2011
Purohiti ke Niche aur Purohiti ke Tarike Se
March 2011


Shikshan Sandesh Bhent, March 2011

Purohiti ke Niche aur Purohiti ke Tarike Se

Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Tasveer
Relief Society seal

Vishwaas • Parivaar • Sahayak

Mere priye bahanon, hum kitne bhaagyevaan hai! Hum sirf Girjaghar ke sadasye nahin, magar hum Sahayak Sanstha ke sadasye bhi hai—“Prabhu ki sanstha mahilaon ke liye.”1 Sahayak Sanstha saboot hai Parmeshwar ke prem ka Uske putriyon ke liye.

Kya tumhara dil kaapta nahin jab tum is sanstha ke shuruaat ke baare mein sochte ho? March 17, 1842 mein, Bhavishyevakta Joseph Smith ne bahanon ko aayojit kiya “purohiti ke niche aur purohiti ke tarike se.”2

“Purohiti ke niche” sthaapit hone se bahanon ko adhikaar aur nirdesh mila. Eliza R. Snow, Sahayak Sanstha ke dusre maha pradhaan, ne sikhlaya ki Sahayak Sanstha “Purohiti ke bina nahin reh sakti, is kaaran ki apna sab adhikaar aur prabhaao isi srot se paati hai”3 Elder Dallin H. Oaks jo Barah Purohiton ke Parishad the ne samjhaya, “Jo adhikaar Sahayak Sanstha ke afsaron aur shikhsakon dwara laagu karna chahiye … wohi adhikaar hai jo unke paas aata hai Ishu Masih ka Girjaghar Antim-Dinon ke Santon ke zariye aur tab jab unhein purohiti netaaon ke haathon dwara set-apart ka ashirvaad diya gaya tha jab unki niyukti hui thi.”4

“Purohiti ke tarike se” aayojit hone se bahanon ko pavitra zimmedaariyaan mili. Julie B. Beck, Sahayak Sanstha maha pradhaan, ne batlaaya: “Hum purohiti ke tarike se aayojit hue hai—jiska matlab hai hum praktikaran dhoondhte, haasil karte, aur uspar amal karte hai; vichaar sabha mein nirnay lete hai; aur har ek vyakti ki parwaah khud karte hai. Hamari purohiti zimmedaari hai apne aap ko tayaar karne ke liye un anant jiwan ke ashirvaadon ke liye vaade karne aur nibhaane se. Isliye, apne bhaaiyon ke tarah hamare paas bhi purohiti hai, hamara uddhaar, sewa, aur pavitra log banne ka kaarye hai.”5

Barbara Thompson, Sahayak Sanstha maha adhyakshta ke dusre salahkaar.

Dharamshaastra mein se

1 Corinthians 11:11; Doctrine and Covenants 25:3; 121:36–46

Hamare Itihaas Se

Nauvoo Mandir ke nirmaan ke daoraan, bahanon ke ek dal ne chaha ki woh bhi nirmaan kaarye mein haat bataae. Eliza R. Snow ne is naye dal ke kaanoon likhe. Jab usne in kaanoonon ko Bhavishyevakta Joseph Smith ko dikhaae, usne kaha: “Bahanon ko bataao unka bhent Prabhu swikaar karta hai, aur uske paas unke liye kuch behtar hai. … Main mahilaaon ko purohiti ke niche aur purohiti ke tarike se aayojit karunga.”6 Kuch samay baad, Bhavishyevakta ne haal mein aayojit Sahayak Sanstha ko bataya: “Main ab tumhe chaabi deta hoon Parmeshwar ke naam se, aur yeh Sanstha anand manaaegi, aur gyaan aur buddhi aaj se aapko milti rahegi.”7 Bahanon ko dhaarmikta ke naye darje tak jaana tha aur purohiti dharam vidhiyon ki tayyaari karni thi jinhe jald hi mandir mein diye jaaenge.

Vivaran

  1. Spencer W. Kimball, “Relief Society—Its Promise and Potential,” Ensign, Mar. 1976, 4.

  2. Joseph Smith, quoted in Sarah Granger Kimball, “Auto-biography,” Woman’s Exponent, Sept. 1, 1883, 51.

  3. Eliza R. Snow, “Female Relief Society,” Deseret News, Apr. 22, 1868, 81.

  4. Dallin H. Oaks, “The Relief Society and the Church,” Ensign, May 1992, 36.

  5. Julie B. Beck, “Relief Society: A Sacred Work,” Liahona, Nov. 2009, 111.

  6. Joseph Smith, quoted in Kimball, “Auto-biography,” 51.

  7. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 451.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main kaise un bahanon ko madad kar sakti hoon jinse main bhent karti hoon ki woh Sahayak Sanstha ke pavitra kaarye ke ashirvaad ka anand uthaaye?

  2. Main is mahine kya karungi apne vyaktigat praktikaran praapt karne ki chamta ko badhaane ke liye?