2010-2019
Aatma ki Imaandaar Icha
October 2016


Aatma ki Imaandaar Icha

Bahmulya prarthna ka har chan Pitah ke sang bitaye gaye pavitra samay ho sakte hain, Putra ke naam se aur Pavitra Aatma ke taqat ke saath.

Maranshiltha ke parishram me, hum apne kaam ko pura karne mein, apne yudh ko ladne me, apne durbhaagye yah bina jawaab ke sawaaalo ka samna karne ke liye kabhi akele nahi hain. Ishu Maseeh ne nitiktha dwara sikhlaya “ki aadmi ko humesha prarthna karna chahiye, aur kamzor nahi.” Unhone ek judge ke vishay mein bathlaya jo Parmeshwar ki aadar nahi karta tha na ki aadmi ke liye koi parvah. Har din, ek vidwaa uske aage aathi thi, vinathi karte hue ki uske durbhaagya ka masla hal ho. Kuch samay ke liye, judge ne usse koi sahaytha nahi di. Par uske vishwaaskaari, samaan vinathi sunne par, judge ne anth me socha, “kyonki yeh vidwaa mujhe parehaan kar rahi hai, main usko niyay dilaunga, nahi to uske humesha aane se main thak jaunga.”

Ishu ne phir samjhaya:

“Kya Parmeshwar apne chune huwon ko niyay nahi denge, jo raath din unke aage rote hain … ?

“Main kahata hoon ki weh unhe jald se niyay denge.”

Aur phir Prabhu yeh sawaal puchte hain: “Tobhi, manushya ka Putra jab ayega, tho kya Woh prithvi par vishwaas payega ?”1

Prarthna zaroori hai vishwaas ko badhaane mein. Jab Prabhu laut kar aayega, kya Woh ayse log dhoond payenge jo vishwaas ke prarthna karna jaante ho aur jo mukti paane ke liye tayaar ho? “Kyonki jo koi bhi Prabhu ka naam lega, wah udhaar payega.”2 Hum ek prem karne waale Swarg ke Pita ke bachche hai, aur hum Unke saath baat karne ka anand le sakte hai “sachche hriday se, achchi abhilasha se, Maseeh mein vishwaas karke ”3 jab hum prarthna karenge aur tab in jawaabon ke anusaar Pavitra Aatma ko sunte huwe kaarye karenge. Hum vishwaas ke saath prarthna karte, sunte, aur paalan karte, taaki hum Pita aur Putra ke saath ek hona seekh sakein.4

Vishwaas ka ek prarthna raasta kholta hai swarg-se-bheje-gaye anokhe ashirwaadon ka. Uddhaarkarta ne sikhlaya:

“Maango, tho tumhe diya jayega; dhoondo, tho tum paoge; khatkhatao, tho tumhare liye khola jayega:

“Kyonki jo koi maangtha hai, use miltha hai; aur jo dhoondtha hai, wah paatha hai; aur jo khatkhatatha hai uske liye khola jayega .”5

Agar hum prapti ki asha kartein hain, hume maanga, dhoondhana, aur khatkhatana chahiye. Apne sacchai ki khoj mein, Joseph Smith ne susamachaar mein padha, “Yadhi tum me se kisi ko buddhi ki ghati ho, tho Parmeshwar se maango, jo bina ulahnaa diye sab ko udhaartha se deta hai; aur us ko bhi di jayegi.”6 Unke vishwaas ke prarthna me, swarg khula tha. Pitah Parmeshwar aur Unke Putra, Ishu Maseeh, mahima me avthiran hue aur Joseph se baathe ki, purna samay ka vivastha me sanchalan kiya. Hamare liye, chamatkaar se changa hona, taqatwar suraksha, divya gyaan, mukt karne ki maafi, aur anmol shaanti un jawaabon mein se hai jo hum paate hai jab hum apne “hriday ki haardik ichcha ”7 vishwaas se prakat karein.

Hum Pitah se prarthna Ishu Maseeh ke naam se karte hain, Pavitra Aathma ke taqat dwara, is tarah se Ishwartav ke theeno sadasyon ko apne kathan me shaamil karte hain.

