ki mahilaoun ki tarah bannege. Ishu Maseeh ke naam se, amen.