2010-2019
Sab ke Chaahi Apan Uppar U Naam Lo Jon Pita Dees Hai
October 2018


Sab ke Chaahi Apan Uppar U Naam Lo Jon Pita Dees Hai

Udhaarkarta ke naam me eklauta aur aavashyak shakti hai. Yah kewal ek hi naam hai jiske dwara mukti mumkin hai.

Kuch haphte pahale, mei ne kai aath varshiye bachcho ke baptisma me hissa liya tha. Unhonne apne maata-pita aur shikshakon se Ishu Masih ke susamachaar ko seekhna shuroo kar diya tha. Usme unke vishvaas ka beej badhna shuroo ho raha tha. Aur ab weh baptisma ke paani me uska picha karna chaahate the punahsthaapit Girjaghar ke sadasye banne ke liye. Jab hum u long ke ummeed dekha, hum soche laga ketna u long apan baptisma ke vachan ke ek bhaag ke baare me samajhis hoi: u long ke jimwaari Ishu Masih ke naam apan uppar lewe ke.

Shuruaat se, Parmeshwar ne Apne yojna me Ishu Masih ke naam ki pramukhata ki ghoshna ki hai. Ek swargdoot ne hamare pahale pita, Adam, ko seekhaya “Aap jo kuch Putra ke naam par karte hai, wahi karo, aur aap pashchataap karoge aur Parmeshwar ko pukaroge Putra ke naam par humesha.”1

Morman Dharamshaastra ke profat Raaja Benjamin ne apne logon ko sikhaaya, “Koi aur naam nahin diya jaega aur naa hi koi tarika hoga aur na hi saadhan jisse uddhaar mil sakta hai.”2

Prabhu ne apne Profat Joseph Smith se is sachchaai ko dohraaya: “Dekho, Ishu Masih woh naam hai jo Pita se diya gaya hai, aur koi aur naam nahi diya gaya hai jisse manushye ko bachaya jaaya sake.”3

Humare dino me, Pradhaan Dallin H. Oaks ne sikhaaya hai ki “jo log Ishu Masih ke pavitr naam par vishvaas karte hai … aur unse vachan lete hai … Ishu Masih ke praeshchit ke balidaan par daava kar sakte hai.”4

Humaara Swargiye Pitah yah bilkul spasht karna chaahata hai ki Uske Putr, Ishu Masih ka naam, dher me se keval ek naam nahin hai. Uddhaarakarta ke naam me eklauta aur aavashyak shakti hai. Yah ekamaatr naam hai jiske dwara mukti mumkin hai. Har yug me is sachchai par jor dekar, hamare pyaare Pita apne sabhi bachchon ko ashuwasan dete hai ki ek raasta hai unkeh paas waapas aane ki. Lekin ek nishchit tareeka uplabdh hone ka matlab yah nahin hai ki humari vaapasee pakka rahi. Parmeshwar batata hei humare kariye zaroori hei: “Isliye, sabhi purushon [aur mahilaon] ko un naam ko lena hai apne upar jo Pitah ka diya gaya hai.”5

Agar hameh us bachane waale shakti ko paana hai jo sirf Maseeh ke naam se milta hai, hamein “[khud ko] deen karna hei Parmeshwar ke saamne … aur toote dil aur pashchataap aatma se aana hai … aur Ishu Masih ka naam[apne] upar lene ke liye taiyaar [rehna] hai” aur kaabil banna hai, mere 8 saal-ke-doston ki tarah, taaki “Girjaghar me baptisma dwara praapt kiya jaao.”6

Jo log imandari se ichcha karte hei Uddhaarakarta ka naam lena apan oopar lewe ke, unko chahiye ki apne koh kaabil banae our baptisma ka dharamvidhi praapt kare Prabhu ko gawaah dene ke liye apne nirnay ka.7 Lekin baptisma to sirf shuruaat hai.

Yeh shabd lena sirf kehne waala(pessive) shabd nahi hai. Yah ek karne waala shabd hai jiske kayi matlab hai.8 Waise hi, Ishu Masih ke naam lene ki humari ichcha ke liye kuch karna zaroori hai aur isme kayi aadhaar hai.