Hum Pitah Parmeshwar se prarthna karte hain aur sirf Unhe kyonki Weh “Parmeshwar swarg mein hai, jo athyanth aur nirantar hai, nithyatha se nithyatha tak … , dharti aur swarg ko banane waala, aur un jo kuch bhi hai.” Humate shristikarta ke roop mein, Unhone hume agyaa diya ki hum “unse pyaar kare aur unki sewa kare, jo ek hi jeewith aur saccha Parmeshwar hai, aur Woh hi aysa hai jise [hume] araadhna karni chahiye.”8

Jab tum Pitah Parmeshwar se vishwaas me prarthna karoge, “aur weh tumhare kashto me tumhe santhavna dega, .[aur tum] uske prem ka bhog lagaoge.”9 Pradhaan Henry B. Eyring ne batlaya ki unke pitah ki cancer se hare hue jang ladte samay ki prarthna ne unhe Parmeshwar aur Unke baccho ke beech gahare vyaktigat sambandh ke bare me sikhlaya:

“Jab pira bahut zyada ho gaya tha, hum unhe subha khaat ke bagal mein ghutno mein paate the. Weh wapas khaat par jaane ke liye bahut kamzor the. Unhone humse batlaya ke weh prarthna kar rahe the Pitah Parmeshwar se puchne ke liye ki unhe ithna lakleef kyon sahana pad raha hai jab ki unhone sada sabhi ke accha karne ki koshis ki hai. Unhone kaha ki ek dayalu jawaab aya: ‘Parmeshwar ko bahadur bete chahiye.’

“Aur weh anth tak saynik bane rahein, bharosa karte hue ki Parmeshwar unse prem karte hain, unko sunte hain, aur unhe uthayege. Unhe jaladi janne ki ashis mili aur kabhi bhool nahi sakte the ki ek pyaar karne waala Parmeshwar sirf prarthna jitna hi dur hai.”10

Hum Ishu Maseeh ke naam se prarthna karte hain kyonki humari mukti Maseeh mein hai, aur “aadmi ko swarg ke neeche koi aur naam nahi diya gaya hai, jisse hum bach sakte hain.”11 Hum Parmeshwar ke paas Ishu Maseeh 12 ke pavitra naam se aate hain kyonki Weh Pitah ke aage humare adhivakta hain aur Weh humare liye vinnati karte hain. .13 Weh tadpe, lahu bahae, aur mare Apne Pitah ko mahima dene ke liye, aur Unka humare prathi dayalu anurodh humare liye raasta kholta hai ki hum is jeewan me shanti aur aane waale me duniya me nirantar jeewan pa sake. Weh nahi chahate hain ki hum zaroorat se zyada mushkilon ko jhele. Woh chahata hai ki hum Unke paas aaye aur Unhe humare bojh halka karne ka, humare dil ko changa karne ka, aur Unke pavitratha ki taqat dwara humare mann ko saaf karne ki anumati dete hain. Hum kabhi unke naam ko nisprabhav, rati hui aur dahorai hui shabdo se nahi lena chahate hain. Hardik prarthna Ishu Maseeh ke pavitra naam se bhent kiya jaata hai, nirantar abhaar, aur humari icccha ki hum Unke jaisa prarthna kare, kaam kare, bane Weh hai humare anurakth pyaar ka bayaan hai.

Hum Pavitra Aatma dwara prarthna karte hain kyonki “jo koi aathma dwara puchtha hai Parmeshwar ki iccha dwara puchtha hai.”14 Jab hum vishwaas se prarthna karte hain, Pavitra Aatma humari soch ko maarg de sakti hai taki humare bol Parmeshwar ke iccha anusaar ho. Puchiye math, taaki tum apne laalach me use barbaad kar do, par bina dagmagahat ki mazbooti se pucho, ki tum koi pralobhan me na faso, par ki tum sacche aur jeewith Parmeshwar ki sewa karo.”15

