2011
Pavitra Mahilaaon ki Ek Sanstha
August 2011


Shikshan Sandesh Bhent, August 2011

Pavitra Mahilaaon ki Ek Sanstha

Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Vishwaas • Parivaar • Sahayak

Eliza R. Snow, Sahayak Sanstha ki dusri maha pradhaan, ne sikhaya: “Paul jo Devdut tha ne pavitra mahilaaon ke baare mein batlaya tha. Yeh hum sab ka kartavvya hai ki hum sab ek pavitra mahila bane. Hamare paas unche maksad hone chahiye, agar hum pavitra mahilaaen hai. Hum yeh mehsoos karnenge ki hamein zaroori kaarye karne ke liye niyukt kiya gaya hai. Us kaarye se koi alag nahin. Wahan par koi bahan utni akeli nahin, aur uske prabhaao itne kam ki woh bahut kuch kar sakti hai is dharti par Parmeshwar ka Raajye banane ke liye.”1

Bahanon, hum akele nahin nato hamare prabhaao kam. Sahayak Sanstha mein gatvidhi ke uphaar ko apnaane se, hum uska bhaag banti hai jise Bhavishyevakta Joseph ne Sanstha batlaya hai “duniya ke sab buraaiyon se alag—chuna hua, shudh, aur pavitra.”2

Yeh sanstha hamein madad karti hai hamare vishwaas ko mazboot karne mein aur dhaarmik rup se badhne mein hamein netagiri, sewa, aur padhaane ke mauke dekar. Hamari sewa mein ek naya raasta milta hai zindagi mein. Hum dhaarmik rup se badhte hai, aur apna pan ka ehsaas, pehchaan, aur khud ka mahatva badhta hai. Hum jaan paate hai ki susamachaar ki yojna ka pura maksad hai ki hum apne pure kaabliyat ko paaye.

Sahayak Sanstha hamein madad karti hai mandir ke aashirvaadon ko paane ke tayyari mein, un vaadon ka sammaan karne ke liye jinhe hum karte hai, aur Zion ke lakshye mein shaamil ho jaae. Sahayak Sanstha hamare vishwaas aur vyaktigat dhaarmikta ko badhaane me madad karti, parivaaron ko mazboot karti, aur unhein dhoondhne aur madad karti jinhe zaroorat hai.

Sahayak Sanstha ka kaarye pavitra hai, aur pavitra kaarye karne se hum mein pavitrata aati hai.

Silvia H. Allred, pratham salahkaar Sahayak Sanstha maha adhyakshta mein.

Dharamshaastra mein se

Exodus 19:5; Psalm 24:3–4; 1 Thessalonians 4:7; Titus 2:3–4; Doctrine and Covenants 38:24; 46:33; 82:14; 87:8; Moses 7:18

Hamare Itihaas Se

Nauvoo ke Nari Sahayak Sanstha se baatein karte hue, Bhavishyevakta Joseph ne pavitrata par zor diya, samjhate hue ki jab mahilaaen sudh aur pavitra banti hai, woh duniya par gehra prabhaao daal sakegi. Usne samjhaya: “Daya, pyaar, aur pavitrata—yeh sab woh cheezein hai jo tumhe aage badhaati hai.… Yeh Sanstha … ke paas shakti ho sakti hai apne sanstha ke raniyon ko aadesh dene ke liye.… Dharti bhar ki raja aur raaniyaan Zion tak pahuchegi, aur aadar karegi.” Sahayak Sanstha ki bahanein jo apne vaadon ko nibhaati hai sirf achche insaan ka aadar nahin paati, magar “agar tum apne vaadon ko zindagi bhar nibhaao,” Joseph ne bahanon se vaada kiya, “farishte ko koi bhi tumhare madad karne se rok nahin paaenge.”3

Jab bahane ne sewa aur dusron ko bachaane ke kaarye mein bhaag liya, woh vyaktigat rup se sudh ho gayi. Lucy Mack Smith, Bhavishyevakta ki maa, ne batlaya jo achchaai Sahayak Sanstha paa sakti hein: “Hum ek dusre ko pasand karein, ek dusre ki dekh bhaal karein, ek dusre ko sahanubhuti dein aur aadesh praapt karein, taaki hum sab swarg mein saath baeth sake.”4

Vivaran

  1. Eliza R. Snow, “An Address,” Woman’s Exponent, Sept. 15, 1873, 62.

  2. Joseph Smith, History of the Church, 4:570 mein.

  3. Joseph Smith, History of the Church, 4:605, 606 mein.

  4. Lucy Mack Smith, Sahayak Sanstha mein, Minute Book Mar. 1842–Mar. 1844, entry for Mar. 24, 1842, Church History Library, 18–19.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kaise main bahanon ki madad kar rahi hoon “unke maksad” ko uthpan aur haasil karne ke liye?

  2. Main kya kar rahi hoon apne zindagi ko “chunne yogye, shudh, aur pavitra” karne ke liye?