Uddharan me, take(lena) shabd ka ek matlab hai partake(khaana) karna ya apne shareer me lena, jaise jab hum paani take(lete) hai. Apne aap par Masih ka naam lekar, hum Unke shikshaaon, Unke visheshtaaon, aur anth me Unke pyaar ko apne andar ki gehraai me lengetaaki woh hamara ek hissa ban jaae. Is prakaar Pradhaan Russell M. Nelson’s ke nimantran ka mahatva young adults ke liye “praathnasheelta aur jordaar [khoj] karna yeh jaanne ke liye ki niji rup se unke liye [Uddhaarakarta ke] ke vibhinn shirshakon aur naamon ka arth kya hai”9 aur Masih ke shabd ko padhein skripchas me, khaaskar ke Mormon Dharamshaastra me.10

Lene shabd ka doosra arth kisi vyakti ko kisi vishesh bhumika me swikaar karna ya kisi vichaar ya siddhaant ki sachchaai ko gale laga lena hei. Jab hum Masih ka naam apne upar lete hai, to hum Use apne Uddhaarkarta ke roop me swikaar karte hai aur lagataar Unki shikshaon ko apne jeevan ke gaid ki tarah apnaate hai. Hum jo bhi saarthak nirnay lete hei, hum Unke susamachaar ko sach maante hei aur aagyakaari roop se ise apne pure dil, shakti, dimaag aur taakat se jeete hai.

Yeh shabd lene ka matlab kisi naam ya kaaran se khud ko dhyaan karna hai. Hum me se jyadaatar anubhav hei kaam par zimmedari lene ka ya kisi kaarye ya sanstha me kuch kar lene ka. Jab hum apne aap par Masih ka naam lete hai, hum ek sachche shishye ki jimmedaariyon ko lete hai, hum Uske kaaran ki ke liye khade hote hai, aur hum “har samay aur sabhi cheezon me, aur un sabhi jagahon par[hum] [Uske] gavaah ke roop me khade hote hai.”11 Pradhaan Nelson ne “har yuva mahila aur har yuvak ko … Prabhu ke yuva bateliyan me shaamil hone ke liye bulaya Israel ko ikattha karne me madad karne ke liye. ”12 Aur hum sabhi abhaari hai profat ke amantran par Khud Uddhaarkarta dwara prakat kiye gae Unke punahsthaapit Girjaghar ke naam ko kehne ke liye: Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka.13

Humare Uddhaarkarta ka naam apne upar lene ke kaare me, hume samajhna chahiye ki Maseeh ka kaaran aur Uska Girjaghar ka ek hai aur hu-bahu. Unhen alag nahi kiya ja sakta. Isi tarah, Uddhaarkarta ke liye humare vyaktigat chelapan aur Unke Girjaghar me sakriye sadasyata bhi alag na kiye jaa sakte. Yadi hum apan commitmant ek ke prati, hamara commimant doosra ke saath kam hojata jaiseh nishchit roop se raat ke roop me din.

Kuch Ishu Masih aur uske naam lene ke liye ichchhuk nahi hai kyonki weh ise zaroori nahi maante, rukawat, aur kaed maante hai. Hakikat me, humen Masih ka naam apne upar lena mukti aur badhanti donon deta hai. Yah us ichcha ko jaagrut karta hai jab hum ne Uddhaarkarta me vishvaas ke dwara Parmeshwar ki yojna ko swikaar kiya tha. Yeh ichcha hamare dil me jiwit rakh ke, hum apne divye upahaar aur pratibha ka asalee uddeshy khoj sakte hai, Uske shakti dene waale pyaar ko anubhav kar sakte hai, aur doosro ke kalyaan ke liye humari chinta me vrddhi la sakte hai. Jaise-jaise hum apne upar Uddhaarkarta ka naam lete hai, hum vaastav me har achchi cheez ko pakadte hai aur uske jaisa ban jaate hai.14

Yah yaad rakhna mahatvapoorn hai ki Uddhaarkarta ka naam apne upar lena ek vachan nibhana hai—jo hum baptisma me kiye gaye vachan se shuru karte hai. Pradhaan Nelson ne sikhaaya hai, “[Humari] zimmedaari Uddhaarkarta se vachan lene ka aur phir un vachano ko nibhaane se har ek uplabdh dhaarmik ashirvaad aur saobhaagye ke dwaar khulenge.”15 Baptisma dwara Uddhaarkarta ka naam par lene ke divye saobhaagye hai woh agla dharamvidhi jo vachanbadhta ke maarg par hai tak pahunchne ka, hamara confirmation. Jab maine apne ek aath-saa-ke dost se pucha uske liye Masih ka naam apne upar lene ka kya matlab hai, usne saadgi se bataya, “Iska matlab hai ki mere paas Pavitr Aatma rahe sake hai.” Wah sahi thi!

