2011
Mandir Aaiye aur Apne Aashirvaad Praapt Kijiye
July 2011


Shikshan Sandesh Bhent, July 2011

Mandir Aaiye aur Apna Aashirvaad Praapt Kijiye

Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Vishwaas • Parivaar • Sahayak

Bahanon, hamein bahut ashirvaad mile hai. Uddhaarkarta is Girjaghar ke mukhye sthaan par khade hai. Hum jiwit bhavishyevaktaaon dwara nirdeshit kiye gaye hai. Hamare paas pavitra dharamshaastra hai. Aur hamare paas kai pavitra mandir hai duniya bhar mein jahan hum woh vidhaan paa sakte hai jo zaroori hai hamein Swarg ke Pita ke paas lautne ke liye.

Hum pehle apne aap ke liye mandir jaate hai. “Mandir ka mukhye lakshye,” Elder Robert D. Hales jo Barah Devduton ke Parishad ke hai ne samjhaaya, “hai un vidhiyon ko pradaan karna jo swargiye(celestial) raajye ke liye zaroori hai. Mandir vidhiyaan hamein Uddhaarkarta tak maarg dikhaati hai aur hamein woh ashirvaad deti hai jo hamein milti hai Ishu Masih ke Praeshchit ke dwara. Mandir sabse mahaan vidhyalay hai sikhne ka jo manushye ke liye uplabdh hai, isse hamein gyaan aur buddhi milti hai duniya ki Rachna ke baare mein. Endowment ke aadesh hamein maarg dikhaata hai ki kaise hum maranshilta mein jiwan vaytit karenge.… Vidhi mein kuch aadesh diye gaye hai ki hum kaise jiye aur kuch vaade jo hum banate hai sahi tarike se jeekar Uddhaarkarta ki aagya maankar.”1

Magar hamara mandir sewa yahan nahin khatm hota hai. Pradhaan Boyd K. Packer, Barah Devduton ke Parishad Pradhaan, ne sikhlaaya: “Kisi ke jagah par kaarye karke jo mar chuka hai, tum apne pehle kiye vaadon ko yaad kar sakoge. Tumne apne mann mein un mahaan aatmik aashirvaadon ko mazboot kar liya hoga jo Prabhu ke ghar se jude hai.… Jo aashirvaad tumhe mandiron mein praapt hote hai woh un vaadon aur vidhiyon par aadhaarit ya par gaur kiye jaate hai jo wahan kiye jaate hai.”2

Mandir aaiye aur phir laut kar aaiye. Mandir vaadon ko banana aur rakhna hamein sab ashirvaadon mein se sabse mahaan ashirvaad paane ke raaste par rakhta hai—anant jiwan.

Barbara Thompson, Sahayak Sanstha maha adhyakshta ke dusre salahkaar.

Dharamshaastra mein se

Isaiah 2:3; 1 Corinthians 11:11; Revelation 7:13–15; Doctrine and Covenants 109

Hamare Itihaas Se

Bhavishyevakta Joseph Smith aksar Sahayak Sanstha bahanon ke sabhaaon mein unse baatein karte the. Nauvoo Mandir ke nirmaan ke daoraan, Bhavishyevakta ne bahanon ko siddhaant sikhlaaye, unhein tayyaar kiya aur gyaan mandir vidhiyon ke dwara paane ke liye. 1842 mein usne Mercy Fielding Thompson se kaha ki endowment “hamein andhera mein se badiya roshni mein laaega.”3

Lagbhag 6,000 Antim-din Santon ne mandir vidhiyon ko praapt kiya Nauvoo chodne se pehle. Pradhaan Brigham Young (1801–77) ne kaha, “Itni rahi hai santon ki utsukta vidhiyon[mandir ki}ko paane ki, aur hamare or se bhi itni utsukta rahi hai unhein dilaane ki, ki mainne apne aap ko Mandir ke raat aur din Prabhu ke kaarye karne mein juta diya hai, soya hoon to sirf chaar ghante, lagbhag ek din mein, aur hafte mein sirf ek baar ghar gaya hoon.”4 Mandir vaadon ka bal aur shakti ne Santon ko mazboot kiya jab woh shahar aur mandir chode anjaane jagah tak ke safar par jaane ke liye.

Vivaran

  1. Robert D. Hales, “Blessings of the Temple,” Liahona, Oct. 2009, 14.

  2. Boyd K. Packer, The Holy Temple (1980), 170, 171.

  3. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 414.

  4. Teachings of Presidents of the Church: Brigham Young (1997), 299.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main kaun se anubhav ko batlaaun unhein mazboot karne ke liye jinse main bhent karti hoon taaki woh “mandir aane ke liye” iraada kar le?

  2. Kis tarah main mandir ke ashirvaad ko paa sakti hoon?