2010-2019
Parmeshwar par Bina Sandeh se Bharosa rakhna
April 2017


Parmeshwar par Bina Sandeh se Bharosa rakhna

Agar hum atal rahe aur apne vishwaas mein na hichkichaaye, Prabhu hamein apni chamta se uncha karega taaki hum jiwan ke chunaotiyon ka saamna karein.

Priye bhaaiyo aur bahano, mai aaj apne sandesh ki shuruwaat yeh gawahi de kar karta hoon ki mai jaanta hoon ki Pradhaan Thomas S. Monson aaj ke samay mein Parmeshwar ke bhavishyevakta hai. Pratham Adhyakshta aur Barah Devduton mein unke salaahkaar bhi, vaastav mein, bhavishyevakta, paegambar, aur praktikarta hai. Weh Prabhu Ishu Masih ke pratinidhi hai aur woh Unki soch aur ichcha ka aelaan karne ka adhikaar rakhte hai jaise unhe prakat kiya gaya hai. Mai gawahi deta hoon ki unke salaah mein suraksha hai. Prabhu unhe prerit karta hai hamein Swarg ke Pita aur Unke Putra, Ishu Masih mein apne vishwaas ko mazboot karne par zor dene ke liye, aur Unke Praeshchit mein taaki hum hichkichaaye nahin jab chunaotiyon ka saamna karein.

Mormon Dharamshaastra mein humne ek aadmi Ammon ke baare mein padha tha jise Zarahemla se Lehi-Nephi ka desh bheja gaya tha uske  bhaaiyon ka pata lagane ke liye. Wahan use Raaja Limhi aur unke log mile, jo Lamanitiyon ke kaed mein the. Raaja Limhi ko Ammon ke shabdon se protsaahan mila jo usse batlaya gaya tha Zarahemla mein uske logon ke baare mein. Unke dil mein itna aasha aur anand tha ki usne apne logon ko mandir par ikattha kiya aur kaha:

“Isliye, apne siron ko upar uthaao, aur anand manao, aur is Ishwar par vishwaas karo. …

“… Agar tum apne pure hriday se Prabhu ki or lautoge,  … aur apne mann ki puri lagan se uski sewa karoge, … tab woh, apni ichcha aur khushi se, tumhe kaed se nikaal dega.” 1

Raaja Limhi ke logon ke vishwaas par Ammon ke shabdon ka itna prabhaao pada ki unhonne Parmeshwar ke saath vachan kiya ki woh Unki sewa karenge aur Unke aagyaaon ka paalan karenge, unke kathin paristhiti ke bawajood. Unke vishwaas ke kaaran, woh ek yojna bana paaye aur woh Lamanitiyon ke chungal se nikal gaye. 2

Raaja Limhi ne apne logon ko jo nimantran diya kripya, uske mahatva aur upyuktta ko dekhe hamare milaan mein. Usne kaha: “Apne siron ko upar uthaao, aur anand manao, aur Ishwar par vishwaas karo.” In shabdon dwara, Limhi ne apne logon ko amantrit kiya ki weh vishwaas ke nazariye se bhavishye ki or dekhe; apne dar ko vishwaas se utpann huwe aasha se hataye; aur kisi bhi paristithi mein Parmeshwar par bharosa karne se sandeh nahin.

Maransheel jiwan pariksha ka samay hai jisse yeh dekha jaata hai ki kya hum Prabhu hamare Parmeshwar ke har aagya ko maante hai.3 Iske liye bhaari musibat mein bhi bina sandeh vishwaas ki zaroorat padegi. Iske liye zaroori hai ki hum Masih mein atal vishwaas ke saath aage badhe, Aatma ke aguwaai mein, aur bharosa karenge ki Parmeshwar zarooraton ko pradaan karenge.4

Unke dharti par prachaar ke samaapti ke samay, kaedi liye jaane se pehle, Uddhaarkarta ne Apne chelon ko sikhlaya, “Sansaar mein tumhe takleefe milti hai: par khush raho; maine sansaar ko jeet liya hai.”5