Pavitra Aatma ka uphaar confirmation dwara milta hai jab humne baptisma ka dharamvidhi paa liya ho. Yah upahaar pavitr aatma ko nirantar saathee ke roop me rakhane ka adhikaar aur avasar hai. Agar hum Uski dhimi, choti aavaaz sune aur maante hai, to woh humen baptisma ke ke dwara die gae vachan maarg par rakhega, humen chetaaoni dega jab hum bahek jaaenge usse, aur humein pashchataap karne aur badalao ke liye protsaahit karte hai. Baptisma ke baad hamara dhyaan Pavitra Aatma ko humesha hamare saath rakhna hai taaki hum vachan maarg pe pragati jaaree rakh saken. Pavitra Aatma keval hamare saath tab tak rehta hai jab tak hum apne jeevan ko shudh aur paap se mukt rakhte hai.

Is kaaran se, Prabhu ne humare liye ek tarika taeyaar kiya jisse hum baptisma ke shudh karne waale prabhaao ko taaza kar sakte hai ek aur dharamvidhi se—jo hai sekrament. Har hafteh hum “bayaan kar sakteh hei … ki [hum] logh tayaar hoteh [apne upar] Putra ke naam lene ko”16 phir, humaare haathon me Prabhu ke maans aur khoon ke prateekon tak pahunchakar aur—rotee aur paanee—aur unhen humari aatmaon me vibhaajit karake, hum Ishu Masih ka naam lene ke liye naya karaar karate hai. Badle me, Uddhaarkarta humen phir se shuddh karta aur hamein kaabil banata hai Pavitra Aatma ke prabhaao ko paate rehne ke liye. Kiya yah keval Ishu Masih ke naam par praapt anant daya ka saboot nahi hai? Jaise hi hum uska naam apne upar lete hai, hum long ke paap aur dukh U Apan uppar le lewe haiaur phir bhi Uska “daa haath pasare huwe hai”17 humen Apne pyaar ke baahon me gherne ke liye.18

Sekrament har hafte yaad karawe hai ki apan uppar Ishu Masih ke naam lena ek jiwit aur lagataar karne waala zimmedari hai, na ki ek hi baar karna jo baptisma ke din se khatm ho jaata hai.19 Hum lagaataar aur baar-baar “us paak, pavitr bhent ka anand le sakte hai, jise manushy kam samajhte hai, hamein paapon se chama milna aur unke maans aur khoon ko grahan karna.”20 Yah aashchary ki baat nahin hai ki jab bhee Prabhu ke bachche shaktishaalee, dhaarmik aashirvaad samajhte hai jo unhen Masih ke naam lene se milta hai, to unki bhaavna humesha khushi ki hoti hai aur unki ichcha humesha unke Parmeshwar ke saath ek vachan me pravesh karna hai.21

Jaise-jaise hum is ishwariye roop se dijain kiye gae vachan maarg ka paalan karte hai, humari zimmedaari aur humen Ishu Masih ka naam lene ka prayaas humen “[Unke] naam ko humesha [hamare] dil me likhe jaane ke liye taakat deta hai.”22 Hum Prabhu aur hamare padosiyon se pyaar karenge aur unki seva karne ki ichcha mahasoos karenge. Hum Unke aagyaon ke paalan karenge aur Unke paas jaane ki ichcha karenge Unke saath aur vachanon ko banane se. Aur jab hum apne ichchaon par kaarye karne ke liye khud ko kamjor aur asamarth paate hai, to hum keval us shakti ka anurodh karenge jo Unke naam se milta hai aur Woh humari sahayta ke liye aaega. Jab hum biswaasipan me jhelenge, woh din aayega jab hum Use dekhenge aur Uske saath honge, aur hum khud ko Unki tarah paaenge, is prakaar Pita ki upasthiti me lautne ke yogye ho jaaenge.