“Sirf kaise prarthna karna chahiye ye janna zaroori nahi hai, par uthna hi mahatvapurn hai janna ki prarthna ke jawaab kaise milega, vichaarshaali rahane ki, chatur rahane ki, saaf nazariye se dekhne aur samajhne ki Parmeshwar ki iccha humare liye.”16

Pradhaan Eyring ne batlaya: “Mere prarthnao ke jawaab mile. Yeh jawaab bilkul saaf the jab main jo chahata tha use Parmeshwar kya chahate hain ki zaroorat se khamosh kar diya. Is se ek pyaare Pitah Parmeshwar ka jawaab mann ko shant, choti se awaaz se milega aur use dil me likha ja sakta hai.”17

Tasveer
Devduton ke saat Maseeh
Tasveer
Gethsemane mein Maseeh

Jaise Udhaarkarta Gethsemane ke baag me gaye, Unki aatma bahut udaas tha, yahan tak ki mauth ke prathi. Uske kasht mein, wah jiske paas sirf ja sakta tha Wah Uske Pitahthe. Unhone vinnati ki, “Agar mumkin hi, is pyaale ko mujh se hata do.” Par Unhone phir kaha, “Paranthu iccha anusaar nahi, par aap ke iccha anusaar.”18 Bina paap ke, Udhaarkarta ko bulaya gaya taki weh “takleef aur pida aur bahakawe ko [sahe] sabhi tarah ke pralobhan,”jisme bimaari aur avasanatha shaamil hai. “Aur wah is jagat me nana prakaar ki pida, dukh aur pralobhan jhelega, aur yah is karan hoga ki yah kahna sthay sidh ho ki wah apne logo ki pida aur rogon ko apne upar le lega, ki weh unke durbhalao ko bhi apne upar le lega jisse uske pyala daya se bhar uthega aur Wah unhe sahaytha dega.”19 Unhone teen baar prarthna kiya, “Pitah, aap ki iccha puri ho.”20 Woh pyala nahi hataya gaya. Vinamra, vishwaaskari prarthna se Unhe taqat mili ki weh aage badhe aur apne divya maksad ko pura kare hamare uddhaar ke liye, ki hum paschyataap kare, vishwaas kare, aur agyaakari rahe aur anantta ki ashis mile.

Tasveer
Gethsemane mein Maseeh prarthna kaetin hai

Prarthna se jo jawaab milta hai shayad woh na ho jiske hum iccha karte hain. Par mushkilon ke samay, humari prarthna pyaar aur vinay daya ki jeewandor ban jaati hai. Humare vinnati se, aage badne aur humare niyukti mein hue jo karna hai use pura karne ki taqat deti hai. Unke Sant jo kathin samay me rah rahe hain, Prabhu ne kaha, “Tumhare dilon ko shant hone do … ; kyunki sab manushye mere haath mein hai; shaant raho aur jaano ki mai Parmeshwar hoon.”21

Chaahe hum akele mein prarthna karein, parivaaron mein, girja par, mandir mein, ya jahan bhi hum ho; chaahe hum toote hue dil se ya pashchataapi aatma se prarthna karein maafi, swarg ka gyaan, ya sirf jhelne ki shakti ke liye maang karte hai, hum hamesha pure hriday se, lagataar Parmeshwar ko apne aur aas paas ke logon ke kalyaan ko dhyaan mein rakh kar karein. Hardik kaamna jo ashirvaad ke liye abhaar ke aatma se diya jata hai, aur jeewan me jo paath hum seekte hai jo humare hirday mein Maseeh ke liye atoot vishwaas bharti hai, “asha ki kiran, aur Parmeshwar aur sabhi insaan ke liye prem dilati hai.”22

Prarthna Parmeshwar ka diya gaya taufa hai. Hume kabhi khoya ya akela nahi mehsoos karna chahiye. Mai gawahi deta hoon ki bahmulya prarthna ka har chan Pitah ke sang bitaye gaye pavitra samay ho sakte hain, Putra ke naam se, Pavitra Aatma ke taqat ke saath. Ishu Maseeh ke pavitra naam se, amen.