Mere saath ek pal ke liye socho—Ishu Masih, Pita ka Eklauta Putra, jisne bagaer paap ka jiwan jiya aur is sansaar ke sabhi behkaawon, peeda, chunaoti, aur takleef ko saha. Usne Gethsemane mein khoon ke bund bahae; Usne adhik peeda ko saha. Usne Apne upar hum sab ke peeda aur beemaariyon ko jhela. Woh madad ke liye tayyaar hai—hum sab ke madad ke liye—har ek bojh mein. Unke jiwan, kasht, mrityu, aur Punarjiwan ke zariye, Usne har us rukawat ko hataya jisse hum is dharti par anand aur shaanti nahin paa sakte. Unke praeshchit ke balidaan ke ashirvaad un sab ke liye hai jo Unhe apnaate hai khud ko kho kar aur Unka krus uthaa kar Unke sachche chelon ki tarah Unke saath chalte hai.6 Isiliye, jab hum Ishu Masih aur Unke Praeshchit mein apna vishwaas abhyas karenge, ham shakti payenge, hamara bojh halka honga, aur Unke zariye hum sansaar ko jeet lenge.

Bhaaiyo aur bahano, Uddhaarkarta se paaye jaane waale shakti aur aasha ko jab hum sochte hai, hamare paas vajah hai apne siron ko upar uthakar anand manane ki, aur vishwaas se bina sandeh aage badhne ki, “kyunki sandeh waala samundar ek lahar ki tarah hota hai jo hawa se behti aur uchalti hai. … Ek do tarah sochne waala aadmi apne saari baato mein chanchal hai.”7

Raaja Limhi ne isi tarah batlaya, “Apne pure hriday se Prabhu ki or mudo, aur apne mann ki puri lagan se uski sewa karo, tab woh apni ichcha se, tumhe kaed mein se nikaal dega.”8

Uddhaarkarta ke humse chirori karne waale shabdon ko suno:

“Tumhara mann vyakul na ho: tum Parmeshwar par vishwaas rakhte ho, mujh par bhi rakho. …

“Yadi tum mujhse prem rakhte ho, to meri aagyaaon ko maanoge. …

“Jiske paas meri aagya hai, aur woh unhe maanta hai, wohi mujhse prem rakhta hai: aur usse mera Pita prem rakhega, aur mai usse prem rakhunga, aur apne aap ko uspar prakat karunga.” 9

Parmeshwar hamein hamare vishwaas ke anusaar ashish deta hai.10 Vishwaas divye lakshye aur anant anudrishye se jeene ka srot hai. Vishwaas ek vayvahaarik sidhaant hai jisse lagan ki prerna milti hai. Yeh ek zaroori, jiwit shakti hai Parmeshwar aur Ishu Masih ke bataye har baat ko karne ke liye. Yeh hamein apne ghutno par karti hai Prabhu se maargdarshan maangne ke khaatir aur uthne par saahas se Unki ichcha pura karwati hai.

Saalon pehle jab mai mission ashyaksh tha, mujhe hamare ek priye prachaarak ke maata pita se ek phonecall aaya unke bahan ki maut ke baare mein. Mujhe yaad hai, us pal ke narmi mein, mai aur us prachaarak ne Parmeshwar ka badhiya uddhaar ke yojna par charcha kiya Unke bachcho ke liye aur kaise yeh gyaan use sahanubhuti dega.

Bhale hi woh is ghatna ko sunkar haeraan aur udaas tha, yeh prachaarak—ne apne aansu, Parmeshwar mein vishwaas ke zariye—apne bahan ke jiwan ke liye khush hua. Usne bina hichkichaaye Prabhu ke narm kripa mein saahas paaya. Saahasi rup se, usne mujhe bataya ki woh apna mission vishwaas ke saath jaari rakhega taaki woh Parmeshwar ke vaada kiye un ashirvaadon ko paaye jo uske aur uske parivaar ke liye tha. Zaroorat ke is samay par, us vishwaasi prachaarak ne apna hriday Parmeshwar ki or ghumaya, Unpar bharosa kiya, aur pure lagan se Unki sewa karna jaari rakha.