Kyunki Uddhaarakarta ke vaada pakka hai: jo log “Ishu Masih ke naam par vishvaas karte hai, aur unke naam par pita ki pooja karte hai, aur anth me apne naam par vishvaas karte hai”23 ko Parmeshwar ke raajy me bachaaya jaega. Tumhaare saath, mujhe khushi hai ki Ishu Masih ka naam apne uppar lene se yeh uttam ashirvaad mumkin huwe hai, jinke naam ki aur me mai gawahi deta hoon, amen.

Not

  1. Moses 5:8.

  2. Mosiah 3:17.

  3. Doctrine and Covenants 18:23.

  4. Dallin H. Oaks, “Taking upon Us the Name of Jesus Christ,” Ensign, May 1985, 82.

  5. Doctrine and Covenants 18:24par zor diya gaya.

  6. Doctrine and Covenants 20:37par zor diya gaya.

  7. Pradhaan Dallin H. Oaks ne sikhaaya hai: “Jab hum Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka sadasye ban jaate hai, to hum apne Uddhaarakarta ka naam apne upar lete hai. … Masih me sachche vishvaasiyon ke roop me, eesaeeyon ke roop me, humane khushee se apana naam liya hai” (“Hume Ishu Masih Ka Naam Lena Chahie,” 80).

  8. Merriam-Webster onlain shabdkosh 20 arth deta hai karne waale shabd take(lena) ka, yah vah roop hai jisme is ka prayog kiya jaata hai “hame Ishu Masih ka naam lena hai apne upar” waakye me (merriam-webster.com/dictionary/take).

  9. Russell M. Nelson, “Prophets, Leadership, and Divine Law” (worldwide devotional for young adults, Jan. 8, 2017), broadcasts.lds.org.

  10. Dekhiye Nelson, “Mormon Dharamshaastra: Tumhara Jiwan Uske Bina Kaisa Hota? Liahona, Nov. 2017, 60–63.

  11. Mosiah 18:9.

  12. Russell M. Nelson, “Hope of Israel” (worldwide youth devotional, June 3, 2018), HopeofIsrael.lds.org.

  13. “Prabhu ne mujhe bataya hai us naam ka mahatva jo Usne Apne Girjaghar ka diya hai, woh hai Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka. Hamare liye kaam diya gaya hai apne aap ko Unke ichcha ke saath milaane ka” (Russell M. Nelson, “The Name of the Churchme [official statement, Aug. 16, 2018], mormonnewsroom.org).

  14. Dekhiye Moroni 7:19

  15. Russell M. Nelson, “Ek Saath Milkar Aage Badh ke,” Liahona, Apr. 2018, 7.

  16. Doctrine and Covenants 20:77; par zor diya gaya

  17. 3 Nephi 9:14; Alma 5:33–34bhi dekhiye.

  18. Dekhiye 2 Nephi 1:15.

  19. “Jab hum Ishu Masih ka naam lene ki humari ichcha ko dekhate hai, to hum apne Pita ke raajye me anant jeevan praapt karne ke liye jimwari dikhate hai. hum apani ummeedvari vyakt kar rahe hai—kaarye karne ke liye hamare koshish—celestial raajye me unnati. …

    “… Ham jo dekhte hai vah yah nahin hai ki ham uska naam apne upar lenge par yeh ki hum aysa karne ki ichcha rakhte hai. Is me, humara gawah kuch bhavishye ki ghatna ya sthiti se sambandhit hai, jinki praapti aatma-nirbhar nahin hai, lekin khud Uddhaarkarta ke adhikaar ya pahal par nirbhar hota hai” (Dallin H. Oaks, “Taking upon Us the Name of Jesus Christ,” 82, 83).

  20. “O God, the Eternal Father,” Hymns, no. 175.

  21. Dekhiye Mosiah 5; 6; 18; 3 Nephi 19.

  22. Mosiah 5:12.

  23. Doctrine and Covenants 20:29.