2011
Abhaar Dikhlaane Ka Chunaao
December 2011


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, December 2011

Abhaar Dikhlaane Ka Chunaao

Tasveer
Pradhaan Henry B. Eyring

Hamare Swarg ke Pita sabhi kaaryon mein abhaari rehne ki aagya deta hai (dekhiye 1 Thessalonians 5:18), aur Woh chahata hai ki hum jo aashirvaad haasil karte hai ke liye abhaar prakat karein (dekhiye D&C 46:32). Hum jaante hai ki Unki sabhi aagyaaen hamari khushi ke liye hi hoti hai, aur hum yeh bhi jaante hai ki aagyaaon ka paalan na karne se durbhaagye hota hai.

Isliye khush rehne aur durbhaagye se bachne ke liye, hamein ek abhaari hriday rakhna chahiye. Humne apne jiwan mein kritigyata aur khushi ke beech ka sambandh dekha hai. Hum sab kritigyata mehsoos karna pasand karte hai, magar jiwan ke musibaton mein sada abhaari rehna aasaan nahin hai. Beemaari, niraasha, aur priyejanon ko khona hamare jiwan mein to kabhi kabhi hota rehta hai. Apne dukhon mein kathin ho jaata hai apne ashirvaadon ko dekh paana aur Parmeshwar dwara rakhe gaye ashirvaadon mein prasannta paana.

Achchi cheezon ki aadat pad jaane ke kaaran hamare liye ek chunaoti ho jaata hai apne ashirvaadon ko ginna. Jab hum apne ghar, khaane ka bhojan, ya doston our parivaaron ki chaahat kho dete hai, hum jaan paate hai hamein kitna abhaari hona chahiye tha jab woh hamare paas thi.

Sabse zyaada, kabhi kabhi hamare liye kathin hota hai un mahaan uphaaron ke liye paryaapt rup se abhaari rehna jo hum praapt karte hai: Ishu Masih ka janm, Unka Praeshchit, punarjiwan ka vaada, apne parivaaron ke saath anant jiwan ke mauke ka anand lena, susamachaar ka Punahsthaapna purohiti aur uske chaabiyon ke saath. Sirf Pavitra Aatma ke madad se hum mehsoos karna shuru kar sakte hai ki in ashirvaadon ka matlab kya hai hamare aur hamare priyejanon ke liye. Aur sirf tabhi hum abhaari rehne ki aasha kar sakte hai sabhi kaaryon mein aur Parmeshwar ke prati gaer abhaari rehne ki galti se bach sakte hai.

Hamein prarthna dwara puchna chahiye ki Parmeshwar, Pavitra Aatma ki shakti dwara, hamein madad karega musibaton ko anubhav karte samay bhi apne ashirvaadon ko achchi tarah pehchaanne mein. Woh hamein Aatma ki shakti dwara madad kar sakta hai un ashirvaadon ko pehchaanne aur unke prati abhaari rehne ke liye jiski hamein aadat pad jaati hai. Parmeshwar se prarthna dwara aysa maangne se hi mujhe zyaada madad mili hai “Kya Aap mujhe kisi ayse vyakti tak pahunchaaenge jiski main Aapke liye madad kar sakun?” Auron ko ashirvaad dene ke liye Parmeshwar ki madad karne se hi mainne apne khud ke ashirvaadon ko kareeb se dekha hai.

Ek samay mera prarthna ka jawaab mila tha jab ek anjaane dampati ne mujhe aspataal chalne ka nimantran diya. Wahan mainne ek shishu ko paaya itna chota ki mere hatheli ke barabar tha. Apne jiwan ke kuch hi hafton mein, woh kai surgeriyon se guzar chuki thi. Daaktaron ne maata-pita ko bataya ki aur kathin surgery ki zaroorat hai Parmeshwar ke is chote bachche ke hriday aur phephdon (lungs) mein jaan barkaraar rakhne ke liye.

Maata-pita ke niwedan par, mainne shishu ko ek purohiti ashirvaad diya. Ashirvaad mein ek vaada tha ki jiwan zyaada samay ka hoga. Ashirvaad dene ke alawa, mainne khud ek abhaari hriday ka ashirvaad paaya.

Hamare Pita ki madad se, hum sab abhaari rehne ka chunaao kar sakte hai. Hum unse puch sakte hai ki woh madad karein hamare ashirvaadon ko achchi tarah pehchaane mein, kisi bhi paristhiti mein. Woh din, mainne khud ke hriday aur phephdon ke chaalu rehne ke chamatkaar ka bahut abhaar maana jo pehle nahin kiya tha. Ghar jaate samay mainne dhanyevaad diya mere bachchon ke ashirvaadon ke liye jo Parmeshwar aur aas-paas ke logon ki dayaluta ke chamatkaar the.

Sabse zyaada, mainne abhaar mehsoos kiya Praeshchit ke gawahi ke liye jo us maata-pita aur mere jiwan mein tha. Mainne aasha aur Masih ki jyoti ko unke chehron par chamakte dekha tha, unke ghor musibat mein bhi. Aur mainne us gawahi ko mehsoos kiya jo tum mehsoos karte ho jab Parmeshwar se dikhlaane ki maag karo kaise Praeshchit aasha aur prem jagata hai.

Hum sab prarthna mein abhaari rehne ka chunaao kar sakte hai aur Parmeshwar se nirdesh le sakte hai auron ki madad karne ko Unke liye—khaaskar saal ke is samay jab hum Uddhaarkarta ka janm manate hai. Pita Parmeshwar ne Apne Putra ko diya, aur Ishu Masih ne hamein Praeshchit diya, sabhi uphaaron aur daan se bada (dekhiye D&C 14:7).

Prarthna ke zariye abhaar prakat karna hamein in ashirvaadon ki star ko bataata hai aur hamare anye ashirvaadon ke bhi aur is tarah aur zyaada abhaari hriday ke uphaar ko paana.

Is Sandesh mein Se Shikshan

Apne anubhavon aur ashirvaadon ko likhna hamein yaad dilaane mein madad kar sakta hai aur hamein kuch de sakta hai yaad rakhne ke liye. Jinko aap padhaati hai unse puche ki kya woh likh sakte hai woh kin cheezon ke liye abhaari hai taaki woh paaye hue ashirvaadon ko yaad rakh sake, vartamaan ke ashirvaadon ko pehchaan paaye, aur bhavishye ke ashirvaadon ki aasha karein.

Apne shikhsakon ko protsaahit karein ki woh Pradhaan Eyring ke uddharan par chale yeh puchte hue ki Swarg ke Pita unhein kisi ki or nirdesh karenge madad ya sewa karne ke liye.