Agar hum Parmeshwar mein atal bharosa aur Unki sewa ka ichcha nahi karte, maransheelta ke dukhad anubhav se hum mehsoos karenge ki hamara juata bhaari ho gaya; aur hum susamachaar ko purn rup se nahin ji paenge. Vishwaas ke bina, hum hamare Parmeshwar ke rachnaaon ka kadar karne ki chamta kho denge un ghatnaaon ko lekar jo baad mein hone waala hai. 11

Mushkil ke in palo mein, virodhi—jo hamesha taak mein rehta hai—koshish karta hai hamare soch aur vichaaron ko hamare khilaaf istemaal karne ko. Woh hamein batlana chahata hai ki susamachaar ke siddhaant jeena bekaar hai. Kripya yaad rakhe aam aadmi ki soch “Parmeshwar ki Aatma ki baate grahan nahin karta: kyunki weh uske liye murakhta ki baate hai.” 12 Yaad rakho ki Shaetaan “Parmeshwar [ka] shatru hai, aur [woh] uske virudh lagataar sangharsh karta hai, aur [hamein] paap karne ke liye hamesha amantrit aur behkaata rehta hai.” 13 Hum use hamein harane ka mauka na dein; kyunki jab hum denge, hum apne vishwaas mein dagmagate hai aur Parmeshwar ke ashirvaad nahi paa sakte.

Agar hum atal rahe aur apne vishwaas mein na hichkichaaye, Prabhu hamein apni chamta se uncha karega taaki hum jiwan ke chunaotiyon ka saamna karein. Hum galat behkaawon ko dur kar sakenge, aur humme bhaari baadhawon jaise cheezon mein vijayi hone ki chamta aayegi. Isi tarah se Raaja Limhi ke log Lamaniti kaed se bhaag paaye the.

Mai aapko amantrit karta hoon Parmeshwar par aur Unke bhavishyevaktaaon ke shikshan par bharosa rakho. Mai aapko amantrit karta hoon Parmeshwar ke saath apne vachanon ko kaayam rakhne ke liye, Unhe pure dil se sewa karne ke liye, chaahe jiwan mein jo bhi paristhiti aaye. Mai gawahi deta hoon ki Masih mein tumhare bina hichkichaaye vishwaas ki shakti se, tum paap, sandeh, avishwaas, udaasi, kasht ke kaed se mukt ho jaaoge; aur tum woh sab vaada kiye ashirvaad paaoge hamare premi Pita se.

Mai gawahi deta hoon ki Parmeshwar sachcha hai. Woh jiwit hai aur Woh humko pyaar karta hai. Woh hamare prarthnaaon ko sunta hai jab hum khush hote hai aur jab hum sandeh, udaas, aur niraash hote hai. Mai gawahi deta hoon ki Ishu Masih hi sansaar ka Uddhaarkarta aur Muktidaata hai.

Mai apne tippaniyon ka ant karta hoon aaj is geet ke bol se “Not Now but in the Coming Years,” jo ki Portuguese kitaab mein hai:

Agar suraj ki jagah baadal hamare dilon par parchaai laata,

Agar peeda hamein dukhi kare, koi baat nahin; hum jald jaan jaaenge Aap kaun hai.

Ishu Apne haath se hamein le chalega, aur Woh bataega hamein kyun;

Agar hum Unki awaaz sunenge, Woh hamein jald batlaaega.

Parmeshwar par Bharosa rakhna Bina Sandeh se aur Use humko samarthan dene do;

Unki mahima gaate raho, kyunki baad mein Woh samjhaaega.14

Mai yeh Ishu Masih ke pavitra naam se kehta hoon, amen.