2014
Ishu Masih ka Divye Kaarye: Uddhaarkarta aur Muktidaata
April 2014


Shikshan Sandesh Bhent, April 2014

Ishu Masih ka Divye Kaarye: Uddhaarkarta aur Muktidaata

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondne se jaano jo batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur kaarye ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Ishu Masih ke sabse vaachak padwi Muktidaata ka hai, “Elder D. Todd Christofferson jo Barah Devduton ke Parishad ke hai ne kaha tha. “Mukti ka matlab ek kaarye ya karze ko khatam karna hai. Mukti ka matlab bachna ya karze ko bharna bhi hai. … Is har ek matlab ka alag-alag mahaan Muktidaata ka kaarye hai jo Ishu Masih ne kiya tha Apne Balidaan dwara, jismein shaamil hai, dictionary ke shabdon, ‘ko uske paap aur uske jurmaane se bari karna, jis tarah paapi ke liye balidaan diya jaata hai.’”1

Linda K. Burton, Sahayak Sanstha ki maha pradhaan, ne kaha: “Swarg ke Pita … Apne Eklaute aur sachche Putra ko humare paapon se, humare sir ke peeda, aur sabhi kuch jo hum sab ke vyaktigat jiwanon mein sahi nahi tha ko jhelne ke liye bheja.

“… Ek mahila jo kai saalon se musibat aur kathinaaiyon ko anubhao kar rahi thi ne rotey hue kaha, ‘maine yah jaana hai ki main ek purane 20-dollar not,—chungdaai, fati hui, maeli, apmaanith, aur daagdaar hoon. Parantu … phirbhi main 20 dollar ki kimat ki hoon.’ Yah mahila jaanti hai ki wah … [Parmeshwar] ke liye utni laayak hai ki Uska Putra uske balidaan ke liye aaya, vyaktigat rup se. Girjaghar ki sabhi mahila ko yah jaanna chahiye jo yah mahila jaanti hai.”2

Dharamshaastra mein se

2 Nephi 2:6; Helaman 5:11–12; Moses 1:39

Hamare Itihaas Se

Naye Niyam mein ek mahila ki ek katha hai jisne Ishu Masih mein vishwaas dala tha, Uske shikshanon ko shikha aur ussi mein jiwan bitaya, aur Uske dekhrekh, chamatkaar, aur mahima ki gawahi ko diya tha.

Ishu ne us mahila se kuwein par yah kaha:

“Parantu jo koi us jal mein se piyega jo main use dunga, wah phir anantkaal tak pyaasa na hoga; varnan jo jal main use dunga, wah usmein ek soti ban jaayega jo anant jiwan ke liye umadhta rahega.

“Stri ne usse kaha, He Prabhu, wah jal mujhe de taaki mai pyaasi na houn. …

“Main jaanti hoon ki [Masih] aanewaala hai, …: jab wah aayega, to hume sab baatein bata dega.

“Ishu ne usse kaha, main jo tujhse bol raha hoon, wahi hoon.”

Tab stri apna ghada chodkar nagar mein chali gayi, aur logon se Uske gawahi ko kahane lagi. (Dekhiye John 4:6–30.)

Vivran

  1. D. Todd Christofferson, “Redemption,” Ensign ya Liahona, May 2013, 109.

  2. Linda K. Burton, “Is Faith in the Atonement of Jesus Christ Written in Our Hearts?” Ensign ya Liahona, Nov. 2012, 114.